Quraane Azeem me ALLAH AZZAWAZAL Irshaad Farmaata he ki
“Ay Imaan walo Sharaab Aur Juva Aur But Aur Paanse Nikaalna Yeh Sab Naapaki he Sheitan ke Kaamo se he In se Bacho Taaki Falaah Paao”
(Surah Al Maaidah, Aayat-90)
Ek Aur Jagah Irshaad Farmaata he
“Aur Paanse Daal kar Baanta karna Yeh Gunaah ka Kaam he”
(Surah Al Maaidah, Aayat-3)
Sadrul Afaazil Hazrate Allama Moulana Saiyyad Mohammad Naeemuddin Muradabadi Rahmatullahe Alay likhte he
Jamaana E Jaahiliyat ke Lougo ko Jab Safar ya Jang ya Tejaarat(Kaarobar) Ya Nikaah Wageira (ke) Kaam Dar-peish hote to Woh Tin(3) Teero se Paanse Daalte Aur Jo Nikalta Iske Muta’abiq Amal karte Aur Isko Hukme ILAAHI Jaante, In Sab ki Mumaaniyat(Rok/Pabandi) Farmaayi Gayi,
(Khazaainul Irfaan, Safa-207)
Tin(3) Teero me se Ek par Likha hota “ﺍَﻣَﺮَﻧِﯽ ﺭَ ﺑِّﯽ” (Mujhe Meire RABB ne Hukm diya), Dusre par “ﻧَﮩَﺎﻧِﯽ ﺭَﺑِّﯽ” (Mujhe Meire RABB ne Roka) Aur Tisre Teer par Kuchh Na likha hota, Agar Pahla Teer Nikalta to Woh Kaam kar liya karte, Agar Dusra Nikalta to Us Kaam se Rook Jaate Aur Agar Tisra Nikalta to Dobara Paanse Daalte, In Teero Aur Is Tarah ki Dusri Chizo ka Istemaal Jaaiz Nahi.
(Bariqa Mahmudiyya Sharahe Tariqa Mohammadiya, Jild-02, Safa-385)
»»» Hazrate Saiyyadna Abdullah Bin Abbas RadiAllaho Ta’ala Anho se Riwaayat he ki HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ne Jab Beitullah(Haram Shareef) me Tasveere deikhi to Daakhil Na Hue Yaha Tak ki Unhe HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ke Hukm se Mita diya gaya, HUZOOR NABI E AKRAM Sallallaho Alayhe Wasallam ne Hazrate Saiyyadna Ibraahim Aur Hazrate Saiyyadna Ismaail Alayhis Salaam ki Tasveero ko deikha ki Unke Haatho me Faal ke Teer the, HUZOOR AAQA E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ne Irshaad Farmaaya ALLAH AZZAWAZAL In Lougo(Tasveer Banaane Waalo) ko Halaak(Tabaah) kare, Bakhuda In Dono Buzurgo ne Kabhi In Teero ke Zariye Kismat Ma’alum Nahi ki.
(Bukhaari Shareef, Kitaabul Ahaadisul Ambiya, Jild-2, Safa-421)
(Bad-Shuguni, Safa-38,39,41)
ALLAHU AKBER…
➤ Quraane Paak se Faal Nikaalna :-
Baaz Loug Quraane Majeed ka Koi bhi Safa(Page) Khol kar Sabse Pehli Aayat ke Tarjume se Apne Kaam ke Baare me Khud-Saakhta (Khudne Banaaye) Mafhum (Matlab) Akhaz karke Faal Nikaalte he, Is Tarah Faal Nikaalna Na-Jaiz he,
Hadiqa e Nadiyya me he
Quraani Faal, Faale Daaniyaal Aur Is Tarah ki Digar Faal jo Fee-Zamaana(Aaj-Kal) Nikaali Jaati he (Woh) Neik Faal me Nahi Aati Balki Inka bhi Wohi Hukm he Jo Paanso ke Teero ka he Lehaza Ye Na-Jaiz he.
(Hadiqa E Nadiyya Sharah Tariqa E Mohammadiya, Jild-2, Safa-26)
Jabki Bariqa E Mahmudiyya me he
Quraane Paak se Bad-Shuguni leina Maqrooh E Tehreemi he.
(Bariqa E Mahmudiyya Sharahe Tariqa Mohammadiya, Jild-2, Safa-386)
Aala Hazrat Imaame Ahle Sunnat Asshah Imaam Ahmad Raza Khan Rahmatullahe Alay se Ayse Shaksh ke Baare me Sawaal kiya gaya ki Jo Shaksh Faal Kholta ho, Lougo ko Kehta ho Tumhaara Kaam ho Jaayega Ya Na Hoga, Yah Kaam Tumhaare Waaste Achha hoga ya Bura hoga…?? Isme Nafa’a hoga ya Nuksaan..??
To Imaam Aala Hazrat Rahmatullahe Alay ne Jawaab diya
Agar yeh Ahkaam Qat’a Wa Yaqeen ke Saath Lagaata ho Jab to Woh Musalmaan hi Nahi, Iski Tasdeeq (Himaayat) Karne waale ko Sahih Hadees me Farmaya
Isne Us Chiz ke Saath Kufr kiya Jo MOHAMMAD Sallallaho Alayhe Wasallam par Utaari Gayi.
(Tirmizi Shareef, Jild-1, Safa-185)
Aur Agar Yaqeen Nahi karta Jab bhi Aam Tour par Jo Faal Deikhna Raaij (Ja’ari) he Ma’asiyyat(Gunaah) se Khaali Nahi,
(Fatawa E Razwiya, Jild-23, Safa-100)
»»» Hikaayat :-
Ek Din Walid Bin Yazeed Bin Abdul Malik ne Quraane Paak se Faal Nikaali to Jeise hi Quraane Paak Khoula to ye Aayate Mubaaraka Nikli
وَ اسۡتَفۡتَحُوۡا وَ خَابَ کُلُّ جَبَّارٍ عَنِیۡدٍ ﴿ۙ۱۵﴾
Tarjuma : “Aur Inhone Feisla Maanga Aur Har Sarkash Wa Hatdharm Na Muraad huwa”
(Surah Ibhraahim, Aayat-15)
To Walid Bin Yazid ne Quraane Paak ko Shaheed Kar diya(Ma’azAllah..) Aur ye Sheir Padha
ﺍَٔﺗَﻮَﻋَّﺪُ ﮐُﻞَّ ﺟَﺒَّﺎﺭٍ ﻋَﻨِﯿﺪٍ ﻓَﮩَﺎ ﺍَٔﻧَﺎ ﺫَﺍﮎَ ﺟَﺒَّﺎﺭٌ ﻋَﻨِﯿﺪُ
ﺇﺫَﺍ ﻣَﺎ ﺟِﺌْﺖَ ﺭَﺑَّﮏ ﯾَﻮْﻡَ ﺣَﺸْﺮٍ ﻓَﻘُﻞْ ﯾَﺎ ﺭَﺏِّ ﺧَﺮَّﻗَﻨِﯽ ﺍﻟْﻮَﻟِﯿﺪ
Tarjuma : Kyu Tu Har Sarkash wa Hatdharm (Ziddi) ko Dhamki deita he (Ma’azAllah..) Ha.. Mei Hu Woh Sarkash wa Hatdharm Jab Tu Qayaamat ke Din Apne RABB ke Paas Haazir ho to Keh Deina Mujhe Walid ne Shaheed kiya tha,
Is Saaneha(Waaqiye) ke Thode hi Dino Baad Kisi ne Walid ko Be-Dardi se Qatl kar diya, Iske Sar ko Pehle Iske Mahel Fir Shahar ki Diwaaro par Latka diya gaya.
(Adabul Duniya Wa Deen, Safa-276)
(Bad-Shuguni, Safa-39,40,43)
ALLAHU AKBER…
Aaj bhi Humaare Mu’aashre me Kayi Musalmaan Bhai Quraane Paak se Faal Nikaalwate he Aur Us se Bad-Shuguni leite he..
ALLAH TA’ALA Is se Bachne ki Toufiq Ataa Farmaaye…
Aameen..
➤ Darya E Neel se Bad-Shuguni :-
Darya E Neel Har Saal Khushk (Sookha) ho jaya karta tha, Jis se Jahaalat ki Buniyaad par Loug yeh Bad-Shuguni leite ki Darya ko Jaan ki Talab(Maang) he,
Chunanche Woh Ek Kawaari Ladki ko Umda Libaas Aur Nafees(Qeemti) Zewar se Saja kar Darya E Neel me Daal deite Jiske Baad Darya Jaari ho jaya karta tha, Jab Misr Fatah Huwa to Ek Roz(Din) Ahle Misr ne Hazrate Saiyyadna Amr Bin Aas RadiAllaho Ta’ala Anho se Arz ki Ay Ameer Humaare Darya e Neel ki Ek Rasm he, Jab Tak Isko Adaa Na kiya Jaaye Darya Jaari Nahi Rahta, Inhone Istifsaar(Puchhte hue) Farmaya Kya..??
Kaha Hum Ek Kawaari Ladki ko Uske Waalidein se le kar Umda Libaas Aur Nafees Zewar se Saja kar Darya E Neel me Daalte he, Hazrate Saiyyadna Amr Bin Aas RadiAllaho Ta’ala Anho ne Farmaya Islaam me Hargiz Aysa Nahi ho Sakta Aur Islaam Puraani Waahiyyaat(Beihuda/Be-Ma’ani) Rasmo ko Mita-ta he, Chunanche Woh Rasm Mouquf(Rok di) gayi Aur Darya ki Rawaani(Bahaav) Kam hoti gayi yaha Tak ki Lougo ne Waha se Chale Jaane ka Qasd(Irada) kiya, Yeh Deikh kar Hazrate Saiyyadna Amr Bin Aas RadiAllaho Ta’ala Anho ne Ameerul Mo’ameneen Khalifa E Saani Hazrate Saiyyadna Umar Bin Khattab RadiAllaho Ta’ala Anho ki Khidmat me Tamaam Waaqiya Likh Bheija,
Hazrate Umar Bin Khattab RadiAllaho Ta’ala Anho ne Jawaab me Tehreer (Khat Likha) Farmaaya Tumne Thik kiya, Beishak Islaam Aysi Rasmo ko Mita-ta he, Meire Is Khat me Ek Ruq’aa(Parchi) he Isko Darya E Neel me Daal Deina, Hazrate Saiyyadna Amr Bin Aas RadiAllaho Ta’ala Anho ke Paas Jab Ameerul Mo’ameneen ka ka Khat Pahoncha Aur Unhone Woh Ruq’aa Us Khat me se Nikala To Usme Likha tha
“(Ay Darya E Neel) Agar Tu Khud Jaari he To Na Jaari ho Aur ALLAH TA’ALA ne Jaari Farmaya he to Mei WAAHIDO QAHHAAR AZZAWAZAL se Arz karta hu ki Tujhe Jaari Farma de….”
Hazrate Saiyyadna Amr Bin Aas RadiAllaho Ta’ala Anho ne Yeh Ruq’aa Daryaa E Neel me Dala To Ek Raat me 16 Gaz(48 Feet) Paani Badh Gaya Aur Yeh Rasm Misr se Bilkul Mouquf (Khatm) ho Gayi.
(Al Azmata Abi Al Shaiykh Asbahaani, Safa-318)
(Bad-Shuguni, Safa-53,54)
Subhan Allah….
Jis Tarah Ahle Misr me Darya e Neel ko Jaari Rakhne ke liye Galat Yaqeen par Mabni Rasme-Bad Jaari thi Isi Tarah Doure Haazir me bhi Bahot se Galat Ayteqaad (Yaqeen), Tawahhumaat (Wahamo) Aur Na-Jaiz Rasme Zour Pakadti Ja rahi he Jinka Ta’aluq Bad-Shuguni se hota he, In me se Kuchh Bayaan ki gayi Aur Kuchh Aage Aa rahi he…
ALLAH TA’ALA Hume Bad-Shuguni se Bachne ki Toufiq Ataa Farmaaye..
Aameen..