Saiyyadna Qutbe Aalam Rahmatullah Alay

21271223_1392282960890711_4460831422177906259_n

>➤ Hazrat Saiyyad Abu Mohammad Burhaanuddin Abdullah Al Mashoor Qutbe Aalam Bukhari Rahmatullah Alay :-

Hazrat Saiyyadna Qutbe Aalam Rahmatullah Alay ka Mazaare Mubaarak Vatva, Ahmedabad Gujarat me he..
Hazrat Saiyyadna Qutbe Aalam Rahmatullah Alay ke Roza E Mubaarak ke Paas Ek Bandh Kamre me Ajeeb Karaamat Moujud he..


Waha par Patther-numa Ek Ajibo Garib Chiz hei Jiska Baaz Hissa Patther, Baaz Kankar, Baaz Loha, Baaz Lakdi he Jabki Kuchh Hissa woh hei Jise Aaj tak Pehchaana nahi ja Saka, Is Jimn me Hazrate Saiyyadna Qutbe Aalam Rahmatullah Alay ki ye Karaamat Mashoor he ki Aap Rahmatullah Alay Tahajjud ke liye uthe Aur Tahaarat ki Garaz se Apne Hujr E Mubaarak se Bahar Tashreef laaye Andhere me Aapka Peir Mubaarak kisi Chiz se Takraya, Aapne Jhuk kar Usko Tatolte hue Farmaya “Patther hei, Kankar hei, Lakdi hei, Loha hei Na Jaane Kya he…??”
Jaha Jaha Aap Rahmatullah Alay ka Daste Mubaarak Lagte hue jo jo Alfaaz Jabaan E Mubaarak se Nikle Woh Chiz Wohi Banti gayi Aur Jaha Haath Mubaarak Rakhte hue Farmaya ‘Na jaane kya he..??’ Woh Hissa Aysi Chiz Ban gaya ki Sciencetish Tajarbaat karne ke Ba-Wajud bhi Us Hisse ka koi Naam Na de sake,
Loug Apni Tamanna Jehan me rakhte hue Dono Hatho se Us Patther-numa Chiz ko Uthaate he, Kaha jata he Agar Tamanna Poori hone waali ho to woh Chiz Aasaani se Upar tak Uth Jati he Warna nahi.
(Qutbe Aalam ki Ajeeb Karaamat, Safa-06, 07)

Alhamdolillah 11, Zul Hijjah ko Ye Faqeer ko Mazaare Aqdas ki Ziyaarat Naseeb hui Aur Us Ajeeb Patther ki bhi Ziyaarat Nasib hui, Jise Meine Apni Aankho se deikha hei Aur Haath Lagaa kar Mehsus bhi kiya he, Waqei me Ajeeb Patther he..

Is Video me bhi wo Patther Ki Ziyaarat Karaayi Gayi he Agar Chaaho to Deikh Sakte ho…
https://m.youtube.com/watch?v=8JDvnMYRj04


#Seerat #Sirat #Nooranisafar #Noranisafar #Waqiya #Wakiya #Noorulislam #islam #Auliya #Waliallah #Auliyaekiram #Auliyaegujarat #QutbeAalam #Qutbealam

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *