Hazrat Yunus Alayhis Salaam

dsdfgff

Quraane Kareem me ALLAH SUBHANA WA TA’ALA Irshaad Farmaata he
“To Hui hoti Na koi Basti ke Imaan Laati to Uska Imaan Kaam Aata Haa Yunus(Alayhis Salaam) ki Qoum Jab Imaan Laae HAMNE Unse Ruswaayi ka Azaab Duniya ki Zindagi me Hataa diya Aur Ek Waqt tak Unhe Baratne diya”
(Surah Yunus, Aayat-98)

Hazrat Yunus Alayhis Salaam ki Qoum ke Loug ‘Neinwe’ Elaaqa ‘Musal’ me rehte the, Kufr wa Shirk Butt-Parasti me Mubtila the, ALLAH TA’ALA ne Hazrat Yunus Alayhis Salaam ko Unke Paas Bheija, Aapne Unhe Imaan Laane Aur Butt-Parasti Chhod ne ke Muta’aliq Hukm diya, Lekin Qoum ne Aapki Takzib (Zhutlaaya) ki, Hazrat Yunus Alayhis Salaam ne Unhe ALLAH TA’ALA ke Feishla se Aagaah kiya ki Agar Tum Imaan Nahi laaoge to ALLAH TA’ALA ke Azaab me Mubtila ho jaaoge, Aap Khud Un Logo se Naaraz ho kar Shahar se Baahar Chale gaye,
Jab Unhone Hazrat Yunus Alayhis Salaam ko Na Paaya to Bahot Khouf me Mubtila ho gaye, kaha Ab Azaab Zarur Aayega,
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-275)

>➤ Azaab ki Alaamat :-
Hazrat Yunus Alayhis Salaam ne Unko ek Khaas Muddat tak Duniyawi Maal wa Dowlat se Nafaa Hasil karne ki Mohallat di thi ki Agar Tum Imaan Nahi Laaoge to Fala Waqt Tum Azaab me Mubtila ho jaaoge, Mohallat ki Muddat me Kayi Aqwaal he..
1) Wo Muddat 40 Din thi,
(Tafseere Kabeer, Jild-17, Safa-165)

2) Wo Muddat 3 Din thi,
(Roohul Maani, Jild-6, Hissa-2, Safa-92)

Ek Aur Qoul ke Mutaabiq Jab 35 Din Guzar gaye to Aasmaan par Sadeed Saaya(Kala/Black) Baadal Chhaa gaye, Jin se Bahot Zyada Dhunwa(Smoke) Shahar tak Pahonch gaya Aur Us (Dhunwe) ne Makaano ko Apni Lapeit me le liya, Ab wo Loug Samaj gaye ki Yunus Alayhis Salaam ne Jis Azaab ke Aane ke Muta’alaq kaha tha Bas wo Aane hi Wala he, wo Itne Sadeed Khouf me Mubtila hue ki Dar ke Maare Shahar ko Chhod kar Jangal me Chale gaye, Unhone Apni Aurato Aur Baccho ko Juda kar diya Yahaa tak ki Tamaam Jaanwaro Aur Un ke Baccho ko bhi Juda Juda kar diya, Jab ki wo ek Dusre se Juda ho kar ek Dusre ki Taraf Mushtaaq hone ki Wajah se Be-Qaraar ho gaye, wo Apni Aawaze Nikaalne lage, Un Jaanwaro ki Dardnaak Aawaaze Zabaane Haal se Aaah wa Zaari(Rouna-Dhouna) ek Ajib Dardnaak Manzar Peish kar rahi thi.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-275, 276)

>➤ Qoume Yunus ki Touba Aur Touba ki Qabuliyat ka Din :-
Jab Qoum ne Azaab ki Alaamat ko Deikha to wo Sab Insaan Mard, Aurate, Bacche, ALLAH TA’ALA ki Baargaah me Apni Aajizi ka Izhaar kar rahe the, Ro rahe the, Aur Arz kar rahe the ki
“Ay ALLAH TA’ALA Ham Tuj par Aur Tere Nabi Yunus Alayhis Salaam par Imaan Laaye he, Ham Apne Gunaaho ki Ma’afi Talab kar rahe he, Ay PARWARDIGAARE AALAM Hamaare Gunaah Muaaf kar de, Hame Aane waale Azaab se Mehfuz rakh”

Ek Aur Qoul he ki wo Din Aashura ka Din tha(Yaani 10 Moharram ul Haraam) Aur Jumaa ka din tha, wo Apne ek Buzurg Aalim ke Paas Jaa kar Puchh rahe the ki Ham par Azaab Aane Wala he Ham kya Kare…?
Usne Unhe Maswara diya tha ki Tum ALLAH TA’ALA ki Baargaah me ye Duaae Karo
“Ay Us Waqt bhi Zinda rehne waale Jab koi Zinda Nahi rahega, Ay Hameisha Zinda rehne waale, Ay Murdo ko Zinda karne wale Ay Hameisha Zinda Rehne waale Teire Bageir koi Ma’abud nahi, Ay ALLAH Beshak Hamaare Gunaah Bahot Bade he, Hadd se Badh Chuke he, Tu Azeem he Aur Jaleelul Qadr he, Hamaare Saath wo Suluk kar jo Teiri Shaan ke Laayak he(Kyunki Tu Raheem wa Kareem he, Teri Shaane Kareemi ke Mutaabiq Hamaare Saath Ma’amla Farma) Aur Hamaare Saath wo Suluk Na Farma Jiske Ham Haqdaar he”

Unki Touba ka ye Aalam tha ki Agar Kishi ki Ijaazat ke Bageir Unhone koi Patther Apne Makaano ki Buniyaado me lagaaya huwa tha to Buniyaade Khoud kar wo Patther Nikaal kar Waapis kiya, Jab Unhone Imaan Qabul kar liya, Sacche Dil se Touba karli to ALLAH TA’ALA ko Un par Raham Aagaya Aur Unse Azaab ko Door kar diya.
(Tafseere Kabeer, Jild-17, Safa-165)
(Roohul Maani, Jild-6, Hissa-2, Safa-92)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-276)

>➤ Hazrat Yunus Alayhis Salaam Machhali ke Peit me :-
Quraan Shareef me he ki
“To Quraa dala to Dhakele huwo me huwa, Fir Ushe Machhali ne Nigal liya Aur Woh Apne Aap ko Malaamat karta tha”
(Surah Saffat, Aayat-141, 142)

Hazrat Yunus Alayhis Salaam Jab Qoum se Naaraz ho kar Chale gaye Aur Qoum ne Aapke Pichhe Touba kar li Lekin Aap Waapis Lout kar Na Aaye, To Aap Apne Safar ke Douraan Daryaa ko Ebur(Paar) karne ke liye Ek Kashti Par Sawaar hue, lekin Kashti Bhanwar(Whirlpool) me Fhas gayi, Us Waqt ke Dastur Aur Rawaaj ke Mutaabik ye Khyaal kiya jata tha ki Jab koi Gulaam Apne Maalik se Bhaag kar Jaa raha ho Aur Kashti se Utaar na le, (Yaani Jab Dariya ke Bich me Kashti Thahar Jaati Aur uske Thaharne ki Koi Jaahiri Wajah Moujud na hoti, to Wo Khyaal karte ki Kasti me Apne Maalik se Bhaga huwa Gulaam he, Jo Parchi Daalne se Zaahir Ho Jaayega, Jab Naam Aata to Dastur ye tha ki Jab Tak Bhaage huwe Gulaam ko Dariya me Na Dooba diya jaata Us Waqt tak Kashti Chalti na thi) Ab Kashti ke Bhanwar me Fashne par Un Lougo ne Quraa(Parchi) Daala jo Hazrat Yunus Alayhis Salaam ke Naam ka Nikla, 3 Dafaa Quraa(Parchi) Yunus Alayhis Salaam ke Naam par Nikalne par Aapne Khud hi Daryaa me Chhalaang Lagaali Taaki Kashti ke Dusre Loug Kinaare par Pahonch jaaye,

ALLAH TA’ALA ne Ek Machhali ke Dil ko Aagaah kiya Aur Hukm diya ki Hazrat Yunus Alayhis Salaam ko Nigal le Lekin ye Khyaal karna ki Tumhaara Peit Unke liye Qeid-Khana Banaya he, Unhe Tumhaara Luqma Nahi Banaya, Is liye Unhe Kharoch Tak Na Aane di jaaye, Unko Baal Baraabar bhi Nuqshaan na Pahonche, Is Tarah Hazrat Yunus Alayhis Salaam Machhali ke Peit me Aagaye, ye Aap par Imtehaan tha.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-277)

ALLAHU AKBER,

>➤ Machhali ke Peit me Rehne ki Wajah :-
Quraan Shareef me he ki
“Aur Beshak Yunus (Alayhis Salaam) Peygambarose he, Jab ke Bhari Kasti ki Taraf Nikal gaya”
(Surah As-Saffat, Aayat-139, 140)

Qoum par Naaraazgi ki Wajah se Hazrat Yunus Alayhis Salaam Chale gaye Aur Khyaal ye tha ki Ab Un(Qoum) par Azaab Aane ka Waqt to Aaa hi Chuka he lihaja Yaha Rehne ki Ab Zarurat nahi, RABB TA’ALA ki Taraf se (Hazrat Yunus Alayhis Salaam ko) Aazmaaish me Sirf Is liye Daala gaya tha ki Aap ko RABB TA’ALA ke Hukm tak Theharna Chahiye tha,

Aur Ek Wajah thi ki Ay Meire Pyaare Tumhe to Laakh Aadamiyo se Zaaid(Zyaada) ki Taraf Bheija gaya tha, Abhi to Azaab ke Aane me Kuchh Waqt baaqi tha, Tumhe waha rehna Chahiye tha, ho Sakta tha ki wo Imaan le Aaye Jeisha ki Huwa bhi ki wo Imaan le Aaye.
(Tafseere Kabeer, Jild-9, Hissa-2, Safa-152)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-279)

>➤ Duaa na karte to Qayaamat tak Machhali ke Peit me Rehte :
Quraane Kareem me ALLAH TA’ALA Irshaad Farmaata he
“To Agar woh Tasbih Karnewala na hota, Zarur Uske Peit me Rehta Jis Din tak Loug Uthaaye Jaaenge”
(Surah As-Saffat, Aayat-143, 144)

Hazrat Yunus Alayhis Salaam Machhali ke Peit me Jaane se Pehle bhi ALLAH TA’ALA ka Zikr Kasrat se Karte the Aur Machhali ke Peit me bhi ALLAH TA’ALA ko Yaad karte rahe to RABB TA’ALA ne Aap Par Raham Farmaya.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-279)

>➤ Machhali ke Peit me Aapki Duaa :
Quraane Majeed me ALLAH AZZAWAZAL Irshaad Farmaata he
“To Andheriyo me Pukaara Koi Ma’abud nahi Siwa Teire Paaki he Tujko Beshak Mujse Bejaa huwa”
(Surah Ambiya Aayat-87)

Aap Dariyaa ki Taariki(Andheri), Raat ki Taariki, Aur Machhali ke Peit ki Taariki me the, Un Andhero me Aap ne RABB TA’ALA ki Baargaah me Iltejaa ki Ay ALLAH Mei Jo Tere Hukm ke Intezaar se Pehle Aagaya, Ye Mujse Be-Jaa huwa, to In Kalmaat se Aap ki Duaa ko Qabul kar liya gaya,
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-280)

Ye RABB TA’ALA ki Azeem Qudrat he ki Usne Hazrat Yunus Alayhis Salaam ko Machhali ke Peit me bhi Zinda Rakha…
Kya Bhalaa Insaan Machhali Ke Peit me bhi Zinda Reh Sakta he…??
Beshaq…
Ye Hamaare RABB TA’ALA ki Qudrat he…
Jisne Hazrat Yunus Alayhis Salaam ko Machhali Ke Peit me Zinda rakh kar Bataa diya…

>➤ Hazrat Yunus Alayhis Salaam ki Duaa Qabul Hona :-
Quraan Shareef me ALLAH TA’ALA Irshaad Farmaata he
“To HAMNE Uski Pukaar Soon li Aur Ushe Gam se Naja’at Bakhshi Aur Ayshi hi Naja’at deinge Musalmaano ko”
(Surah Ambiya, Aayat-88)

Hazrat Yunus Alayhis Salaam ne Jab ALLAH TA’ALA ka Zikr kiya to ALLAH TA’ALA ne Aapko Machhali ke Peit me Rehne ke Gam se Naja’at Ataa farmaayi,

Is Tarah (Hadees Shareef me he ki) Agar Musalmaano me kishi ne bhi Apni Pareshaniyo ki Fariyaad RABB TA’ALA se (is Tarah) Talab ki, Sacche Dil se Taaib hue to ALLAH TA’ALA Unki Fariyaad ko bhi Qabool karega,
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-280)

>➤ Machhali ke Peit se Baahar Aakar Naja’at :-
Quraane Kareem me ALLAH RABBUL IJJAT Irshaad Farmaata he
“HAMNE Ushe Meidaan par Daal diya Aur woh Bimaar tha, Aur HAMNE Us Par Kaddu (Pumpkins) ka Peid(Tree) Ugaaya,
(Surah As-Saffat, Aayat-145, 146)

ALLAH TA’ALA ne Hazrat Yunus Alayhis Salaam par Us(Kaddu) ko Is liye Ugaaya ki Aap Par Saaya kare Aur Aap ko Thandak Pahonchaye Aur Aap ko Uske Patte Mas kare Aur Uske Bade Patte Aap par rahe Taaki Aap par Makkhiya Na Beithe, (Kyuni Bayaa kiya Jaata he ki Kaddu ke Patto par Makkhiya Nahi Beithti)

Hazrat Yunus Alayhis Salaam Machhali ke Peit se Baahar Aate waqt Peida hue Bacche ki tarah the, Yaani Aapka Chehra Bahot Naram wa Naazuk tha, Us Par koi Baal Wageira nahi the, Aapke Liye Makkhiya Baaise Taklif ho Sakti thi Aur Shakht Chiz ka Mas karna Aur Suraj ki Garmi Aapke liye Taklif ka Baaish ban Sakti thi, Is liye ALLAH TA’ALA ne Apni Meharbaani se Aap ko Uske Saaya se Aaram Pahonchaya Aur Kaddu ke Patte Utre hue Chamre ke liye Mufid(Faaida-Mand) hote he, Is liye hi Kaddu ko lagaya ki Uske Patte Aapke Chamde ke liye Faaida-Mand ho sake,

ALLAH TA’ALA ne Ek Bakri ko Aap par Muqararr kar diya tha jo Aapko Dhoodh Pilaati thi, Is Tarah Fir Aap ko Tawaanaai Jism ki Pukhtaa Jald Aur Baal Ataa kar diye gaye.
(Roohul Maani, Jild-12, Hissa-2, Safa-146)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-281)

Subhan Allah…

Beshaq Ye RABB TA’ALA ki Azeem Qudrat he..
Kaddu ki Beil hoti he jo Zameen par Feilti he Magar Ye RABB TA’ALA ki Qudrat thi ki Kaddu ka Ye Darakht Lambe Darkhto ki Tarah Shaakh rakhta tha..




#Seerat #Sirat #Nooranisafar #Noranisafar #Waqiya #Wakiya #Noorulislam #islam #Hazratyunus #Yunush #Yunus #Ambiya #Fish #machali

1 Comment

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *