>➤ Sabse Pehle Noore MOHAMMADI ﷺ ko Peida kiya Gaya :-
Quraane Muqaddas me ALLAH SUBHAANAHU WA TA’ALA Irshaad Farmata he
“Beshak Tumhaare Paas ALLAH ki Taraf se Ek Noor Aaya Aur Roushan Kitaab”
(Surah Al Maidah, Aayat-15)
ALLAH TA’ALA ne Is Aayate Kareema me Apni Taraf se 2 Chizo ke Aane ka Zikr Farmaya he Jisme Pehle Noor ka Aur Baad me Kitaab ka, Kitaab se Muraad Quraane Kareem he Aur Noor se Muraad HUZOOR MOHAMMAD MUSTAFA Sallallaho Alayhe Wasallam he..
Hazrat Jabir RadiAllaho Ta’ala Anho se Riwaayat he ki Maine Arz kiya YA RASOOLALLAH ﷺ Meire Maa-Baap Aap par Qurbaan.. Mujhe ye Khabar dijiye ki Tamaam Ishya’a(Chizo) se Pehle ALLAH TA’ALA ne Kise Takhleeq(Peida) kiya he…?
HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ne Irshad Farmaya Ay Jaabir Beishak ALLAH TA’ALA ne Tamaam Ishya’a(Chizo) se pehle Apne Noor(ke Faiz) se Teire NABI ke Noor ko Peida kiya, Fir Woh Noor ALLAH TA’ALA ki Qudrat se jaha bhi Use Manzur tha Seir karta raha, Us Waqt Na Loh thi, Na Qalam Aur Na Jannat Aur Dozakh Aur Na Farishte Aur Na Aasmaan Aur Na Zameen Aur Na Suraj Aur Na Chand Aur Na Jinn Aur Na Insaan.
(Al Mawaahibul Laduniya, Jild-1, Safa-71, 72)
(Sharah Zarqaani, Jild-1, Safa-27)
Sabse Pehle ALLAH TA’ALA ne Apne Mehboob HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ke Noor ko Peida Farmaya Aur Isi Noor se Sare Aalam ko Wajud me laya gaya.
>➤ HUZOOR NABI E REHMAT ﷺ Kab se NABI he..?? :-
Hazrat Abu Hureira RadiAllaho Ta’ala Anho se Riwaayat he ki Sahaaba Kiraam RadiAllaho Ta’ala Anhum ne Arz kiya YA RASOOLALLAH Sallallaho Alayhe Wasallam Aapke liye Nabuwwat kab Saabit hui…? HUZOOR NABI E REHMAT Sallallaho Alayhe Wasallam ne Farmaya Jab Hazrat Aadam Alayhis Salaam Rooh Aur Jism ke Darmiyaan the(Ya’ani Unke Jism me Jaan bhi Nahi Aayi thi, Mai Us Waqt bhi NABI Tha).
(Sunaan Tirmizi, Kitaabul Manaaqib, Jild-5, Safa-585)
(Dalaailun Naabuwwat, Safa-48)
Hazrat Arbaaz Bin Saariya RadiAllaho Ta’ala Anho se Riwaayat he ki HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ne Irshad Farmaya Mai ALLAH TA’ALA ke Nazdik Us Waqt Khatimun Nabiyyin tha, Jabki Aadam Alayhis Salaam Abhi tak Apne Khameer me the.
(Mishkaat Shareef, Safa-513)
(Sharah Mawaahib Zarkaani, Safa-39)
Is Hadees E Paak se HUZOOR NABI E AKRAM Sallallaho Alayhe Wasallam ka Tehqiqan Aadam Alayhis Salaam se Qabl(Pehle) NABI hona Saabit Aur Khatimun Nabiyyin ke Mansub par Faiz hona bhi Saabit, Moujud hona bhi Saabit Aur Aapki Haqeeqat Ka Noor hona bhi Saabit, Kyuki Basharo(Insaano) ka Baap Baad me Peida kiya ja raha he Aur Aapki Haqeeqat Pehle hi Moujud wa Mutahaqqaq(Saabit) thi.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis, Safa-609-611)
Subhan Allah…
Pata Chala ki Humaare AAQA Sallallaho Alayhe Wasallam 40 Saal ki Umr Shareef me NABI nahi bane Balki Humaare AAQA Sallallaho Alayhe Wasallam Us Waqt bhi NABI the Jab Hazrat Aadam Alayhis Salaam ke Jism Mubaarak me Rooh bhi Foonki Nahi gayi thi…
>➤ NOORE MOHAMMADI ﷺ Paak Naslo se Muntaqil hota raha :-
Hazrat Ibne Abbas RadiAllaho Ta’ala Anho se Riwaayat he ki NABI E PAAK Sallallaho Alayhe Wasallam ki Rooh KHUDA TA’ALA ki Baargaah me Aadam Alayhis Salaam ki Paidaish se 2000 Saal Pehle Noor thi, Woh Noor Tasbeeh karta tha Aur Farishte bhi Uski Tasbeeh ke Saath Tasbeeh padhte the, Jab ALLAH TA’ALA ne Hazrat Aadam Alayhis Salaam ko Peida Farmaya to Us Noor ko Unki Pust me Rakh diya fir HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ne Farmaaya ALLAH TA’ALA ne Aadam ki Pust me Mujhe Zameen par Utara, Fir Mujhe Nooh Alayhis Salaam ki Pust me Rakha Fir Ibhraahim Alayhis Salaam ki Pust me rakha, Fir ALLAH TA’ALA Mujhe Shareef Pusto se Paak Rehmo me Muntaqil(Ek Jagah se Dusri Jagah) karta raha, Yaha Tak ki Meire Waalidein se Mujhe (Duniya me) Zahir kiya, Jinhone Kabhi Bura Feil na kiya.
(Al Shifaa’a Shareef, Jild-1, Safa-83)
Hazrat Ka’ab Bin Ahbaar RadiAllaho Ta’ala Anho se Riwaayat he ki Jab ALLAH TA’ALA ne HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ko Peida Karne ka Irada Farmaya to Hazrat Jibrail Alayhis Salam ko Hukm diya, Unhone NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ki Qabr Shareef ki Jagah se Safeid Mitti ki Ek Mitti li, Fir Use Maa-Tasnim(Jannat ki Nahar Tasnim ke Pani) se Gundha gaya, Fir Use Jannat ki Nehro me Duboya gaya Aur Aasmano me Use Firaya gaya, Pas Farishto ne Hazrat Aadam Alayhis Salaam ko Pehchan ne se Pehle HUZOOR MOHAMMAD Sallallaho Alayhe Wasallam ko Pehchan liya,
Fir NOOR E MOHAMMADI Sallallaho Alayhe Wasallam ko Aadam Alayhis Salaam ki Peishani me rakha gaya Jiski Wajah se Aapki Peishani Jagmagati Aur Aap ko Bataya gaya Ay Aadam.. Ye Tumhari Aulaad se honge Aur Tamaam RASOOLO ke Sardar honge, Pas Jab Hazrate Hawwa RadiAllaho Ta’ala Anha ke Peit me Shees Alayhis Salaam Aaye to Woh Noor Aadam Alayhis Salaam ki Peishani se Muntaqil ho kar Hazrate Hawwa ke Paas Aa gaya, Halanki Hazrate Hawwa ke Batane Mubaarak se Do-Do(2-2) Bache Har Hamal se Peida ho rahe the Lekin (HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ke Noor ko Taqsim hone se Bachane ke liye) Sirf Shees Alayhis Salaam Akele Peida huwe, Isme HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ki Ummat ko Madde Nazar rakha gaya, Fir Aap ka Noor Hameisha se Paak Naslo se Paak Naslo ki Taraf Muntaqil hota raha, yaha tak ki Aapki Walida Hazrate Aamena RadiAllaho Ta’ala Anha ne Aapko Hazrat Abdullah Bin Abdul Muttalib se Jana.
(Mirqaat, Baab Fazaail Saiyyadul Mursalin, Jild-11, Safa-44)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-625, 626)
Khyaal rahe ki Paak Naslo se Muntaqil hone ka Matlab ye he ki Aapke Aaaba wa Ajdaad(Baap-Dada) Badkari(Zina-Khori) Aur Kufr se Paak the,
Noor e MOHAMMADI ﷺ ke Zariye se HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ke Tamaam Aaaba Wa Ajdaad(Baap-Dada) Nihaayat Haseen wa Mirja e Khalaaiq(Woh Shaksh jiski Taraf Loug Zyada Ruju’a hote ho) the, Is Noor ki Barkat se Hazrat Aadam Alayhis Salaam Malaaik ke Masjud(Woh Jise Farishte Sajdah kare) bane Aur Isi Noor ke Waseele se Unki Touba Qabool hui, Isi Noor ki Barkat se Hazrat Nooh Alayhis Salaam ki Kashti Tufaan me Garq hone se Bachi, Isi Noor ki Barkat se Hazrat Ibhrahim Alayhis Salaam par Aatishe-Namrud Gulzar(Baag) ho gayi Aur Isi Noor ke Tufail se Ambiya e Saabeqeen Alayhis Salaam par ALLAH TA’ALA ki Inaayat Be-Inteha hui..
Imaam e Aazam Abu Hanifa Noumaan Bin Saabit Taabei RadiAllaho Ta’ala Anho HUZOOR RASOOLE AKRAM Sallallaho Alayhe Wasallam ki Madah(Ta’arif) me yu Farmaate he
اَنْتَ الَّذِیْ لَوْلَاکَ مَا خُلِقَ امْرُئٌ کَلاَّ وَلَا خُلِقَ الْوَریٰ لَوْ لَاکَا
اَنْتَ الَّذِیْ مِنْ نُّوْرِکَ لِلْبَدْرِ السَّنَا وَ الشَّمْسُ مُشْرِقَۃٌ بِنُوْرِ بَھَاکَا
اَنْتَ الَّذِیْ لَمَّا تَوَسَّلَ اٰدَمُ مِنْ زَلَّۃٍ بِکَ فَازَ وَ ہُوَ اَبَاکَا
وَبِکَ الْخَلِیْلُ دَعَا فَعَادَتْ نَارُہٗ
Aap ki Woh Muqaddas Zaat he ki Agar Aap Na hote to Hargiz koi Aadmi Peida Na hota Aur Na Koi Makhluq Peida hoti,
Aap Woh he ki Aapke Noor se Chand ko Roshni he Aur Suraj Aap hi ke Noore Zeiba se Chamak raha he,
Aap Woh he ki Jab Aadam Alayhis Salaam ne Lagzish ke Sabab Aapka Waseela Pakda to Woh Kaamyaab ho gaye Halanki Woh Aapke Baap he,
Aap hi ke Waseele se Ibhrahim Khalil Alayhis Salaam ne Duaa Mangi To Aapke Roshan Noor se Aag Un par Thandi ho gayi Aur Bujh gayi..
(Sallallaho Alayhe Wasallam).
(Seerate RASOOL E ARABI ﷺ, Safa-43,44)
Subhan Allah…
#Seerat #Sirat #Nooranisafar #Noranisafar #Waqiya #Wakiya #Noorulislam #islam #SeeratunNabi #SeerateMustafa #Muhammad #Huzoor #Nabi #Noore-Muhammadi #Huzoor-kab-se-Nabi-he #sabsepehlekyabanayagaya #Noor #Huzoorkanoor