Hazrate Aamena ka Wisaal

>➤ Bacchpan me Madeena Munawwara me Qayaam :-.
Hazrate Halima Sadiya RadiAllaho Ta’ala Anha HUZOOR NABI E KAREEM ﷺ ko Hazrate Aaamena RadiAllaho Ta’ala Anha ki Parwarish me Chhod gayi, Uske Baad..

HUZOOR NABI E AKRAM Sallallaho Alayhe Wasallam Apni Waalida ke Paas Rehne lage, Jab HUZOOR ﷺ ki Umar Mubaarak 6 Saal ki hui to Saiyyada Aaamena RadiAllaho Ta’ala Anha(Apni Behno se Milne ke liye) HUZOOR ﷺ ko Apne Nanhaal(Nana-Nani ka Khandan) ‘Banu Adi Aur Banu Najjar'(Madeena Shareef ke Bilkul Qareeb Ek Qabeela ‘Banu Najjar’ Aabad tha) se Milwane Madeena Taiyyaba laayi, Unke Sath Umme Ayman(Hazrat Usama Bin Zaid RadiAllaho Ta’ala Anha ki Waalida) bhi thi, Waalida Saiyyada Aaamena HUZOOR ﷺ ko le kar Madeena Shareef me ‘Daare Naabiga’ me Utri, ‘Naabiga’ Banu Najjar ka Ek Aadmi tha, Waha Ek Maheena rahi,

HUZOOR NABI E REHMAT Sallallaho Alayhe Wasallam (Hijrat ke Baad) ‘Daare Naabiga’ ko deikh kar kayi Baate Yaad kiya karte the Jo Bachpan me yaha Peish Aayi thi, HUZOOR ﷺ Banu Najjar ke Qille ko deikhte to Unhe Pehchan liya Karte,
(Dalaailun Nabuwwat (Abu Noyam,Urdu), Safa-145)

Pyaare AAQA Sallallaho Alayhe Wasallam ko Jab Kabhi Us Makaan ko Deikhne ka Ittefaq hota to Aap ko Apne Qayaam ke Zamaane ki Yaad Taza ho Jati, HUZOOR ﷺ Farmaate Mai Apni Waalida ke Sath Yaha Thehra tha Aur Maine Bani Adi ke Houz me Teirna Shuru kiya tha, Yahud ki Nigaahe Jab HUZOOR ﷺ par Padhti to Woh Bagour Aap ko deikhte.
(Al Khasaisul Kubra (Urdu), Jild-1, Safa-161)

HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam Bachpan ke Inhi Waaqiyaat me se Ek Ye bhi Soonaya karte ki Ek Yahudi Mujhe Ghur Ghur kar deikha karta tha Ek Din Woh Mujhe Tanhaai me mila, Kehne laga Ay Bacche Tumhara Naam Kya he..? Maine kaha Ahmad, Usne Meiri Pusht deikhi To Maine Soona Woh Keh raha tha Ye Is Ummat ka Nabi he, Fir Woh Meire Nanhaal Walo ke Paas Gaya Aur Unhe Is se Aagah kiya, Unhone Meiri Waalida ko Batlaya To Woh Meire Muaamle me Yahudiyo ki Adaawat se Khoufzada hui Aur Hum Madeena Se Nikle Aur Makka Shareef ki Taraf Rawana huwe,

Umme Ayman RadiAllaho Ta’ala Anha Hume Batlaya karti thi ki Madeena ke Qayaam ke Douraan Dupher ke Waqt Meire Paas 2 Yahudi Aaye Aur Unhone kaha Hum ‘Ahmad ﷺ’ ko deikhenge, Maine HUZOOR ﷺ ko dikha diya, Fir Unhone HUZOOR ﷺ ki Pith deikhi, Fir Unhone Aapas me kaha Ye Is Ummat ka Nabi he Aur Is Shahar ki Taraf Hijrat karega, Fir Is Shahar me Qatl wa Gaarat Aur Dusri Aham Baate Zahir me Aane wali he, Umme Ayman RadiAllaho Ta’ala Anha Kehti he Maine Un Dono ki Baate Yaad rakhi.
(Al Khasaisul Kubra (Urdu), Jild-1, Safa-162)
(Dalaailun Nabuwwat (Abu Noyam,Urdu), Safa-145)

>➤ Hazrate Aaamena RadiAllaho Ta’ala Anha ka Wisaal :-
Saiyyada Aaamena RadiAllaho Ta’ala Anha Jab Makka Shareef ke liye Rawana ho gayi, Raste me Jab Maqaame Abwa Pahonchi to Shakht Bimaar ho gayi, Aakhir Rehlat(Wafaat) ka Waqt Aa Pahoncha,
Umme Ayman RadiAllaho Ta’ala Anha ki Goud me Saiyyada Aaamena RadiAllaho Ta’ala Anha ka Sar Mubaarak he, HUZOOR E AKRAM Sallallaho Alayhe Wasallam Apni Maherbaan Ammijaan ke Sarhaane Tashreef Farma he, Hazrate Saiyyada Aaamena RadiAllaho Ta’ala Anha ne Apne Mehbub Lakhte Jigar ke Chehare ki Taraf Deikha Aur Kaha
بارَكَ اللّهُ فيك من غلام يا اِبن الّذي من حومةِ الحمام
نَجا بعونِ الملكِ المنعامِ فودي غداةَ الضربِ بالسهام
بِمائة مِن إبلٍ سوام إِن صحّ ما أبصرت في المنام
فَأَنتَ مبعوثٌ الى الأنام من عند ذى الجلال والاكرام
تبعثُ في الحلّ و في الحرام تبعثُ في التحقيق والاسلام
دين أبيك البرّ إبراهام فَاللَّه انهاكَ عن الاصنام
ان لا تُواليها مع الأقوام
Tarjuma :- Ay Pyaare Beite ALLAH TA’ALA Tujhe Barkat de, Tu Uska Farzand he Jisne Mout ki Musibat se Najaat Paayi,
Jab Subah ke Waqt (Hazrat Abdul Muttalib RadiAllaho Ta’ala Anho ne Apni Nazar Puri karne ke liye Uske Bhaiyo ke Darmiyaan) Qur’a dala (To HUZOOR ﷺ ke Waalide Giraami ka Naam Nikla), Unke Evaz Ekso(100) Qimti Unt Qurbaan kiye gaye,
Agar Woh Sahih ho Jo Kuchh Maine Khwaab me deikha tha To Fir Tu Sare Jahaan ki Taraf Paigambar Banaya Jayega ALLAH ZUL JALAAL WAL IKRAAM ki Taraf se, Aur Tu Sarzameene Haram(Makka Shareef) Aur Halaal(Kul Roohe Zameen) me Paigambar hoga, Haqq wa Baatil ko Zahir karne wala Aur Deene Islam ko Failane wala,
Aur Woh Deen Jo Teire Baap Hazrat Ibhraahim Alayhis Salaam ka Deen he, ALLAH TA’ALA Tujhe Butto ki Parastish se Baaz rakhega, Ki Lougo ke Sath mil kar Kabhi bhi Unki Taazim Na karna.

In Ashaar ke Baad Hazrate Aaamena RadiAllaho Ta’ala Anha ne Farmaaya
ثم قالت كل حي ميت وكل جديد بال وكل كبير يفنى
وانا ميتة وذكري باق وقد تركت خيرا وولدت طهرا
Tarjuma :- Har Zinda Marega Aur Har Nayi Chiz Purani hogi Aur Har Bade se Bada Fana hoga Aur Mai Mar Jaungi Magar Meira Zikr Baqi rahega, Kyunki Maine Taiyyab wa Taahir ko Janaa he.
(Al Mawaahibul Laduniya (Urdu), Jild-1, Safa-105,106)
(Al Khasaisul Kubra (Urdu), Jild-1, Safa-162,163)

Saiyyada Aaamena RadiAllaho Ta’ala Anha ne Ye Ashaar Aur Kalaam karne ke Baad Aankhe Bandh karli Aur Aap ki Rooh Mubaarak Aapke Jisme se Parwaaz kar gayi Aur Usi Jagah Aap ko dafn kar diya gaya.

Saiyyada Aaamena RadiAllaho Ta’ala Anha ke Wisaal par Jinnaat Un par Roye Aur Ye Ashaar kahe
Hum Us Nawjawaan Khatun par Rote he Jo Neikokaar Aur Amaanatdaar thi, Husn wa Jamaal, Paak Daamani Aur Waqaar wali thi, Hazrat Abdullah RadiAllaho Ta’ala Anho ki Zovja Aur Sathi Aur Ba-Waqaar NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ki Waalida Maajida thi, Woh Nabi Jo Madeena Taiyyaba me Saahibe Minmbar honge, Unki Waalida Apni Qabr me Madfun ho gayi.
(Al Mawaahibul Laduniya (Urdu), Jild-1, Safa-106)
(Al Khasaisul Kubra (Urdu), Jild-1, Safa-163)

>➤ HUZOOR E AKRAM ﷺ ka Saiyyada Aaamena RadiAllaho Ta’ala Anha ki Qabre Mubaarak par Tashreef lana :-
>> Sulah Hudaibiya wale Saal Jab RASOOLE AKRAM, SHAFI E MEHSHAR Sallallaho Alayhe Wasallam ka Guzar ‘Abwa’ se huwa Aur HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ne ALLAH TA’ALA se Apni Waalida ki Qabr par Haazri ki Ijaazat Mangi Aur Ijaazat mil gayi to RASOOLALLAH Sallallaho Alayhe Wasallam Apni Waalida Maajida Saiyyada Aaamena RadiAllaho Ta’ala Anha ki Qabre Mubaarak par Jalwagar huwe, Gardishe Zamana wa Guzre huwe Dino ne Qabre Anwar me jo Tabdiliya(Changes) kar di thi HUZOOR NABI E KAREEM ﷺ ne Unko Durusht kiya Aur Qabre Mubaarak ke Paas Is Qadr Roye ki Waha Haazir Sahaba e Kiraam bhi HUZOOR NABI E KAREEM ﷺ ko Deikh kar Rone lage, Jab HUZOOR ﷺ se Rone ka Sabab Daryaaft kiya gaya to HUZOOR ﷺ ne Farmaaya Mujhe Apni Maa ki Shafqat Aur Maherbani Yaad Aa gayi to Mai Rou Padha.
(Al Tabqaatul Kubra, Jild-1, Safa-116, 117)
(Taarikhe Khumaish, Jild-1, Safa-230)

>> Mufassire Quraan Allama Ismaail Haqqi Rahmatullah Alay Likhte he ki
HUZOOR NABI E AKRAM Sallallaho Alayhe Wasallam Apni Waalida Muhtarma ke Mazaar Mubaarak par Tashreef le gaye Aur Behad Giryazaari ki Aur Ek Khushk(Sukhe) Darakht ki Shakh le kar Waalida Maajida ki Qabre Anwar ke Qareeb Gaadi Aur Farmaya Agar ye Darakht Qudrate Khudawandi se Sarsabz Shadab ho gayi to Meiri Ammijaan ke Qaboole Islam ki Alaamat hogi, Fir Woh Darakht Fouran Hara-Bhara ho gaya Aur Saiyyada Aaamena RadiAllaho Ta’ala Anha AAQA E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ki Duaa wa Mo’ajize se Zinda ho kar Tafaasile Deen par Imaan layi Aur Daawate Islam Qabool Farma kar Fir Aalame Barzakh ki Taraf Waapas Lout gayi.
(Tafseere Roohul Bayan, Jild-1, Safa-219)

Subhan Allah..

>➤ Saiyyada Aaamena RadiAllaho Ta’ala Anha ki Qabre Mubaarak ki Qudrati Hifaazat :-
Jab Mushrikeene Makka Jange Uhad ke liye Madeena ki Taraf Rawana the to Maqaame ‘Abwa’ Jaha HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ki Waalida Majida ki Qabre Mubaarak he waha se Guzar huwa to Unhone Chaha ki Hazrate Aaamena RadiAllaho Ta’ala Anha ki Qabr ko Khod kar Haddiya Nikal le Taki Agar Humaari Aurate Unki Qaid me chali jaye to Hum Kahenge ki Tumhaari Waalida ki Qabr ki Haddiya Humaare Qabze me he to Iske Badle me Woh Humaari Aurato ko Waapas kar deinge Aur Agar Humaari Aurate Unki Qaid me Na Aayi to Hum Zyada Maal ke Badle me Haddiya Unke Hawale kar deinge, Jab Unhone Apne Sardaar Abu Sufiyan se Is Bare me Mashwara kiya to Unhone Unki Raay ko Halki Baat Aur Kam-Aql Qaraar diya Aur Kaha ki ‘Banu Bakr’ Aur ‘Banu Khuza’ah’ jo ki MUHAMMAD (Sallallaho Alayhe Wasallam) ke Halif(Sathi) he Agar Woh Is Baat par Ba-khabar ho jayenge to Woh Humaare Murdo ki Tamaam Qabro se Unki Haddiya Nikaalenge.
(Seerate Waalideine Mustafa ﷺ, Safa-84,85)

Allama Ibne Aseer Likhte he ki
ALLAH TA’ALA Apne Pyaare Mehbub Sallallaho Alayhe Wasallam ke Akram Aur Izzat ke liye Un Kuffar ko Unke Napak Iraade se Rok diya.
(Al Kaamil Fi Taarikh, Jild-1, Safa-275)

1999 me Saudi Nazdiyo ne AAQA E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ki Waalida Maajida ki Qabre Anwar ko Mismaar kar diya Aur Qabre Mubaarak ki Be-Hurmati ki Aur Zaaireen ko Is Ilaaqe me Jane se Rokne ke liye Taaqat ka Istemaal kiya.
Fir bhi Alhamdulillah Kaafi Muslamaan Hazraat Saiyyada Aaamena RadiAllaho Ta’ala Anha ki Qabre Mubaarak ki Ziyaarat ke liye jate he.



Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *