Hazrat Khwaza Garib Nawaz Rahmatullah Alay

Hazrat Khwaza Garib Nawaz Rahmatullah Alay

>➤ Wiladate Ba Sa’adat :-
Hazrat Saiyedena Khwaja Garib Nawaz Saiyed Moinuddin Hasan Sanjari Chishti Ajmeri Rahmatullah Alay 537 hijri ba-mutabik 1142 IsvI-San me Sijistan ya Seestaan ke elake “Sanjar” me paida hue.
(Iktebasul Atwaar, Safha 345,
Feizan e Khwaza Garib Nawaz Rahmatullah Alay, Safa-2)

>➤ Walidain e Karimaine :-
Hazrat Khwaza Garib Nawaz Rahmatullah Alay ke Walide Maajid Saiyed Giyasuddin Rahmatullah Alay jinka shumar “Sanjar ke U-mara wa Ru-asa me hota tha, intihayi Muttaqi wa parhezgar aur sahibe karamat Buzurg the.
Hazrat Khwaza Garib Nawaz Rahmatullah Alay ke Walida e Maajida bhi Aksar Awqaat ibadato Riyazat me Mashgool rahne wali Neik Seerat Khatoon thi.
(ALLAH Ke Khaas Bande, Safa-506, Ba Tagayyur,
Feizan e Khwaza Garib Nawaz, Safa-3)

>➤ Naam wa Silsila e Nasab :-
Hazrat Saiyed Moinuddin Hasan Sanjari Rahmatullah Alay ka Isme Girami ‘Hasan’ he aur Aap Nazibul-Tarafain ‘Hasani’ wa ‘Husaini’ Saiyed he,
Aap ke laqab bahot Ziyada he, Magar Mashhur o Ma’roof laqab me
“Moinuddin”,
“Khwaja Garib Nawaz”,
“Sultanul Hind”,
“Waarisun Nabi Sallallaho Alayhe Wasallam” Aur
“Ataa e RASOOL Sallallaho Alayhe Wasallam”, Wagaira shamil he,
Aapka Silsil e Nasab Saiyed Moinnuddin Hasan Bin Saiyed Giyasuddin Hasan Bin Saiyed Nazmuddin Bin Saiyed Abdul Aziz he.
(Moinul Hind Hazrat Khwaja Moinuddin Ajmeri, Safa-18,
Faizan e Khwaza Garib Nawaz, Safa-2)

Jab Hazrate Saiyedna Khwaja Garib Nawaz Rahmatullah Alay Pandarah(15) Saal ki Umar me pahuche to Walide Mohtaram ka Wisaale pur malaal ho gaya.
Virasat me ek Baag aur ek Pan-chakki mili, Hazrat Khwaza Garib Nawaz Rahmatullah Alay ne usi ko zariya-e-Maash bana liya aur khud hi Baag ki Nigahbani karte aur Darakhton ki Aabyari farmate.
(Mir’aatul Asraar, Safa-593, Ba Tagayyur,
Faizan e Khwaza Garib Nawaz Rahmatullah Alay, Safa-3)

>➤ Husul e Ilm ke liye Safer :-
Hazrat Saiyedna Khwaza Moinuddin Chisti Rahmatullah Alay ne 15 Baras ki Umar me Husule Ilm ke liye Safar Ikhteyaar kiya aur Samarkaj me Hazrat Saiyedna Molana Sarfuddin Rahmatullah Alay ki Baargaah me Hajir ho kar Ba Qaiyda Ilm e Din ka Aagaj kiya, Pehle QURAAN E PAAK Hifz kiya aur Baad Aja Unhi se Digar Ulum Hasil ki,
(ALLAH ke Khas bandey, Safa-508,
Feizan e Khwaza Garib Nawaz Rahmatullah Alay, Safa-6)

Magar Jeishe Jeishe Ilm e Din Shikhte gaye jo ke ilm Badhta gaya Chunanche Ilm ki Pyaas ko Bujane ke liye Bukhara ka Rukh kiya Aur Sohra Aafak Ilm e Din Molana Hasamuddin Bukhari Rahmatullah Alay ke Saamne Jaanvue Talmujta kiya Aur Fir Unhi ki Safakto ke saaye me Hazrat Saiyedena Khwaza Garib Nawaz Saiyed Moinuddin Hasan Chisti Rahmatullah Alay ne Thode hi Arshe me Tamam Dini Ulum ki Takmil Karli,
is tarah Hazrat Khwaza Garib Nawaz Rahmatullah Alay ne Majmui Tour par Takriban Paanch(5) Saal me Husul e ilm ke liye Samarkaj aur Bukhara me Husul e Ilm ke liye qayam Farmaya.
(ALLAH ke Khaas Bandey, Safa-508,
Feizan e Khawaza Garib Nawaz Rahmatullah Alay, Safa-6)

SubhanAllah.. Hazrat Khwaza Garib Nawaz Rahmatullah Alay Kai Saal tak Murshide kamil ki khidmat me Hajir Rahe Aur Maarefat ki Manjil Tey karte hue Baatni Ulum se Feizyaab hote rahe,
Hazrat Saiyyedna Khwaja Usmani Haruni Rahmatullah Alay Jaha bhi Tasrif le jate, Aap Rahmatullah Alay Unka Saaman Apne Kandho par Utaae Saath jate, Khwaza Garib Nawaz Rahmatullah Alay ko kai Martaba Murshid ke Sath Hajj ki Sa’adat bhi Hasil hui.
Hazrat Khwaja Garib Nawaz Moinuddin Hasan Rahmatullah Alay Farmate he Jab Mere Peero Murshid Khwaja Usmaan Harooni ne Meri Khidmat Aur Aqidat deikhi to Ayshi Kamale Ne’amat Aata Farmayi jis ki koi Inteha Nahi.
(ALLAH ke Khaash Bandey, Safa-594,
Feizan e Khwaza Garib Nawaz Rahmatullah Alay, Safa-7)

>➤ Mureed Par Fakr :-
Hazrat Khwaja Moinuddin Hasan Chisti Ajmeri Rahmatullah Alay Bargahe Murshid me is Qadr Maqbool the ki ek Mouqe par Murshide kareem Khwaja Usmaan Harooni Rahmatullah Alay ne farmaya
Hamara Moinuddin ALLAH ko Makbool he hame Apne Mureed par fakhr he.
(Mir’aatul Asrar, Safa-595,
Faizan e Khwaja Garib Nawaz Rahmatullah Alay, Safa-8)

SubhanAllah,

>➤Baargahe ILAAHI me Maqbuliyat :-
Ek Baar Hajj ke Mouqe par Hazat Saiyedna Usman Harooni Rahmatullah Alay ne Mijaabe Rahemat ke Niche Hazrat Khwaja Moinuddin Hasan Chisti Rahmatullah Alay ka Hath Pakad kar Baargahe ILAAHI me Dua ki,
“Ay Moula Mere Moinuddin Hasan ko Apni Baargah me Qabul Farma”,

Geib se Aawaj Aayi,
“Moinuddin Hamara Dost he, Hamne Ushe Qabool kiya”.
(Iktabasul Anwar, Safa-349,
Feizan e Khwaza Garib Nawaz Rahmatullah Alay, Safa-8)

SubhanAllah,

>➤Baargaahe Risaalat se Hind ki Basarat :-
ek Martaba Hazrat Saiyedna Khwaja Garib Nawaz Rahmatullah Alay ko Madina Shareef ki Hajri ka Sarf mila to Nihayat Adab va Aheteram ke Sath Salam Arz kiya,
“Assalato Wasalamo Alayka Ya SAIYEDIL MURSALIN wa KHATIMIN NABIYIN” Sallallaho Alayhe Wasallam..
Is par Roza e Akdash se Aawaaj Aayi,
“Walekum Assalamo Ya Kutbul Masaikh”
(ALLAH ke Khash Bandey, Safa-510,
Feizan e Khawaza Garib Nawaz Rahmatullah Alay, Safa-9)

Aur Ek Jagah Aata he ki

Hazrat Saiyedna Khwaja Moinuddin Chisti Rahmatullah Alay Jab SAIYEDUL MURSALIN KHATIMIN NABIYIN Sallallaho Alayhe Wasallam ke Roza e Akdash par Pahonche to unshe Hazrat Khwaja Usmaan Harooni Rahmatullah Alay ne kaha ki Salam karo, to
Khwaja Moinuddin Chisti Rahmatullah Alay ne Salam Arz kiya,
Roza e Mubarak se Aavaj Aayi
“Walekum Assalam Ya Kutbul Masaikh”
fir Aap ne 21 din NABI E AKRAM Sallallaho Alayhe Wasallam ki Khidmat me Rahe,
Aap ko Basarat di gayi ki Hindustaan me jao Aur ISLAM ka Parcham lehrado,
Hazrat Khwaza Moinuddin Chisti Rahmatullah Alay Apne Ustad Hazrat khwaja Usman Harooni Rahmatullah Alay ki ijajat le kar Hind ki Aur Chal pade.
(Hayate Khwaza, Safa-21,22)

SubhanAllah,

“Tera Naam Khwaja Moinuddin
Tu RASOOLE PAAK ki Aal he”
Sallallaho Alayhe Wasallam

“Mera Khwaja Ataa e RASOOL he
Wo Bahare Chist ka Fool he”
Sallallaho Alayhe Wasallam

>➤ Sultanul Hind ka Safer :-
Hazrat Saiyedna Khwaja Garib Nawaz Rahmatullah Alay us Basaarat ke Baad Hind Ravana hue Aur Samarkaj, Bukhara, Bagdad Shareef, Nishapur, Tabriz, Avus, Asfhaan, Sabjawar, Khurasaan, Khurkaan, Istarabaad, Balga Aur Gujni Wageira se Hote hue Hind ke Saher Ajmer Shareef Pahonche Aur Us Pure Safar me Khwaja Garib Nawaz Rahmatullah Alay ne Sencdo Awliya ALLAH Aur Akabarin e Ummat se Mulakat ki,

Jab Hazrat Khwaja Garib Nawaz Moinuddin Hasan Rahmatullah Alay Bagdad E Mo’alla me Hazrat Saiyedana Gouse Aazam Muhiyuddin Abdul Kadir Jilani Rahmatullah Alay ki khidmat me Hajir hue Aur Paanch(5) Maah tak Baargahe Goushiya se Iktesaabe Feiz kiya,
Tabrij me Sheikh Badruddin Abu Saied Tibriji Rahmatullah Alay ki Baargaah se Ilm ki Miraash Hasil ki,
Asfhaan me Shaikh Mahmud Asfhaani Rahmatullah Alay ke paas Hajir hue Aur
Khurkaan me Shaikh Abu Saied Abu Al kheir Aur Khwaja Abu Al Hasan kharkaani Rahmatullah Alay ki Mazarat par Hajri di,
Istarabaad me Hazrat Allama Shaikh Nasiruddin Istarabaadi Rahmatullah Alay se Kasbe Feiz kiya,
Herat me Sheikhul Islam imaam Abdullah Anshari Rahmatullah Alay ki Mazar ki Ziyarat ki Aur
Balga me Shaikh Ahmad Khidruvya Rahmatullah Alay ki Khankaah me Qayam Farmaya.
(ALLAH ke Khash Bandey, Safa-510,
Feizan e Khwaja Garib Nawaz Rahmatullah Alay, Safa-10)

>➤ Hakim Sabjwar ki Touba :-
Safare Hind ke Douran Jab Hazrat Saiyedna Khwaja Garib Nawaz Rahmatullah Alay ka Gujar Ilaka Sabjwar(Khurasaan, Iraan) se hote hue, Hazrat Khwaja Garib Nawaz Rahmatullah Alay ne Waha ek Baag me kayam Farmaya, jis ke Wast me ek Khusnuma Houz tha,
ye Baag Hakim Sabjwar ka tha, jo bahot hi Zalim Aur Bad-mizaz Shaksh tha Uska Ma’amul tha ki jab bhi Baag me Aata to Sarab pita Aur Nashe me Khub Sour va Gul Machata,
Hazrat Khwaja Garib Nawaz Rahmatullah Alay ne Houz se Waju kiya Aur Nawafil Aada karne lage, Muhafizo ne Apne Hakim ki Shakt-Giri ka Haal Arz kiya Aur Darkhwast ki ke Yaha se Tasrif le jaye kahi Hakim Aap ko koi Nukshan na Pahonchade,
Hazrat Khwaja Garib Nawaz Rahmatullah Alay ne Farmaya ALLAH AZZAWAZAL Mera Nigehbaan va Madadgaar he, Us Douraane Hakim Baag me Dakhil hua Aur Shidha Houz ki Taraf Aaya, Apni Aiys va Israt ki Jagah par ek Ajnabi Durveish ko deikha to Aag-bagoula ho gaya Aur Us se pehle ki wo kuch kehta Hazrat Khwaja Garib Nawaz Rahmatullah Alay ne Ek Nazar Daali Aur uski kaya Palat gai, Hakim Hazrat Khwaja Garib Nawaz Rahmatullah Alay ki Nazre Jalalat ki Taab na la Saka Aur Be-hosh ho kar Zamin par Gir pada,
khadimone Mooh par Paani ke chinte Maare, Fir Hosh Aaya to Fouran Hazrat Khwaja Garib Nawaz Rahmatullah Alay ke Kadmo me gir kar Bad-Mazhabiyat Aur Gunaho se Taib ho gaya Aur Hazrat Khwaja Garib Nawaz Rahmatullah Alay ke Daste Mubarak par Beiyt ho gaya,
Peero Murshid Hazrat Khwaja Garib Nawaz Rahmatullah Alay se Us ne Zulm Wajud se Jama ki Hui Saari Doulat Asal Maliko ko Louta di Aur Hazrat Khwaja Garib Nawaz Rahmatullah Alay ki Sohbat ko Lajim pakad liya, Hazrat Khwaja Garib Nawaz Rahmatullah Alay ne kuch hi Arshe me us Fayude Baatni se Malamal karke Khilafat Aata Farmayi Aur Waha se Rukshat ho gaye.
(ALLAH ke Khash Bandey, Safa-511,
Feizan e Khwaja Garib Nawaz Rahmatullah Alay, Safa-11, 12)

>➤ Tilavate Quraan Sareef Aur Sab-Beidaari :-
Hazrat Khwaja Garib Nawaz Rahmatullah Alay ka Ma’amul tha ki Saari Saari Raat Ibadate ILAAHI me Mashruf Rehte Hatta ki Isha ke Wazu se Namaz e Fazr Ada karte Aur Tilavat e Quraan se is kadr Suguf tha ki Din me 2 Quraan Paak khtm Farma lete Douraane Safar bhi Quraan Paak ki Tilavat Jaari Rehti.
(Mir’aatul Asrar, Safa-595,
Feizan e Khwaja Garib Nawaz Rahmatullah Alay, Safa-13)

Hazrat Khwaja Garib Nawaz Rahmatullah Alay Zyada se Zyada Ibadat e ILAAHI karne ke liye Bahot hi Kam Khana Tanaaval Farmate, Taaki Khaane ki Kasrat ki Vajah se Susti, Neen se Ibaadat me Rukawat ka Baaish na Bane,
Aap ke Baare me Manqul he ki Saat Rouz baad Do-Dhai(2 / 2.50) Toula Vajan ke Barabar Routi paani me Bhigo kar Khaya Karte.
(Mir’aatul Asrar, Safa-595,
Feizan e Khwaza Garib Nawaz Rahmatullah Alay, Safa-13)

>➤ Khoufe Khuda :-
Hazrat Khwaja Garib Nawaz Rahmatullah Alay par Khouf e KHUDA is Qadr Galib Tha ki Hazrat Khwaja Garib Nawaz Rahmatullah Alay Hamesha Khasiyat e ILAAHI se Kanpate Aur Girya va Jaari karte Khalke KHUDA ko Khoufe KHUDA ki Talqin karte hue Irsaad Farmate he “Ay Logo Agar Tum Zeire Khaak Soye Hue Logo ka Haal Jaan lo to Maare Khouf ki Khri Khri Pigal Jaav”.
(Moinul Arvaah, Safa-185,
Feizan e Khwaja Garib Nawaz Rahmatullah Alay, Safa-15)

>➤ Farmaan e Gous e Azam par Shar Zuka Diya :-
Jis Waqt Hazrat Saiyedna Gouse Aazam Abdul Kadir Jilanai Qaddasallaho Sirahun Noorani ne Baargahe Mukaddas me Irsaad Farmaya
“قدمي هزه علي رقبة كل ولي الله”

Tarjuma :-
“Mera ye Kadam ALLAH AZZAWAZAL ke Har Wali ki Gardan par he”

To Us Wakt Khwaja Garib Nawaz Saiyedna Moinuddin Chisti Ajmeri Rahmatullah Alay Apni Jawani ke Dino me Mulke Khurasaan me ek Pahadi ke Daaman me Ibadat kiya karte the,
Jab Aap ne ye Farmane Aali Suna to Apna Sar Mubarak Zuka liya Aur Farmaya
“Balqi Aap ke Kadam Mere Sar Aur Aankho Par he”
(Gouse Paak ke Halaat, Safa-67,
Feizan e Khwaja Garib Nawaz Rahmatullah Alay, Safa-17)

>➤ Karaamat e Khwaja Garib Nawaz :-
Hazrat Khwaja Garib Nawaz Rahmatullah Alay ke Chand Mureed ek baar Ajmer Shareef ke Mashoor Talaab Anasager par Gusl Karne gaye to Kafirone Shour Macha diya ki ye Musalman Hamare Talaab ko Naapaak kar rahe he,
Chunanche Woh Hazrat Loute Aur Sara Manjra Hazrat Khwaja Garib Nawaz Rahmatullah Alay ki khidmat me Arz kar diya,
Hazrat Khwaja Garib Nawaz Rahmatullah Alay ne Ek khadim ko Changal(Kansha / Paani Rakhne ka Mitti ka Bartan) deite hur Irsaad Farmaya, Is me Talaab ka Paani Bhar laav,

Khadim ne jab Paani bharne ke liye Changal(Kansha) Talaab me dala to Us Talaab ka Sara Paani Changal(Kanshe) me Aagya,

Loug Paani na Milne par Be-karar ho gaye Aur Hazrat Khwaja Garib Nawaz Rahmatullah Alay ki khidmat me Hajir ho kar Fariyaad karne lage,
Hazrat Khwaja Garib Nawaz Rahmatullah Alay ne khadim ko Huqm diya ki jaav Aur Paani Wapis Talaab me Undhel do, Khadim ne Huqm ke Tamil ki to Anasager fir Paani se Labrij ho gaya.
(Khoufnaak Jaadugar, Safa-7,
Feizan e Khwaja Garib Nawaz Rahmatullah Alay, Safa-23)

>➤ Wisaale Pur Malal :-
Hazrat Khwaja Garib Nawaj Rahmatullah Alay ke Wisaal ki Sab Baad Buzurgone Khwaab me HUZOOR NABI E AKRAM Sallallaho Alayhe Wasallam ko ye Farmate hue Suna
“Mere Deen ka Moin Hasan Sanjari Aa raha he Me Apne Moinuddin ke Istekbaal ke liye Aaya hu”

2 Rajjabul Murajab, 633 Hijri, Bamutabik 16 March, 1236 Isvition, Baroj Peer Fazr ke Wakt Mohabbin Intejaar me the ki Peer va Murshid Aakar Namaze Fazr Padhayenge, Magar Afshos Unka Intejaar Karna Sud raha,
Kaafi Deir Gujarjane ke baad Jab Khawaja Garib Nawaz Rahmatullah Alay ke Hujra Shareef ka Darvaja khoul kar Deikha gaya to Gam ka Samandar Umant Gaya, Hazrat Saiyyedna khawaja Garib Nawaz Rahmatullah Alay Wisaal Farma Chuke the, (ALLAHU AKBER)

Aur Deikhne Valo ne ye Heirat Angej vo Roohani Manzar Apni Aankho se Deikha ki Hazrat Saiyyedna Khwaja e Khwaajga Sultanul Hind Moinuddin Hasan Chisti Ajmeri Rahmatullah Alay ki Noorani Peishani par Ye Ibarat Naksh thi

“Habibbullahe Mata Fi Hubbillahe”
“ALLAH AZZAWAZAL ka Mehboob Banda Mohabbate ILAAHI me Wisaal kar gaya”
(ALLAH ke Khaash Bandey, Safa-521,
Feizan e Khwaja Garib Nawaz Rahmatullah Alay, Safa-26)


#Seerat #Sirat #Nooranisafar #Noranisafar #Waqiya #Wakiya #Noorulislam #islam #Auliya #Waliallah #Auliyaekiram #Khwaja_Garib_Nawaz #Ajmer #Sultanul_Hind #Moinuddin #Garib_Nawaz

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *