>➤ Hazrat Uzair Alayhis Salaam :
Bani Israail Beitul Muqaddas me Aabad thi, jab wo Apne Gunaaho, Naafarmaani, Fisq wa Fuzur me Hadd Paar kar gaye Aur Apne Nabi ki Itaa’at na ki to ‘Bukhte Nasr’ ne Beitul Muqaddas par Shakht Hamla kiya Aur Qabza kar liya, (Ye Hazrat Isaa Alayhis Salaam se Taqriban 600 Saal pehle ka waqiya he) Uske Saath 6,00,000(6 laakh) Alambardaar (Jhande Uthaane Waale) the Aur Har Jhande ke Niche Beshumaar Fouz thi, Usne Beitul Muqaddas ko Wiraan kar dala, Touraat Shareef ke Tamaam Nuskhe(Parche/Prescription) Jalaa diye, Bani Israail ke Taqriban ek Tihaai Lougo ko Qatl kar diya Aur ek Tihaai Lougo ko Shaam ke Ilaaqe me Bahot Zillat se rakha, Aur Ek Tihaai ko Qeidi Bana liya Yaani Bani Israail ko 3 Hisso me Taqsim kar liya tha, Un Qeidiyo me Hazrat Uzair Aur Daaneyaal Alayhis Salaam bhi the Jo Us Waqt Bachpan ki Umar me the.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-350)
>➤ Hazrat Uzair Alayhis Salaam ka Ta’ajub karna :-
Quraane Paak me ALLAH TA’ALA Irshaad Farmata he
“Ya(Aapne Nahi deikha) Uski Tarah jo Gujra ek Basti par Aur wah thai(Giri) padi thi Apni Chhato par Bola ise keishe Zilaaega ALLAH TA’ALA iski Mout ke baad”
(Surah Al Baqrah, Aayat-259)
Bahot Arshe ke baad jab kuchh Loug Qeid se Aazad hue to un Aazad hone waalo me Hazrat Uzair Alayhis Salaam bhi the, Hazrat Uzair Alayhis Salaam Beitul Muqaddas se Guzre, jo us Waqt Barbaad ho chuka tha Aap Idhar Udhar fire lekin Aap ko koi Nazar na Aaya, Baago me Mukhtelaf Qism ke Darkht(Peid) Falo se bhare hue the, Falo ko Khaane wala koi na tha, Aapne Kuchh Anjir Aur Angur Tod kar khaaye Aur Unka Rass Nikaal kar Piya Aur kuchh Anjir Aur Angur Toshaadaan me rakh liye Aur Kuchh Rass bhi Apne Paas rakh liya, Jab Aap ne Wiraan Aabadi ko deikha to Bade Ta’ajub se kehne lage RABB TA’ALA ishe Fir se Zinda karega…? Uski Keishi Azeem Qudrat hogi…? (Sawaal RABB TA’ALA ki Qudrat me Shak ke Tour par nahi tha balki Apne Ta’ajub ka Izhaar tha ki RABB TA’ALA is Basti ko Fir Keishe Zinda karega…?)
ALLAH TA’ALA ne Apni Qudrate Kaamela ko Batana Chaha, Hazrat Uzair Alayhis Salaam jis Gadhe par Sawaar the Ushe Baandha Aur Apne Khaane Pine ke Fal Wageira Aur Angur ka Rass jo Nichod kar Aapne Apne Paas rakha huwa tha Unhe Qarib hi rakh kar Aap So gaye, Soye hue Haal me hi Aap par Mout ko Musallat kar diya gaya, Aap ka Gadha bhi Marr gaya, Ye Waaqiya Taqriban Dupher se pehle ka tha,
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-351)
>➤ Hazrat Uzair Alayhis Salaam ko 100 Saal Baad Zinda karna :-Quraane Kareem me he ki
“To ALLAH TA’ALA ne ushe Murda rakha Sou(100) Baras fir Zinda kar diya Farmaya Tu yaha kitna Thehra Arz ki Din bhar Thehra hunga ya kuchh kam Farmaya Nahi Tuzhe Sou(100) Baras Guzar gaye Aur Apne khaane Aur Pine ko Deikh ki Ab tak Boo Na laya Aur Apne Ghadhe ko deikh ki jiski Haddiya tak Salaamat na rahi Aur yah is liye ki Tujhe ham Lougo ke Waaste Nishaani kare Aur Un Haddiyo ko deikh kar keishe Ham Unhe Uthaan(Utha)deite fir unhe Gost Pehnaate he Jab yah Maamla Uspar Zaahir ho gaya bola Mei Khub jaanta hu ki ALLAH TA’ALA Sab kuchh kar sakta he”
(Surah Al Baqrah, Aayat-259)
Hazrat Uzair Alayhis Salaam par Mout Taari ho gayi thi uske Baad Jis tarah Namrood ki Naak me Machhar Ghus gaya tha Ayshe hi ‘Bukhte Nasr’ ki Naak me bhi Machhar Ghus gaya tha jis se who Marr gaya, Is tarah Bani Israail ko Aazadi mil gayi, Taqriban 70 Saal ke baad Faaras ke Baadshaho me se ek Baadshah Apni Fouze le kar Beitul Muqaddas Pahoncha to usne Beitul Muqaddas ko Pehle se bhi Behtar Tour par Aabad kar diya, Bani Israail Jo ‘Bukhte Nasr’ ke Muzaalim ki Wajah se Idhar-Udhar Bikhar gaye the Fir Beitul Muqaddas me Aabad ho gaye, 30 saal tak ye loug Behtar haal me Aa gaye, Aur Unki Nasl me bhi Izaafa ho gaya, 100 Saal ke baad ALLAH TA’ALA ne Hazrat Uzair Alayhis Salaam ko Zinda Farma diya,
Itne Arshe me ALLAH TA’ALA ne Aap ko Apni Qudrate Kaamela se Lougo ki Nigaaho se chhupa Rakha Aur Aap ko Darinde, Parinde, Charinde Wageira bhi Itna Arsha Na deikh sake, Aap par Wafaat Subah ke Waqt Dupher se pehle Aayi thi, Aur Aap Zinda Shaam ke Waqt hue, Jab RABB TA’ALA ne Aapse Puchha Kitni Deir yaha Thehre ho….? To Hazrat Uzair Alayhis Salaam ne Arz kiya Ek Din ya Us se bhi Kuchh kam, ALLAH TA’ALA ne Aap ko Bataya yaha 100 Saal ho chuke he,
Khane pine ki chize Jhu ki Tu rahi, Aur Aapke Saamne Gadhe ko Zinda kar ke Apni Qudrat ka Mushaahida karaa diya, Gadhe Ki Haddiyo ko Hukm huwa jo Aapas me Aakar Mil gayi, Aapke Saamne Un Haddiyo par Ghost chadaa kar Gadhe ko Aawaz di Ab Tum Zinda ho Jaao to Wo Zinda ho gaya.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-352, 353)
Subhan Allah…
ALLAH TA’ALA ki Azeem Qudrat..
100 Saal tak Hazrat Uzair Alayhis Salaam par Mout Taari rahi… Aur 100 Saal tak Jisme Mubaarak ko Salaamat rakha Aur Insaano, Jaanwaro, Parindo se bhi Jisme Paak ko Chhupa rakha…..
Aur wo Gadha jo 100 Saal Pehle Marr chuka tha Jiske Jism par Ghost tak na raha, Jiske Jism ki Haddiya Alag Alag ho chuki thi Us Gadhe ke Jism me Waapis Haddiyo ko Jamaa karna Aur Uske Jism par Ghost chadhana Aur Fir Use Bolne ki Quwwat deina.. Ye RABB TA’ALA ki Azeem Qudrat he….
Beshak ALLAH TA’ALA Har Chaahe par Qaadir he….
>➤ Hazrat Uzair Alayhis Salaam ka Ghar Tashreef lana :-
Hazrat Uzair Alayhis Salaam Zinda ho Kar Shahar me Aaye to deikha Shahar to Pehle se Zyaada Achhe Tariqe se Aabad he, Bani Israail ke Naye Naye Loug bhi jo Aap ke Baad Peida hue the, Aap par Jab Mout Musallat hui thi Us Waqt Aapki Umar 40 Baras tak thi, Shahar se Baahar Jab Aap gaye the Aap ke Beite ki Umar 18 Baras thi, Ab Uski Umar 118 Baras thi, Balki Aap ke Poute bhi Budhe ho chuke the Aap jab Apne Makaan me Tashreef laaye to waha Aap ki Mulaaqat ek Budiyaa se hui jo Aap ki Khidmat Karti thi, Ab Uski Umar 120 Saal ho chuki thi, chalne se Aajiz ho chuki thi, Aankh ki Binaai khatm ho chuki thi,
Hazrat Uzair Aalyhis Salaam ne Budiyaa se Puchha ki Uzair Ka yahi Makaan he…? To wo Rone lagi Aur kehne lagi Itne Arshe ke Baad Uzair ka Naam Leine wala kon he….? Wo to 100 saal se Gum ho chukaa he, Aapne Farmaya Mei hi Uzair hu, ALLAH TA’ALA ne Mujhe 100 Saal se Murda Rakh kar Zinda Farma diya he, Us Budiyaa ne kaha Agar Tum Sacch keh rahe ho to ALLAH TA’ALA se Duaa karo Ki Mujhe Nazr Ataa kare ki Mei Tumhe deikh kar Pehchaan Saku Aur is liye ki ALLAH TA’ALA Uzair Ki Duaa Qabul Farmata tha Aap ki Duaa ke Qabul Hone ki wajah se bhi Yaqeen Aajayega ki Tum hi Uzair ho,
Hazrat Uzair Alayhis Salaam ne Duaa Farmaayi to Use Nazar Mil gayi Aur Uske Peir bhi Thik ho gaye wo chalne ke kaabil ho gayi, Ab Usne Aap ko Pehchaan liya, Aap ke Saath Aapke Beite Aur Dusre Ahle Khana ke Paas laayi ki Uzair Aa gaye he, Sab loug Ta’ajub kar rahe the ki ye keishe ho sakta he ki Uzair Alayhis Salaam 100 Saal Baad Aa gaye ho…? Us Budiyaa ne Bataya ki Tum Mujhe Nahi deikh rahe ki Mujhe inki Duaa se ALLAH TA’ALA ne Nazr Ataa ki Aur chalne ke Kaabil Banaa diya, Aapke Beite ne kaha Ki Meire Baap Ke Dono Kandho ke Darmiyaan Saaya(Black) Baal chaand ki Shakl me the, Jab Aap ke Kandhe Mubaarak ko deikha gaya to Ushi tarah Baal Moujud the,
‘Bukhte Nasr’ ne Touraat Ke Tamaam Nuskhe(Parche/Prescription) jala diye the, Touraat Kisi ko Yaad nahi thi balki Pehle Kutub Sirf Ambiya Alayhis Salaam ko hi Yaad huwa karti thi, Lougo ne kaha ki Agar Tum Uzair Alayhis Salaam ho to Touraat Sunaao…? Hazrat Uzair Alayhis Salaam ne Unhe Tamaam Touraat Lafz Lafz Likhwa di, Kishi ek Hurf(Lafz) ka bhi Farq na Aane diya, Us Waqt Ek Shaksh Bola ki Meine Dada se Suna tha ki ‘Bukhte Nasr’ ke Mulaazim ki wajah se Meire Dada ne Touraat ka Ek Nuskha Dafn kar diya tha, Hazrat Uzair Alayhis Salaam ne Us Nuskhe ke Dafn ki jagah ki Nishaandahi(Pehchaan) Farmaayi Jab wo Nuskha Nikala gaya to Uska Muqaabla Is Nuskhe se kiya gaya jo Hazrat Uzair Alayhis Salaam ne Tehreer karaya(Likhwaya) tha, to Kisi ek Lafz ka bhi Farq nahi paya gaya, Lougo ne Aap ka Ye Mo’ajiza Deikh kar Aap ko ALLAH TA’ALA ka Beita Kehna Suru kar diya.
(Maaz Allah…)
(Roohul Maani, Jild-2, Hissa-2, Safa-24,
Tafseere Khazin, Jild-1, Safa-279,
Roohul Bayaan, Jild-1, Safa-508,
Tazkiratul Aambiya Alayhis Salaam, Safa-351, 352)
#Seerat #Sirat #Nooranisafar #Noranisafar #Waqiya #Wakiya #Noorulislam #islam #Ambiya #HazratUzair #Uzer #Ujer