>➤ Jange Fujjar :-
>> Hurube Fujjar/Jange Fujjar kehne ki Wajah :-
Islaam se Pehle Arabo me Ladaaiyo ka Ek Taweel Silsila Jaari tha, Inhi Ladaaiyo me se Ek Mashoor Ladaai “Jange Fujjar” ke Naam se Mashoor he, Arab ke Loug Zul Qa’dah, Zul Hijja, Muharram Aur Rajjab, In Char Mahino ka Behad Aheteram Karte the Aur In Mahino me Ladaai Karne ko Gunaah Jaante the, Yaha Tak ki Aaam Tour par In Mahino me Loug Talwaro ko Niyaam me rakh deite Aur Nezo ki Barchhiya Utaar leite the, Magar Is ke Bawajud Kabhi Kabhi Kuchh Ayse Hangaami Haalaat Darpeish ho gaye ki Majburan In Mahino me bhi Ladaaiyya Karni Padi To In Ladaaiyo ko Ahle Arab “Hurube Fujjar” (Gunaah ki Ladaaiya) Kehte the, Sabse Aakhri ‘Jange Fujjar’ jo Quraish Aur Qaish ke Qabilo ke Darmiyaan hui.
(Seerate Ibne Hissham, Jild-2, Safa-186)
(Seerate Mustafa ﷺ, Safa-61)
Is Waqt HUZOOR NABI E AKRAM Sallallaho Alayhe Wasallam ki Zaahiri Umre Mubaarak 14 Saal thi Aur Dusre Qoul ke Muta’abiq 20 Saal thi.
(Al Wafa (Urdu), Safa-173)
>➤ Jange Fujjar me HUZOOR ﷺ ki Shirkat :-
HUZOOR E AQDAS ﷺ Is Jang ke Waqt Moujud the, HUZOOR ﷺ Farmaate he ki Maine Apne Chachaao ke Sath Is Jang me Shirkat ki, Maine Unki Taraf se Tir-Andazi ki, Meira Is Jang me Shirkat Na Karna Mujhe Zyada Pasandida tha, Dusre Qoul ke Muta’abiq HUZOOR ﷺ ne Tir-Andazi Nahi ki thi Balki HUZOOR ﷺ Apne Chachaao ko Tir Pakdaate the,
Is Jang ka Sabab ye tha ki Ogaaz ke Bazar me Badr Bin M’ashar Geffari ke liye Ek Jagah Muta’ayyan thi Jaha Woh Beitha karta tha, Woh Is Mehfil me Beith kar Lougo par Fakhr karta tha, Ek Roz Woh is Jagah Peir Feilaaye Beitha tha, Usne Kaha Mai Saare Arab se Muazziz hu, Jo ye Gumaan karta he ki Woh Mujh se Muazziz he Woh Meire Is Pair par Apni Talwar Maar de, Ek Shakhs ne Jhapat kar Uske Peir par Talwaar Maari Aur Uske Ghutne ko Juda kar diya, Dusre Qoul ke Muta’biq Usne Use Sirf Zakhmi kiya tha, Is Wajah se 4 Din tak Lagaatar Jang Hoti rahi, Is Jang me Janaabe Abu Taalib ne bhi Shirkat ki Aur HUZOOR ﷺ Unke Sath the, Jab HUZOOR ﷺ Maidaane Jang me Tashreef le Aate To Banu Hawaazin ko Shikasht(Haar) ho jati Aur Agar Aap Tashreef Na Laate to Banu Kinaana ko Shikasht ho jati, Banu Kinaana ne Kaha Aap Zarur Tashreef laya kare, HUZOOR ﷺ Tashreef le Aate.
(Al Seeratun Nabawiya (Urdu), Jild-1, Safa-128)
>➤ Halful Fuzul me HUZOOR ﷺ ki Shirkat :-
Roz Roz ki Ladaaiyo se Arab ke Sencado Gharaane Barbaad ho gaye the, Har Taraf Bad-Amani Aur Aae Din ki Lutmaar se Mulk ka Amano Amaan Gaarat(Barbaad) ho chuka tha, Koi Shaksh Apni Jaan Wa Maal ko Mahfuz Nahi Samajhta Tha, Na Din ko Chain Na Raat ko Aaram, Is Wahshat-Naak Surate Haal se Tang Aa kar Kuchh Sulah-Pasand Lougo ne Jange Fujjar ke Khaatime ke Baad Islaahi Tehrik Chalaai, Chunanche Banu Haashim, Banu Zahra, Banu Asad Wageira Qabeela e Quraish ke Bade Bade Sardaraan Abdullah Bin Jad’aan ke Makaan par Jama huwe Aur HUZOOR ﷺ ke Chacha Zubair Bin Abdul Muttallib ne ye Tajwish Peish ki ke Moujuda Haalaat ko Sudhaarne ke liye Koi Muaahada(Ahad/Contract) Karna Chahiye, Chunanche Khaandaane Quraish ke Sardaaro ne ‘Baqaae Baaham” ke Usool par “Jiyo Aur Jine do” ke Qism ka EK Muaahada kiya Aur Half(Qasam) Utha kar Ahad kiya ki Hum Loug
1) Mulk se Be-Amani Door Karenge,
2) Musaafiro ki Hifaazat Karenge,
3) Garibo ki Imdaad karte Rahenge,
4) Mazlum ki Himaayat(Tarafdaari) karenge,
5) Kisi Zaalim ya Gaasib(Kisi ke Haqq Maarne wale) ko Makka me Nahi Rehne Deinge.
Is Muaahade me HUZOOR E AQDAS ﷺ bhi Sharik hue Aur Aapko Ye Muaahada Is Qadr Aziz tha ki Aylaane Nabuwwat ke Baad HUZOOR ﷺ Farmaaya karte the ki Is Muaahade se Mujhe Itni Khushi hui ki Agar Is Muaahade ke Badle me Koi Mujhe Surkh(Laal) Rang ke Unt(Camel) bhi Deita to Mujhe Itni Khushi Nahi hoti, Aur Aaj Islaam me bhi Agar Koi Mazlum “یا آل حلف الفضول” kah kar Mujhe Madad ke liye Pukaare to Mai Uski Madad ke liye Taiyyar hu.
Is Taarikhi Muaahade ko “Halful Fuzul” Is liye kehte he ki Quraish ke Is Muaahade se Bahot Pehle Makka me “Qabila e Jarham” ke Sardaaro ke Darmiyaan bhi Aysa hi EK Muaahada huwa tha Aur Chunki Qabila e Jarham ke Woh Loug Jo Is Muaahade ke Muharrik(Jude huwe) the Un sab Lougo ka Naam “Fazl” tha Yaani Fazl Bin Haarish Aur Fazl Bin Wada’aa Aur Fazl Bin Fuzala Is liye Is Muaahade ka Naam “Halful Fuzul” rakh diya gaya, Yaani Un Chand Aadmiyo ka Muaahada Jinke Naam ‘Fazl’ the.
(Seerate Ibne Hissham, Jild-1, Safa-134)
(Seerate Mustafa ﷺ, Safa-61-62)
#Seerat #Sirat #Nooranisafar #Noranisafar #Waqiya #Wakiya #Noorulislam #islam #SeeratunNabi #SeerateMustafa #Muhammad #Huzoor #Nabi #Huzoorkabachpan #Jangefujjar #Jangefuzar #Jang #Halfulfuzul #Halfulfujul