>➤ HUZOOR NABI E AKRAM ﷺ ki Barkate Abu Taalib ke Ghar me :-
Hazrat Abdul Muttalib RadiAllaho Ta’ala Anho ki Wafaat par ‘Abu Taalib’ (Ye HUZOOR ﷺ ke Chacha he Inhone) ne HUZOOR ﷺ ko Apni Kefaalat (Zimmedaari) me le liya,
Abu Taalib ke Paas Maal Na tha, Albatta Waadi e Arfa(Arfaat ke Ilaaqe) me Unke Kuchh Unt(Camel) the, Abu Taalib Agar Makka me hote to Jaakar Waha se Doodh le Aaya karte, HUZOOR ﷺ ko Deikh kar Aksar Abu Taalib ka Dil Bhar Aata Aur Woh HUZOOR ﷺ se Bada Pyaar karte.
(Dalaailun Nabuwwat (Abu Noyam, Urdu) Jild-1, Safa-148)
Unke Bacche Ikhatte ya Alag Alag Khana Khate Magar Seir(Peit-bhar) Na hote Aur Jab HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam Unke Sath Beith kar Khaate to Saare Bacche Seir(Peit-bhar) ho Jaya karte the,
Is liye Woh Jab bhi Apne Baccho ko Subah Ya Shaam ka Khana Deina Chahte to Kehte Thehro Meire Beite ko Aane do, Jab HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam Tashreef le Aate Aur Unke Sath Khana Tamaawul Farmaate to Aksar Khana Bach Jata,
Agar Abu Taalib ne Baccho ko Doodh Pilaana hota to Sab se Pehle HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam Noush Farmaate Fir Dusre Bacche Bartan Uthaate Aur Sab ke Sab Usi Ek Bartan se hi Seir(Peit-bhar) ho Jaate Agar Unme se Koi Baccha Pehle Pina Shuru kar deita to Akela hi Sara Bartan Khali Kar Jata, Abu Taalib Ye Deikh kar Kehte Ay Muhammad (ﷺ) Tumhaari Barkato ka Kya Kehna he.
(Dalaailun Nabuwwat (Abu Noyam, Urdu) Jild-1, Safa-148)
(Al Khasaisul Kubra (Urdu), Jild-1, Safa-168)
>➤ HUZOORE AKRAM ﷺ ki Bachpan ki Adaaye :-
>> Hazrat Ibne Abbas RadiAllaho Ta’ala Anho se Riwaayat he ki Abu Taalib ke Bacche Aam Baccho ki Tarah Gande Moonh Aur Aankho ke Sath So kar Uthate Aur HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam Saaf Aur Suthre Bedaar hote.
(Al Khasaisul Kubra (Urdu), Jild-1, Safa-168)
(Dalaailun Nabuwwat (Abu Noyam, Urdu), Jild-1, Safa-149)
>> Ek Aur Riwaayat me he ki Abu Taalib ke Dusre Baccho ki Aankhe Subah Uthte huwe Gandagi se Chipki hoti Aur HUZOOR NABI E AKRAM Sallallaho Alayhe Wasallam Subah Bedaar hote to Baalo me Teil laga hota Aur Chehra Dhula hota.
(Dalaailun Nabuwwat (Abu Noyam, Urdu), Jild-1, Safa-149)
ALLAH ALLAH Woh Bachpane ki Faban,
Us Khuda Bhaati Surat pe Lakho Salaam,
(Hadaaiqe Bakhshish)
>> Abu Taalib Sab ke Saamne Khana Laate to Woh (Bacche) Be-Sabri Aur Hirs(Laalach) Aur Talabe Ziyaadati(Zyada Leine) ka Muzaahira Jeise Bachho ki Aadat hoti he Karne Lagte, Magar HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam Purwaqaar(Izzat wa Ahteraam ke) Tareeqe par Khaamosh Beithe rehte, Abu Taalib ne ye Surate Haal deikh kar Un(Baccho) se Alag HUZOOR ﷺ ka Intezaam kar diya.
(Al Khasaisul Kubra (Urdu), Jild-1, Safa-168)
>> Aqeel Bin Abi Taalib kehte he ki Jab Kisi Subah Humaare Ghar me Khane ko Kuchh Na hota to Abu Taalib kehte Jaao Zamzam le Aao, Hum Zamzam La kar Pee leite Aur (HUZOOR ﷺ ki Barkat se) Hume Wahi Kaafi ho Jata.
(Dalaailun Nabuwwat (Abu Noyam, Urdu) Jild-1, Safa-149)
>> Hazrate Umme Ayman RadiAllaho Ta’ala Anha Farmaati he ki Maine HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ko Kabhi Bhuk Ya Pyaas ki Shikayat karte Na deikha, Aksar Subah Uth kar Thoda Aabe Zamzam Pee leite Aur Subah ko Nashte me Kuchh Na leite.
(Al Khasaisul Kubra (Urdu), Jild-1, Safa-168)
(Madaarijun Nabuwwat (Urdu), Jild-2, Safa-40)
>> Ek Aur Riwaayat me Umme Ayman RadiAllaho Ta’ala Anha Farmaati he ki HUZOOR REHMATE DO AALAM Sallallaho Alayhe Wasallam ne Bachpan Aur Budhape me Kabhi Bhuk Aur Pyaas ki Shikayat Na ki.
(Al Khasaisul Kubra (Urdu), Jild-1, Safa-168)
>➤ HUZOOR ﷺ ke Bachpan ke Akhlaaqe Kareema :-
Ek Riwaayat me he ki Abu Taalib ke liye Bada Takiyya Banaya Jata tha Aur Woh Hasabe Aadat(Aadat ke Muta’abiq) Us par Teik laga leite the, Ek Din HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam Tashreef le Aaye Aur Takiya ko Khoul kar Bichha diya Aur Us par Daraaz(Aaram) ho gaye, Kuchh Deir Baad Abu Taalib Aaye Aur deikh kar kehne lage ‘Hille Hijja ki Qasam.. Meira Ye Bhatija Zouqe Neamat rakhta he’.
Ek Martaba Abu Taalib Ahle Makka ke liye Khana Taiyyar kara rahe the Aur Zaruri Saaman ke Paas Beithe the, Jab Unhone HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ko Aate deikha to Kuchh Chiz Pehlu ke Niche karli, Magar HUZOOR E AKRAM Sallallaho Alayhe Wasallam Chacha ke Is Ikhfaa(Chhupaane) ko Samajh liya, Abu Taalib ne Kaha Meira Ye Bhatija Bazariya Karaamat Maalum kar leita he.
(Al Khasaisul Kubra (Urdu), Jild-1, Safa-168, 169)
Abu Taalib Ka Bayaan he ki Maine Kabhi bhi Nahi deikha ki HUZOOR E AQDAS Sallallaho Alayhe Wasallam Kisi Waqt bhi Koi Jhut Bole ho Ya Kabhi kisi ko Dhoka diya ho, Ya Kabhi kisi ko Koi Izaa Pahonchayi ho, Ya Behuda Ladko ke Paas Khelne ke liye gaye ho Ya Kabhi Koi Khilaafe Tehzib Baat ki ho, Hameisha Intehaai Khush Aqhlaaq, Neik-Atwar, Narm Guftaar, Buland Kirdaar Aur Aala Darje ke Parsa Aur Parhez gaar rahe.
(Seerate Mustafa ﷺ, Safa-57)
>➤ HUZOOR ﷺ ke Ishaare se Baarish Naazil hona :-
Ek Martaba Mulke Arab me Intehaai Khoufnaak Qahat(Sukha/Kaal) pad gaya, Ahle Makka ne Buto se Fariyaad karne ka Iraada kiya Magar Ek Hasino Jameel Budhe ne Makka Walo se kaha ki Ay Ahle Makka.. Humaare Andar Abu Taalib Moujud he Jo Baaniye Kaaba Hazrate Ibhraahim Khalilullah Alayhis Salaam ki Nasl se he Aur Kaabe ke Mutawalli Aur Sajjada Nashin bhi he, Hume Unke Paas Chal kar Duaa ki Dar-Khwaast karni Chahiye, Chunanche Sardaraane Arab Abu Taalib ki Khidmat me Haazir huwe Aur Fariyaad karne lage ki Ay Abu Taalib Qahat ki Aag ne Saare Arab ko Jhulsa kar Rakh diya he, Jaanwar Ghaas, Paani ke liye Taras rahe he Aur Insaan Dana Pani Na Milne se Tadap Tadap kar Dum Tod rahe he, Kaafilo ki Aamado Raft(Aana-Jana) Band ho chuki he Aur Har Taraf Barbaadi Wa Wiraani ka Dour Doura he, Aap Baarish ke liye Duaa Kijiye, Ahle Arab ki Fariyaad Soon kar Abu Taalib Ka Dil bhar aaya Aur HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ko Apne Saath le kar Harame Kaaba me gaye Aur HUZOOR Salllallaho Alayhe Wasallam ko Diwaare Kaaba se Teik Laga kar Bitha diya Aur Duaa Maangne me Mashgul ho gaye, Darmiyaane Duaa me HUZOOR E AKRAM Sallallaho Alayhe Wasallam ne Apni Angushte Mubaarak(Ungli Mubaarak) ko Aasmaan ki Taraf Utha diya, Ek dum Charo Taraf se Baadal Aane lage Aur Fouran hi Is Zour ka Paani Barsa ki Arab ki Zameen Seiraab ho gayi, Jangalo Aur Maidaano me Har Taraf Paani hi Paani Nazar Aane laga, Chatiyal Maidaano ki Zamine Sar-Sabzo Shadab ho gayi, Qahat Dafa ho gaya Aur Kaal Katt gaya Aur Sara Arab Khush-haal Aur Nihaal ho gaya.
Chunaanche Abu Taalib ne Apne Us Taweel(Lambe) Qaside me Jisko Unhone HUZOORE AQDAS Sallallaho Alayhe Wasallam ki Madda me Nazm kiya he Is Waaqiye ko EK Sheir me Is Tarah Zikr kiya he ki
وَأَبْيَضَ يُسْتَسْقَى الْغَمَامُ بِوَجْهِهِ
ثِمَالَ الْيَتَامَى عِصْمَةً لِلأَرَامِلِ
Tarjama :- Yaani Woh (HUZOOR ﷺ) Ayse Gore Rang wale he ki Inke Rukhe Anwar ke Zariye Badli se Baarish Talab ki Jaati he Woh Yatimo ka Thikana Aur Bewaao ke Nigehbaan he.
(Sharah Zarqaani Alal Mawaahib, Jild-1, Safa-190)
(Al Mawaahibul Laduniya (Urdu) Jild-1, Safa-118)
(Madaarijun Nabuwwat (Urdu), Jild-2, Safa-42)
(Al Khasaaisul Kubra (Urdu), Jild-1, Safa-174)
>➤ HUZOOR ﷺ ka Ummi Laqab :-
HUZOORE AQDAS Sallallaho Alayhe Wasallam ka Laqab ‘Ummi’ he, Is Lafz ke 2 Maani he Ek to “Ummul Quraa” ki Taraf Nisbat he, Ummul Quraa Makka e Mukarrama ka Laqab he, Lihaza ‘Ummi’ ke mana Makka e Mukarrama ke Rehne wale Aur Dusra Ummi ke Ye Mana he ki HUZOOR ﷺ ne Duniya me Kisi Insaan se Likhna Padhna Nahi Sikha, Ye HUZOORE AQDAS Sallallaho Alayhe Wasallam ka Bahot hi Azimush-shaan Mo’ajiza he ki Duniya me Kisi ne bhi HUZOOR ﷺ ko Nahi Padhaya Ya likhaya, Magar KHUDA WANDE QUDDUS Ne HUZOOR ﷺ ko Is Qadr Ilm Ataa Farmaaya ki Aapka Seena Awwaleen wa Aakhireen ke Ulum wa Ma’arif ka Khazina Ban gaya, Aur Aap par Aysi Kitaab Naazil hui Jisme Har Har Chiz ka Roushan bayaan he,
Hazrate Moulana Jaami Rahmatullah Alay ne Kya Khub Farmaaya ki
نگار من کہ بہ مکتب نرفت و خط ننوشت
بغمزه سبق آموز صد مدرس شد
Yaani Meire MEHBOOB Sallallaho Alayhe Wasallam Na kabhi Maktab me gaye, Na Likhna Sikha Magar Apne Chasme wa Abru(Andaaze Nazar) ke Ishaare se Senkado Mudarriso(Udtaado/Teachero) ko Sabak Padha diya,
Zaahir he ki Jiska Ustaad Aur Taalim Deine wala ALLAH TA’ALA ho Bhala Usko Kisi Aur Ustaad se Taalim Haasil karne ki Kya Zarurat hogi…?
HUZOOR ﷺ ke Ummi Laqab hone ka Haqiqi Raaz kya he..? Isko to ALLAH TA’ALA ke Siwaa Aur kon Bata Sakta he..? Lekin Ba Zaahir Isme Chand Hikmate Aur Fawaaid Maalum hote he
Ek to ye ki Tamaam Duniya ko Ilm wa Hikmat Sikhaane wale HUZOORE AQDAS Sallallaho Alayhe Wasallam ho Aur HUZOOR ﷺ ka Ustaad Sirf ALLAH TA’ALA hi ho, Koi Insaan Aapka Ustaad Na ho Taki Kabhi Koi ye Na Kah Sake ki Paigambar to Meira Padha huwa Shagird(Student) he,
Dusra ye ki Koi Shaksh Kabhi ye Khyaal na kar sake ki Fula Aadami HUZOOR ﷺ ka Ustaad tha to Shayad Woh HUZOOR ﷺ se Zyada Ilm wala hoga,
Tisra ye ki HUZOORE AQDAS Sallallaho Alayhe Wasallam ke bare me Koi Ye Waham bhi Na kar sake ki HUZOOR ﷺ Chunki Padhe Likhe Aadmi the Is liye Unhone Khud hi Quraan ki Aayato ko Apni Taraf se Bana kar Peish kiya he Aur Quraan Inhi ka Banaaya huwa Kalaam he,
Choutha ye ki Jab HUZOOR ﷺ Saari Duniya ko Kitaab wa Hikmat ki Taalim de to Koi Ye Na kah sake ki Pehli Aur Puraani Kitaabo ko Deikh kar Is Qism ki Anmol Aur Inqilaab Aafri Talimaat Duniya ke Saamne Peish kar rahe he,
Panchwa ye ki Agar HUZOOR ﷺ ka Koi Ustaad hota to Aap ko Uski Taazim Karni Padhti, Halaanki HUZOOR ﷺ ko ALLAH TA’ALA ne Is liye Peida Farmaya tha ki Sara Aalam HUZOOR ﷺ ki Taazim kare, Is liye ALLAH TA’ALA ne Isko Gawara Nahi Farmaya ki Meira MEHBOOB Kisi ke Aage Jaanu e Talammuz tah (Ghutne Tek) kare Aur Koi Iska Ustaad ho.
(Maakhuz Seerate Mustafa ﷺ, Safa-58, 59)
>➤ Bheid-Bakariya Charana :-
>> HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam Apne Ghar ke Tamaam Zaruri Kaam karte the, Chunanche Usi Zamaane me HUZOOR ﷺ Apne Ghar walo Aur Dusre Lougo ki Bakariya bhi Charaya karte the, Jeise Digar Ambiya E Kiraam Alahis Salaam Bakariya Charaya karte the,
Jab HUZOOR ﷺ se Puchha gaya to HUZOOR ﷺ ne Irshaad Farmaaya ALLAH TA’ALA ne Koi bhi Aysa Nabi Nahi Bheija Jisne Bakariya Na Charaai ho, Is par Sahaba Kiraam ne Arz kiya HUZOOR ﷺ Aapne bhi..? HUZOOR ﷺ ne Farmaaya Haa Mai bhi Makka Walo ki Bakariya Chand Qaraarit se Charaya karta tha.
(Bukhari Shareef)
Qaraarit se Muraad Ya to Kuchh Muaawza(Badla) Aur Mazduri he Jo HUZOOR ﷺ le kar Ahle Makka ki Bakariya Charaya karte the, Ya Qaraarit se Muraad Makka me koi Jagah thi Jis ka Naam Qaraarit tha, HUZOOR ﷺ Us Jagah Bakariya Charaate the.
Is se Maalum huwa ki Bakariya Charana Nabiyo ki Suunat he.
(Seeratun Khaatimin Nabiyyin, Safa-45,46)
>> Baargaahe Risaalat ﷺ me Unto(Camels) ke Maaliko Aur Bakariyo ke Maaliko ke Maabain(Darmiyaan me) Fakhr ka Muqaabla hone laga, Unto ke Maaliko ne Khud ko Zyada Qaabile Fakhr Samjha To HUZOORE AQRAM Sallallaho Alayhe Wasallam ne Farmaaya Hazrate Musaa Kalimullah Alayhis Salaam Mabus huwe to Woh Galla-Bani(Bheid-Bakariya Charaya) karte the, Hazrat Daawud Alayhis Salaam Mabus huwe to Woh bhi Galla-Bani Karte the, Mai Mabus huwa to Mai bhi Galla-Bani karta tha, Mai Ahyaa par Apne Khandaan ki Bakariya Charata tha,
HUZOOR E AQDAS Sallallaho Alayhe Wasallam ne Farmaaya Bakariya Sarapa Barkat he, Jabki Unt Apne Maalik ke liye Baaise Izzat he,
HUZOORE AKRAM Sallallaho Alayhe Wasallam ne Bakariyo ke Baare me Farmaaya Inme Humaari Maeeshat(Rozi), Inki Shouf(Un/Wool) Humaare liye Umda Libaas Aur Inke Baal Humaare liye Chaadar he, Ek Aur Riwaayat me he ki Unto ke Maaliko me Fakhr Wa Takabbur Aur Bakariyo ke Maaliko me Sukun Aur Waqaar hota he,.
(Al Seeratun Nabawiyya (Urdu), Jild-1, Safa-127)
Jaanwar Charaane ka Kaam Arab me Us Waqt Haqeer(Chhota) Nahi tha, Bade Bade Shurfaa(Izzatdaar) ke Bacche Ye Kaam karte the, Is se Tahammul(Sabr), Burdbaari(Bardaasht), Jafaakashi(Mehnat-Mashaqqat), Ta’alim wa Tarbiyat ke Mukhtalif Niche wa Unche Aur Islaah wa Tehzib ki Behtareen Tajurba-kaari Haasil hoti he, Is liye Har Nabi ke liye Qable Nabuwwat Ise Zaruri Qaraar diya gaya.
(Nuzhatul Qaari Sharah Sahihul Bukhaari, Jild-3, Safa-566)
Kisi Shakhs ko ye Sharm ki Baat Nahi Samajhna Chahiye ki HUZOORE AQDAS Sallallaho Alayhe Wasallam Gilla-Bani Karte the, Kyuki Ye Ambiya e Kiraam Alayhis Salaam ke Haqq me Kamaal he, Ek Kaam Nabi ke liye to Kamaal ho sakta he Lekin Kisi Dusre ke liye Woh Kamaal Nahi hota Jis tarah HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ka ‘Ummi’ hona HUZOOR ﷺ ke liye Kamaal he..
>➤ Zameen se Paani ka Nikal Aana :-
HUZOOR E AKRAM Sallallaho Alayhe Wasallam ke Maasum Bachpan me HUZOOR ﷺ se Bahot se Waaqiyaat ka Zahoor huwa Jinhe ‘Irhaasaat’ kaha jata he, Inme se Ek Waaqiya ye he ki HUZOOR E AKRAM Sallallaho Alayhe Wasallam Zul-Majaaz ke Maqaam par Janaabe Abu Taalib ke sath the, Zul Majaaz Arfa se Ek Farsakh(3 Mil) ke Maqaam par he, Ye Zamaana e Jaahiliyyat ka Baazar tha, Janaabe Abu Taalib ko Bahot Shakht Pyaas lagi, Unhone HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam se Is Pyaas ka Shikwa kiya, Unhone kaha Ay Meire Bhatije Mujhe Shakht Pyaas lagi he, HUZOOR E AKRAM Sallallaho Alayhe Wasallam ne Apni Aydi Mubaarak Zameen par ya Chattan par Maari, Zabaane Aqdas se Kuchh kaha.. Janaabe Abu Taalib ne Kaha Mujhe Ek Aysa Shaffaaf(Saaf/Ujla) Aur Mitha Paani mila ki Maine Is se Pehle Is Tarah ka Paani Na Deikha tha, HUZOOR ﷺ ne Farmaaya Paani Piye, Maine Paani piya, Khub Seir(Peit Bhar) ho gaya, HUZOOR ﷺ ne Usi Jagah Aydi Mubaarak mari to Woh Zameen ya Chattan Pehle ki Tarah ho gayi.
(Al Seeratun Nabawiyya (Urdu), Jild-1, Safa-119)
Subhan Allah..
#Seerat #Sirat #Nooranisafar #Noranisafar #Waqiya #Wakiya #Noorulislam #islam #SeeratunNabi #SeerateMustafa #Muhammad #Huzoor #Nabi #Huzoorkabachpan #AbuTalib #Akhlak #Akhlaq #Barishhona #Bhedbakariyacharana #Ummilakab #Ummilaqab #Ummi #Ummikamatlab