Shaqqe Sadar ka Waaqiya / Seena Mubaarak ko Chirne ka Waqiya

>➤ Shaqqe Sadar ka Waaqiya / Seena Mubaarak ko Chirne ka Waqiya :-
Ek Din HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam Charaagaah me me the.. Jab Aadha Din Guzara to ‘Zamrah’ (Halima Sadiya ka Ladka) Abbajaan.. Ammijaan.. Pukaarta huwa Aaya Aur Kehne Laga Muhammad(Sallallaho Alayhe Wasallam) Humaare Sath Khade the, Achaanak Ek Shakhs Namudaar(Zaahir) huwa Aur Unke Qareeb Aa kar Unhe Humaare Darmiyaan se Pahaad par le gaya Aur Lita kar Unka Shikam Mubaarak Chaak kiya(Seena Mubaarak Chira), Aage Hum Nahi Jante ki Unka Haal Kya Huwa, Is par Halima Aur Unke Shohar Doudte huwe gaye Jab Aap ﷺ ke Paas Pahonche to Deikha ki Aap ﷺ Pahaad par Beithe huwe Aaasmaan ki Jaanib deikh rahe he, Jab Aap ﷺ ne Hume deikha to Tabassum(Muskuraya) Farmaaya.

Ek Riwaayat me HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ne Farmaaya ki Ek Din Mai Bani Leis Bin Bakr me Apni Razaai Bhaiyo ke Sath Waadi me tha ki Achaanak Meiri Nazar 3 Shaksho par Padi Unme se Ek ke Hath me Sone ka Tasht(Thaal) tha Jo Barf se Bhara huwa tha Aur Ek Riwaayat me he ki Ek Haath me Chandi ka Aaaftaab(Chandi ka Suraj) tha Aur Dusre Haath me Sabz Zumrad(Green Colour ke Pathhar) ka Thaal tha Jo Barf se Labrez tha, Fir Mujhe Apne Sathiyo ke Darmiyaan se Pakda, Meire Sab Sathi Apne Mohalle ki Jaanib Bhaag gaye, Uske Baad Un 3 no me se Ek Ne Mujhe Zameen par Narmi se Leitaya Aur Ek ne Meire Seene ko Jodo ke Paas se Naaf Tak Chira Aur Mujhe Kisi Qism ka Dard Wageira Mehsus Na huwa, Iske Baad Peit ki Rago ko Nikala Aur Us Barf se Ise Khub Gusl diya, Fir Ise Apni Jagah Rakh kar (Woh Shaksh) Khada ho gaya, Dusre Shaksh ne Us se kaha Ab Tum Hatt Jaao Iske Baad Usne Apne Haath ko Meire Jouf(Peit) me Daal kar Meira Deel Nikala, Mai Use deikh raha hu Fir Use Chira Aur Us se Siya(Black) Luthra Nikala Aur Ek Riwaayat me he ki Siya Nukta ko Nikala Aur Use Feink diya Usne kaha Ye Shaitaan ka Hissa he, Fir Use Us Chiz se Bhara Jo Unke Paas thi, Uske Baad Apne Daayi Aur Baayi Kuchh Ishara kiya Goya Woh Kisi Chiz ko Maang raha he, To Unhone Ek Angushtari(Anguthi) Noor ki di Jiski Nooraaniyat se Aankhe Kheir hoti thi Uske Baad Meire Deel par Muhar lagaayi Aur Meira Deel Noor se Labrez ho gaya, Aur Woh Noor Nabuwwat wa Hikmat ka tha, Fir Deel ko Apni Jagah Rakh diya To Mai Us Muhar ki Thandak wa Khushi Arsa Daraaz Tak Mehsus karta raha, Aur ‘Rozatul Ahbaab’ ki Ibaarat me Is Tarah kaha gaya he ki Uski Thandak Aur Khushi Ab bhi Apne Jodo Aur Rago me Pata hu, Is se Maalum hota he Thandak ka Paya Jana Tamaam Umr Mubaarak tak Raha(Wallahu Aalam),
Ek Riwaayat me he ki Jab Meire Rago ko Paani se Gusl deine lage to Dusre ne kaha ki Ole ke Paani se Gusl do To Paani Aur Ole Dono se Gusl diya, Iske Baad Dusre ne kaha Uthho Tum Apna Kaam kar Chuke, Fir Unhone Seene ke Jod se Naaf Tak Haath Feira Aur Woh Shegaaf(Chira huwa Hissa Pehle ki Tarah) mil gaya, Iske Baad Mujhe Aahista se Uthaya Aur Mujhe Apne Seena se Lagaya Aur Meire Dono Aankho ke Darmiyaan Bousa diya Aur Kehne lage Ay KHUDA ke HABEEB Kuchh Na Puchho Agar Aap Jante ki Aap ke liye Kya Kuchh Kheir wa Khubi he to Aap ki Aankhe Roushan ho jati Aur Aap Khush hote, Uske Baad Woh Mujhe Wahi Chhod kar Aaasman ki Jaanib Parwaaz(Udaan/Ud) kar gaye Aur Mai Unko Deikhta raha.
(Madaarijun Nabuwwat (Urdu), Jild-2, Safa-38,39)
(Al Mawaahibul Laduniya (Urdu), Jild-1, Safa-99,100)
(Al Khasaisul Kubra (Urdu), Jild-1, Safa-119,120)

Huliya Shareef ke Bayaan me Hazrat Anas RadiAllaho Ta’ala Anho ki Hadees me he ki Hum RASOOLE KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ke Seena Wa Shikam Mubaarak par Us Jod ke Naqsh wa Nishaan ko Sidhi lakeer ki Maanind deikha karte the.
(Madaarijun Nabuwwat (Urdu), Jild-2, Safa-39)

ALLAHU AKBER…

>➤ Shaqqe Sadar Kitni Baar huwa..?
Hazrat Shah Abdul Aziz Mohaddise Dahelvi Alayhir Rahmah ne ‘Surah Alam Nashrah’ ki Tafseer me Farmaaya he ki 4 Martaba HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ka Muqaddas Seena Chaak Kiya(Chira) gaya Aur Usme Noor wa Hikmat ka Khazina Bhara Gaya,
Pehli Martaba Jab HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam Hazrate Halima RadiAllaho Ta’ala Anha ke Ghar the, Iski Hikmat ye thi ki HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam Un Waswaso Aur Khayaalaat se Mehfuz rahe Jin me Bacche Mubtala ho kar Kheilkud Aur Sharaarato Ki Taraf Maaeel ho Jate he,
Dusri Baar 10 Baras ki Umr me Huwa Taaki Jawaani ki Pur Aashob Shahwato ke Khatraat se Aap Be-Khouf Ho Jaaye,
Tisri Baar Gaare Hira me Shaqqe Sadar huwa Aur HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ke Qalb me Noore Sakina Bhar diya gaya taki Aap ﷺ Wahi e ILAAHI ke Azeem Aur Giraabaar Bouj ko Bardasht Kar Sake,
Chothi Martaba Shabe Me’raaj me HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ka Mubaarak Seena Chaak karke Noor wa Hikmat ke Khazaano se Maamur kiya(Bhara) gaya, Taki HUZOOR ﷺ ke Qalbe Mubaarak me Itni Wus’at Aur Salaahiyyat Peida ho Jaaye ki HUZOOR ﷺ Didaare ILAAHI ki Tajalliyo Aur Kalaame RABBANI ki Heibato Aur Azmato ke Mutahammil(Bardaasht) ho Sake.
(Seerate MUSTAFA ﷺ, Safa-55)

“Shama Deel Mishkaat Tan Seena Zujaaza Noor ka”,
“Teri Surat ke liye Aaya he Soorah Noor ka”,
(Hadaaiqe Bakhshish)

>➤ Shaqqe Sadar ke Baad Kaahin Ke Paas :-
Hazrate Halima Sadiya RadiAllaho Ta’ala Anha Farmaati he ki Fir (Shaqqe Sadar ka Waqiya ke Baad) HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ko Utha kar Banu Saad ki Basti me le Aayi, Lougo ne Mashwara diya ki Inko Kaahin(Peishgohi Karne Wala) ke Paas le Jaao Taaki Woh Deikh Bhal kar ke Is Marz(Beemari) ka Ilaaj Wageira kare, HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ne Farmaaya Jis Khayaal ke Peishe Nazar Tum ye Mashwara de rahe ho Woh Haalat Is Waaqiya me Nahi he Mai Har Lihaaz se Thik hu, Kuchh Dusre Lougo ne kaha Inko Zarur Aziyyat(Takleef) Pahonchi he Ya kisi Jinn ka Asar he,
Lougo ki Raay Meire Kehne par Gaalib rahi Aur Mai Muhammad(Sallallaho Alayhe Wasallam) ko Kaahin ke Paas le kar Pahonchi Aur Us se Sara Maajra Bayaan kiya, Usne kaha Khaatun Aap Khamosh rahe Mai Bacche se Soon na Chahta hu Is liye ki ye Apne Muaamle se Zyada Waaqef he, Uske Baad HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ne Shuru se Aakhir tak Puri Baat Bayaan kiya Jisko Soon kar Kaahin Uchhla, Khada huwa Aur Ba-Aawaze Buland kehne laga Ay Ahle Arab Tum Is Bacche ko Qatl kardo Aur Iske Sath hi Mujhe Qatl kardo, Kyuki Agar Tumne Isko Zinda Chhoda To ye Tum Lougo ke Faham wa Faraasat(Aqal Aur Samajh) ko Rushwa kar deiga Aur Tumhare Mazhab ki Takzib karega Aur Tum ko Ayse KHUDA ki Taraf Bulaayega Jisko Tum Nahi Jante Aur Ayse Deen ki Daawat deiga Jiska Tumhe Ilm Nahi,
Hazrate Halima Sadiya RadiAllaho Ta’ala Anha ne Uski ye Baat Sooni to Unhone HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ka Haath Mubaarak Kaahin ki Giraft se Chhuda liya Aur Purzour Alfaaz me Kaahin se Kaha Tu Khaassa Paagal he Agar Mai Jaanti ki Tu Aysi Bakwaas karega To Mai Hargiz Apne Bacche ko Teire Paas Na Laati, Tu Kisi Aur ko Apne Qatl ke liye Bulaale, Mai Hargiz Muhammad (Sallallaho Alayhe Wasallam) ko Qatl Na hone dungi, Fir Mai HUZOOR ﷺ ko Apne Ghar par le Aayi.
(Al Khasaisul Kubra (Urdu), Jild-1, Safa-120,121)

Halima Sadiya RadiAllaho Ta’ala Anha Farmaati he ki Jab Shaqqe Sadar ka Waqiya Peish Aaya to Meire Shohar Aur Dusre Lougo ne bhi Mashwara diya ki Is se Pehle ki HUZOOR ﷺ ko Koi Musibat Pahonche Behtar yahi he ki HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ko Unki Waalida Maajida Aur Unke Jadde Amjad(Dada) ke Sipurd kar deina Chahiye, Halima Sadiya Bayaan karti he ki Iske Baad Hum HUZOOR ﷺ ko Le kar Makka e Mukarrama ki Taraf Chal diye.
(Madaarijun Nabuwwat (Urdu), Jild-2, Safa-39)


Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *