Hazrat Khwaja Bandanawaz Geisudaraaz Rahmatullahe Alay

khawaja banda nawaz

Imaamul Kaamileen, Shamshul Aarifeen, Mishbaahul Muqarrabeen, Saiyyadut Saadaat, Wali ul Akbarus Saadiq, Sadruddin, Abul Fatah, Khwaja Banda Nawaaz, Geisudaraaz Saiyyad “Mohammad Hussaini” Chishti Rahmatullahe Alay ka Mazaare Mubaarak Gulbarga Karnataka me he..

>➤ Naam wa Nasab :
Aapka Isme Giraami(Naam) ‘Mohammad’ he, Kunniyat ‘Abul Fatah’, Laqab ‘Sadruddin’, ‘Wali ul Akbarus Saadiq’ he,

Aap Hazrat Imaam Zainul Aabideen RadiAllaho Ta’ala Anho ki Aulaad se he,
Aapka Silsila e Nasab 22 Waasto se HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam tak Pahonchta he,
Aapki Wilaadat Delhi me 4 Rajab ul Murajjab 721 Hijri ko hui,

Abhi Aap 7 Saal ke the ki Sultaan Mohammad Taglak ne Bajaay Delhi ke Devgarhi(Doulat-Aabad) ko Apna Daarul Khulafa Banana Chaha Aur Tamaam Bashindagaan Delhi (Delhi me Rehne walo) ko Hukm diya ki Woh Devgarhi Muntakil ho Jaaye, Aapke Waalide Maajid(Abbajan) Hazrat Saiyyad Yusuf Hussaini Alayhirehma Ahl wa Ayaal(Family) ke Sath 20 Ramzaan 728 Hijri ko Delhi se Rawana ho kar 17 Moharram 729 Hijri ko Doulat-Aabad Pahonche Aur Qilla Doulat-Aabad ke Shumaal(Uttar/North) Jaanib Us Makaam par jo Roza e Khuld Aabad ke Naam se Mashoor he waha Sukunat Pazeed(Rahna) ho gaye, Jaha 2 Saal Baad 5 Sawwal 731 Hijri ko Waalide Maajid Hazrat Saiyyad Yusuf Hussaini Alayhirehma ka Inteqaal ho gaya Aur Apne Makaan Maskuna me Dafn hue, Waalide Maajid ke Inteqaal ke Waqt Aapki Umr 10 Saal 3 Maheene 1 Roz thi.
(Seere Mohammadi)
(Seerate Gaisu Daraz Rahmatullahe Alay, Safa-10,11)

>➤ Ta’lim wa Tarbiyat :-
Roza e Khuld-Aabad me Qayaam(Rehne) ke Zamaane tak Hazrat Khawaja Saahab Apne Waalide Maajid, Nana Aur Digar Asaatiza (Ustaad) ke Zeire Ta’alim wa Tarbiyat rahe, Quraan Shareef Hifz kiya, Ulume Mutadawal(Aam Ilm) ki Kitaabe Padhi,
Fir Aapki Waalida Maajida(Ammijaan) Apne Dono Beito ko Sath le kar Dehli Rawana ho gayi, Delhi Pahonch kar Jumma ke Din Sultaan Qutubuddin Ibak ki Jaame Masjid me Namaaz Padhne gaye, Waha Sheikhul Islaam Hazrat Nasiruddin Mahmud Chiragi Dahelvi Rahmatullahe Alay bhi Tashreef Laaye, Hazrat Khawaja Saahab Hazrat Nasiruddin Mahmud Chiragi Dahelvi Rahmatullahe Alay ko deikhte hi Waarafta(Fida) ho gaye Aur Apne Bhai Saiyyad Hussain ko Sath le kar 16 Rajjab 736 Hijri ko Haazire Khidmat ho kar Halqa (Zikr ki Mehfil), Iraadat(Peer ki Farma-Bardaari) me Shamil ho gaye,

Aap Hazat Khawaja Nasiruddin Mahmud Charaagi Rahmatullahe Alay ke Halqa, Iraadat me Shamil hone ke Baad Reyaadat(RABB TA’ALA ke Zikr me) wa Mujaahidaat(Nafsaani Khwaahiaat ko Maarne) me Mashgul ho gaye Magar Uske Sath Sath Ulume Zaahiri ki Ta’lim bhi Ja’ari rakhi, Molana Sharfuddin, Molana Tajuddin Aur Digar Asaatiza se Ulume Zaahiri ki Ta’lim Haasil karte rahe, 19 Saal ki Umr me Ulume Zaahiri ki Takmil se Faraagat Pa kar Pura Waqt Riyaazat, Mujaahida Aur Ishgaale Baatini me Sharf karne lage Aur Jab Tak Hazrat Khawaja Nasiruddin Charaagi Alayhirehma Rounak Afroz rahe Hazrat Khawaja Saahab Peer ki Khidmat me Haazir rah kar Fuyuz wa Tarbiyat se Mustafid hote rahe.

Baaz Tazkirao me likha he ki Qudrat ne Chunki Aapko Khalqullah(ALLAH TA’ALA ki Makhluq/Lougo) ki Hidaayat ke liye Muntakhab kiya tha, Bachpan hi se Iske Aasaar Numaya the, 7-8 Saal ki Umr me ye Haal tha ki Aap Wuzu, Namaaz ka Ahtemaam Farmane lage, Bahot Adab Aur Qaayda ke Sath Ladko me Beitha karte the ki Mashaikh ke Tariqe ke Muta’abiq Ladko ko Tabarruk Ataa Farma kar Ta’alim Farmaya karte the.
(Seere Mohammadi)
(Seerate Gaisu Daraz Rahmatullahe Alay, Safa-11,12)

>➤ Peere Dastagir ki Shafqat wa Mohabbat :-
Hazrat Khwaja Bandanawaaz Rahmatullahe Alay ki Malfuzaat me he ki
Sheikhul Islam Hazrat Nasiruddin Mahmud Charaagi Dahelvi Rahmatullahe Alay ne Mujh Aajiz ke Haal par Kamaal Shafqat Farmaayi,
Ek Roz Hazrat Shaikh Nasiruddin Mahmud Charaagi Rahmatullahe Alay ne Mujh se Daryaaft Farmaya Tum Subah ki Namaaz ke liye Jo Wuzu karte ho Woh Baad Tulue Aaftab(Suraj Nikalne ke Baad) Baqi rehta he ya Nahi..??
Meine Arz kiya Ji Ha Baki rehta he..
Shaikh ne Farmaya Achha huwa Agar Isi Wuzu se Ishraaq Padh liya karo,
Meine Arz kiya Bahot Achha..
Fir Shaikh ne Farmaya Shukr ul Nahaar Istekhara wa Istea’ada bhi Padh liya karo, Chand Roz Pabandi ke Baad Shaikh ne Irshaad Farmaya ki Agar Chasht ki 4 Raka’ate bhi mila liya karo to Chasht ki Namaaz bhi Ho jaya karegi, Mei ye Nahi kehta ki Chast ki Namaaz Kisi Dusre Waqt padho, Ishraaq(ki Namaaz ke) Baad hi Chasht ki Namaaz Padh liya karo,

Mai Hameisha Rajjab me Roze rakha karta tha Shaikh ne Irshaad Farmaya Ki Tum Rajab me Roze rakha karte ho,
Meine Arz kiya ji Haa..
Shaikh ne Farmaya Sha’aban me bhi…??
Meine Arz kiya ki Sha’aban ke 9 Roze rakha karta hu,
Shaikh ne Irshad Farmaya ki Agar 21 Roze Aur rakh liya karo to Tumhaare Pure 3 Maheene ke Roze ho jaya karenge..
(Seerate Gesu Daraaz Rahmatullahe Alay, Safa-12,13)

Subhan Allah….

>➤ Khilaafat wa Jaanashini :
15 Ramzaan 757 Hijri ko Sheikhul Islaam Hazrat Khwaja Nasiruddin Mahmud Chiraagi Rahmatullahe Alay Beemaari me Mubtala hue, Hazrat Sheikhul Islaam se Arz kiya gaya ki Mashaikh Apne Wisaal ke Waqt Apne Khulfa me se Ek ko Mumtaaz Qaraar de kar Apna Jaanashin Muqarrar Farmaate he, Agar Is Tariqe par Amal kiya jaye to Khwajgaan ke Tariqe se Baeed(Door) Na hoga, Hazrat Sheikhul Islaam ne Farmaya Achha Mustahiq Lougo ke Naam Likh Laao,

Molana Zeinuddin Rahmatullahe Alay ne Baahmi(Aapas me) Mashwara ke Baad Ek Fahrisht(List) Peish ki Jisme Hazrat Khwaja Geisudaraaz Alayhirehma ka Naam Shamil na tha, Hazrat Sheikhul Islaam ne Farmaya Tum Kin Lougo ke Naam Likh laaye, In Sab se Keh do Khilaafat ka Bhar Sambhalna Har Shakhs ka Kaam Nahi Apne Apne Imaan ki Hifaazat ki Fikr kare,
Molana Zeinuddin ne Us Fehrisht ko Mukhqar karke Dobara Peish kiya, Us Fehrisht me bhi Khwaja Geisudaraaz Alayhirehma ka Naam na tha, Hazrat Sheikhul Islaam ne Farmaya ki Saiyyad Mohammad(Geisudaraaz) ka Naam Tumne Nahi likha…?? ye Soon kar Sab Hazraat Thar Thar Kaanp ne lage, Hazrat Khwaja Geisudaraaz Alayhirehma ka Naan Likh kar Haazir hue, Hazrat Sheikhul Islaam ne Hazrat Mohammad Geisudaraaz Alayhirehma ke Isme Giraami(Naam) par Saad(Nishan) kiya,

18 Ramzan 757 Hijri ko Hazrat Sheikhul Islaam Daare-Faani(Duniya) se Rihlat(Wisaal) Farma gaye, Soyam(Tija) ke Baad Hazrate Khwaja Geisudaraaz Alayhirehma Sajjada e Wilaayat par Jalwa Afroz hue, Taalibane Haqq ko Talqeen wa Irshaad Farmaane lage, Lougo ko Mureed karne lage Us Waqt Hazrat Geisudaraaz ki Umr 36 Saal se Kuchh Zyada thi.
(Seere Mohammadi)
(Seerate Gaisu Daraz Rahmatullahe Alay, Safa-13,14)

Subhan Allah…

>➤ Dehli se Hijrat :-
Hazrat Khwaja Geisudaraaz Alayhirehma 800 Hijri tak Delhi ke Sajjadae Irshaad par Mota’makkin(Qaayam) rah kar Khidmate Khalqullah(ALLAH TA’ALA ki Makhluq/Lougo ki Khidmat) ki Hidaayat me Mashroof rahe, 801 Hijri me Ameer Taimur ne Daryaa e Atak Ubur(Paar) kiya to Hazrat Khawaja Saahab ne Lougo ko Aane Wali Aafat se Aagaah karke Dehli se Chale Jaane ka Mashwara diya,

7 Rabi us Shani 801 Hijri ko Aap Apne Ahlo Ayaal(Family) Aur Muta’alqeen(Ta’aluq rakhne walo) ko Humraah le kar Dehli se Rawana ho kar Gwarliyar(Madhya Pradesh ka Sahar) Pahonche, 18 Rabi us Shani 801 Hijri ko Hazrat Khwaja Geisudaraaz Alayhirehma ne Apne Mureed Hazrat Molana Alaauddin Gwarliyari Rahmatullahe Alay ko Apne Safar ki Ittela di, Gwarliyar ke Qareeb Molana Alaauddin Gwarliyari Alayhirehma ne Tamaam Ulma Aur Haakimo ke Humraah Aapka Isteqbaal kiya Aur Apne Makaan me Thehraya, 22 Rabi us Shani se 17 Jamaadi Us Shani 801 Hijri tak Gwarliyar me Qayaam Farmaya, Usi Douraan me Aap ne Hazrat Molana Alaauddin Gwarliyari ko Khilaafat Ataa Farmaayi,

Gwarliyar se Rawana ho kar Bhander Aur Ircha hote hue Chandiri Pahonche Aur Yaha Chand Din Qayaam Karke Eid ul Fitr 801 ko Baroda(Gujaraat ka Sahar) Pahonche Aur Sawwal ka Maheena Guzar kar Zil Qa’ada 801 me Khambhat(Gujaraat ka Sahar) Tashreef le gaye Aur Waha Chand Roz Qayaam karke Baroda Waapas Aakar Sultanpur hote huwe Doulat-Aabad ki Jaanib Rawana hue Aur Roza Khuld-Aabad me Iqaamat (Rehna) Farma huwe,
(Seere Mohammadi)
(Seerate Gaisu Daraz…

Continue…..

1 Comment

  1. as salamualaikum (w.w)…

    hazrat mujhe ye janna hai ki Gaisu Daraz Rahmatullahe 801 hijri me Baroda(Gujaraat ka Sahar) me kaha aaye the aur kis hazrat se mile the …

    Kya iski koi tafsil hai aapke pass….

    Rehan :- 9662229450

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *