>➤ HUZOOR ﷺ ka Pehla Safar e Shaam :-
Quraish ne Shaam(Mulke Shaam) ki Taraf Tijaarati Qaafela Bheijna ka Ijtemaai Feishla kiya Aur Tijaarat ki Garaz se Bahot Saaman Jama kiya, Abu Taalib bhi Safar ka Saaman Baandhne lage, HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam Muntazir rahe ki Woh Mujhe bhi Sath le jate he ya Nahi, Abu Taalib Mehsus kar gaye Aur Unka Dil Bhar Aaya Kehne lage Kya Tum bhi Jaaoge.. To Chalo Taiyyari karo.. TO HUZOOR ﷺ ke Chacha Aur Fuffiyo ne kaha Abu Taalib Is Umr ke Bacche ko Sath Nahi Le jana Chahiye, Safar ki Aafate Aur Hawaadise Zamana se Bekhouf nahi rehna chahiye, Abu Taalib ne Kaha Mai Tumhe Kabhi Khud se Juda Nahi rakh sakta Tum Meire Sath hi Chaloge, Chunanche Qaafela Rawana huwa Aur Basrah(Iraaq ka Ek Shahar) Ja Pahoncha,
(Dalaailun Nabuwwat (Abu Noyam Urdu), Safa-149,150)
HUZOORE AQDAS Sallallaho Alayhe Wasallam ne Aylaane Nabuwwat se Pehle 3 Baar Tijaarati Safar Farmaaya, 2 Martaba Mulke Shaam gaye Aur 1 Baar Yaman Tashreef le gaye, Ye Mulke Shaam ka Pehla Safar he.
(Seerate Mustafa ﷺ, Safa-60)
Is Safar ke Waqt HUZOOR ﷺ ki Zaahiri Umre Mubaarak 12 Saal thi.
(Al Mawaahibul Laduniya (Urdu), Jild-1, Safa-120)
>> Buheira Raahib ka Mahemaan Nawaazi karna :-
Buheira Raahib(Isaai Paadri) ne HUZOORE AQDAS Sallallaho Alayhe Wasallam me Nabi e Aakhiruz Zamaan ki Un Alaamato Aur Siffato ko Deikha Aur Pehchana jo Toureit, Injeel Aur Digar Aasmaani Kitaabo me Usne Padhi thi, Buheira Raahib Nasaara ke Ahbaar(Isaai Ulma) me se he, Parhezgaari ki Siffat me Mumtaaz tha, Basrah ke Qareeb EK Gaanv me Ek Girjaa(Ibaadat-Gaah) tha Jisme Woh Nabi e Aakhiruz Zamaa ke Deedar ke Intezaar me Arsa Daraaz se Thehra huwa tha Aur Umr Guzaar raha tha, Koi Jab Quraish ka Qaafela Is Raah se Guzarta to Woh Girjaa se Nikal kar Qaafela me Aata Aur HUZOOR E AKRAM ﷺ ko Maalum Nishaniya ki Bina par Talaash karta, Jab Unme Woh HUZOOR ﷺ ko Na pata to Waapas Girjaa me chala Jata.
(Madaarijun Nabuwwat (Urdu), Jild-2, Safa-43)
Jab Quraish ka Qaafela Aaya to Buheira Apne Girjaa ki Chhat par tha, Usne Is Qaafela me HUZOOR ﷺ ko Aate huwe deikha, Saare Qaafela me Sirf HUZOOR ﷺ par Baadal Saaya-figan(Saaya kiye) the, Jab Qaafela Ek Darakht(Peid) ke Niche Utra to Usne Us Baadal ko deikha Woh Darakht par Saaya-figan tha, Darakht ki Shaakhe HUZOOR ﷺ par Jhuk gayi thi, Kaarwa ke Dusre Loug HUZOOR ﷺ se Pehle Is Darakht ke Saaya ke Niche Pahonch chuke the, Jab HUZOOR ﷺ Waha Tashreef Farma ho gaye to Darakht Ka Saaya Khud bakhud Un par Jhuk gaya, Fir Buheira ne Us Qaafele ki Taraf ye Paigaam bheija Ay Giroh e Quraish Maine Tumhaare liye Khana Taiyyar kiya he Meiri Khwaahish he ki Tum Saare, Tumhaare Chhote, Bade, Tumhaare Gulaam Is Khaane me Shirkat kare, Quraish me se Ek Shakhsh ne kaha Ay Buheira Aaj Tumhaari Ajeeb Shan Zaahir ho rahi he, Hum Pehle bhi is Raaste se Guzarte rehte the, Tum Pehle to Is Tarah Humaare liye Khana Taiyyar Nahi karte the, Aaj Tumhaari Niraali Kefiyat he.
Buheira ne kaha Tune Sach kaha he, Haqiqat is Tarah he Jis tarah Tu Kehta he, Lekin Tum Mehmaan ho, Mai Chahta hu ki Tumhaari Izzat-Afzaai karu, Tumhaare liye Khana Pakaau Jise Tum Sab Khaao, Saare Quraish Uske Paas Jama ho gaye, Lekin HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam Darakht ke Niche hi Thehar gaye the, Jab Buheira ne Quraish ke In Afraad(Lougo) ko deikha to Use Inme se Kisi me bhi Nabuwwat ki Woh Alaamat Nazar Nahi Aayi Jo Uske Paas Marqum(Likhi hui) thi, Na kisi ke Sarr par Baadal Saaya-figan tha, Usne Baadal ko Deikha Woh HUZOOR ﷺ par Saaya-figan tha, Usne kaha Ay Qoume Quraish Tum me se Koi Meire Khane se Pichhe to Nahi Rah gaya, Quraish ne kaha Hum me se Koi bhi Tumhaare Khaane se Pichhe Nahi raha, Saare Afraad Aa gaye he, Siwaay Us Naw-Jawaan ke Jo Hum sab se Kam-Umr he, Buheira ne Kaha Is Tarah Na karo, Use bhi Bulaao, Woh bhi Tumhaare Sath Khane me Shirkat kare, Ye Kitni Buri Baat he ki Tum Sab to Khaane me Shirkat karne ke liye Aa gaye ho, Magar Ek Shakhs Pichhe rah gaya he, Meira Khyaal he ki Uska Ta’aluq Tumhaare Sath hi he, Quraishe Makka ne Kaha Uska Nasab Paak Aur Hum Sab se Umda he, Woh Is Shaksh(Abu Taalib) ka Bhatija he, Woh Abdul Muttalib ki Aulaad me se he, HUZOOR ﷺ ke Chachaa Haaris Bin Abdul Muttalib Jaldi se Uth gaye Aur HUZOOR ﷺ ko le Aaye Aur Digar Afraad ke Sath Bitha diya.
(Al Seeratun Nabawiyya (Urdu), Jild-1, Safa-121)
Ye Waaqiya Mukhtalif Alfaaz ke Sath Digar Kitaabo me Naql kiya gaya he,
(Dalaailun Nabuwwat (Abu Noyam, Urdu), Safa-150,151)
(Al Mawaahibul Laduniya (Urdu), Jild-1, Safa-120)
(Al Khasaaisul Kubra (Urdu), Jild-1, Safa-170,171)
(Madaarijun Nabuwwat (Urdu), Jild-2, Safa-43)
(Al Wafaa Bi Ahwaalil Mustafa ﷺ (Urdu), Safa-168, 169)
>> Buheira Raahib ki HUZOOR ﷺ se Mulaaqaat :-
Jab HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alaye Wasallam Darakht ke Saaya se Nikal kar Buheira ke Paas ke Girjaa ki Taraf Ja rahe the To Us Waqt me bhi Baadal HUZOOR ﷺ ke Sare Aqdas par Saaya-figan (Saaya kiye) tha, Jab Buheira ne Ye Manzar deikha to Heeiraan hote huwe HUZOOR ﷺ ko Bagour Deikhne laga Aur Use Apni Kitaab me Moujud Sifaat HUZOOR ﷺ me Nazar Aane lagi, Jab Qoume Quraish Khaane se Faarig ho gayi aur Jaane lagi to Buheira HUZOOR ﷺ ke Paas Aaya, Usne Arz ki Ay Farzand Mai Aapko ‘Laat wa Uzza'(Butto ke Naam) ki Qasam de kar Chand Baate Puchhunga Aap Mujhe Unka Jawaab dijiye (Buheira ne Butto ka Naam liya ki Quraish Unki Ibaadat karte the Aur Buheira ne Is Tarah keh kar HUZOOR ﷺ ko Aazmaya tha), Magar Butto ka Naam HUZOOR E AKRAM Sallallaho Alayhe Wasallam ko Bahot hi Na-Gawaar Guzraa Aur Farmaaya Mujh se Guftagu me Butto ka Naam Na lijiye, Mai Unse Nafrat Karta hu Aur Mai Butt-Parasti se Bezaar(Na-Khush) hu, Buheira ne kaha Mai Aapko KHUDA ki Qasam de kar Kehta hu ki Jo Kuchh Mai Aapse Puchhu Aap Uska Sahih Jawaab Irshaad Farmaayenge, HUZOOR ﷺ ne Farmaaya Puchho..
(Al Seeratun Nabawiyya (Urdu), Jild-1, Safa-122)
Buheira ne HUZOOR ﷺ ki Nind ke Ta’aluq se puchha HUZOOR ﷺ ne Farmaaya Meiri Aankhe Soti he Meira Dil Nahi Sota, Fir Woh HUZOOR ﷺ ki Aankho me Basi Surkhi(Laal Rangat) ki Taraf Tawajjo karke Kehne laga Bataao Ye Surkhi Aati-Jaati rehti he Ya Hameisha rehti he, Ahle Qaafela kehne lage Humne to ye Kabhi Gaayab Nahi deikhi, Fir Usne HUZOOR ﷺ ki Kamar e Anwar se Kapda hata diya to Waha Mohare Nabuwwat Moujud thi, Woh Bilkul Usi Tarah thi Jis Tarah Usne Padha tha, Woh Mohare Nabuwwat ko Chumne laga, Quraish kehne lage Is Raahib ki Nigaah me Muhammad (ﷺ) ki Badi Qadr wa Manzelat he, Janaabe Abu Taalib ne ye Deikha to Apne Bhatije ke Muta’aliq Raahib se Darne lage.
(Dalaailun Nabuwwat (Abu Noyam, Urdu), Jild-1, Safa-151)
(Al Seeratun Nabawiyya (Urdu), Jild-1, Safa-122)
(Al Khasaaisul Kubra (Urdu), Jild-1, Safa-171)
(Al Wafaa Bi Ahwaalil Mustafa ﷺ (Urdu), Safa-169,170)
>> Safar se Waapasi :-
Jab Raahib Faarig huwa to Usne HUZOOR ﷺ ke Chachaa Janaab Abu Taalib ki Taraf Tawajjo ki, Usne Puchha Is Bacche ka Aap se Kya Ta’aluq he..? Janaabe Abu Taalib ne kaha Ye Meira Farzand(Ladka) he, Buheira ne kaha Ye Tumhaare Farzand Nahi he, Meira Khyaal to ye he ki Inke Waalid Fout ho Chuke he, Janaabe Abu Taalib ne kaha Ye Meira Bhatija he, Buheira ne Puchha Inke Waalide Giraami ko Kya huwa..? Janaab Abu Taalib ne kaha Unka Inteqaal ho gaya Jabki ye Shikame Maadar me the, Raahib ne kaha Tumne Sach kaha he, Fir Usne Puchha Inki Ammijaan ko Kya huwa…? Janaabe Abu Taalib ne kaha Abhi Abhi Unka Wisaal huwa he, Buheira ne kaha Aap ne Sach kaha he Apne Is Bhatije ko le kar Apne Shahar Lout Jaaye, Inke Ta’aluq se Yahudiyo se Mohtaat(Hoshiyar) rehna,
Agar Unhone Inhe Deikh liya Aur Woh Alaamat Jaan gaye jo Maine deikh li he to Woh Inhe Shar(Nukshan) Pahonchayenge, Tumhaare Is Bhatije ki Shan Badi Rafee(Buland) hogi, Hum Inka Tazkira Apni Kutub(Kitaabo) me Paate he, Woh Tazkira Humaare Aaaba(Baap-Dada) ne Riwaayat kiya he, Mai Tumhe Nasihat Karta hu ki Inhe le kar Apne Shahar Lout Jaao,
Ek Riwaayat me he ki Jab Janaabe Abu Taalib ne kaha ki ‘Ye Meira Bhatija he’ To Buheira ne kaha Kya Aapko Is se Muhabbat he..? Unhone kaha Behad Muhabbat he, Buheira ne kaha Ba-Khuda Agar Aap Inhe Shaam(Mulke Shaam) le gaye Aur Shaam ke Andar Daakhil kar diya to Waha ke Yahud Aapko Shaheed kar deinge, Janaab Abu Taalib HUZOOR E AKRAM Sallallaho Akayhe Wasallam ko Waapas Makka e Mukarrama le Aaye.
(Al Khasaisul Kubra (Urdu), Jild-1, Safa-169)
(Seerate Mustafa ﷺ Safa-86)
(Al Seeratun Nabawiya Safa-122-123)
Ek Riwaayat me he ki Buheira ne kaha Ye Aalamin ke Sardaar he, Ye Rabbal Aalamin ke Rasool he, Quraish ke Buzurgo ne Puchha Tumhe Keise Maalum huwa..? Buheira ne Kaha Jab Tum Ghaati me Utar rahe the to Har Patthar Aur Darakht Sajdareiz tha, Shajar wa Hajar Sirf Nabi ko Sajda Karte he, Baadal Sirf In par Saayafigan tha, Maine Inhe Is Mehare Nabuwwat se bhi Pehchaan liya he Jo Kandho ki Haddi ke Nichhe he.
(Al Seeratun Nabawiya, Safa-123)
#Seerat #Sirat #Nooranisafar #Noranisafar #Waqiya #Wakiya #Noorulislam #islam #SeeratunNabi #SeerateMustafa #Muhammad #Huzoor #Nabi #Huzoorkabachpan #Safaresham #HuzoorkaSafar #Rahib #Buhairarahib #Buhera #Sham #Safar #Huzoorkasafar