Aap Rahmatullah Alay ka Mazaare Mubaarak Ahmedabad(Gujarat) me he
Aap Rahmatullah Alay ka Naame Naami Isme Giraami “Mohammad” he,
Kunniyat “Abul Barkaat”,
Laqab Sirajuddin”
Aur Khitaab Shaahe Aalam Mehbub e BA’ARI he,
Aap Rahmatullah Alay ke Waalid E Giraami Hazrat Saiyyad Abu Mohammad Burhaanuddin Abdullah Al Mashoor Qutbe Aalam Bukhari Rahmatullah Alay he, Aur Waalida Hazrat Makhduma Bibi Aamena Sultana Khatun Binte Karim Khan he,
Hazrat Shahe Aalam Rahmatullah Alay ki Wilaadat Shareef 17, Zil Qa’dah, 817 Hijri Muta’abiq 1414 Isvi-san me hui,
(Mira’ate Ahmadi, Safa-24)
(Hayaat E Hazrat Shahe Aalam, Safa-17-18)
>➤ Hazrat Shahe Aalam Rahmatullah Alay ki Peidaish :-
Bayan kiya Jata he ki Saiyyadna Burahanuddin Qutb E Alam Bukhari Rahmatullah Alay ka Ma’mul(Aadat) Tha ki Rozana Shab(Raat) me Aabadi(Basti) Se Door Ek Gumbad me Ronak Afroz ho kar Ibadat E ILAAHI Me Mashroof Hote the…
Jis Shab Hazrat Shah E Alam Rahmatullah Alay ki Wilaadat(Peidaish) Hone Wali thi Us Shab(Raat) ko bhi Aap Rahmatullah Alay Ma’mul(Aadat) ke Muta’abiq Ibadat E ILAAHI me Mashgool the ki HUZOOR SARKAARE DO AALAM Sallallaho Alayhe Wasallam ki Jalwagari Hui, HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ki Tashrif Aavri se Gumbad Tajalliyat E Risaalat Sallallaho Alayhe Wasallam se Jagmaga Utha, HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ne Hazrat Qutb E Aalam Rahmatullah Alay se Mukhaatab Hokar Farmaya
“Ay Burhaan Apne Ghar Jaao Tumhaare Ghar Ek Farzand Peida huwa he jo Mohammadi Al Mashrab hoga,
Uska Naam Humaare Naam par ‘Mohammad’ rakhna Aur ye Khirqaah(Libaas) lo Use Pehna deina Aur Uski Ta’lim o Takrim ko Hameisha Malhuze Khatir rakhna Is liye ki wo Baargaahe KHUDAAWANDI me Martaba e Mehbubiyat rakhta he Yahi Bashaarat deine Mei Tumhaare Paas Aaya hu,
Hazrate Qutbe Aalam Rahmatullah Alay ne Maraaqabe se Sarr Uthaya to Abhi Tak Dar o Diwaar se Anwaare Risaalat Sallallaho Alayhe Wasallam Aashikara ho rahe the Aur Tamaam Fiza Aap ki Zulf Mashk Khushbu se Moattar ho gayi Aur Ataa karda Khirqaah (Libaas) bhi Moujud tha,
Hazrat Saiyyadna Qutbe Aalam Rahmatullah Alay Hukm E HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam Apne Doulat Khana par Tashreef laaye to Khush-Khabri mili ki Farzand ki Wilaadat hui he Aap ne Gusl Diye Jaane ke Baad HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ka Ataa karda Khirqaah(Libaas) Pehnaya Aur Sidhe(Right) Kaan me Azaan Aur Utle(Left) Kaan me Iqaamat kahi Aur Aap ka Naami Isme Giraami Mohammad rakha,
(Azz Hikaayat Farsi, Safa-1018)
(Hayaat E Hazrat Shahe Aalam, Safa-31)
Ye Jagah(Photo me Peish ki gayi he) Hazrat Shahe Aalam Rahmatullah Alay ke Darbaar me Haazir hote he to Khas Hazrat Shah Aalam Rahmatullah Alay ke Roza E Mubaarak ke Saamne Ek Gumbad Numa Chhatri Bani hui he Jisme Aksar Mannato ke Charaag Roushan rehte he,
Shaahibe Tazkiratul Saadaat ka kehna he ye wo Maqaam he Jaha Par Hazrat Saiyyad Burhaanuddin Qutbe Aalam Rahmatullah Alay ne HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ko Rounak Afroz deikha tha Aur Hazrat Shaahe Aalam Rahmatullah Alay ki Basharat Ataa hui thi, Hazrat Qutbe Aalam Rahmatullah Alay ne Itne Khitta E Zameen ko Mehfuz Karwa diya Jaha Barkaat wa Anwaar ke Aashar the, Baad me Taaj Khaa Narpaali ne Hazrat Saiyyadna Shaahe Aalam Rahmatullah Alay ke Roza Mubaarak ki Ta’amir ke Waqt Us Maqaam par Shaandaar Gumbadnuma Chhatri Banaadi he Jaha par Har Shab me Umuman Zaairin(Roze ki Ziyaarat karne Waale) Charaga Karte he.
(Tazkiratul Saadaat, Safa-48)
(Hayaat E Hazrat Shahe Aalam, Safa-97-98)
>➤ Touta Quraane Kareem ka Haafiz :-
Hazrat Mohammad Hashim Bukhari Al Shahi Bin Kamaaluddin Rahmatullah Alay Bayaan Farmaate he ki Ek Martaba Hazrat Shahe Aalam Rahmatullah Alay Badi Khush-Al-Haani se Quraane Kareem ki Tilaawat me Mashruf the Aap par Keif ka Aalam tha Qarib hi Toute ka Pinjara rakha huwa tha, Jo Aayate Kareema Aap Rahmatullah Alay Tilaawat karte Touta bhi Uski Naqal Utaarta Aur Badi Khush-Al-Haani se Quraane Kareem ki Aayate Padhta, Aapne Usi Keif wa Wajd ke Aalam me Toute par ek Nazar daali to wo Teeso(30So) Paare ka Haafiz Ho gaya, Ramzaan ul Mubaarak me Aksar Isi Toute ka Pinjara Apne Paas rakh kar Aap Rahmatullah Alay Quraane Kareem ka Dour Karte Agar kisi Aayat me Mutashaaba lagta to Touta Fouran Tokta Aur Agar Aysi Aayate Paak me Sahu(Bhul) hota to Fouran Luqma diya karta tha, Ek Martaba Jab ki Aap Rahmatullah Alay par Wajd Taari tha, Wo Tota Nawasanji karne laga Isi Wajd ke Aalam me Aap Rahmatullah Alay ki Zabaan se Nikal gaya
بزبان تو صدآۓ محبوب می آید
(Teiri Zabaan se Mehboob ki Aawaz Aati he..)
Touta Usi Waqt Fhad-Fhadaa kar Mar gaya, Baad me Aap Rahmatullah Alay ne Apna Roomaal Inaayat kiya Aur Farmaya ye Parinda Shaheed E Geirat hei Isko Is Roomaal me Lapeit kar Dafan Kardo.
(Reiyhaanat ul Abrar(Faarsi), Safa-145)
(Hayaate Hazrat Shaahe Aalam, Safa-167)
.
Hazrate Saiyyadna Shahe Aalam Rahmatullah Alay ke Roze E Mubaarak ke Qarib hi ke Ek Kamre ke Andar Kone me Is Toute ko Dafn kiya gaya he woh Jagah Aaj bhi Waha par Moujud he…
Alhamdolillah Is Faqeer ne Us Jagah ko bhi Deikha he…
>➤ Mubaarak Takht :-
Hazrat Shamsul Aarifeen Badrul Kaameleen, Ham Shabiye RASOOL, Khawaja E Khawaajga Hazrat Saiyyad Abul Barkaat Mohammad Sirajuddin Al Mashoor ‘Shahe Aalam’ Mehboob E Baari Bukhari Rahmatullah Alay ne Barso In Takhto par Jalwa Afroz ho kar Ilm E Shariyat Wa Tariqat ko Feilaya he..
Is se bhi Badh kar In Takhto ko Ek Aur Fazilat Haasil he woh ye ki Ek Martaba Iyfaa E Ahad(Wa’ada Poora) karne ki Khatir HUZOOR SARWARE QAAYENAAT, AHMAD E MUJTABAA MOHAMMAD MUSATAFA Sallallaho Alayhe Wasallam bhi Un par Rounaq Afroz hue hei…
Ek Martaba Saiyyadna Shahe Aalam Rahmatullah Alay HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ke Deedaar se Musharraf hue, Baargaahe NABAWI Sallallaho Alayhe Wasallam me Ilteja Peish ki ke Bahot Dino se Gulaam ki Tamanna he ki Kabhi Apne Qadmo Mubaarako se Khanqaah ko Zeenat(Khubsurti) Bakhshiye Aur Madarse me Ta’alim Haasil karne waale Talba’a(Students) ko Apne Feizaan E Khushusi se Mustafeez(Feizyaab) Farmaaiye, HUZOOR REHMATE DO AALAM Sallallaho Alayhe Wasallam ne Wa’ada Farma liya tha ki Is Waqt nahi In sha Allah Qareeb me Hum Tumhaari Is Tamanna ko Poori karke Tumhe Zarur Shaado-Masrur(Khush) karenge, Kuchh Dino baad Achanak Hazrate Shahe Aalam Rahmatullah Alay ki Tabiyat Nasaaz(Bigad) ho gayi Aur Aap Bistare Alaalat(Bimaari) par Daraaz(leit) ho gaye, Ye Alaalat ka Silsila Taqriban Ek Ashara(10 Din) raha, Ek Ashara Baad Gusl Sehat Farma kar Aap Darsh deine ke liye Takht par Beithe, Madarshe ka Waqt hone par Jab Talba’a(Students) Darshgaah(Madarshe) me Aaye Aur Bukhari Shareef khoul kar Padhne ke liye Beithe to Hazrat Shahe Aalam Rahmatullah Alay ne Toka Aur Kaha ki Sabaq kyu nahi Nikaalte, Tamaam Jama’at ne Beik(Ek hi) Zabaan kaha Hazrat Sabaq hi Nikaal kar Beithe hei, Aap Rahmatullah Alay ne Farmaya Tum Lougo ka Sabaq to kayi Shafhaat(Page) Pichhe he ye Baat Tumhaare Sabaq se Aage hei, Tamaam Talba(Student) ne kaha kya Kal Aap ne Hame Is se Pichhle Baab(Chapter) ka Doura nahi karaya he, ye Deikhiye Fala Maqaam par Ye Hadees Hum Nahi Samajh Sake the to Aapne Hume Is Hadeese Paak ka ye Mafhum Samjhaya tha, Fala Hadees me Hame ye Ishkaal(Samajh me Nahi Aaya) tha to Aap ne Hum ko Is Tarah par Zahan Nasheen karaya tha, deikhiye Humne Aapke Farmaane ko Note bhi kar liya he, Talba’a(Student) ki Is Guftagu ko Soon kar Hazrat Shahe Aalam Rahmatullah Alay ne Heirat Angeiz Andaaz me Farmaya ye Tum Lougo ko Aaj Kya ho gaya he.. kya kehte ho… Hum kal Aaye Fala Hadees ko Humne Yu Samjhaya Fala Hadees me ye Ishkaal tha to Humne ye Bataya… Are Bhai Mei to Ek Ashara se Beemaar tha Mei Madarsha kab Aaya hu Aur Jab Mei Madarsha nahi Aaya to ye Sab Tum Lougo ne Padh keise liya…?
Tamaam Talba ne Badi Khud-Aytemaadi se Arz kiya Nahi Hazrat Ye Aap kya Farma rahe he Hum Sab lougo ne Ek Ashara kaamil Inhi Kitaabo me Isi Takht ke Niche Beith kar Aap se hi Padha he, Tamaam Talba ki Taraf Hazrat Shahe Aalam Rahmatullah Alay ne Ek Nazar Daali Har Ek ki Aankho me Sadaaqat wa Khud-Aytemaadi ki Kirne Jhalak rahi thi, Deel me Socha ye Poori Jama’at Kha-ma-kha Galat Bayan nahi Kar Sakti he Isme Zarur koi Ramz(Raaz) he Yahi Sochte hue Gardan Jhuka kar Muraqib( Yani Sufiya E Kiraam Ya Auliya Kiraam Gardan Jhuka kar Aankhe Bandh kar ke Dil ki Taraf Tawajjo Karte he Jis se Saare Parde Uth Jaate he Aur Haqiqat Nazar Aati he) ho gaye, Chand Lamhaat ke liye Duniya wa Maafiha se Bilqul Be-Niyaaz ho kar Khamosh ho rahe Talba Heirat bane hue he Aakhir Aaj Baat he to kya he.. Talba ki Nigaahe Hazrat Shahe Aalam Rahmatullah Alay ke Chehra E Zeiba(Roushan Chehra) par Jami hui thi, Talba ne deikha Yak Beik Aapke Chehre ki Rangat Mutageiyyar(Badal gaya) hui Peishani par Paseena Chamakne laga, Neez Aapne Gardan ko Muraqib se Uthaya Aur Fhurti(Jaldi) se Takht ke Niche Utar Aaye Aur Ajeeb Waraftagi(Showq) ke Aalam me Takht ko Bousa diya, Aankho ke Peiymaane Chhalakne lage, Kaafi Deir Tak Apne Jazbaat par Qaabu Na Pa Sake Dast Basta(Hath Jod kar) Mo’wadabana Andaaz me Takht ke Roobaru Khade rahe, Jab Kuchh Jazbaat par Qaabu Paya to Ashkbaar Aankhe Khuli Aur Irshad Farmaya
“فداك امي و ابي يارسول الله صلي الله عليه و سلم يا جدى يا سيدي”
(Ay ALLAH TA’ALA ke RASOOL Sallallaho Alayhe Wasallam Aap par Meire Maa-Baap Qurbaan Ay Hamaare Aaqa Hamaare Sardaar…)
Aap ne Wa’ada Farma diya lekin Afsos Sada Afsos Ye(Ya’ni Hazrat Shahe Aalam) Aap ka Pala Huwa Aapka Naam Leiva Gulaam Aapke Deedaar ki Ne’amat Uzmaa(Badi) se Mehrum raha, Talba’a ne Sab kuchh Apne Kaano se Aapki Zubaane Mubaarak se Nikle hue Alfaaz Soon liye the, Baat ki Gehraayi ko Nahi Pahonch sake the, Saari Jama’at Aapki Beqaraari ko deikh kar Khud bhi Bechein ho kar Aapke Qadmo par gir pade, Girya Wa Zaari karte hue Arz karne lage Ya Saiyyadi Ya Ustaazi Ya Murshidi Aapki Aaah wa Zaari Aapki Is Beqaraari se Hum Lougo ke Kaleije bhi Moonh ko Aagaye hei Aakhir ye kya Raaz hei ye Beqaraari kyu he, Kis Baat ki Parda-daari hei.. Boliye na.. Aakhir Aap Khamosh kyu hei.. Jab Aap Madarsha Tashreef nahi Laaye Aap Beemaar the to Aakhir wo Hame Dars deine wali Zaat kon thi… Talba’a (Students) ne Ek Saans me Biso Sawaalaat kar daale.. Aapne Qadmo par Machalte Talba’a ko Badi Shafqat se Dhaaras di Ek Ek ko Utha kar Seene se Lagaya Aur Har Ek ki Aankho Aur Peishani ke Bose liye Goya Badi Mubaarak hei ye Khush Naseeb Aankhe Jinhe Meire HUZOOR AHMAD E MUJTABAA MOHAMMAD MUSATAFA Sallallaho Alayhe Wasallam ka Deedaar Naseeb huwa, Ay Talba’a Tum Loug Apni Khush-Bakhti par Jitna bhi Naaz karo kam hei, Is liye ki Tumhe Madeena ke Taajdaar, ALLAH TA’ALA ke Aakhri NABI HUZOOR MOHAMMAD RASOOLALLAH Sallallaho Alayhe Wasallam ne Apne Deedaar Wa Dars se Musharraf Wa Sarfaraaz Farmaya he..
Ek Saahab ki Zabaan se Nikla Subhan Allah.. kya wo SARWARE KOUNEIN, TAAJDAAREIN Sallallaho Alayhe Wasallam the….?? Jinse Hum Lougo ko Dars Naseeb huwa… Waaqei Hum Loug kitne Bade Muqaddar ke Sikandar he.. Marhaba Aafree Sadaa-Aafree Humaari Khubi Qismat par,
Dusra Taalibe Ilm Boula Kitni Mushaabahat hei Saiyyadi wa Ustaazi ko Dono Jahaan ke AAQA WA MOULA Sallallaho Alayhe Wasallam ke Saath Wahi Naqsha Wahi Chehre ki Tabani Wahi Andaaz Wahi Wa Barkhwaast ka Tariqa Kisi Baat me bhi to Farq nahi Aur ho bhi to kyu ho Aakhir me he to Unhi ki Aaal E Paak, Abhi tak to Buzurgo se Soona tha ki Saiyyadi Ustaazi Hum Shabi E Rasool Sallallaho Alayhe Wasallam he, Ab Ayni Mushaaheda ho gaya..
روحي لك الفدايا استاذي…
(Ay Ustaaz Aapke Liye Meiri Rooh Haazir he…)
(Tazkiratul Saadaat, Safa-43, 44)
(Hayaate Hazrat Shaahe Aalam, Safa-70,71, 72, 73)
Subhan Allah…
In sha Allah Aap Hazraat Jab bhi Ahmedabad Jaaye to Zarur Is Takht ki Ziyaarat kare…
Alhamdolillah Is Faqeer ko Is Mubaarak Takht ki Ziyaarat Nasib hui he…
ALLAH TA’ALA Mujhe Aur Aapko Neik, Mubaarak Aur Muqaddas Jagaho par Jaane ki Toufiq Ataa Farmaaye…
Aameen YA RABBUL AALAMIN..
#Seerat #Sirat #Nooranisafar #Noranisafar #Waqiya #Wakiya #Noorulislam #islam #Auliya #Waliallah #Auliyaekiram #ShaheAalam #Shahe-Alam #Auliyaegujarat #Sirajuddin