Quraish Aur Hashim

>➤ Quraish :-
Muslim Shareef ki Riwaayat he ki HUZOOR REHMATE QOUNEIN Sallallaho Alayhe Wasallam ne Irshaad Farmaaya ki
ALLAH TA’ALA ne Hazate Ismaail Alayhis Salaam ki Awlaad me se ‘Kinaana’ ko Bar-Guzida Banaya Aur ‘Kinaana’ me se ‘Quraish’ ko Chuna Aur ‘Quraish’ me se ‘Bani Haashim’ ko Muntakhab Farmaya Aur ‘Bani Haashim’ me se Mujh ko Chun liya.
(Mishkaat Shareef, Fazaaile Saiyyadul Mursalin ﷺ)

Ye Ek Musallama Haqiqat he ki HUZOORE E ANWAR Sallallaho Alayhe Wasallam ka Khandaan Is Qadr Buland Martaba he ki Koi Bhi Hasab wa Nasab wala Aur Ne’amat wa Buzurgi wala HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ke Misl Nahi he,
(Seerate MUSTAFA ﷺ, (Hazrat Abdul Mustafa Aazmi Rahmatullahe Alay), Safa-51)

HUZOOR NABI E REHMAT Sallallaho Alayhe Wasallam ke Khandaane Nabuwwat me Sabhi Hazraat Apni Guna Go Khususiyaat ki Wajah se Bade Naami-Giraami(Mashoor) he, Magar Chand Hastiya Aysi he Jo Aasmaane Fazlo Kamaal par Chaand-Taare Ban kar Chamke, In Ba Kamaalo me se “Fuhar Bil Maalik” bhi he Inka Laqab “Quraish” he Aur Inki Awlaad Quraishi ya Quraish kehlaati he,
Fuhar Bil Maalik Qureish Is liye Kehlate he ki ‘Qureish’ Ek Samundari Janwar ka Naam he jo Bahot hi Taaqat war hota he, Aur Samundari Janwaro ko Kha Dalta he Ye Tamaam Janwaro par Hameisha Gaalib rehta he Kabhi Maglub(Haar) Nahi hota Chunki ‘Fuhar Bil Maalik’ Apni Shuja’at(Bahaaduri) Aur Khuda-Daad Taaqat ki Bina par Tamaam Qabaaile Arab par Gaalib the Is liye Tamaam Ahle Arab Inko ‘Quraish’ ke Laqab se Pukaarne lage, Chunanche Is Bare me ‘Samrakh Bin Amr Himyari’ ka Sher Bahot Mashoor he ki
“و قریش ھی التی تسکن البحر”
“بھا سمیت قریش قریشا”
Ya’ani Quraish Ek Jaanwar he jo Samundar me Rehta he, Isi ke Naam par Qabila e Quraish Ka Naam ‘Quraish’ rakh diya gaya.
(Zarqaani Alal Mawaahib, Jild-1, Safa-76)

HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ke Waalidein (Maa-Baap) Dono ka Silsila e Nasab ‘Fuhar Bin Maalik’ se Milta he Is liye HUZOOR E AKRAM Sallallaho Alayhe Wasallam Maa-Baap Dono ki Taraf se ‘Quraish’ he.
(Seerate Mustafa Jane Rehmat ﷺ, Jild-1, Safa-403)

>➤ Quraish ke Fazaail :-
Quraish ke Fazaail Wa Manaaqib Hadees me Waazeh Tour par Bayaan kiye gaye he Usme se Chand Fazaail Yaha Peish karte he..

HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam Quraish ke Fazaail Bayaan karte hue Irshaad Farmaate he ki

»» Islami Hukumat ke Waali(Haakim) Quraish he,
»» Quraish Saare Arab ke Sardaar he,
»» Ek Quraish ko Quwwat Do Mardo ke Baraabar he,
»» Jo Quraish ki Zillat Chahe ALLAH TA’ALA Use Zaleel kare,
»» Ay Lougo Quraish par Sabqat(Badhayi) Na Karo ki Halaak ho Jaaoge, Dusri Riwaayat me he ki Qureish par Sabqat Na karo ki Gumraah ho Jaaoge,
»» Quraish ko Apna Peiro(Peirvi Karne wala) Na Banaao Aur Unki Peirvi Karo, Quraish par Da’waa E Ustaazi Na Rakho Aur Unki Shagirdi Karo ki Quraish me Ek Ameen ki Amaanat Do Ameeno ke Baraabar he,
»» Ay Girohe Insaan Quraish se Mohabbat rakho ki Quraish ka Dost Meira Dost he Aur Quraish ka Dushman Meira Dushman he Aur Beishak ALLAH TA’ALA ne Meiri Qoum ki Mohabbat Meire Deel me Daali ki Un par Kisi Inteqaam(Badle) ki Jaldi Nahi karta Na Unke liye Kisi Ne’amat ko Bahot Samjhu,
»» Quraish ko Woh Ataa huwa Jo Kisi ko Na huwa,
»» ALLAH TA’ALA ne Qureish ko Aysi 7 Baato se Fazilat di Jo Na Unse Pehle Kisi ko Mili Na Unke Baad Kisi ko Ataa hogi,
Ek to ye ki Mai(HUZOOR NABI E KAREEM {ﷺ}) Quraish hu,
Inhi me Khilaafat Aur Ka’aba e Muazzama ki Darbaani(Rakhwali) Aur Haajiyo ka Saqaaya,
Inhe Ashhabe Feel par Nusrat(Jeet) Bakhshi,
Inhone Dus Saal ALLAH TA’ALA ki Ibaadat Tanha ki ke Unke Siwa Rooe Zameen par Kisi Aur Khandaan ke Loug Us Waqt Ibaadat Na Karte the,
Aur ALLAH TA’ALA ne Inme Ek Surah Quraane Azeem ki Utaari ki Isme Sirf Inhi ka Zikr Farmaya Aur Woh Surah “لِاِیۡلٰفِ قُرَیۡش”(Surah Quraish) he.
(Seerate Mustafa Jane Rehmat ﷺ, Jild-1, Safa-411-415)

>➤ Hashim :-
HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ke Pardada “Hashim” Badi Shano Shoukat ke Maalik the, Inka Asli Naam ‘Amr’ tha, Intehaahi Bahaadur, Behad Sakhi Aur Aa’la Darje ke Mehmaan Nawaaz the,
Ek Saal Arab me Bahot Shakht Qahat Pad gaya Aur Loug Dane Dane ko Mohtaaj ho gaye to Yeh Mulke Sham se Khushk Routiya Kharid kar Hajj ke Dino me Makka Pahonche Aur Routiya ka Chura karke Unt ke Ghost ke Shorbe me Sarid Bana kar Tamaam Haajiyo ko Khub Peit Bhar kar Khilaya, Us din se Loug Inko “Hashim” (Routiyo ka Chura Karne wala) Kehne lage,
(Madaarijun Nabuwwat, Jild-2, Safa-08)

Chunki yeh “Abde Manaaf” ke Sab Ladko me Bade Aur Ba-Salaahiyat the Is liye Abde Manaaf ke Baad Ka’aba ke Mutawalli(Trustee) Aur Sajjada-Nasheen hue, Bahot Haseen wa Khubsurat Aur Wajeeh(Khush-Mijaaz) the, Jab Sinne-Sho’ur(Housh Sambhalne ki Umar tak) ko Pahonche to Inki Shadi Madeene me Qabila Khazraj ke Ek Sardaar Amr ki Shahib Jaadi se hui Jinka Naam ‘Salma’ tha, Aur Unke Shahib Jaade ‘Abdul Muttalib’ Madeena hi me Peida hue, Chunki Hashim 25 Saal ki Umr Pa kar Mulke Sham ke Raaste me Ba Makaam ‘Gazaa’ Inteqaal kar gaye, Is liye Abdul Muttalib Madeena hi me Apne Nana ke Ghar Pale Badhe, Aur Jab 7 Ya 8 Saal ke ho gaye to Makka Aa kar Apne Khandaan Walo ke Sath rehne lage.
(Seerate Mustafa Jane Rehmat ﷺ, Jild-1, Safa-403-404)

.

#Seerat #Sirat #Nooranisafar #Noranisafar #Waqiya #Wakiya #Noorulislam #islam #ahle_arab #zinda_dafnana #zamzam #wellofzamzam #abdulmuttalib #ashabefeel #abhraha #ababil #abaabil #quraish #kuresh #hasim #hashim

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *