Quraane Majeed me RABB TA’ALA Irshaad Farmata he
“Aur Yaad karo Ismaail Aur Yasa’a Aur Zul-kifl ko Aur Sab Acche he”
(Surah Saad, Aayat-48)
Hazrat Yasa’a Alayhis Salaam ko ALLAH TA’ALA ne Nabuwwat Ataa farmayi Aur Uske Saath hi Aapko Baadshahat Ataa farmaayi,
Hazrat Yasa’a Alayhis Salaam Din ko Roza rakha karte the Aur Raat ko ALLAH TA’ALA ki Baargaah me Nawaafil Adaa karte the, Hazrat Yasa’a Alayhis Salaam ko Kishi Baat par Gussa nahi Aata tha, Khususan Aap Apni Ummat ke Ma’amlaat me Badi Mataanat(Soch-Samaj) se Feisla farmaate, Kishi Kism ki Jald-Baazi Aur Gussa se Feishla nahi Farmaate the,
Hazrat Yasa’a Alayhis Salaam ki Wafaat ka Waqt jab Qarib Aaya to Bani Israail ke Kuchh Bade Aadmi Mil kar Aapki Khidmat me Hazir hue ki Aap Baadshahat me Apna Jaanasin kishi ko Mukararr kare Taaki Ham Apne Ma’amlaat me Uski Taraf Ruju’a kare, to Hazrat Yasa’a Alayhis Salaam ne Farmaya Mulk ki Bhaag-Doud me Uske Hawaale Karunga Jo Muje 3 Baato ki Zamaanat de, Kishi Shakhsh ne bhi Us Zimm-e-Daari ko Qabul karne ki Zamaanat deine ke Muta’alaq Aap se Koi Baat na ki, Siwaay Us Naw-Jawaan ke Usne Kaha Me Zamaanat deita hu, Aapne Ushe Kaha Beith jaa (Maqshad ye tha ki koi Aur Shaksh Baat kare) Lekin phir Aapke kehne par Wahi Nav-Jawaan khadaa huwa, Usne Zimm-e-Daari Qabool karne ka Yaqin dilaya,
Hazrat Yasa’a Alayhis Salaam ne kaha Thik he, 3 Chizo ki Zimm-e-Daari Qabool karo
1 ye ki Tamaam Raat Ibaadat me Guzaarni he, Sona nahi,
2ri baat ye ki Har Roz Din ko Roza rakhna he,
3ri Chiz ye ki Gusse ki Haalat me Koi Feishla Nahi karna,
Jab Us Nawjawaan ne 3 Chizo ki Zimm-e-Daari Qabool karli to Aapne Baadshaahi ka Nizaam Us ke Supurd kar diya,
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-271)
#Seerat #Sirat #Nooranisafar #Noranisafar #Waqiya #Wakiya #Noorulislam #islam #Hazratyusha #Ambiya