Saiyyad Shah Wajiuddin Alvi Gujarati Rahmatullah Alay

shah-vajihuddin

>> Aapka Isme Giraami(Naam) ‘Ahmad’ Aur Laqab ‘Wajiuddin’ he Aur Isi Laqab se Aap Mashoor hue Aur Ulma wa Mashaaikh bhi Aap ko Isi Laqab se Jante he Aur Pehchante he.
(Khulaasatul Wajih, Safa-1)

>> Wilaadat : Aap ki Wilaadat 22 Moharram ul Haraam, 911 Hijri ko Mohammadabaad(Abhi ka Champaner)me Subah Saadiq ke Waqt hui,

>> Aapka Nasab Saiyyadna Imaam E Hussain RadiAllaho Ta’ala Anho se hota huwa 25 Waasto se Hazrate Ali RadiAllaho Ta’ala Anho tak Ja Milta he.
(Tazkiratul Wajih)

>➤ Alvi Likhne ki wajah :-
Aap Hussaini Saiyyad he Magar Aap Alvi se Mashoor he, Iski Wajah ye he ki Ahle Arab Aulaade Faatema RadiAllaho Ta’ala Anha ko Alvi kehte the Ya’ni ki Hazrate Ali RadiAllaho Ta’ala Anho ki Aulaad, Baad me Mukhtilaf(Alag Alag) Maqaamaat(Jagaho) ke Lougo ne Apne Apne Ilaaqo Aur Mulko me Iski Makhshus Istelaah Banaali, Chunanche Yaman, Juziyaa E Arab ke Janubi Ilaaqo Aur Saudi Arab me ‘Imaam Saiyyad Alvi ki Aulaad’ ko Alvi kehte he.
(Al Majmaul Aalami la Nisaab Aaale Al Beit)

Aur Ahle Ajam Apni Istelaah me Alvi se Hazrat Ali RadiAllaho Ta’ala Anho ki wo Aulaad Muraad leite he Jo Hazrate Faatema RadiAllaho Ta’ala Anha ke Alawa Dusri Azwaaj(Zovja/Biwi) se ho,

Fathul Qadir me he ki
Alvi woh Hazraat he Jo Nasab Aur Taqwa ke Lihaaz se Sahih Ma’ano me Hazrat Saiyyadna Ali Murtaza RadiAllaho Ta’ala Anho ki Aulaad ho, Na ki Mahaz Alviyat ka Zubaani Da’wa ho Aur Kirdaar wa Amal Alviyat ki Shaan Na ho Aur Fuqhaa E Kiraam ne Is Laqab ko Hazrate Faatema Zohra RadiAllaho Ta’ala Anha ki Aulaad ke liye Khaash kiya he Na ki Hazrat Ali RadiAllaho Ta’ala Anho ki Digar Azwaaj(Zovja/Biwi) ke liye.
(Fathul Qadir, Jild-3, Safa-283)

Iske Bar-Aksh Fuqhaa E Kiraam Zyada tar ‘Alvi’ se Hazrat Saiyyada Faatema RadiAllaho Ta’ala Anha ki Haqiqi Aulaad Muraad leite he Jo Sahih ul Nasab ke Sath Taqwa wa Tahaarat me bhi Hazrate Faatema RadiAllaho Ta’ala Anha ke Mazhar ho Aur Sahih Ma’ano me Bani Faatema kehlaane ke Mustahiq ho,
Isi Istelaah ke Muta’abiq Hazrat Saiyyad Shah Wajiuddin ke Khandaan ko ‘Alvi’ Kaha Jata he,
(Hazrat Shah Wajiuddin Shakhshiyat Aur Kaarnaame)

>➤ Peishangoi :-
Wilaadat ke Qabl(Pehle) hi Aap ke Buzurgo ne Aapke Baare me Peishangoi Farmaayi thi, Chunanche Aapki Waalida Maajida(Maa) ko Unke Dada Hazrat Moulana Mahmud Saahab Rahmatullah Alay Kabhi Kabhi Dars ke Waqt Apni Goud me Bithate Aur Farmaate ki Is Ladki ke Shikam se Ek Aalim e Kabir(Bada Aalim) Peida hoga Aur Usi Muqaddas Khatun ke Shikam se Hazrat Shah Wajiuddin Peida hue,


>➤ Nihaayat Ilm :-
Bachpan se hi Aapki Tabiyat Ilm ki Taraf Maail thi, Chunanche Aapne Kam-suni me Quraane Majeed Hifz kar liya Baadme Duniya ki Taraf Mutawajje hue Aur Asaatiza(Ustaado) Waqt se Poore Showq Aur Lagan ke Sath Ilm me Mashruf ho gaye, Is Tarah Sirf 6 Asaatiza se Jumla Ulum Murwajja me Kaamil Dastgaah Haasil ki,

Is Tarah Arsha Daraaz Tak Aap Mukhtilaf(Alag Alag) Ulum Wa Fanno ki Tahsil me Mashgool rahe Yaha Tak ki Beshumaar Ulum Wa Fanno me Kamil Dastgaah Aur Ubur Haasil kar liya Aur Ilm wa Hikmat ki Ja’amiyat me Us Waqt Ulma e Hind me koi Bhi Aap ka Hamsar Na tha Aur Bade Bade Isaatine Ilm ne Aapke Fazl Wa Kamaal ka Loha Tasleem kiya,

Bahot se Buzurgaane Deen ne Aapke Ilm ki Ta’arif Bayaan ki he Unme se Kuchh Yaha Bayaan karta hu

Khwaja Nizaam Ahmad Bakhshi Jo Hazrat Shah Wajiuddin ke Mu’aashre Aur Apne Waqt ke Mashoor Mu’arikh Guzre he wo Tabqaatul Kubraa me likhte he
Hazrat Shah Wajiuddin Gujarati Har Waqt Dars diya karte, Ulume Naqali wa Aqali se Khub Aagaah the, Aapki Tasaanif Nihaayat Umda he Aur Aksar Ilmi Kitaabo par Aapne Sharah wa Hawaashi likhe he,
(Tabqaatul Kubraa(Urdu), Jild-2, Safa-473)

Allama Abdul Baaqi likhte he
Hindustan ke Aksar Ulma Hazrat Shah Wajiuddin Alvi se Shagirdi(Students) ka Ta’aluq rakhte he, Us Zamaane ke Fazla(Ulma) me Koi Ja’amiyat me Unki Hamsari Nahi kar Sakta,
(Ma’asare Raheemi, Jild-3, Safa-13)

Mulla Saadiq Likhte he
Shaikh Wajiuddin Apne Zamaane ke Ulma E Kubaar(Bahot Bade Ulma) he, Saahibe Taqwa Aur Bade Muhtaat(Wo Shaksh jo Har Ma’amle me Ahtiyaat Barte), Shariyat ke Raaste par Mazbuti se Qaayam rehne waale the, Hameisha Dars me Mashgool rehte,
(Tabqaat Shah Jahaani(Urdu), Jild-1, Safa-312)
(Hazrat Shah Wajiuddin Shakhshiyat Aur Kaarnaame)

>➤ Zouqe Muta’ala(Study) :-
Aapke Zouqe Muta’ala ke Ta’aluq se Shaikh Abdul Qaadir Ek Intehaai Heirat Angez Waaqiya Bayaan karte he ki
Hazrat Shah Wajiuddin Alvi Rahmatullah Alay ke Nikaah ki Taqrib(Function) thi Aur Aap ko Dulha Bana kar Baratiyo ke Majma E Kaseer(Zyada) ke Hamraah Aapki Zovja ki Doulat-Khana par le Jaya gaya Aur Hindustan me Qadim Zamaane se ye Raaij he ki Dulha Aur Dulhan ko Ek Aalishan Aur Aarasta Takht par Bithaya jata he Fir Rishtedaar, Baap-Dada se Chali Aayi Kuchh Rasmo ko Adaa karte he, Thik Usi Waqt Aap Kahi Chale jate he Aur Loug Un Rashmo ki Adaaygi ke liye Aap ko Talaas karte he Magar Talaas ke Ba-wajud Aap kahi Nahi Mile, Bil Aakhir Sab Aap ke Waalide Giraami ke Paas Aaye Aur Puchha ki Dulha kaha he…?? Kaafi Deir se Justaju Ja’ari he Magar Kahi Ataa-Pataa nahi he,
Aapke Waalide Giraami ne Farmaya ki Meira Farzand Ilm ka Itna Shokin he ki Bayaan se Baahar he, Mei Poore Yaqin ke Sath Kehta hu ki Madarsha ke Alawa wo kahi Nahi Ja Sakte, Tum Unke Madarshe me Jaao, In sha Allah Unhe Wahi Paaoge, Kuchh Loug Aapke Madarshe me Jate he to Deikhte he ki Aap Intehaai ke Sath Kitaabo ka Muta’ala(Study) kar rahe he.
(Gulzaare Abrar(Urdu), Safa-408, 409)


>➤ Darsh Wa Ta’alim :-
Arsha Daraaz Tak Ulum wa Fanno ki Tahsil(Mutal’a/Study) ke Baad Aapne Dars wa Ta’alim ki Anjuman Aaarasta ki Aur Ek Darshgaah ki Buniyaad rakhi Jiska Naam “Madarsha E Alviya” rakha,
Madarsha ki Tarbiyat Nihaayat Umda thi, Ta’alim ke Sath Aap Talba’a(Students) ki Akhlaaqi, Deeni Aur Roohaani, Tarbiyat Farmaate, Din me Tafseer, Hadees, Fiqaah, Usul Jumla Ulume Naqaliya Wa Aqaliya ki Ta’alim hoti,
In Tamaam Khubiyo ke Baais Har Taraf Aap ki Darshgaah ko Shohrat mil gayi Aur Door-Daraaz se Beshumaar Ilm ke Pyaase Aur Talba’a(Students) Aakar Aapki Darshgaahe Feiz se Khub Feizyaab Aur Seiraab hue Aur Ilm Wa Fazl ke Aaftaab Wa Mahtaab Ban kar Nikle,


>➤ Baargaahe RISAALAT ﷺ me Aapki Darshgaah ki Azmat :-
Aakhir Umr me Aapka Irada huwa ki Darsh wa Ta’alim ka Silsila Tark(Chhod) kardu Aur Madarshe ki Idaarat wa Nizaamat Sambhal lu, Magar HUZOOR SARKAARE AQDAS Sallallaho Alayhe Wasallam ne Geibi Ishara Farmaya ki Hum Aksar Tumhaare Darsh Soon ne ki Khatir Tashreef laate he Lihaza Isko Tark na karo, Is Musda ko Soon kar Aapne Aakhri Umr Tak Dars Ja’ari rakha Aur Madarsha ka Naam “Darse Mohammadi ﷺ” rakha, Is Tarah Kaamil 64 Saal tak Aapne Darsh Wa Ta’alim ka Silsila Ja’ari rakha.
(Rozatul Auwliya(Bijapur), Safa-110)
(Hazrat Shah Wajiuddin Shakhshiyat Aur Kaarnaame)

Subhan Allah…

>➤ Tasannif Wa Ta’lif :-
Hazrat Shah Wajiuddin Rahmatullah Alay ne Dars wa Ta’alim ke Sath Tasannif wa Ta’lif ke Meidaan me bhi Numaya Khidmaad Anjaam di he, Aur Aapke Qalam ne Tasannif ka Anmol Zakhira Chhoda he, Chunki Us Dour me Sharah wa Hawaashi likhne ka Zyada Riwaaj tha Is liye Aapki Beistar Tasannif Sharah wa Hawaashi hi ki Shakl me he Aur Baaz Kitaabe Ek Unwaan par ya kisi Quraani Aayat ki Tashreeh me he,

>➤ Wafaat :-
Aap 30 Moharram ul Haraam, 998 Hijri Baroz Itwaar Subah Saadiq ke Waqt Is Faani Duniya se Ruksat hue,

Jis Saal Aap ka Wisaal hone wala tha, Us Saal Aapki Masjid me Houz ke Paani ka Rang Badal gaya, Lougo ne Pani Nikaalna Chaha Magar Houz ke Na’al-Daan me Ek Lakdi Fhans gayi thi jo Kisi Tarah Na Nikal Saki, Ittefaaqan Hazrat Shah Wajiuddin Rahmatullah Alay Houz par Aaye Aur Apne Daste(Hath) Mubaarak me Paani le kar Gour se deikha fir Use Houz me Undel diya, Isi Tarah 3 Martaba Aapne kiya, ALLAH TA’ALA ne Aapki Nigaah ki Barkat se Paani ko Aabe Hayaat ki Tarah kar diya, Kand-Zahan(Jo Bol Nahi Sakta) Aur Jinki Zabaan me Luknat(Haklana) hoti he Ayse Lougo ke liye ye Paani Bahot Qimti he Aur Dusri Haajato ke liye bhi Loug Is Paani ko le Jaate he Aur Apni Khush Aqeedgi se Iske Fawaaid Haasil karte he Aur Ab tak ye Feiz Jaari wa Saari he.
(Khulaasatul Wajih, Safa-2)

Jis Tarah Aapki Hayaate Mubaarak me Aapka Chasma E Feiz Jaari tha, Usi Tarah Aapke Wisaal ke Baad bhi Mazaar Mubaarak se Aap ka Feizaan Abr Karam Ban kar Poore Joush wa Kharosh ke Sath Aane waalo par Barasta he Aur Zaaireen Isme Seiraab hote he Aur Apni Moonh Maangi Muraad Paate he, Bas Shart ye he ki Aane wala Khush-Aqeedgi se Aaye.
(Hazrat Shah Wajiuddin Shakhshiyat Aur Kaarnaame)

Alhamdolillah….
11, Zul Hijjah ko Mujh Faqeer ko Hazrat Shah Wajiuddin Alvi Gujarati Rahmatullah Alay ke Roza E Mubaarak ki Ziyaarat Naseeb hui..
Aap Hazraat bhi Jab Ahmedabad Jaaye to Zarur Ziyaarat kare..

ALLAH TA’ALA Mujhe Aur Aapko Neik Mubaarak Aur Muqaddas Jagaho par Jaane ki Toufiq Ataa Farmaaye…
Aameen YA RABBUL AALAMIN..


#Seerat #Waqiya #Wakiya #Noorulislam #islam #Auliya #Waliallah #Auliyaekiram #Auliyaegujarat #Shahwajihuddin #Wajihuddin #Alvi #Gujarati

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *