Hazrat Isaa Alayhis Salaam

ISAA ALAYHIS

>➤ Hazrat Isaa Alayhis Salaam :-
Hazrat Isaa Alayhis Salaam ki Waalida ka Naam Mariyam, Naani ka Naam Hanna Aur Nana ka Naam Imraan he,
Hanna ki Ek Aur Bahen thi Jis ka Naam Isha’a tha, ye Dono Faaquz ki Beitiya he,
Hazrat Imraan Aur Hazrat Zakariya Alayhis Salaam Dono Ek hi Zamaane me hue, Hanna Imraan ke Nikaah me thi Aur Isha’a Zakariya Alayhis Salaam ke Nikaah me,
Hazrat Isaa Alayhis Salaam ki Waalida Hazrate Mariyam Alayhis Salaam, Aur Hazrat Yahyaa Alayhis Salaam Khala-zaad(Khala ke Ladke) he.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-478)

>➤ Hazrat Isaa Alayhis Salaam ki Naani ka Nazar Maanna :-
Quraane Kareem me he ki
“Jab Imraan ki Biwi ne Arz ki Ay RABB Meire Mei Teire liye Mannat Maanti hu Jo Meire Peit me hei ki Khaalis Teiri hi Khidmat me rahe To Tu Mujh se Qubul karle Beshak Tu hi Soonta Jaanta”
(Surah Aale Imraan, Aayat-35)

Imraan ki Zovja Hanna ki Aulaad nahi thi, Ye Budhape ki Umr tak Pahunch chuki thi, Ek Din Darakht ke Saaye me Beithi thi, Unhone Ek Parinde ko Deikha Jo Apne Baccho ko Chog khila Raha tha to Aapke Dil me bhi Aulaad ki Khwaaish Peida Hui to Aapne ALLAH TA’ALA ki Baargaah me Arz kiya Ay ALLAH TA’ALA Mujhe Baccha Ataa Farma, Aap ki Duaa ko Qabul kar liya gaya, Jab Aap Haamela ho gayi to Aapne Nazar Maani ki Meire Peit me Jo Baccha he Use Mei Beitul Muqaddas ki Khidmat ke liye Waqaf kar dungi Jo Teire Ghar ki Khidmat-guzaari Karega, Agarche Aapne Sirf Itna hi kaha tha Jo Meire Peit me he Lekin Is se Muraad Muzakkar tha Kyunki Us Waqt Beitul Muqaddas ki Khidmat ke liye Muzakkar Bacche hi Waqaf kiye Jaate the, Mu’annas Bacchiya Waqaf nahi ki jati thi Jab Aapne Apni Nazar ka Zikr Apne Khaawind se kiya to Unhone kaha ki Agar Tumhaari Bacchi Peida ho gayi Fir Kya karogi..??
To Unhone Fir ALLAH TA’ALA ki Baargaah me Arz ki “Ay ALLAH Meiri Nazar Qabul kar” Yani Mujhe Baccha hi Ataa kar Taaki Use Beitul Muqaddas ki Khidmat ke liye Waqaf kar Saku.
(Tafseere Kabeer, Jild-8, Safa-26)
(Tafseere Roohul Ma’ani, Jild-2, Safa-133)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-478, 479)

>➤ Bacchi Peida Hone par Hasrat(Afsos) :-
Quraane Majeed me he ki
“Fir Jab Use Janaa Boli Ay RABB Meire Yah to Meine Ladki Jani Aur ALLAH ko Khub Ma’alum he Jo Kuchh Wah Jani Aur Wah Ladka Jo Usne Maanga Is Ladki sa nahi Aur Meine Uska Naam Mariyam rakha Aur Mei Use Aur Uski Aulaad Ko Teiri Panaah me deiti hu raande hue Sheitaan se”
(Surah Aale Imraan, Aayat-36)

Hazrat Mariyam Alayhis Salaam ki Waalida ne Ladke ko Beitul Muqaddas ki Khidmat me Waqaf karne ki Nazar Maani thi Kyuki Us Waqt Unki Shariyat me Ladko ki hi Nazar Maani jati thi Ladkiyo ki Nahi, Muzakkar hi Ibaadat ke Maqaam ki Hameisha Khidmat kar Sakte he, Mu’annas ko ye Maqaam Haasil nahi kyuki Unko Heiz Laahaq hota he, Muzakkar Apni Quwwat wa Taaqat ki Wajah se Khidmat kar Sakta he wo Mu’annas nahi Kar Sakti Kyunki Usme Taaqat ki Kami hoti he, Muzakkar Khidmat ke Muaamlaat me Lougo se Meil-Jol rakh Sakta he Uske liye Aiyb nahi Lekin Mu’annas ke liye Lougo se Meil-Joul Aiyb he, Muzakkar ke liye Mardo se Milne Julne me Koi Tohmat Nahi hoti Lekin Mu’annas ke liye Tohmat he,

Jab Ladki Peida ho gayi to Khouf Laahaq huwa ki RABB Mei Nazar Keise Poori kar Sakungi, Azr Peish karte hue Hasrat(Afsos) Aur Izhaar karte hue RABB TA’ALA ki Baargaah me Arz kiya Ay Meire RABB Meine Bacchi Jani Ab Mei Kya karu, Nazar ko Keise Poora karu..??
To RABB TA’ALA ne Farmaya
“Aur ALLAH TA’ALA ko Khub Ma’alum he Jo Kuchh Usne Janaa”,
Jo Ladka Tumhaara Matlub(Maanga) tha wo Us Ladki jeisa nahi Jo ALLAH TA’ALA ne Tumhe Ataa ki he Ya’ani Tum to Sirf Beitul Muqaddas ki Khidmat ke liye Waqaf hone ke liye Ladka Talab kar rahi thi Lekin ALLAH TA’ALA Tumhe wo Ladki Ataa ki Jise Hazrat Isaa Alayhis Salaam ki “Maa” hone ka Sharf Haasil hona he,

Arz ki AY ALLAH TA’ALA Meine Iska Naam Mariyam Rakha, Mariyam Ibraani Zabaan me Aabeda(Ibaadat Karne Wali) ke Ma’ani me Istemaal hota he ye Naam Rakh kar ALLAH TA’ALA se Darkhwaast ki gayi ki Ise Deen wa Duniya ki Aaafat se Mehfuz Farma Aur Saath hi ye Duaa ki AY ALLAH TA’ALA Ise Aur Iski Aulaad ko Sheitaan ke Shar se Mehfuz Rakh Ya’ani Neik Bana.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-479, 480)

>➤ Hazrat Mariyam Alayhis Salaam ki Parwarish ki Zimmedaari :-
Quraane Azeem me ALLAH TA’ALA Irshaad Farmata he
“To Use Uske RABB ne Achhi Tarah Qabul kiya Aur Use Achha Parwaan Chadhaya Aur Use Zakariya ki Nigehbaani me Diya”
(Surah Aale Imraan, Aayat-37)

Achhi Tarah Qabul karne ka Ek Matlab to ye hei ki Hazrat Mariyam Alayhis Salaam Aur Unke Beite Hazrat Isaa Alayhis Salaam ko ALLAH TA’ALA ne Shaitan se Mehfuz Rakha Aur

Dusri Wajah ye he ki Hazrat Mariyam Alayhis Salaam ki Waalida ne Apni Nazar ko Poora karne ke liye Unhe Ek Kapde me Lapeita Aur Masjid me Haarun Alayhis Salaam ki Aulaad me se Jo Ulma Moujud the Unke Hawaale kar Diya ye Loug Beitul Muqaddas ki Khidmat Guzaari me rehte the, Chunki Hazrat Mariyam Alayhis Salaam Unke Imaam ki Beiti thi, Is liye Har Ek Chaahta tha ki Iski Kefaalat(Parwarish) ka Haqq Mujhe Mile, Hazrat Zakariya Alayhis Salaam ne kaha Mei Haqdaar hu kyuki Iski Khala Meiri Zovjiyat me he Lekin Sabne Kaha ki Nahi Qur’aa Daalte he, ye Hazraat 27 ki Taadaad me the,
Sabne Apne Qalam ek Kapde ke Niche rakhe Aur Ek Na-Baalig Bacche ko kaha gaya ki Kapde ke Niche Hath daal kar Ek Qalam Nikaal lo, Usne Jo Qalam Nikaala wo Hazrat Zakariya Alayhis Salaam ka tha, fir Sab kehne Lage ki Ek Martaba Aur Qur’aa Daalte he,
Ab Sab Naher ki Taraf Chale ki Apne Apne Qalam Naher me Daalte he, Jiska Qalam Ulta Teira Yani Paani ke Aane ki Taraf Uska Rukh huwa wo Kaamyaab ho Gaya, ye Qura’a bhi Hazrat Zakariya Alayhis Salaam ke Haqq me hi Nikla kyuki Aap ka Qalam hi Ulta Teira, Fir Sab kehne Lage ki Ek Martaba Aur Qura’a Daalte he, Ab Jiska Qalam Sidhe Rukh ki Taraf Chala woh Kaamyaab hoga, Tisri Martaba me bhi Hazrat Zakariya Alayhis Salaam ko hi Kaamyaabi Haasil ho gayi, Aap Alayhis Salaam ka Qalam hi Paani ke Bahaaw ke Rukh ki Taraf Chala, Qur’aa me Kaamyaabi par Aap Alayhis Salaam ne Kefaalat(Parwarish) ki Zimmedaari Sambhal li.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-480, 481)

>➤ Hazrat Mariyam Alayhis Salaam ke liye Jannati Rizq :-
Quraane Kareem me he ki
“Jab Zakariya Uske Paas Uski Namaaz Padhne ki Jagah Jaate Uske Paas Naya Rizq Paate Kaha Ay Mariyam Yah Teire Paas Kaha se Aaya Boli Wah ALLAH ke Paas se he Beshak ALLAH Jise Chaahe Be-ginti de”
(Surah Aale Imraan, Aayat-37)

1 Din me Hazrat Mariyam Alayhis Salaam Itni Badi ho Jaati Jitna Dusre Bacche 1 Saal me Bade hote he, Isi Tarah Aap Ko Neiki, Paak Daamani, Sidhi Raah par Chalne Aur Ita’at me bhi Buland wa Baala Maqaam Ataa Kiya, ALLAH TA’ALA ne Hazrat Sulemaan Alayhis Salaam ki Aulaad se Hazrat Zakariya Alayhis Salaam ko Hazrat Mariyam Alayhis Salaam ka Kafeel Bana Diya Aur Mariyam Alayhis Salaam ki Deikh Bhaal Har Maslehat ke Kaam ki Zimmedaari Unke Supurd kardi,

Hazrat Mariyam Alayhis Salaam ko Jaha Thehraya Gaya tha Uska Darwaaza Diwaar ke Darmiyaan tha, Us Kamre me Jaane ke liye Sidhi ko Istemaal Kiya jata tha,
Hazrat Zakariya Alayhis Salaam Jab Usk Kamre se Nikal kar Aate to Uske Saath Darwaaze Band karke Taale Lagaa kar Aate, koi Aur Shaksh waha Daakhil Nahi ho Sakta tha Lekin Aap Jab bhi Kamre me Aate to Deikhte ki Mariyam Alayhis Salaam ke Paas Garmiyo ke Fal Sardiyo me Aur Sardiyo ke Garmiyo me Moujud hote,
Hazrat Zakariya Alayhis Salaam ne Ta’ajub se kaha Ay Mariyam ye Teire Paas Kaha se Aaya…??

Hazrat Mariyam Alayhis Salaam ne Jawaab Diya ki Jannati Rizq he Jo kisi Insaan ke Waaste ke Bageir Mujhe ALLAH TA’ALA ki Taraf se Haasil he, Hazrat Mariyam Alayhis Salaam ka ye Kalaam(Baat) Bachpan me he Yani Is Umar me Jisme Aam Bacche Kalaam(Baat) nahi karte he,

Hazrat Mariyam Alayhis Salaam ne kaha ki Apne Bando me ALLAH TA’ALA Jise pasand Farmata he Unhe Kisi Insaan ke Waseele ke Bageir hi Rizq Ataa Farmata he,
(Tafseere Kabeer, Jild-8, Safa-32)
(Tafseere Roohul Ma’ani, Jild-2, Safa-140)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-481, 482)

Is Aayat se Waazeh huwa ki Awliya e Kiraam ki Karaamat Bar-Haqq he Kyunki Hazrat Mariyam Alayhis Salaam ko Nabuwwat Haasil Nahi Hui.

>➤ Hazrat Zakariya Alayhis Salaam ki Aulaad ke liye Duaa :-
Quraane Hakeem me he ki
“Yaha Pookara Zakariya ne Apne RABB ko Bola Ay RABB Meire Mujhe Apne Paas se de Suthri Aulaad Beshak Tu hi hei Duaa Soonne Wala”
(Surah Aale Imraan, Aayat-38)
Ek Aur Jagah Irshaad he
“Yah Zikr hei Teire RABB ki Us Rehmat ka Jo Usne Apne Bande Zakariya par ki, Jab Usne Apne RABB ko Aahista Pookara, Arz ki Ay Meire RABB Meiri Haddi Kamzor ho gayi Aur Sar se Budhaape ka Bhabhuka Futa Aur Ay Meire RABB Mei Tujhe Pookaar kar Kabhi Na-Muraad Na Raha, Aur Mujhe Apne Baad Apne Qaraabat Waalo(Rishtedaaro) ka Dar he Aur Meiri Aurat Baanjh he to Mujhe Apne Paas se koi Aysa De Daal Jo Meira Kaam Utha le”
(Surah Mariyam, Aayat-2, 3, 4, 5)

Hazrat Zakariya Alayhis Salaam Hazrat Suleimaan Alayhis Salaam ki Aulaad se the, Aap Alayhis Salaam ke Aaaba wa Ajdaad(Baap-Daada) Jo Nabi the Wo Beitul Muqaddas me Wahi Likha karte the, Aap ki koi Aulaad Na thi, Is liye RABB TA’ALA se Duaa ki, Aap ne Duaa Qabooliyat ke Waqt me ki, Duaa Mukhaffi (Chhupe/Khufiya) Tour par ki Taaki Riyaakaari(Dikhawe) se Door rahe Aur Isme Kaamil Khulush Paya Jaaye Aur Loug bhi ye Na Kahe ki ye Budhaape ki Umr me Aulaad ko Maang Raha he, Duaa karte Pehle Apne Ujr ka Izhaar Kiya ki Ay Meire ALLAH TA’ALA Meiri Haddi Kamzor ho gayi,
Aap Alayhis Salaam ne Apni Kamzori ka Zikr karne ke Baad Sarke Baalo ke Safeid hone ka Zikr kar Diya, Aur Arz kiya Mei Teira Wo Banda hu Jise Tune Arsha Daraaz se Apne Lutf wa Karam ka Khogar Bana Diya he, Jab Kabhi Meine koi Sawaal Kiya Tune Radd Na kiya, Jo bhi Meine Maanga Tune Ataa kiya, Mujhe Yaqin he ki Ye Ilteja bhi Sharfe Qabul se Sarfaraaz hogi,
Aur Aap Alayhis Salaam ne Arz kiya AY ALLAH TA’ALA Mujhe Apne Rishtedaaro par Khouf he ki wo Deen ke Umur ko Kaamil Tour par Sar-Anjaam de Sakenge, Deen me Fasaad Feilayenge, Is liye Tu Mujhe Bachcha Ataa Farma Jise Mansabe Nabuwwat par Faaiz kar de, Taki wo Umur E Deen ki Hifaazat kar Sake, Use Ilm Aur Nabuwwat ka Meira Aur Aulaade Yaaqub Alayhis Salaam me se Ambiya Alayhis Salaam ka Jaanasheen Bana, Yaha Wiraasat se Muraad Maal Wa Doulat nahi Balki Ilm Aur Nabuwwat he.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-485, 486, 487)

>➤ Hazrat Zakariya Alayhis Salaam ko Beite ki Bashaarat :-
Quraane Azeem me he ki
“To Farishto ne Use Aawaaz di Aur Wah Apni Namaaz ki Jagah Khada Namaaz Padh Raha tha Beshak ALLAH Aapko Khush-khabri deita hei Yahya ki Jo ALLAH ki Taraf ke Ek Kalime ki Tasdeeq Karega Aur Sardaar Hameisha ke liye Aurato se Bachne wala Aur NABI Hamaare Khaaso se”
(Surah Aale Imraan, Aayat-39)

Malaika se Muraad Hazrat Jibrail Alayhis Salaam he Ya’ni ye Khush-khabri deine waale Hazrat Jibrail Alayhis Salaam he,
Aap Alayhis Salaam ko Bashaarat deine ke liye Jab Hazrat Jibrail Alayhis Salaam Aaye to Aap Alayhis Salaam Apni Namaaz Padhne ki Jagah Namaaz Padh rahe the ,
Aap Alayhis Salaam ko Jis Beite ki Bashaarat di gayi Uske Chand Awsaaf bhi Zikr kiye gaye ki wo ALLAH TA’ALA ki Taraf se Kalme ki Tasdeeq karne wala Hoga, Yaha Kalma se Muraad Hazrat Isaa Alayhis Salaam he, Hazrat Yahyaa Alayhis Salaam Hazrat Isaa Alayhis Salaam se 6 Maah(Mahine) Bade he, Sabse Pehle Aap hi Unhe Taslim karne Waale Aur Unki Tasdeeq karne waale he ki Hazrat Isaa Alayhis Salaam RoohulAllah he,

Ek Martaba Hazrat Mariyam Alayhis Salaam ne Hazrat Yahyaa Alayhis Salaam ki Waalida se Mulaaqaat ki, Jo Unki Khala he To Unhone Kaha ki Kya Tumhe Ma’alum he ki Mei Haamela hu..??
To Mariyam Alayhis Salaam ne kaha Mei bhi Haamela hu, To Hazrat Yahyaa Alayhis Salaam ki Waalida ne kaha Jo Tumhaare Peit me Bacha he Meine Use Apne Peit Waale Bachhe ko Sajda karte hue Paya, Yani Meira Baccha Tumhaare Bacche ko Sajda karta he..

Is se Waajeh ho Raha he ki Hazrat Yahyaa Alayhis Salaam ne Sabse Pehle Hazrat Isaa Alayhis Salaam ki Tasdeeq ki.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-487, 488)

>➤ Hazrat Yahyaa Alayhis Salaam ka Naam ALLAH TA’ALA ne Khud Rakha :-
Quraane E Paak me ALLAH RABBUL IJJAT Irshaad Farmata he
“Ay Zakariya Hum Tujhe Khush-khabri Soonaate he Ek Ladke ki Jinka Naam Yahyaa he Iske Pehle Humne Is Naam ka Koi Na kiya”
(Surah Mariyam, Aayat-7)

Har Bacche ka Naam Uske Waalidein Rakhte he Aur wo bhi Paidaaish ke Baad, Hazrat Yahyaa Alayhis Salaam ki Paidaaish se Pehle Aap ka Naam ALLAH AZZAWAJAL ne Rakha Aur wo bhi Aysa Naam ki Aap se Pehle Ye Naam Kisi Shaksh ka bhi Nahi tha,

>➤ Aap Alayhis Salaam ka Naam Yahyaa kyu Rakha…??
Haqiqat to ALLAH TA’ALA hi Behtar Jaanta he, Lekin Mufassireen e Kiraam ne Baaz Wajah Bayaan ki he,
> ALLAH TA’ALA ne Unke Zariye Unki Waaalida ke Baanjh-pan ko Zindagi Ataa Farmaayi,
> Aap Alayhis Salaam ko ALLAH TA’ALA ne Na-farmaani ke Iraade se Door Rakh kar Taaqat ki Zindagi se Sarfaraaz kiya kyuki Aap ko ALLAH TA’ALA ne Gunaaho ke Iraade se bhi Door Rakha,
> Deen ko Aap Alayhis Salaam ke Zariye Zinda Rakha Kyuki Hazrat Zakariya Alayhis Salaam ne Deen ke Qayaam ke liye hi to Aap ke liye Duaa ki thi.
(Tafseere Kabeer, Jild-21, Safa-186,187)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-489, 490)

>➤ Hazrat Zakariya Alayhis Salaam ko Beite ki Bashaarat par Ta’ajub huwa :-
Quraane Hakeem me he ki
“Bola Ay Meire RABB Meire Ladka Kaha se hoga Mujhe To Pahunch Gaya Budhapa Aur Meiri Aurat Baanjh, Farmaya ALLAH Yu hi Karta hai jo Chaahe, Arz ki Ay Meire RABB Meire liye Koi Nishaani Karde”
(Surah Aale Imraan, Aayat-40, 41)

Aap Alayhis Salaam ko Jab Bashaarat di gayi Us Waqt Aap ki Umr 120 Saal Aur Aap Alayhis Salaam ki Zovja(Biwi) ki Umr 90 Saal thi, Aap Alayhis Salaam ne Beite ke liye Duaa bhi ki thi ALLAH TA’ALA ki Qudrato ka Mushaaida kar Chuke the, NABI ko ALLAH TA’ALA ki Qudrat me Kabhi koi Shak nahi ho Sakta Fir Is Sawaal ka Kya Matlab ho Sakta he Ay Meire RABB Ladka kaha se hoga…??
Is Sawaal ka Jawaab Allama Aalusi Rahmatullah Alay In Alfaaz me deite he
Aap Alayhis Salaam ka ye Sawaal ALLAH TA’ALA ki Qudrat ko Azeem Samajhte hue Aur Us par Batoure Ta’ajub tha Ye Insaani Fitrat ka Taqaaza he ki Jab Use Koi Badi Nishaani Haasil ho to wo Ta’ajub Karte hue Kehta he Aysa bhi ho Jaayega…? Insaani Souch se Buland Chiz ka Husul Yaqinan Muta’jib karta he,

ALLAH TA’ALA ne Jawaab Diya
“ALLAH Yu hi Karta hai jo Chaahe”
Budhaape ke Haal me Aulaad Ataa Karna bhi Uski Qudrat me Shaamil he..

ALLAH TA’ALA Jab kisi Kaam ka Iraada Farmata he to “Kun” kehta he to wo Kaam ho Jata he Balki Sirf Iraada karna bhi Kisi Kaam ke Wajud me Aane ke liye Kaafi he Jo RABB TA’ALA Tumhe Adam se Wajud me Laya, wo Tumhe Aulaad bhi Ataa Farma deiga.
(Tafseere Kabeer, Jild-21, Safa-189)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-490, 491)

> Hazrat Zakariya Alayhis Salaam ko Nishaani Milna :-
Quraan E Azeem me he ki
“Farmaya Teiri Nishaani Yah he ki Tin Din Tu Lougo se Baat Na kare Magar Ishaare se Aur Apne RABB ki Bahut Yaad kar Aur Kuchh Din rahe Aur Tadke Uski Paaki Bol”
(Surah Aale Imraan, Aayat-41)

Ek Aur Jagah Irshaad he ki
“To Apni Qoum par Masjid se Baahar Aaya To Unhe Ishaare se kaha ki Subah Sham Tasbih karte raho”
(Surah Mariyam, Aayat-11)

Aap Alayhis Salaam ne Arz kiya Ay ALLAH TA’ALA Mujhe koi Aysi Alaamat Bataa ki Jinse Mujhe Nutfe ke Qaraar Pakad ne se hi Pataa Chal jaaye Taaki Mei Teiri Is Ne’amat ke Shukr Baja Laane me Taakhir Na Karu Aur Mujhe Jaldi hi Surur bhi Haasil ho jaaye, ALLAH TA’ALA ne Farmaya Tum 3 Din Tak Kalaam(Baat) Na kar Sakoge Siwaaye Ishaare ke, Albatta ALLAH TA’ALA ka Zikr Aur Tasbihaat Namaaz Padh Sakoge Yani Zabaan Sahih hogi Lekin Qudrati Tour par Lougo se Kalaam ki Taaqat Na hogi,

Bas Yahi Tumhaari liye Nishaani he, Tum Samajh leina Ab Nutfa Qaraar paa Chuka he.
(Tafseere Kabeer, Jild-21, Safa-190)

Jab Aap Alayhis Salaam ko Lougo se Kalaam(Baat) karne ki Taaqat Na rahi to Aap Alayhis Salaam ne Unhe Ishaare se kaha ki ALLAH TA’ALA ki Subah wa Shaam Tasbih karte raho, Is Kefiyat se Aap Alayhis Salaam ko Pata Chal Gaya k Aap ki Biwi Haamela ho Chuki he.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-491, 492)

>➤ Hazrat Yahyaa Alayhis Salaam ka Mansub E Nabuwwat par Faaiz hona :-
Quraane Kareem me ALLAH SUBHANHU WA TA’ALA Irshaad Farmata he
“Ay Yahyaa Kitaab Mazbut Thaam Aur Humne Use Bachpan hi me Nabuwwat di”
(Surah Mariyam, Aayat-12)

ALLAH TA’ALA ne Farishto ke Zariye Hazrat Yahyaa Alayhis Salaam ko ye Hukm Diya, Yaha Jis Kitaab ka Hukm Diya ja Raha he Is se Muraad Touraat he kyuki Alaaiheda(Alag Alag) koi Mustaqil Kitaab nahi Ataa ki gayi, Jisme Hukm Diya gaya ki Touraat par Lougo Ko Amal Karaaye,

Hazrat Yahyaa Alayhis Salaam ko ALLAH TA’ALA ne 7 Saal ki Umr me Aqal WA Faham Zyada Miqdaar me Ataa Farmaayi Aur Ibaadat Guzaar Banaya,
Ek Aur Riwaayat me he ki Bachpan me Hazrat Yahyaa Alayhis Salaam ko Ladko ne kaha Hamaare Saath Kheilne ke liye Chalo to Aap Alayhis Salaam ne Farmaya Kya Hame Kheilne ke liye Peida Kiya gaya he…?? Chalo Hum Namaaz Padhe.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-492)

Subhan Allah…

>➤ Hazrat Yahyaa Alayhis Salaam par ALLAH TA’ALA ke Inaa’maat :-
Quraane Majeed me he ki
“Aur Apni Taraf se Maherbaani Aur Suthraai Aur Kamaal Dar Wala tha, Aur Apne Maa-Baap se Achha Suluk karne wala tha Zabardast wa Na-farmaan Na tha, Aur Salaamati hei Uspar Jis Din Peida Huwa Aur Jis Din Marega Aur Jis Din Murda Uthaya Jaayega”
(Surah Mariyam, Aayat-13, 14, 15)

Ya’ni ALLAH TA’ALA ne Hazrat Yahyaa Alayhis Salaam ko Bando par Maherbaan Banaya Aur Unh Achha Badla deine Wala Banaya, Aur Aap Alayhis Salaam ko Nafs ki Paakizgi Ataa Farmaayi Lekin Deeni Ahekaam me Aap Alayhis Salaam Narmi nahi Farmaate,

ALLAH TA’ALA ne Aap Alayhis Salaam ko Bachpan me Nabuwwat Ataa Farmaayi ye ALLAH TA’ALA ki Aap Alayhis Salaam par Rahemat thi Aur Aap Alayhis Salaam ko Nafs ki Paakizgi Ataa karke Musharraf Banaya,

ALLAH TA’ALA ne Hukm Diya ki Uske Bageir Kisi Aur ki Ibaadat Na karo Aur Waalidein se Ahesaan karo,

ALLAH TA’ALA ne Hazrat Yahyaa Alayhis Salaam ko Paidaaish ke Din Sheitaan se Mehfuz Rakh kar Salaamati Ataa Farmaayi Aur Mout ke Din Qabr ke Azaab se Bacha kar Aap Alayhis Salaam ko Salaamati se Sarfaraaz kiya Jaayega,

Hazrat Sufiyaan Bin Ayni Farmaate he ki Makhluq 3 Awqaat(Waqt) me Nihaayat Wahashat me hoti he Ya’ni Bahot hi Ghabhraahat me Mubtila hoti he,

1) “Paidaaish ke Din” Jab Shikam e Maadar se Khuruj hota he to Insaan ko Bahot Pareshani Laahaq hoti he ki Pata Nahi Ab Meire liye Naya Maqaam keisa hoga,
2) Fir Jab wo Fout(Marta) hota he to Aysi Qoum ka Mushaaida karta he Jo Is se Pehle Usne Kabhi nahi deikhi hoti, Ye Haalat bhi Uske liye Heiybat-Naak hoti he,
3) Fir Jab Use Qayaamat ko Uthaya Jaayega to wo Apne Aapko Azeem Mehshar me Paayega To Us se bhi wo Nihaayat Khouf-Zada hoga,
Lekin Hazrat Yahyaa Alayhis Salaam ko In 3no Mouqe me Salaamati ka Musda Soona Diya Gaya ki Tumhe In Maqaamaat me koi Pareshaani Laahaq Nahi hogi.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-492, 493, 494)

Masha Allah…

>➤ Hazrat Yahyaa Alayhis Salaam ki Shahaadat :-
Jab Hazrat Yahyaa Alayhis Salaam ko Nabuwwat ke Mansub par Faaiz Kiya gaya to Unhe Kitaab Par Poori Tandehi se Amal karne ki Talqeen ki gayi, Aap Alayhis Salaam ki Zindagi Bataati he ki Aap ne Hukm E KHUDAWANDI ki Ta’amil ka Haqq Adaa kar Diya, Mulk ke Goshe Goshe me Jaa Kar, Pahaado me Ja kar Lougo Ko Paigaam E Haqq Soonaya Aur Unhe Gunaaho se Taaib(Touba) hone ki Targib di, Be-Shumaar Loug Aap Alayhis Salaam ki Tableeg ki Barkat se Raah E Haqq par Aa gaye, Fisq wa Fuzur ki Zindagi ko Tark(Chhod) karke Unhone Taqwa Ikhteyaar kar liya, Qoum ke Har Tabqe ko Aap Alayhis Salaam ne Unki Kotaahiyo Aur Khaamiyo par Mutanaba(Warning) Kiya,

Aap Alayhis Salaam ki Da’awat ka Halqa Sirf Awaam tak Mahdud Na tha Balki Shaahi Darbaar bhi Aap ke Na’ara E Haqq se Larza tha,

Baadshaah E Waqt ne Apni Bhai ki Shadi-Shuda Biwi ko Apne Ghar me Daal Rakha tha, Aap Alayhis Salaam ne Usko Ja kar kaha Apne Bhai ki Biwi ko Rakhna Tujhko Rawaa(Jaiz) nahi,

Injeel ki Chand Aayate Mulaaheza Farmaaye
(Jo Biwi laa rakhi thi Wo) Us se(Aap Alayhis Salaam se) Dushmani Rakhti thi Aur Chaahti thi ki Unhe Qatl Karaaye Magar Na ho Saka, Ek Mouqe ke Din Jab Us Biwi ne Apni Saalgira me Apne Ameero Aur Fouzi Sardaaro Aur Raiso ki Ziyaafat ki Aur Usi Biwi ki Beiti Andar Aayi Aur Naach kar Us Biwi Aur Uske Mahemaano ko Khush Kiya to Baadshaah ne Us Ladki se kaha Jo Chaahe Mujh se Maang, Mai Tujhe Dunga Aur Us se Qasam Khaayi Jo Tu Mujh se Maangegi Apni Aadhi Saltanat tak Tujhe Dunga Aur Us(ladki) ne Baahar Ja Kar Apni Maa(Us Biwi) se kaha ki Mai Kya Maangu..??
Usne Kaha Yohanna-pe-Tasma deine waale ka Sar, Wo(Ladki) Fouran Baadshah ke Paas Jaldi se Andar Aayi Aur Us se Arz ki Mai Chaahti hu ki Tu Yohanna-pe-Tasma deine waale ka Sar Ek Thaal me Abhi Mujhe Mangwaa de, Baadshaah Bahot Gamgin huwa Aur Apni Qasmo Aur Mahemaano ke Sabab se Inkaar Na karna Chaaha, Pas Baadshaah ne Fouran Ek Sipaahi ko Hukm de kar Bheija ki Uska Sar Laaye, Usne Ja kar Qeid-Khaane me Uska Sar Kata Aur Ek Thaal me Laa kar Ladki Ko Diya Aur Ladki ne Apni Maa(Us Biwi) Ko Diya,

Is Tarah Hazrat Yahyaa Alayhis Salaam ne Apna Sar Kataa kar Apne RABB TA’ALA ke Is Farmaan “Ay Yahyaa Kitaab Mazbut Thaam” ki Ta’amil ka Haqq Adaa Kiya.
(Tafseere Ziyaa ul Quraan, Jild-3, Safa-69-70)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-494, 495)

ALLAHU AKBER…

>➤ Hazrat Zakariya Alayhis Salaam ko bhi Shaheed kar Diya Gaya :-
Jab Hazrat Yahyaa Alayhis Salaam ko Shaheed kar Diya Gaya to Hazrat Zakariya Alayhis Salaam ne Baadshaah ke Zulm wa Sitam se Bachne ke liye Shahar se Baahar Jaane ka Rukh Kiya, Baadshaah ne Usi Faahisha Aurat ke kehne par Aap Alayhis Salaam ko Pakadne ke liye Apne Sipaaahiyo ko Bheija, Aap Alayhis Salaam ne Apni Jaan Bachaane ke liye Darakht ke Tane me Chhup gaye Jo Andar se Khaali tha,

Aap Alayhis Salaam ko Darakht ke Andar se Khaali Tane me Jab Paya Gaya to Un Lougo ne Darakht ko Uper se Niche Aaare se Kaat Diya,
(ALLAHU AKBER…)
Ya’ni Is Tarah Aap Alayhis Salaam ke Jism Mubaarak ke 2 Tukde karke Aap Alayhis Salaam ko Shaheed kar Diya Gaya,

Khyaal rahe ki Jaan ki Hifaazat ka Wa’ada Sirf HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam se RABB TA’ALA ne Farmaya
“Aur ALLAH TA’ALA Aap Ko Lougo se Bachaaye rakhega”
(Surah Al Maaida)

Aur Dusre Rasoolo se Jo Nusrat ka Wa’ada Farmaya Us se Muraad ye he ki Tum Itne Bade Lougo ki Mukhaalefat ke Baawajud Meire Ahekaam Un tak Pahoncha Sakoge, Tumhaare Dalaail ka Woh Koi Jawaab Nahi de Sakenge Aur Tumhaare Badle me Unke Kayi Aadmiyo ko Qatl karaa Dunga, Ambiya Alayhis Salaam ko Lougo se Bachaaye Rakhne ka Wa’ada Na Farmaya.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-496)

>➤ Hazrat Mariyam Alayhis Salaam ki Fazilat :-
Quraan E Majeed me he ki
“Aur Jab Farishto ne kaha Ay Mariyam Beshak ALLAH ne Tujhe Chun liya Aur Khub Suthra Kiya Aur Aaj Saare Jahaan ki Aurato se Tujhe Pasand Kiya, Ay Mariyam Apne RABB ke Huzur Adab se Khadi ho Aur Uske liye Sajda kar Aur Ruku’a Walo ke Sath Ruku’a kar”
(Surah Aale Imraan, Aayat-42, 43)

Aayate Kareema me Malaika (Farishto) ka Zikr he Lekin Is se Muraad Sirf Jibrail Alayhis Salaam he,
Hazrat Mariyam Alayhis Salaam ki 3 Sifat Bayaan ki gayi he ‘Chun Leina’, ‘Paak Suthra Karna’ Aur ‘Jahaan ki Aurato par Pasand Karna’,

1) Pehli Sifat ka Matlab ye he ki Aap se Pehle Kisi Mu’annas(Female) ko Beitul Muqaddas ki Khidmat ke liye Ijaazat nahi thi, Sirf Aap Ko hi Is Muqaddas ke liye Chun liya gaya tha, Aap ki Waalida(Maa) ne Aap Ko Doodh nahi Pilaya tha, Balki Paidaaish hote hi Beitul Muqaddas me Hazrat Zakariya Alayhis Salaam ke Supurd(Hawaale) kar Diya Gaya tha, ALLAH TA’ALA ne Hazrat Mariyam Alayhis Salaam ko Jannat ke Khaane Ataa kar ke Khushushiyat Ataa ki, ALLAH TA’ALA ne Aap Ko Apni Ibaadat ke liye Chun liya Aur Isi Wajah se Aap par Mukhtelaf(Alag Alag) Qism ki Maherbaaniya ki Aur Hidaayat se Nawaaza Aur Aap ki Hifaazat ka Zimma Khud Uthaya, Aap ke Rizq ka Ma’amla Bageir Zaahiri Asbaab ke Apne Qabza E Qudrat me liya, Aap Ko Hamesha Rizq ALLAH TA’ALA ki Taraf se Haasil Raha, Farishte ka Kalaam Aap Ko ALLAH TA’ALA ne Sahih Tariqe se Soon ne ki Toufiq Ataa Farmaayi Jo kisi Dusri Aurato ko Mayassar Na Hui,

2) Dusri Sifat Aap Ko ‘Paak Suthra’ Banaya, Yani Kufr wa Gunaah se Aap Ko Paak Rakha Aur Aap Ko Mardo ke Chhune se Paak Rakha Aur Aap Ko Heiz se Paak Rakha kyu ki Bayaan kiya jata he ki Aap Ko Heiz nahi Aata tha Aur Aap Ko Bure Af’aal Aur Buri Aadat se Paak Rakha Aur Aap Ko Yahudiyo ki Tohmat, Jhut se Bari Farmaya,
(Tafseere Kabeer, Jild-8, Safa-45)

3) Tisri Sifat Aaj Saare Jahaan ki Aurato par Tujhe Pasand Kiya, Is Masle me Ahle Ilm ke Mukhtelaf(Alag Alag) Aqwaal he
Hazrat Mariyam Alayhis Salaam Jahaan ki Tamaam Aurato ki Sardaar he ya ki Aap Ko Hazrat Khadija, Hazrat Aaisha Aur Hazrat Fatima RadiAllaho Ta’ala Anha par Fazilat Haasil nahi,

Aala Hazrat Imaam Ahmad Raza Khan Rahmatullah Alay ne Farmaya ki Hazrat Mariyam Alayhis Salaam ko Apne Zamaane me Tamaam Aurato par Afzaliyat Haasil thi, Har Zamaana me Har Aurat par Fazilat Haasil nahi,

Haashiya Jalaalein me he ki
Lekin In Douno ke Fazaail Kaseer he, Jo Ahaadish me Mazkur he, Wo Fazaail Hazrat Mariyam Alayhis Salaam ko Haasil Nahi Is liye Hazrate Fatima Aur Hazrat Aaisha RadiAllaho Ta’ala Anha Ko Tamaam Jahaan ki Ibteda E Takhleeq se le kar Qayaamat Tak Aane Waali Aurato par Fazilat Haasil he Yahi Mohaqqieen e Ulma E Kiraam ka Mazhab he,
(Haashiya Jalaalein, Safa-51)

Hazrat Mariyam Alayhis Salaam ko Namaaz Adaa karne ka Hukm Diya Taaki Aap Ko ALLAH TA’ALA Ka Qurb Haasil ho Aur Maraatib ki Bulandi Haasil ho.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-496, 497, 498)

>➤ Hazrat Mariyam Alayhis Salaam ke Paas Hazrat Jibrail Alayhis Salaam ka Aana :-
Quraane Kareem me he ki
“Aur Kitaab me Mariyam Ko Yaad karo Jab Apne Ghar Waalo se Purab ki Taraf Ek Jagah Alag ho gayi, To Unse Udhar Ek Parda Kar liya To Uski Taraf Humne Apna Roohani Bheija Wah Uske Saamne Ek Tandurast Aadmi Ke Roop me Jaahir huwa”
(Surah Mariyam, Aayat-16, 17)

Hazrat Mariyam Alayhis Salaam ne Tamaam se Alaaiheda(Alag) ho kar Beitul Muqaddas ki Mashriqi(Purab) Jaanib Ko Ikhteyaar kiya, Taaki Ibaadat ke liye Aap Ko Khalwat(Tanhaai) Haasilh ho sake, Isi Wajah se Aap Alayhis Salaam ne Alaaiheda(Alag) Parde Ko bhi Ikhteyaar kiya ki Koi Aap ki Ibaadat me Khalel Andaaz Na ho Sake,

Hazrat Mariyam Alayhis Salaam ko Gusl Khana me Jaate hue Ek Shaksh Nazar Aaya, Jo Bada Waji’a, Chamakdaar Aur Khubsurat Uska Rang tha Aur Uske Ghungariyale Baal the, Ye Hazat Jibrail Alayhis Salaam the,

Hazrat Jibrail Alayhis Salaam Aap ke Paas Kaamil Insaani Shakl me the, Ya’ani Insaani Awsaaf se koi bhi Aap me Kami Nazar Nahi Aati Thi Balki Kaamil Insaan Nazar Aate the, Hazrat Jibrail Alayhis Salaam Kaamil Bashar Nazar Aane ke Bawajood bhi Noor the, Hazrat Jibrail Alayhis Salaam Haqiqat me Noor Aur Jaahir me Bashar the,
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-499)

>➤ Hazrat Mariyam Alayhis Salaam ka Khouf Aur Hazrat Jibrail Alayhis Salaam ka Tasalli deina :-
Quraane Majeed me he ki
“Boli Mei Tujhse REHMAAN ki Panaah Maangti hu Agar Tujhe KHUDA ka Dar he, Bola Mei Teire RABB ka Bheija huwa hu ki Mei Tujhe Ek Suthra Beita Du”
(Surah Mariyam, Aayat-18, 19)

Ek Ajnabi Insaan ko Deikh kar Hazrat Mariyam Alayhis Salaam par Khouf Taari ho Gaya ki Ma’alum nahi ye Insaan Meire Paas Kahaa se kis Iraade se Aa Gaya..??
Fouran kaha KHUDA ki Panaah Agar Tu Muttaqi Shaksh he, RABB ka Tujhe Koi Khouf he to Door ho Jaa, Meire Parde me Khalel Andaaz Na Ban,

Hazrat Jibrail Alayhis Salaam ne kaha Mei Tumhaare RABB ka Bheija huwa hu,
Ek Riwaayat me he ki Hazrat Mariyam Alayhis Salaam ne RABB ki Panaah Talab ki to Hazrat Jibrail Alayhis Salaam ne Muskura kar kaha Mei Tumhaari Qameez me Foonk Maar kar Tumhe Paakiza Aur Suthra Beita deine ke liye Aaya hu Yani Aysa Beita Ataa karne ke liye Jo Gunaaho ki Aaludgi se Paak wa Saaf hoga Uske Neik Aamal me Roz Baroz Izafa(Badotari) hota rahega Aur Makaame Nabuwwat par Faiz hoga.
(Tafseere Kabeer, Jild-21, Safa-196)
(Tafseere Roohul Ma’ani, Jild-9, Hissa-1, Safa-77)

>> Note :-
Haqiqat me Farzand Ataa Farmaane Wala ALLAH TABARAK WA TA’ALA he Lekin Hazrat Jibrail Alayhis Salaam kyuki Us Ataa ka Sabab Aur Zariya he, Is liye Batoure Mijaaz Farzand deine ki Nisbat Apni Taraf kardi, Is se Ma’alum huwa ki ALLAH TA’ALA ki Ne’amato me se Agar Kisi Ne’amat ke Milne ko Uske Zariye Aur Waaste ki Taraf Mansub kiya jaaye Aur Yaqin ho ki Man’ame Haqiqi ALLAH TA’ALA he to Aysi Nisbat Durust(Sahih/Thik) he,
(Tafseere Ziyaa ul Quraan, Jild-3, Safa-73)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-500)

>➤ Hazrat Mariyam Alayhis Salaam ki Heirat Aur Badh Gayi :-
Quraan E Majeed me he ki
“Boli Meire Ladka kaha se hoga Mujhe to Kisi Aadmi ne Haath Na lagaya Na Mei Badkaar hu, Kaha Yunhi hei Teire RABB ne Farmaya Hei ki Ye Mujhe Aasaan hei Aur Is liye ki Hum Use Lougo ke Waaste Nishaani Kare Aur Apni Taraf se Ek Rahmat Aur Yah Kaam Thahar Chuka hei”
(Surah Mariyam, Aayat-20, 21)

Aap Ko Ye Soon kar Itna Zyada Ta’ajub huwa Aur Aap ne Ise Aql se Baeed(Mushkil/Asambhav) Samajhte hue ye kaha Meira Beita Keise hoga…??
Aap Ko Heiraangi ki Wajah se Iski Taraf Tawajjo hi nahi rahi ki Mujhe Ek Farishta Keh Raha he ki Mai Tumhe Ek Suthra Beita Deine ke liye Aaya hu,
(Tafseere Roohul Ma’ani, Jild-9, Hissa-1, Safa-78)

Aap ne yahi Samjha ki Beita to Aadat ke Mutaabiq hi Peida ho Sakta he Ya to Jaiz Nikaah se ya Badkaari se, Aap Ibaadat me Mustagraq(Doobi) hone ki wajah se Is Taraf Tawajjo hi Na kar Saki ki RABB TA’ALA ki Qudrat se to Kuchh Baeed(Mushkil/Asambhav) nahi,

Bageir Baapke Beite Ko Peida karne me ALLAH TA’ALA ki Qudrat Ko Dakhal hoga Uski Qudrat ke Saamne Koi Mushkil Nahi Aur Isko Lougo ke Saamne Nishaani Banaya ja Raha he ki wo ALLAH TA’ALA ki Kaamil Qudrat Ko Samjhe Aur Ye Lougo ki Rehnumaai ke liye RABB ki Azeem Rehmat he Aur RABB ke Ilm e Azzali ke Muta’abiq Use Lohe Mehfuz par Likha ja Chuka he Is Feishle me kisi Qism ki Tabdili Nahi ho Sakti.
(Tafseere Roohul Ma’ani, Jild-9, Safa-78)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-500, 501)

>➤ Hazrat Isaa Alayhis Salaam Shikam E Maadar me :-
Quraane Paak me he ki
“Ab Mariyam ne Use Peit me liya Fir Use liye Hue Ek Door Jagah Chali gayi”
(Surah Mariyam, Aayat-22)

Hazrat Mariyam Alayhis Salaam Bani Israail me Neik Zaaheda Mashoor thi Aur Sabko ye Ilm tha ki Aap ki Waalida ne Nazar Maani jo Qabul kar li gayi, Aapki Tarbiyat me Ambiya e Kiraam Alayhis Salaam Silaharish the, wo Kefaalat Hazrat Zakaria Alayhis Salaam ko Haasil hui, Aapke Paas ALLAH TA’ALA ki Taraf se Rizq Aata raha, In Waaqiyaat ke Shohrat ke Peishe Nazar Aapko Bahot Pareshani Laahaq hui ki Mei RABB ki Us Qudrat se Lougo ko keise Mut’maeen karungi..?
Loug Meiri Baat keise Maanenge..?? Isi Wajah se Aapne Beitul Muqaddas ke Hujre ko Chhod kar Alaaiheda(Alag) Door Daraaz Jagah Ikhteyaar kiya taki Waqti Tour par Koi Mutal’a(Aagaah/Jaankaar) Na ho Sake.
(Tafseere Kabeer, Jild-21, Safa-202)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-502)

>➤ Dardezeh ke Waqt Pareshani me Izaafa :-
Quraane Kareem me he ki
“Fir Use Janne ka Dard(Dardezeh) Ek Khajoor ki Jad me le Aaya Boli Haay Kisi Tarah Mei Is se Pehle Mar Gayi hoti Aur Bhuli Bisri ho Jaati”
(Surah Mariyam, Aayat-23)

Dardezeh(Baccha Peida hone ka Dard) ki Takleef ki Wajah se Jo Hasrat(Afsos) Haasil tha Usne Ek Khajoor ke Darakht(Peid) ke Paas Aane ke liye Majboor kar diya tha Aur Is Wajah se bhi Aapne Khajoor ke Darakht ka Rukh kiya taaki Baate karne waalo se Parda-Poshi(Parda-daari) rahe,

Tafseere Kassaf me Zikr kiya gaya he ki Khajoor ka Darakht Sirf Tana tha Uper se Kata huwa Khushk tha Aur Fal bhi Nahi deita tha,

ALLAH TA’ALA ne Hazrat Jibrail Alayhis Salaam ko Hazrat Mariyam Alayhis Salaam ke Paas Bheij kar Unke Girebaan me Foonkne ka Hukm diya, Hazrat Mariyam Alayhis ko Bataya gaya ki ALLAH TA’ALA Tumhe Beita Ataa karne Wala he Tumhe Aur Tumhaare Beite ko Jahaan Waalo ke liye Nishaani Banaya he,

Lekin fir bhi Mariyam Alayhis Salaam keh rahi he “Haay Kisi Tarah Mei Is se Pehle Mar Gayi hoti” Aakhir Itni Be-qaraari ki kya Wajah thi…??

Wajah Waazeh he ki ye Aheshaas Teiz-Tar ho gaya ki Ab Tak Lougo ki Nazaro se Chhipi rahi Aur Ab Baccha bhi Peida ho gaya to Use kaha Chhupaaungi Aur Lougo ko Kya Moonh dikhaaungi…?? Siddat(Shakhti) me Ye Alfaaz Zubaan par Aagaye, RABB TA’ALA par koi Shikwa Nahi tha Balki Lougo ki Ta’anazani ki fikr thi Aur Zyadatar Na-Samaj Lougo ko Shamjhaane ki Fikr thi,

RABB TA’ALA ke Khouf ki Haalat me Is Tarah ke Alfaaz Saaleheen se Adaa hote rahe he, jeisa ki Hazrat Abu Bakar Siddiq RadiAllaho Ta’ala Anho ne ek Parinde ko Darakht par Beithe hue deikha to Aap ne Farmaya Ay Parinde Tu Kitna hi Khush-Bakht he ki Darakht par Beith kar Uska Fal kha raha he, Kaas me bhi Koi Fal hota ki Mujhe Parinde Kha Jate, Aapka ye Kalaam Khoufe ILAAHI ki wajah se tha,
Hazrate Umar RadiAllaho Ta’ala Anho ne Ghans ka Ek Tinka(Ghans Wageira ka Tukda) Hath me liya Aur Farmaya Kaas Mei Bhi Ghans ka Ek Tinka hi hota Kash Mei Kuchh Na Hota, Aap ka Ye Irshaad bhi ALLAH TA’ALA ke Khouf ki Wajah se hi tha,
Hazrate Ali RadiAllaho Ta’ala Anho ne Youme Jamal me Farmaya Kaas Mei Aaj se 10 Saal Qabl(Pehle) Mar Chuka hota, Aap ka Ye Kehna Zaahiri Fitne se Pareishani ki wajah se tha…

Khyaal rahe ki Agar kisi Shakhsh ne Hazrat Mariyam Alayhis Salaam ke Muta’alaq ye Gumaan kiya ki Unhone Dardezeh Ya Dunyawi Takaalif ke Peshe Nazar Mout ki Tamanna ki thi To Usne Bura Gumaan kiya.
(Roohul Ma’ani, Jild-2, Hissa-1, Safa-82)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-502, 503, 504)

>➤ Khaane-Peene ka Intezaam Aur Mazeed Tasalli :-
Quraane Kareem me he ki
“To Use Uske Tale se Pookara ki Gum Na rakh Beishak Teire RABB ne Niche Ek Naher Bahaa di he, Aur Khajoor ki Jad Pakad kar Apni Taraf Hila Tujh par Taazi Pakki Khajoore Girengi, To Khaa Aur Pee Aur Aankh Thandi rakh Fir Agar Tu Kisi Aadmi ko Deikhe to keh deina Meine Aaj REHMAAN ka Roza mana he to Aaj Hargiz kisi Aadmi se Baat na karungi”
(Surah Mariyam, Aayat-24, 25, 26)

Aapko Waadi ke Nesheeb(Niche) se Aawaz Aayi Tum Gum na karo Humne Tumhaari Jagah se Nasheebi(Niche ki) Taraf Ek Naher Bahaadi Jo Tumhaare Hukm ke Ma-Tehat hogi(Hazrat Jibrail Alayhis Salaam ne Peir ki Thokar Maari to ye Naher Jaari hui Ya Hazrat Isaa Alayhis Salaam ne Peida hone ke Baad Aydi Ragdi to Us se Jaari hui) Khajoor ka Khushk Tana Jiska Sar kataa huwa he, Mousam bhi Sardiyo ka he, Woh In Haalaat me Agar Fal Nahi deita Lekin Tum Use Apni Taraf Hilaao to wo Tumhe Paki hui Taza Khajoore deiga, Khaao Aur Peeo Ya’ani Khajoore Khaao Jo Peidaish ke Waqt Zacha Aur Baccha Douno ke liye Bahot Mufeed Giza he Aur Zaari Suda Chasma se Paani Peeo, Isi se Andaza laga lo ki ALLAH TA’ALA ne Jis Tarah Tumhaare Khane Aur Peene ka Intezaam Farma diya he Isi Tarah wo khatraat jo Tumhaare Zehan me Aa rahe he wo bhi Zaaeel(Mitaa) kar deiga, Tumhaare Nafs ko Itmenaan Haasil hoga, Aankho ko Thandak Haasil hogi, Is liye Hukm diya Nafs ko Mutmaeen Rakho Aur Aankho ko Thanddaar rakho,

Ek Riwaayat ye bhi Milti he ki Hazrat Isaa Alayhis Salaam ne Peida hote hi Waalida ko Tasalli deite hue kaha Gum Na kha.. Hazrat Mariyam Alayhis Salaam ne kaha Keise Gum na khaau Jab Tum Meire Saath honge, Meira Khaawand(Shohar) koi hei Nahi Aur Mei kisi ki Londi bhi Nahi, Lougo ke Saamne kya Uzr peish karungi…?? Kaas Mei Is se Pehle hi Mar jaati To Hazrat Isaa Alayhis Salaam ne Kaha “Meira Kalaam(Baat) hi Tumhe Kefaayat(Faayda) kar Jaayega…”

ALLAH TA’ALA ne Hazrat Mariyam Alayhis Salaam ko Hukm diya ki Jab Tum Bachhe ko Sath le kar Jaao to Koi bhi Tumhe Mile to Tum Ishaare se Use Batana ki Meine Nazar Maani hui he ki RABB TA’ALA ki Razamandi ke liye Roza rakhungi Aur Kisi Aadmi se Kalaam(Baat) Nahi Karungi,
Ahle Ilm Hazraat ne Aapko ye Hukm diya gaya Uski Wajah Bayaan karte hue Bayaan kiya he ki Bewaqufo se Aap ko Kalaam(Baat) karne ki Zarurat Peish na Aaye Balki Hazrat Isaa Alayhis Salaam Khud hi Kalaam(Baat) karke Unke Ta’ano ka Jawaab de, Aap ka Kalaam karna Aur Unhe Jawaab deina Ta’ano ke Khatm karne me Nass E Qatai ka Darja Haasil hoga.
(Tafseere Roohul Ma’ani, Jild-2, Hissa-1, Safa-86,87)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-504, 505)

>➤ Waapasi par Lougo ki Ta’ana-Zani :-
Quraane Majeed me he ki
“To Use Goud me le Apni Qoum ke Paas Aayi Bole Ay Mariyam Beishak Tune Bahot Buri Baat ki, Ay Haarun ki Bahen Teira Baap Bura Aadmi Na Tha Aur Na Teiri Maa Badkaar”
(Surah Mariyam, Aayat-27,28)
Hazrat Mariyam Alayhis Salaam Jab Chalne-Phir ne ke Qaabil ho gayi to Apne Farzand ko Goud me Utha kar Apne Ghar Louti, Jab Kunba(Qabila/Gharana) Waalo ne Deikha ki Kunwaari Mariyam Baccha Uthaaye Aa rahi he to Unpar Saktah(Heirat/Ta’ajub) ka Aalam Taari ho Gaya, Unhone Rouna Shuru kar diya Aur Bahot Zyada Sharmindagi se wo Sirf Itna Keh Sake honge Ya Mariyam(Ay Mariyam…),

Ek Riwaayat me he ki Jab Bacche ko Apni Qoum ke Paas le Aayi to Bani Israail me ye Baat Mashoor ho gayi, Malaamat(Bura/Bhala) karne ke liye Mard Aur Aurate Doud Aaye, Ek Aurat ne Thappad Maarne ke liye Haath Uthaya to Woh Sukh gaya, Ek Mard ne kaha ye to Zeena-Kaar he (MaazAllah..) to wo Gunga ho gaya, Ye Deikh kar kisi ko Maarne ya Bura-Bhala kehne ki Himmat na hui Aur Bade Naram Andaaz me Itna hi keh Sake Ay Mariyam Beishak Tune Bahot Bura Kaam kiya he…

Hazrat Mariyam Alayhis Salaam ke Ek Bhai ka Naam Haarun tha Is liye Qoum ne Aapko “Ay Haarun ki Bahen” keh kar Pookara, Sahih Hadees se bhi Iski Taaid hoti he,
Muslim Shareef me he ki Hazrat Mugira Bin Sho’eba RadiAllaho Ta’ala Anho Jab Najraan gaye to Waha ke Isaaiyo ne Unse Puchha ki Quraan me Hazrat Mariyam Alayhis Salaam ko “Haarun ki Bahen” kaha gaya he Haalanki Haarun Mariyam Alayhis Salaam se Sad-ha Saal Pehle Guzre he wo koi Jawaab na de sake, Jab Waapas Aaaye to Baargaahe RISAALAT me Is Waaqiye ko Bayaan kiya to HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ne Farmaya ki Bani Israail ka Dastoor(Tour-Tariqa) tha ki woh Apne Baccho ke Naam Ambiya Alayhis Salaam ke Aur Pehle Buzurgo ke Naam par Rakha karte the,
Is se Pata Chalta he ki Hazrat Mariyam Alayhis Salaam ke ek Bhai the, Jin ka Naam Barkat ke liye Hazrat Haarun Alayhis Salaam ke Naam par rakha gaya tha,

Jin Alfaaz se Loug Hazrat Mariyam Alayhis Salaam ko Aar(Tang/Badnaami) dila rahe he wo ye he ki Teira Baap Bura Aadmi na tha Aur Teiri Maa Badkaar(Bure Kaam Karne waali) na thi.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-506, 507)

ALLAHU AKBER…

>➤ Hazrat Mariyam Alayhis Salaam ne Ishaara Bacche ki Taraf kar diya :-
Quraane E Majeed me he ki
“Is par Mariyam ne Bacche ki Taraf Ishara kiya Wah Bole Hum Keise Baat kare Us se Jo Paalne me Baccha he”
(Surah Mariyam, Aayat-28)

Hazrat Mariyam Alayhis Salaam ko ALLAH TA’ALA ka Hukm tha ki Aap ne kisi se Baat nahi karna Balki Ishaare se Batana he ki Meine ALLAH TA’ALA ke liye Roza ki Nazarmaani hui he, Kisi se Bolna nahi, Isi Irshaad ke Muta’abiq Aap ne Isaa Alayhis Salaam ki Taraf Ishara kar diya ki Is se Baat karke Puchh lo,

Baaz Riwaayat me he ki Aapne Bacche ki Taraf Ishaara kiya ki Us se Baat karo to wo Ek Dusre ko kehne lage ki ye to Humaare Sath Mazaaq kar rahi he Is se Humaari Touhin kar rahi he, Hame Ghatiya Samajh rahi he,
Humne Aaj tak Ayse Baccho se kabhi Kalaam(Baat) Nahi kiya Aur Naa hi Aysi Umr ke Baccho me jawaab deine ki Taaqat hoti he, Ay Mariyam Bacche ki Taraf Tumhaara Ishaara karna Sarasar Mazaaq hi Nazar Aata he.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-507, 508)

>➤ Hazrat Isaa Alayhis Salaam ka Bachpan me Baat karna :-
Quraane Azeem me he ki
“Bacche ne Farmaya Mei hu ALLAH ka Banda Usne Mujhe Kitaab di Aur Mujhe Geib ki Khabre Bataane wala(Nabi) kiya, Aur Usne Mujhe Mubaarak Kiya Mei Kahi hu Aur Mujhe Namaaz wa Zakaat ki Taakid Farmaayi Jab tak Jiyu, Aur Apni Maa se Achha Sulook karne wala Aur Mujhe Zabardast Bad-Bakht Na kiya, Aur Wahi Salaamati Mujh par Jis Din Mei Peida huwa Aur Jis Din Maru Aur Jis Din Zinda Uthaya Jaau”
(Surah Mariyam, Aayat-30,31,32,33)

Hazrat Isaa Alayhis Salaam Doodh Pee rahe the, Jab Aapne Bani Israail ki Baat Sooni ki woh keh rahe he Hum Bacche se keise Baat kare…?? to Aapne Doodh pina Chhod diya Unki Taraf Muta’wajje(Dhyaan/Tawajjo) hue, Baayi(left) Haath par Sahara laga kar Apni Shahaadat ki Ungli se Ishaara karke Baat karna Shuru kar diya,
(Subhan Allah…)

Sabse Pehle Aylaan Farmaya “Mei ALLAH TA’ALA ka Banda hu..” (Aap Alayhis Salaam ka ye Farmaan Un Lougo ka Radd Karta he Jinhone Aapko Baad me Khuda mana he..)

Fir Farmaya “Usne Mujhe Kitaab di Aur Mujhe Nabi Banaya” Aap Alayhis Salaam ke Is Irshaad ka Matlab ye tha
“Beishak ALLAH TA’ALA Mujhe Mab’us Farmaayega Ya’ani Aylaane Nabuwwat ka Hukm deiga Aapne Jab Ye Baat Mukkammal ki to Uske Baad Khamosh ho gaye Aur Aam Baccho ke Haal ki taraf Lout kar Aagaye, Fir Jab Aapki Umr 30 Saal ki hui to ALLAH TA’ALA ne Aap ko Nabi Bana kar Mab’us Farmaya, Ek Riwaayat me he ki Aapko ALLAH TA’ALA ne Maa ke Peit me hi Injeel padha di Aur Nabuwwat Ataa Farma di,
Aap Alayhis Salaam ko Nabuwwat ya Kitaab Ataa to Usi Waqt Farma di Jab Aap Maa ke Peit me the, Albatta Lougo ko Tablig karne Aur Aylaane Nabuwwat ka Hukm Baad me diya gaya, Tamaam Ambiya Alayhis Salaam ki Surate Haal yahi he,

Fir Farmaya “Aur Usne Mujhe Mubaarak Kiya Mei Kahi bhi hu”
Ya’ani Mujhe ALLAH TA’ALA ne Deen par Qaraar Pakadne wala Banaya Aur Mei Lougo ko Deen ki Ta’alim Du, Unko Raahe Haqq ki Taraf Bulaau, Ya’ani Jab woh Apni Khawaahisaate Nafsaaniya ki wajah se Bhatak Jaaye to Mei Unhe Seedhi Raah dikhaau,

Fir Farmaya “Aur Mujhe Namaaz wa Zakaat ki Taakid Farmaayi Jab tak Jiyu”
Ya’ani ALLAH TA’ALA ne Mujhe Hukm diya he ki Mei Baalig hone ke Baad Namaaz Adaa karu Aur Lougo ko Zakaat Adaa karne ki Nasihat karu,
Yaad rahe ki Ambiya E Kiraam Alayhis Salaam par Zakaat Laazim nahi hoti kyuki ALLAH TA’ALA ne Unko Duniya ke Maal se Paak rakha hota he, Agar Unke Paas koi Maal Aa bhi Jaaye to wo Tamaam ALLAH TA’ALA ki Raah me Kharch kar deite he, wo Ek Saal Jama karke rakhte hi nahi ki Un par Zakaat Laazim Aaye, Isi Wajah se Unke Maal ka Batoure Wiraasat Taqseem nahi kiya jata kyuki Unke Haath me Maal Dar-Haqiqat ALLAH TA’ALA ka Maal hota he wo Uske Maalik hi nahi hote,

Fir Farmaya “Aur Apni Maa se Achha Sulook karne wala” Is Kalaam se Ishaara tha ki Meiri Maa Paak Daaman he Is liye ALLAH TA’ALA ne Ma’sum Rasool ko Unki Farmaan-Bardaari ka Hukm diya Agar Ma’azAllah Isme koi Aiyb hota to Ma’sum Rasool ko Unki Ta’zim ka kabhi Hukm na diya jata,
Fir Farmaya “Aur Mujhe Zabardast Bad-Bakht Na kiya” Ya’ani ALLAH TA’ALA ne Mujhe Muta’kabbir(Takabbur/Itraane wala) Nahi Banaya Balki Khuzu’a(Aa’jizi) karne wala Aur Apni Maa ke Saamne Aa’jizi ka Izhaar karne wala Banaya he Agar Mei Muta’kabbir hota to Na-Farmaan Aur Bad-Bakht hota,

Fir Farmaya “Aur Wahi Salaamati Mujh par Jis Din Mei Peida huwa Aur Jis Din Maru Aur Jis Din Zinda Uthaya Jaau” Yaha 2 Ihtemaal(Gunjaaish) he, Ek ye ki Hazrat Isaa Alayhis Salaam ne Qoum ko Bataya ki RABB TA’ALA ne Mujhe In Teen Awqaat(Waqto) me Salaamati Ataa Farmaadi he Aur Dusra I htemaal(Gunjaaish) ye he ki Aapne Duaa ki ho ki Ay ALLAH Jis Tarah Tune Yahya Alayhis Salaam ke Muta’aliq khud Bataya ki Meine Unhe Salaamati Ataa Farmaayi he Ayse Mujhe bhi Ataa Farma de, Aap ki Duaa ko Qabul karke ALLAH TA’ALA ne Aapko In Teeno Awqaat me Salaamati Ataa Farma di.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-508 to 512)

Subhan Allah…

Aam Tour par Itni Chhoti Umr ke Bacche Bol nahi Paate, Kisi se Baat nahi kar paate, Magar ye ALLAH TA’ALA ke NABI Hazrat Isaa Alayhis Salaam he, Jinhone Itni Chhoti Umr me Lougo se Baat ki…
ALLAHU AKBER…

>➤ Hazrat Isaa Alayhis Salaam ke Alqaab :-
“Kalimatullah(کَلِمَۃُ اللہ)”, “Masih”, “Wajih”, “Muqarrab”, “Saaleh”, “Mahad wa Kohulat me Muta’kalim”..
Quraane Paak me he ki
“Aur Yaad Karo Jab Farishto ne Mariyam se kaha Ay Mariyam ALLAH Tujhe Bashaarat deita he Apne Paas se Ek Kalime ki Jiska Naam hei Masih Isaa Mariyam ka Beita Rudaar(Ba-Izzat) hoga Duniya Aur Aakhirat me Aur Qurb Wala, Aur Lougo se Baat karega Paalne me Aur Pakki Umr me Aur Khaaso me hoga”
(Surah Aale Imraan, Aayat-45,46)

>➤ Aap Alayhis Salaam ko “Kalema(کلمہ) kyu kaha gaya..??
Iski Kayi Wajah he
»» Aapki Peidaaish Bageir Baap ke Waaste ke ALLAH TA’ALA ke Kalme “Kun” se hui, Aap ki Takhleeq me Jab Baap ka Waasta Nahi, Nutfe ka Istemaal nahi Faqat ALLAH TA’ALA ke Kalme “Kun” se hui to Is Wajah se Aap ko Kalma “kun” kaha gaya Ya’ani “Kalamatullah” se Peida-Shuda Jeisi Makhluq ko Khalq, Maqdur ko Qudrat keh diya jata,

»» Aapne Bachpan ki Haalat me Kalaam Farmaya Is liye Aapko “Kalema” keh diya gaya,

»» Kalema Ma’ani Aur Haqaaiq ka Faida deita he, Isi Tarah Hazrat Isaa Alayhis Salaam Haqaaiq Aur Asraare Ilaahiya ki Rehnumaai Farmaate rahe Lihaza Aapko “Kalema” keh diya gaya,

»» Aapki Bashaarat Aapke Aane se pehle Ambiya Alayhis Salaam ki Kitaabo me Aa chuki thi, Jab Aap Tashreef laaye to Kaha gaya ki ye Wahi “Kalema” he jo Pehle Zikr kiya gaya he, Is Lihaaz se Aap ka Naam “Kalema” rakh diya gaya,

Khyaal rahe ki “Kalema” se Muraad Is Maqaam par Kalaam(Baat) he, ALLAH TA’ALA ka Kalaam Qadeem he, Aap ALLAH TA’ALA ka Kalaam nahi Balki ALLAH TA’ALA ke Kalaam se Peida hone ki Wajah se “Kalimatullah(کَلِمَۃُ اللہ)” hue he.
(Tafseere Kabeer, Jild-8, Safa-38)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-512, 513)

>➤ Hazrat Isaa Alayhis Salaam ko “Maseeh(مسیح) kyu kaha gaya…??
Isme Chand Wajah he..
1) Jab Koi Shaksh Aaafat-Zada hota Ya’ani Kisi bhi Marz(Beemaari) me Mubtila hota to Aap Us par Hath Feirte the to Usko Shifaa Haasil ho jati,
2) Aap Chunki Ek Jagah par nahi rehte the Balki Firte rehte the Is liye Aap ko “Maseeh” kaha gaya,
3) Aap ALLAH TA’ALA ki Raza ke liye Yateemo ke Sar par Haath Feirte Is liye Aap “Maseeh” hue,
4) Aapse Gunaaho Aur Gunaaho ke Bouz, Gunaaho ki Aaludgi(Gandagi) ko Mita diya gaya tha, Ya’ani Aapko RABB TA’ALA ne Gunaaho se Door rakha huwa tha,
5) Aapke Qadmo se Neseeb ko Mitaya huwa tha Ya’ani Aapke Qadam Bilqul Seedhe the, Aam Aadmiyo ki Tarah Nahi the ki Qadmo ke Talwo ka Kuchh Hissa Zameen par Nahi Lagta kyuki Usme Neseeb hota he,
6) Aapko Zeitun ka Mubaarak Teil ALLAH TA’ALA ki Taraf se laga diya gaya tha jo Tamaam Ambiya E Kiraam Alayhis Salaam ko lagaya jata tha Jis se Farishto ko Pata Chal jata tha ki Is Hasti ko “Nabi” Bana diya jaayega,
7) Hazrat Jibrail Alayhis Salaam ne Aapko Apne Paro se Mis kiya tha Taki Aap Sheitaan ke Mis se Mehfuz rahe,
8) Aap Jab Waalida ke Peit se Baahar Tashreef laaye to Aap ko Teil laga huwa tha Aam Bachcho ki Tarah Aapke Baalo ko Teil lagaane ki Zarurat Dar-peish Nahi Aayi.
(Tafseere Kabeer, Jild-8, Safa-52)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-513, 514)

>➤ Hazrat Isaa Alayhis Salaam ko Wajeeh kyu kaha gaya….??
»» Wajeeh ka Ma’ani Saahibe Martaba, Shaahibe Sharaafat Aur Shaahibe Qadr wa Manzelat he, Ye Us Waqt kaha jata he Jab Kisi Shaksh ka Martaba Lougo ya Baadshaho ke Nazdik Zyada Buland wa Bala ho Aur Baaz Ahle Lugaat ne Bayaan kiya he ‘Wajeeh’ ka Ma’ani Batoure Iste’aarah Karam Aur Kamaal liya jata he,

»» Aap Alayhis Salaam Duniya me ‘Wajeeh’ the Kyuki Aap Mustajaabud Da’waat the, Aap ki Duaa se ALLAH TA’ALA ne Murdo ko Zinda kiya, Maadar-zaad Andho ko Nazar Ataa Farmaayi, Baras(Safeid Kodh) Waale Marizo ko Baras(Safeid Kodh) se Naja’at di,

»» Duniya me Aap ke ‘Wajeeh’ hone ki Aur Wajah ye bhi thi ki ALLAH TA’ALA ne Aap ko Un Tamaam Ayub(Khraabi) se Bari rakha jo Yahud Aap par Lagaate the Ya’ani Aap ka Haqiqat me Ayub se Bari hona hi ‘Wajeeh’ hone ka Sabab tha, Agarche Aap par yahud Aiyb lagaate rahe lekin Aapki Shaan me koi Farq na Aa saka, Jeisa ki Hazrat Musaa Alayhis Salaam ko ALLAH TA’ALA ne ‘Wajeeh’ Banaya Agarche Aap par bhi Yahud Aiyb lagaate rahe Aakhirat me bhi Aap ‘Wajeeh’ honge kyu ki ALLAH TA’ALA ne Aap ki Ummat ke Momino ko Haqq Raah par Chalne Waalo ka Shafee’a banaya, Aap ki Shafa’at ko Dusre Tamaam Ambiya E Kiraam Alayhis Salaam ki Shafa’at ki Tarah Qabul kiya jaayega,

»» ALLAH TA’ALA ne Jab Farishto ki Azeem Madah(Ta’aruf) karte hue Unhe Apne Muqarribeen kaha to Aap ko bhi yahi Siffat Ataa Farmaayi kyuki Aap bhi Buland Martaba Aur Rafi-ul-Darjaat he Aur Farishto ke Sath hi Zinda rahenge Aur Aakhirat me Jis Shakhs ko ‘Wajeeh’ Banaya gaya Use Muqarrab to hona hi he kyuki Use Jannat ke Aa’la Martabe Ataa honge.
(Tafseere Kabeer, Jild-8, Safa-53,54)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-514,515)

>➤ Hazrat Isaa Alayhis Salaam ka Laqab ‘Rooh’ :-
Quraane Paak me he ki
“Maseeh Isaa Mariyam ka Beita ALLAH ka Rasool hi he Aur Uska Ek Kalema ki Mariyam ki Taraf Bheija Aur Uske Yaha Ki Ek Rooh”
(Surah Nisha, Aayat-171)

Hazrat Isaa Alayhis Salaam ko ‘Rooh’ kehne ki Chand Wajah he..

»» Aam Lougo ki Aadat Jaari he ki Tahaarat ke Aa’la Darje ki Ta’arif karni ho to Use Rooh keh deite he, Jab Hazrat Isaa Alayhis Salaam ki Takhleeq Baap ke Nutfe se nahi Balki Nafkhe Jibrail Alayhis Salaam(Hazrate Jibrail Alayhis Salaam ki Foonk) se hui to Yaqinan Aap ki Siffat ‘Rooh’ se Bayaan ki gayi,

»» Aap Makhluq ke Deen ke Zinda rehne ka Sabab Bane Jiska Deen Zinda rahe Use ‘Rooh’ keh liya jata he,

»» ‘Rooh’ Ba-Ma’ani Rehmat ke bhi Istemaal hota he, Yaha ‘Rooh’ se Muraad Rehmat he, Chunki Isaa Alayhis Salaam bhi ALLAH TA’ALA ki Taraf se Makhluq ke liye Rehmat Bana kar Bheije gaye, Aap Unko Deen wa Duniya me Neiki ke Raaste ki Hidaayat karte to Isi Wajah se Aap Alayhis Salaam ko ‘Rooh’ kaha gaya,

»» Rooh kalaam Arab me Foonk ke Ma’ani me bhi Istemaal he, Aap ko ‘Rooh’ Is liye kaha gaya ki Aap ALLAH TA’ALA ke Hukm Aur Uske Izn(Ijaazat) se Nafkhe Jibrail Alayhis Salaam(Hazrate Jibrail Alayhis Salaam ki Foonk) se Peida hue,

»» Shareef, Qudsi, Buland Martaba Rakhne waali Rooho me se Aapki Rooh bhi he, Ya’ani Aapki Rooh Azeem Rooh he, Is liye ALLAH TA’ALA ka Qurb Haasil he, Isi liye Aapko ‘Rooh’ Keh diya gaya.
(Tafseere Kabeer, Jild-8, Safa-115)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-517)

>➤ ‘Roohe Quddus’ se Aapki Imdaad ki gayi :-
Quraane Azeem me he ki
“وَ اَیَّدۡنٰہُ بِرُوۡحِ الۡقُدُسِ”
“Aur Paak Rooh se Uski Madad ki”
(Surah Al Baqara, Aayat-87)

Is “رُوۡحِ الۡقُدُس(Paak Rooh)” se Muraad kya he..??
Isme Mukhtilaf(Alag Alag) Aqwaal(Baate) he Lekin In Tamaam Wajaho se Aapko Imdaad(Madad) di gayi

Is ‘رُوۡحِ الۡقُدُس’ se Muraad Hazrat Jibrail Alayhis Salaam he, Ya’ani Jibrail Alayhis Salaam Hazrat Isaa Alayhis Salaam ki Imdaad(Madad) Farmaate rahe, Hazrat Jibrail Alayhis Salaam ko Jo ALLAH TA’ALA ke Yahaa Shara’afat(Izzat) Aur Buland Martaba Haasil he Isi Wajah se ‘رُوۡحِ الۡقُدُس’ kaha gaya Aur Jis Tarah Badan ko Rooh ke Zariye Zindagi Haasil hoti he Ayse hi Jibrail Alayhis Salaam ke Zariye Deen ko Zindagi Haasil hoti rahi kyuki Aap Tamaam Ambiya E Kiraam ke Paas Wahi(KHUDA TA’ALA ka Peigaam) Laate rahe, Jiske Zariye Ambiya E Kiraam Alayhis Salaam Ihyaa E Deen(Deen ko Zinda Karne) ka Fariza(Zimmedari) Sar-Anjaam deite rahe Agarche Tamaam Farishto ko Roohaaniyat Haasil he Lekin Jibrail Alayhis Salaam ko Tamaam se Zyada Aur Kaamil Roohaaniyat Haasil he Isi Wajah se Aapko ‘رُوۡحِ الۡقُدُس’ ka Laqab Ataa kiya gaya,

Zyadatar Hazraat ne ‘رُوۡحِ الۡقُدُس’ se Muraad Jibrail Alayhis Salaam hi liye he ki Aap ki Taaid(Madad) Hazrat Isaa Alayhis Salaam ko Hameisha Haasil rahi kyuki Aap Jaha Jate Jibrail Alayhis Salaam Unke Saath hi Chalte Aur Jami’a Ahwaal(Tamaam Haalaat) me Aapka Sath deite rahe Aur Aasmaan me bhi Aapke Sath gaye.
(Tafseere Kabeer, Jild-3, Safa-177)
Aur Hazrat Isaa Alayhis Salaam ko Kitaab wa Hikmat Ataa ki gayi, Kitaab se Muraad Ketaabat Ya’ani Aapko Likhne ka Ilm Ataa Kiya gaya,

Hazrat Isaa Alayhis Salaam ko ALLAH TA’ALA ne Khat ke 9 Hisse Ataa Farmaaye Aur Baaqi Tamaam Lougo ko 1 Hissa Ataa kiya gaya,
(Tafseere Roohul Ma’ani, Jild-2, Hissa-2, Safa-166)

Hikmat se Muraad Fiqaah(Shariyat ka Ilm), Halaal wa Haraam ka Ilm, Tamaam Ambiya Alayhis Salaam ki Sunnato ka Ilm Aur Tamaam Ulume Aqaliya Aapko Ataa kiye gaye.
(Tafseere Roohul Ma’ani, Jild-2, Hissa-2, Safa-166)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-518, 519)

>➤ Hazrat Isaa Alayhis Salaam ke Mo’jizaat :-
Quraane Azeem me he ki
“Mei Tumhaare Paas Ek Nishaani Laya hu Tumhaare RABB ki Taraf se ki Mei Tumhaare liye Mitti se Parind ki Murat Banata hu Fir Usme Foonk Maarta hu to wah Fouran Parind Ho Jati he ALLAH ke Hukm se”
(Surah Aale Imraan, Aayat-49)

>➤ Parinde Banana :-
Hazrat Isaa Alayhis Salaam ko Ye Mo’jiza Ataa karke ALLAH TA’ALA ne Aapki Peidaish par Daleel Qayam Farma di Ya’ani Hazrat Isaa Alayhis Salaam ne Goya ki Apni Qoum ko Bataya Ay Meiri Qoum Tum Peidaish me Shak karte ho ye Dar-Haqiqat RABB TA’ALA ki Qudrat me Shak he, RABB TA’ALA ne Mujhe bhi ye Mo’jiza Ataa Farmaya he ki Mei Bageir Maa-Baap ke Mitti se Parinde ki Murti Bana kar ALLAH TA’ALA ke Hukm se Usme Foonk Maarta hu to wo Haqiqi Tour par Parinda Ban jata he.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-519)

Subhan Allah…

>➤ Hazrat Isaa Alayhis Salaam ne Chamgadadh Banaayi :-
Bani Israail ne Aap Alayhis Salaam se bhi Isi Tarah Sarkashi(Na-Farmaani) ke Tour par Chamgadadh Banaane ka Motaaleba(Maang) kiya Jis Tarah wo Apni Aadat ke Muta’abiq Pehle Ambiya Alayhis Salaam se Mo’jizaat ka Sawaal karte chale Aa rahe the, Jab Aap Alayhis Salaam ne Unke Motaalebe ke Muta’abiq Mo’jiza dikha diya to Woh Kehne lage ye to Jaadugar he…

Unhone Aap Alayhis Salaam se Chamgadadh Banaane ka Motaaleba hi kyu kiya tha…??
Is liye ki Ye Aysa Parinda he Jisme Parindo, Heiywaano(Jaanwaro) Aur Insaano Waale Awsaaf(Khoobiya) Paaye jate he, Ise Banaane me Unhe Bazaahir Mushkil Nazar Aayi ki Ise Banana to Bahot Badi Qudrat ka Taqaza he,

Chamgadadh ke Daant Aur Daadhe hoti he, Use Heiz Aata he Aur Ye Bacche Janti he, Ande Nahi deiti, Paro ke Ya’ani Gosht ke Baazu’o se Udti he, Uske Kaan hote he, Uske Pistaan(Aurat ki Chhaati) hote he, Uske Thhano se Doodh Aata he, Ye Insaano ki Tarah Hansti he, Din ki Roushni Aur Raat ki Taariki(Andhera) me Nahi deikh Sakta, Use Sirf 2 Waqto me Nazar Aata he Ek Suraj ke Guroob(Doobne) hone ke Baad Jab Tak Roushni rahe Aur Dusra Subah ke Baad Zyada Roushni se pehle,

Mashoor ye he ki Hazrat Isaa Alayhis Salaam ne Chamgadadh ke Bageir koi Aur Parinda Nahi Banaya,

Ek Qoul me he ki Aapne Jis Chamgadadh ko Banaya woh Lougo ke Saamne Udi Aur Jab Nazro se Gaaib ho gayi to Gir kar Marr gayi Taaki ALLAH TA’ALA ki Takhleeq Aur Bande ke Banaane me Farq rahe, Albatta Baaz Dusre Ahle Ilm ne kaha ki Aapne kayi Qism ke Parinde Banaaye the,

Aap Alayhis Salaam ke Parinde Banaane me Ek Qoul ye bhi he ki Aap Ek Martaba Ladko ke Sath Maktab(Padhne Likhne ki Jagah/Dars-Gaah) me the Aapne Gundhi hui Mitti li Aur Aapne Ladko ko kaha Kya Mei Tumhe Is se Parinda Bana du..?? Unhone kaha Kya Tum Bana Sakte ho. ?? Aap Alayhis Salaam ne Kaha Haa Mei Apne RABB TA’ALA ke Hukm se Aysa Kar Sakta hu, Fir Aapne Ek Parinde ki Murat(Shakl-Surat) Bana kar Usme Foonk Maari to Wo ALLAH TA’ALA ke Hukm se Parinda Ban Gaya Aur Aapke Haath se Nikal kar Ud gaya, Baccho ne Ye Waaqiya Apne Ustaaz ke Saamne Bayaan kiya Aur Ye Dusre Lougo me bhi Mashoor ho gaya, Taaham(Iske Ba-Wajud) Pehla Qoul hi Zyada Mashoor he.
(Tafseere Roohul Ma’ani, Jild-2, Hissa-2, Safa-167)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-520)

>➤ Maadar-Zaad Andhe Aur Barsh Waale ko Shifaa Deina :-
Quraane Kareem me he ki
“Aur Mei Shifaa deita hu Maadar-Zaad Andhe Aur Safeid Daag Waale ko”
(Surah Aale Imraan, Aayat-49)

Jo Peidaishi Tour par Andha ho Use “Akmah(اکمہ) kehte he, Isi Tarah Jiski Aankho ka Nishaan Na ho Use bhi “Akmah(اکمہ) kehte he, Hazrat Isaa Alayhis Salaam Ayse Andho ke liye Duaa Farmaate to ALLAH SUBHAN WA TA’ALA Unko Nazar Ataa Farma deita, Isi Tarah Aap Barsh(Safeid Kodh/Daag) ke Mareez(Beemar) Waale ke Liye Duaa Farmaate Use bhi ALLAH TA’ALA Shifaa Ataa Farmaata,

>➤ Sirf 2 Marizo ka Zikr kyu…??
In 2 Mareezo se Shifaa deine ka Khushushi Tour par Mo’jiza Aap Alayhis Salaam ko Ataa Farmaaya gaya tha Kyuki Us Waqt ke Bade Bade Tabeeb(Doctor) Jo Kaseer(Zyada) Taadad me the, In 2 Mareezo ka Ilaaj karne se Aa’jiz(Bebas) Aa Chuke the, Inko Peichida Amraaz(Beemariya) Qaraar diya gaya tha, Aap Alayhis Salaam ke Zamaane me Ilme Tibb(Ilaaj ka Ilm) ka Zour tha, Bade Bade Tabeeb Moujud the to Hazrat Isaa Alayhis Salaam ko Aysa Mo’jiza Ataa Farmaaya gaya ki Jis se Tamaam Tabeeb Aa’jiz Aa chuke the, Jeise Hazrat Musaa Alayhis Salaam ke Zamaane me Jaadugari ka Zour tha to Aap Alayhis Salaam ko Mo’jizaat Ataa kiye gaye, Khushushan Asaa(Laathi) se Asdha(Azgar) Banaya Jikse Saamne Bade Bade Jaadugar Aajiz Aa gaye the,

Hazrat Wahab RadiAllaho Ta’ala Anho se Marvi he ki Hazrat Isaa Alayhis Salaam se Pacchas Hazaar(50,000) Aadmiyo ne Ilaaj karaya Jo Aapke Paas Aane ki Taaqat rakhte the wo Khud Haazir hue Aur jo Aapke Paas Aane ki Taaqat nahi rakhte the Un ke Paas Hazrat Isaa Alayhis Salaam Khud Tashreef le Jaate Unse Imaan Laane ki Shart rakhte Fir Aap Unka Ilaaj ALLAH TA’ALA se Duaa karke Farmaate, Aap Alayhis Salaam Andho, Majnuno(Pagal/Deewano), Chalne Firne se Aa’jiz Aur Har Qism ke Marizo ke liye ye Duaa Farmaate (Jo Photo me he..).

»» Faida :-
Hazrat Wahab RadiAllaho Ta’ala Anho kehte he ki Ye Duaa Kisi Mushibat-Zada(Aaafat ka Mara) Pareishan-Haal(Heiraan) Aur Jinno ke Marz waale Par Padhi Jaaye Aur Likh kar Use Pilaai Jaaye to In sha Allah Faaida Hoga.
(Tafseere Roohul Ma’ani, Jild-2, Hissa-2, Safa-169)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-520, 521)

Subhan Allah…

>➤ Murdo ko Zinda Karna :-
Quraane Majeed me he ki
“Aur Mei Murde Jilata hu ALLAH ke Hukm se”
(Surah Aale Imraan, Aayat-49)

Hazrat Isaa Alayhis Salaam ALLAH TA’ALA ke Hukm se Murdo ko Zinda Farmaate the, ALLAH TA’ALA se Duaa Farmaate Aur “یا حی یا قیوم”(Ya Hayyo Ya Qayyum) Padhte, Murda Zinda ho Jata,
(Subhan Allah…)

Ek Riwaayat me Bayaan he ki Aap Alayhis Salaam ne Char(4) Shaksho ko Zinda kiya,
1) Aa’zar , 2) Budhiya ka Beita,
3) Aa’shar ki Beiti, 4) Saam Bin Nooh,

»» 1) Aa’zar :-
Aap Alayhis Salaam ka Dost ‘Aa’zar’ Jab Fout(Inteqaal) ho gaya To Uski Bahen ne Aap Alayhis Salaam ki Taraf Peigaam Bheija ki Aap ka Dost Aa’zar Fout ho gaya, Aa’zar ke Ghar Aur Aap Alayhis Salaam Jaha Tashreef Farma the Uske Darmiyaan 3 Din ki Masaafat(Faasla) thi, Aap Aur Aapke Kuchh Sathi Jab Waha Tashreef Laaye to Uski Bahen ko kaha Mujhe Uski Qabr par le Jaao, Aap Alayhis Salaam ne Qabr par Aakar ALLAH TA’ALA se Duaa ki to ALLAH TA’ALA ne Use Zinda kar diya, Woh Isi Tarah Kuchh Zamaana Zinda raha Yaha tak ki Zinda hone ke Baad Uski Aulaad bhi hui,

»» Budhiya ka Beita :-
Isi Tarah Budhiya ka Beita Fout ho gaya, Use Char-Paai(Palang) Par Utha kar le ja rahe the, Hazrat Isaa Alayhis Salaam ke Qareeb se Janaaze ka Guzar huwa to Aap Alayhis Salaam ne Uske liye Duaa Farmaayi to Woh Zinda ho kar Char-Paai par Beith gaya Aur Niche Utar Aaya, Usne Kafan Utaar kar Kapde Pahen liye Aur Char-Paai ko Khud Kandho par Utha liya Aur Apne Ghar Waapas Aagaya, Woh Bhi Kuchh Zamaana Zinda raha Aur Uski Aulaad bhi Baad me hui,

»» Aa’shar ki Beiti :-
Ek Shaksh jo Lougo se Ushr(Kheiti ki Peidaawaar ka 10 Wa Hissa) Wasul karta tha, Ya’ani Baadshah ki Taraf se Use Ushr Wasool karne par Muqarrar kiya huwa tha, Uski Beiti Fout(Inteqaal) ho gayi, Dusre Din Hazrat Isaa Alayhis Salaam ne Uske liye Duaa ki Woh Zinda ho gayi, Woh bhi Uske Baad Kuchh Waqt tak Zinda rahi Uske Baad Aulaad hui,

»» ‘Saam Bin Nooh’ :-
Hazrat Nooh Alayhis Salaam ke Beite ‘Saam’ ko Fout hue Kayi Sadiya Bit(Guzar) Chuki thi, Hazrat Isaa Alayhis Salaam Uski Qabr par Aaye Uske liye Duaa ki, Use ALLAH TA’ALA ne Zinda kar diya, Jab Woh Qabr se Nikla to Qayaamat ke Khouf se Uska Sar Nishf-Safeid(Aadha Safeid) ho Chuka tha Halaanki Us Zamaane me Lougo ke Baal Safeid Nahi Huwa karte the, Sab se Pehle Hazrat Ibhraahim Alayhis Salaam ke Baal Safeid hue, Usne Qabr se Nikalte hue Puchha Kya Qayaamat Aa gayi….??
Hazrat Isaa Alayhis Salaam ne Farmaya Nahi Qayaamat to Abhi Nahi Aayi Albatta Meine ALLAH TA’ALA se Duaa karke Tumhe Zinda kiya he, Aap Alayhis Salaam ne Farmaaya Ab Tum Fir Marr Jaao, Usne Kaha Thik he Lekin Shart ye he ki Mujhe Sakraate-Mout(Mout ki Shakhti) Se Mehfuz rakha jaaye, Aap Alayhis Salaam ne ALLAH TA’ALA se Duaa ki ALLAH TA’ALA ne Use Sakraate-Mout ke Bageir hi Dobara Mout Ataa Farma di,

»» ‘Saam Bin Nooh’ ko Zinda karne ki Kya Wajah thi…??
‘Saam Bin Nooh’ ko Zinda karne ki Wajah ye thi ki Jab Qoum ne kaha Tumne jo Murde Abhi Zinda kiye he Unki Mout ke Baad Jald hi Tumne Unko Zinda kiya he, Ho Sakta he Wo Haqiqat me Mare hi Na ho, Balki Unko Saktah ka Marz(Saktah Ek Dimaagi Beemari he Jisme Behoshi Ta’ri ho jati he Aur Murde ki Tarah Hous wa Harkat Nahi Rehta) Laahiq ho, To Unke kehne par Aap Alayhis Salaam ne ‘Saam Bin Nooh’ ko Zinda kiya, Aap Alayhis Salaam Aur ‘Saam Bin Nooh’ ke Darmiyaan Char Hazaar(4,000) Saal ka Faasla tha, Jab Woh Zinda huwa to Usne Kaha
“Ay Lougo Tum In par Imaan le Aao, Ye ALLAH TA’ALA ke Nabi he, Kuchh Lougo ne to Imaan Qabul kar liya tha Lekin Kuchh Bad-Bakhto ne ye Azeem Mo’jiza Deikhne ke Baad bhi ye kaha ki Ye Jaadu he… Woh Imaan Laane se Mehrum rahe.
(Tafseere Roohul Ma’ani, Jild-2, Hissa-2, Safa-169)

Baaz Riwaayat me ye bhi he ki Us Waqt ke Baadshah ne Apne Beite ko Zinda karne ki Darkhwaast ki thi Taaki Woh Zinda ho kar Meira Khalifa Ban Sake, To Aap Alayhis Salaam ki Duaa se Woh bhi Zinda ho gaya tha Aur Aap Alayhis Salaam ne ALLAH TA’ALA ke Hukm se Aur ALLAH TA’ALA se Duaa karke Kayi Jaanwaro ko bhi Zinda kiya tha.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-521, 522, 523)

Subhan Allah…
Beishak Murde ko Zinda karna Ye Hazrat Isaa Alayhis Salaam ka Azeem Mo’jiza he..

>➤ Hazrat Isaa Alayhis Salaam ko Ulume Geibiya Ataa kiye gaye :-
Quraane Majeed me he ki
“Aur Tumhe Batata hu jo Tum Khaate Aur jo Apne Gharo me Jama’a kar rakhte ho”
(Surah Aale Imraan, Aayat-49)

Hazrat Isaa Alayhis Salaam ne Bachpan me hi Geibi(Poshida/Gaayab) Khabre Deina Shuru kar di thi, Jab Aap ke Sath Bacche Kheilte to Aap Unhe Unke Waalidein(Maa-Baap) ke Af’aal(Kaam) ki Khabre deite Aur ye Bataate Tumhaari Maa ne Tumhaare liye kya Chiz Chhupa kar rakhi hui he…?? Bachhe Ghar Aa kar Wo Chize Maangte, Na Milne par Route, Jab Lougo ko Pata Chala ki Hazrat Isaa Alayhis Salaam Humaare Baccho ko ye Bataate he To Unhone Baccho ko kaha Tum Is Jaadugar ke Sath Na kheila karo (Nauzobillah), Unhone Apne Baccho ko Apne Apne Gharo me Rouk liya, Baahar Nikal kar Hazrat Isaa Alayhis Salaam ke Sath Kheilne par Pabandi(Rok) Aaid kardi, Aap Alayhis Salaam Khud hi Baccho ko Bulaane Unke Gharo me Aa gaye, Unke Waalidein ne kaha ki Woh Ghar Nahi he, Aap Alayhis Salaam ne kaha Woh to Ghar hi me he Agar Wo Ghar Nahi to Kon Gharo me he..? Unhone kaha Khinzir(Suwar/Pig) he, Hazrat Isaa Alayhis Salaam ne Farmaaya Achha Khinzir hi honge, Aap Alayhis Salaam ke Kehne par Woh Khinzir hi ho gaye,

Isi Tarah Maaida(Dastarkhan Jis par Khana Chuna huwa hota he) ke Utar ne par Aap Alayhis Salaam ne Qoum ko kaha ki Zakhira(Jama) Bana kar Nahi rakhna, Itna hi Leina he Jo Is Waqt Tum Khaa Sako, Lekin Qoum ne Zakhira Banana Aur Dusre Waqt ke liye Jama karna Shuru kar diya To Aap Alayhis Salaam ne Farmaya Mujhe Ma’alum he jo Tum Khaate Aur Jo Jama karte ho, Aap Alayhis Salaam ne Har Ek ko Waazeh Tour par Bataya ki Tumne Kitna Khaya he Aur Kitna Jama kiya he.
(Tafseere Kabeer, Jild-8, Safa-61)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-523)

>➤ Hawaareen ka Imaan Lana :-
Quraane Hakeem me ALLAH SUBHANAHU WA TA’ALA Irshaad Farmata he
“Aur Jab Meine Hawaariyo ke Dil me Dala ki Mujh par Aur Meire Rasool par Imaan laao Bole Hum Imaan laaye Aur Gawaah Rah ki Hum Musalmaan he”
(Surah Al Maaidah, Aayat-111)

ALLAH TA’ALA ne Hazrat Isaa Alayhis Salaam ko Jo Ina’amaat Ataa Farmaaye Unme se ye bhi he ki Hawaareen ne Aap Alayhis Salaam ke Irshaadaat ko Taslim kiya Aur Imaan laaye,

Khyaal rahe ki Imaan Deel ki Siffat he Ya’ani Sidqe-Qalbi(Sacche Deel) Aur Islaam Zaahiri Ita’at ka Naam he, Goya ki RABB TA’ALA ne Unhe 2 Chizo ka Hukm diya Deelo se Imaan Laao Aur Zaahiri Tour par bhi Ita’at(Farmaan-Bardaari) karo.
(Tafseer Kabeer, Jild-12, Safa-127)

Hawaariyo ne kaha Jis Tarah Hume Hukm diya gaya he Hum Uske Muta’abiq Imaan Laaye Aur Tu Khud hi Gawaah Rah ki Hum Musalmaan he Ya’ani Apne Imaan me Mukhlish(Sacche) he Aur Zahiri Tour par bhi Teire Mutee’a(Farmaan-Bardaar) he Jeise Tune Humaare Deelo me Hukm Ilqaa(Deel me Dala) kiya he Hum Use Tasleem karte he.
(Tafseere Roohul Ma’ani, Jild-4, Safa-58)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-525)

>➤ “Hawaareen” Kon the…??
Hawaari Safeid hone ke Ma’ani me bhi Istemaal he, Gharo me Ba-Parda Rehne wali, Suraj ki Garmi se Bachne waali Aurato ko bhi Hawaariyaat kaha jata he, Isi Wajah se ‘Dhobhi'(Kapde Dhone wala Shaksh Jiska Kaam Kapde Dhona he) ko bhi Hawaari kaha jata he ki Woh Kapdo ko Safeid karta he,

Hazrat Isaa Alayhis Salaam ke Hawaareeyo ko Hawaareeyin kehne ki Wajah me Mukhtilaf(Alag Alag) Aqwaal(Baate) he,
1) Woh Safeid Kapde Pahente the Is liye Unhe Hawaareen kaha gaya he,
2) Woh Dhobhi the Lougo ke Kapde Safeid karte the Is liye Hawaareen kaha gaya,
3) Unke Deel Saaf Aur Paakiza the Is liye Unka ye Naam huwa,

>➤ Woh Loug Kya Kaam karte the…??
Isme bhi Mukhtilaf Aqwaal he..

1) Woh Machhali ka Shikaar karte the Unme Ya’aqub, Sham’un Aur Yuhna Naami Aadmi the, Hazrat Isaa Alayhis Salaam Unke Qareeb se Guzre to Unhe kaha Tum Machhali ka Shikaar karte ho..
Aagr Tum Meiri Ta’abedaari(Farmaan-Bardaari) karo To Tum Hameisha Lougo ka Shikaar karoge Ya’ani Mujh par Imaan Laao To Tumhe Hayaate Jaavedani(Hameisha Zindagi) Haasil hogi, Loug Khud ba Khud Tumhaari Ta’abedaari karenge, Tumhaare Ahkaam par Chalenge, Goya woh Tumhaare Shikaar honge, Unhone Aap Alayhis Salaam se Puchha Tum kon ho…?
Aap Alayhis Salaam ne Farmaaya Isaa Ibne Mariyam, ALLAH TA’ALA ka Banda Aur Uska Rasool hu, Un Lougo ne Aap Alayhis Salaam se Mo’jiza Talab(Mang) kiya, Aap Alayhis Salaam ne Sham’un ko Paani me Jaal Daalne ke liye kaha, Jab Usne Jaal Dala to Itni Machhaliya Nikli ki Do(2) Kashtiya Bhar gayi, Halaanki Is se Pehle wo Raat Bhar Apni Koshis kar Chuka tha, Kayi Martaba Jaal Daalne par koi Machhali Nahi Nikli thi,
Hazrat Isaa Alayhis Salaam ke Is Mo’jize ko deikh kar Woh Loug Imaan le Aaye, Us Waqt Waha Woh Jitne Loug the 12 ya 29 Sab hi Imaan le Aaye (Subhan Allah..),
Ye Jab Bhuke hote to kehte Ay Roohul Allah… Hum Bhuke he, To Hazrat Isaa Alayhis Salaam Apna Hath Mubaarak Zameen Par Maarte, Har Ek ko 2 Rotiya Nikaal deite, Jab woh Pyaase hote to Pyaas ki Shikaayat karte to Aap Alayhis Salaam Zameen par Apna Haath Mubaarak Maar kar Har Ek ko Paani Nikaal deite to Woh Paani Pee leite, Woh kehne lage Humse Afzal kon hoga..?? Jab Hum T’aam(Khana) Talab karte he to Aap Hume T’aam Khila deite he Aur Jab Hum Paani Talab karte he to Aap Hume Paani Peela deite he Tehqeeq Hum Aap par Imaan Laa Chuke he, Hazrat Isaa Alayhis Salaam ne Farmaaya Tum me se Afzal woh he jo Apne Haatho se kaam kare Aur Us se Haasil kiya gaya Maal khaaye, Aap ke Is Irshaad ke Baad Unhone Mahenat wa Mazduri Shuru kardi, Woh Lougo ke Kapde Dhoute the Aur Uski Haasil-Shuda Mazduri ko hi Apna Kharch Banaate,

2) Hawaareen ke Muta’aliq Ek Qoul ye he ki Ek Baadshah ne Ek Martaba Lougo ki Da’waat ki, T’aam Taiyyar ho gaya, Taqseem(Baatne) ke Waqt Ek Pyaale par Hazrat Isaa Alayhis Salaam Muqarrar hue, Aap Alayhis Salaam ne Taqseem karna Shuru kiya, Ek hi Pyaala Sab Lougo se Khatm Na ho Saka, Baadshah ne Jab Aap Alayhis Salaam ke Mo’jiza ko Deikha to Usne Apni Baadshahat Chhod di, Aap Alayhis Salaam ki Ta’abedaari(Farmaan-Bardaari) Ikhteyaar karli, Baadshah ke Kuchh Qareebi Loug bhi Uske Sath Hazrat Isaa Alayhis Salaam ke Taa’be(Farma-Bardaar) ho gaye Unhi Lougo ko Hawaareen Kaha Jata he,

3) Ek Aur Qoul ye he ki Aap Alayhis Salaam ki Waalida ne Aap ko Ek Kapde Rangne waale Shaksh ke Paas Chhoda Taki Ye Bhi Kapde Rangna Sikh Jaaye, Woh Aap Alayhis Salaam ko Jab Bhi Apne Fan(Kaarigari) ki koi baat Batana Chahta to wo Aap Pehle hi Jaante hote, Ek Din Woh Shaksh kisi Kaam ke liye Jaane laga to Aap Alayhis Salaam ko kaha ki ye Kapde he, Har Ek par Meine Nishan laga diya he, Isi ke Muta’abiq Tum Kapde Rang deina, Woh Chala gaya, To Aap Alayhis Salaam ne Tamaam Rang Ek Bartan me Daal kar Paka diye Aur Isi Ek Bartan me Tamaam Kapde bhi Daal diye Aur Kapdo se Mukhaatab ho kar kaha ‘Tum ALLAH TA’ALA ke Hukm se Ayse hi ho Jaao Jeise Mei Chahta hu’..

Jab Woh Shaksh Waapas Aaya to Usne Puchha Kya Tum ne Kapde Rang diye he..?? Aap Alayhis Salaam ne Farmaaya Haa Meine Sab Rang Aur Sab Kapde Ek Bartan me Daal diye he, Range Ja Chuke he Aap Nikaal le, Usne Jab ye Soona to Kehne laga Tumne Kapde Barbaad kar diye he, Aap Alayhis Salaam ne Farmaaya Uth kar deikho to Shayad Sahih Range ho, Usne Jab Kapde Nikaalna Shuru kiye to Woh Isi Tarah Range hue the Jeise Usne Nishan lagaaye the, Koi Surkh(Laal), Koi Zard(Pila) Aur koi Sabz(Leela) Rang tha, Ye Maanjra deikh kar Waha Sab Haazireen Muta’ajib(Heiraan) hue Aur Sab ne Imaan Qabul kar liya Un Lougo ko hi ‘Hawaareen’ kaha jata he,

In Tamam Aqwaal ke Muta’aliq Hazrat Qefaal Rahmatullah Alay ki Raay ye he ki In Aqwaal me koi Ikhtelaaf(Juda/Difference) nahi, Balki Inme se Baaz Baadshah Aur Uske Qareebi(Nazdiki) the Aur Kuchh Shikaari the, Kuchh Kapde Rangne Waale Aur Kuchh Dhobhi the, In Tamaam ko ‘Hawaareen’ kaha gaya Kyuki Woh Tamaam Hazrat Isaa Alayhis Salaam ke Madadgaar the Aur Unke Sath Mohabbat karne waale Aur Unki Ita’at(Farmaan-Bardaari me Mukhlish(Sacche) the,

Allama Aalusi Rahmatullah Alay ne Farmaaya ki Aapke Jitne Loug bhi Mo’aavin(Madadgaar) Aur Khulush(Saccha Lagaav/Paakizgi) se Aapke Sath Mohabbat karne waale the Woh Tamaam “Hawaareen” the.
(Tafseere Roohul Ma’ani, Jild-2, Safa-176)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-526, 527)

>➤ Hawaareen ka Aasmaani Khana Talab karna :-
Quraan Shareef me he ki
“Jab Hawaareeyo ne kaha Ay Isaa Bin Mariyam Kya Aapka RABB Aysa Karega ki Hum par Aasmaan se Ek Khwaan(Khana Wageira Lane-le Jane ka Thal/Seeni/Thal) Utaare Kaha ALLAH se Daro Agar Imaan rakhte ho, Bole Hum Chaahte he ki Usme se Khaaye Aur Humaare Deel Thehre Aur Hum Aankho deikh le ki Aapne Hum se Sach Farmaaya Aur Hum Us par Gawaah ho jaaye”
(Surah Al Maaidah, Aayat-112, 113)

Hawaareen Chunki Musalmaan the, Unhone ALLAH TA’ALA ki Qudrat me Koi Shaq Nahi kiya,
Aam Mohaqeqeen(Tehqeeq Karne waalo) ne Aysa hi Bayaan kiya he Ya’ani Unhone Aasmaan se T’aam(Khana) Utarne ka Mutaaleba(Maang) kiya, Hazrat Isaa Alayhis Salaam ne Farmaaya Tum Is Qism ke Sawaal karne se ALLAH TA’ALA se Daro, Zyada Nishaaniya Aur Mo’jizaat ka Mutaaleba Na karo,
Aur Aap Alayhis Salaam ne Farmaaya Agar Tumhe ALLAH TA’ALA ki Qudrat par Imaan he Aur Meiri Nabuwwat ke Sahih Hone par Yaqeen he Aur Tumhe Apne Imaan me Kamaal Aur Khulus Haasil he Aur Agar Tum Apne Da’wa E Imaan Aur Khulus me Sacche ho to Is Qism ke Sawaal karne ka Tumhaara kya Maqshad he…??

Qoum ne Jawaab diya ki Hum Aasmaan se khana Utar ne ka Sawaal karke Ek Mo’jize ki Talab(Maang) Nahi kar rahe, Balki Humara ye Sawaal Aur Haqiqat Kayi Chizo ki Talab(Maang) par Mushtamil(Shamil) he..

»» Hum Chahte he ki Aasmaan se Humaare liye Khana Utre kyu ki Hum Bhook me Mubtila he, Humaare Paas Aur koi Khaane ki Chiz Nahi he,

»» Hume ALLAH TA’ALA ki Qudrat par Yaqeen he Lekin Jab Hum Iska Moshaahedah(Deikhenge) karenge ki ye Khana Aasmaano se Naazil huwa he to Humara Yaqeen Aur Badh Jaayega Aur Itmenaan hoga,

»» Hum Aap ke kayi Mo’jizaat ko deikh kar Aap ki Sadaaqat(Sacchai) ka Yaqeen kar Chuke he, Jab Ye Mo’jiza bhi deikh leinge to Aap ki Sadaaqat wa Nabuwwat par Humara Imaan Aur Zyada hoga, Aapke Mo’jizaat Aur Zyada Haasil honge, Aapke Muta’aliq Aur Itmenaan hoga,

»» Is se Pehle Aap ne Agarche Kayi Mo’jizaat dikhaye he lekin Woh Tamaam Zameen se Ta’aluq rakhne waale the, Ab Hum woh Mo’jiza deikhna Chahte he Jiska Ta’aluq Aasmaano se he, Ye Azeem Aur Ajeeb Mo’jiza hoga, Jab Hum Iska Mushaaheda kar leinge to Hum Is par Gawaah Ban Jayenge, Bani Israail ke jo Loug Haazir Nahi Unhe bhi Bataayenge,

»» Hum ye Khana Batoure Tabarruk(Woh Chiz Jisme Barkat Hone ka Yaqin ho) khaayenge ki ye Nabi ke Mo’jize se Haasil he,

»» Aur Hum ye Khana Batoure Mohabbat Khaayenge ki Hume ye Apne Nabi ke Zariye Haasil he.
(Tafseere Roohul Ma’ani, Jild-4, Safa-60)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-528, 529, 530)

>➤ Hazrat Isaa Alayhis Salaam ka Aasmaani Dastarkhwaan ke liye Duaa Karna :-
Quraane Kareem me he ki
“Isaa Bin Mariyam ne Arz ki Ay ALLAH Ay RABB Humaare Hum par Aasmaan se Ek Khwaan(Thaal/Seeni) Utaar ki Woh Humaare liye Eid ho Humaare Agle Pichhlo ki Aur Teiri Taraf se Nishaani Aur Hume Rizq de Aur Tu Sabse Behtar Rozi deine wala he”
(Surah Al Maaidah, Aayat-114)

Jab Hazrat Isaa Alayhis Salaam ne deikha ki In Lougo(Hawaareeyo) ka Mo’jize ki Talab(Mang) par Israar(Zid) he Aur Garaz(Zarurat) bhi In ki Sahih he to Aap Alayhis Salaam ne Duaa karne ka Mosammam(Mazbut) Iraada kar liya, Aap Alayhis Salaam ne Bakri ke Baalo ka Bana huwa Siyaah(Kala/Black) Mota Libaas Pahena, Wazu kiya, Gusl kiya, Nawaafil Adaa kiye, Qibla ki Taraf Muta’wajje(Tawajjo/Dhyaan) ho kar Khade hue, Nihaayat Khushu’a Wa Khuzu’a(Aa’jizi) se Aankho ko Bandh karke Sar ko Jhukaya, Aansu Bahaate hue RABB TA’ALA ki Baargaah me Ilteja’a ki Ay ALLAH TA’ALA Hum par Aasmaano se Dastarkhwaan Naazil Farma Jo Humaare liye Aur Humaare Aglo Aur Pichhalo ke liye Eid Bane.
(Tafseere Roohul Ma’ani, Jild-4, Safa-60)

Ya’ani Jis Din Aasmaano se Khwaan(Thaal) Utrega Hum Use Apne liye Eid ka Din Samjhenge, Hum bhi Us Din ki Azmat karenge Aur Humaare Baad Aane waale bhi Uski Azmat karenge,

>> Faida :-
Is se Ma’lum huwa ki Jis Din ALLAH TA’ALA ki Khaas Rahemat Naazil ho, Us Din ko Eid wa Khushiya Banana, Ibaadate Karna, Shukre Ilaahi Baja Lana Saaleheen ka Tariqa he Aur (Isme) kuchh Shak Nahi ki HUZOOR SAIYYADE AALAM Sallallaho Alayhe Wasallam ki Tashreef Aawri ALLAH TA’ALA ki Azeem Tareen Ne’amat Aur Buzurg Tareen Rehmat he, Is liye HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ki Wilaadate Mubaarak ke Din Eid Manaana Aur Milaad Shareef ke Mouzu par Na’ate Padh kar Taqaareer kar ke, Tilaawate Quraane Paak karke Shukre ILAAHI Baja Lana Mustahab Aur ALLAH TA’ALA ke Maqbul(Qabul kiye) Bando ka Tariqa he.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-530, 531)

Subhan Allah…

>➤ Aasmaani Khana Naazil hona :-
Quraane Azeem me he ki
“ALLAH ne Farmaaya ki Mei Ise Tum par Utaarta hu, Fir Ab jo Tum me Kufr karega To Beishak Mei Use Wo Azaab dunga Ki Saare Jahaan me kisi par na Karunga”
(Surah Al Maaidah, Aayat-115)

Hazrat Isaa Alayhis Salaam ki Duaa se Surkh(Laal) Rang ka Maaidah(Dastarkhwaan) Do(2) Baadalo ke Darmiyaan Utra, Jise Sab Loug deikh rahe the, Yaha Tak ki Woh Unke Paas Aa gaya, Is Khwaan(Thaal/Seeni) ke Aane ko RABB TA’ALA ne Chunki Is se Mashrut(Shart) kar diya tha ki Naazil to Mei kar raha hu Lekin Iske Baad Jo Tum me se Kufr karega, Na-Farmaani karega, Use Aysa Azaab Dunga Jo Jahaan(Duniya) me se Kisi ko Nahi Dunga, Is Shart ki Wajah se Hazrat Isaa Alayhis Salaam Khwaan ko Utarte hue deikh kar Rone lage Aur Duaa Karne lage “Ay ALLAH TA’ALA Mujhe Shukr-Guzaaro me rakh, Ay ALLAH TA’ALA Is Khwaan ko Humaare liye Rehmat Bana Aur Ise Humaare liye Tabaahi Aur Azaab Na Bana,

Fir Hazrat Isaa Alayhis Salaam ne Wazu Farmaaya, Nawaafil Adaa kiye, Route hue, Duaa karte hue, Us(Thaal) se Roomaal ko Hataya Jis se Woh Dhanpa huwa tha Aur Kaha
“ALLAH TA’ALA ke Naam se Shuru Jo Behtar Rizq deine Wala he..”
Us Khwaan me Aap Alayhis Salaam ne deikha ki Bhuni(Baafi)Machhali he Is Machhali me Kante Aur Chhilke Nahi, Uske Sar par Namak, Dum par Sirkah Aur Uske Ird-gird(Aas-Paas) Mukhtilaf (Alag Alag) Qism ki Sabziya he, Us par Har Qism ki Sabziya thi Siwaay Ek Saage Karaas(Ek Qism ka Shaag) ke Aur Us Khwaan me 5 Rotiya thi, Ek par Zeitun, Dusre par Shahad(Honey), Tisri par Ghee, Chothi par Paneer Aur Panchvi par Bhuna Huwa Gosht,

Sham’un ne Puchha Ay Roohullah Alayhis Salaam Kya Ye Duniya ka Khana he ya Aakhirat ka..?? To Hazrat Isaa Alayhis Salaam ne Farmaaya In Dono se Nahi Balki ALLAH TA’ALA Apni Qudrate Kaamela se Ise Ab hi Wajood me laya he, Tumhaare Sawaal ke Muta’abiq RABB TA’ALA ne Naazil Farmaaya he, Ab Tum Khaao Aur ALLAH TA’ALA ka Shukriya Adaa karo, Agar Tumne ALLAH TA’ALA ka Shukr Adaa kiya to Woh Tumhaari Aur Imdaad(Madad) Farmaayega Aur Apna Fazl Aur Zyada Farmaayega, Woh Loug Kehne lage Ay Roohullah Alayhis Salaam Is Mo’jize me Aap koi Mo’jiza bhi dikha de, Aap Alayhis Salaam ne Farmaaya
“Ay Machhali ALLAH TA’ALA ke Hukm se Zinda ho Jaa”
Woh Machhali Tadpi Aur Zinda ho gayi, Aap Alayhis Salaam ne Fir Farmaaya Tu Apne Haal ki Taraf Lout Jaa Woh fir Usi Tarah Bhuni Hui Machhali Ban gayi, Un Lougo ne Use Seir ho kar khaya, Hazrat Isaa Alayhis Salaam ne Unhe Kaha Is me Kheyaanat(Be-Imaani) Na kare, Ise Dusre Din ke liye Zakhira(Jama) Na kare, Lekin Unhone Kheyaanat ki Aur Zakhira Bana liya, ALLAH TA’ALA ki Shadeed Giraft(Shakht Pakad) me Aa gaye, Duniya me Unhe Shadeed Azaab ye diya gaya ki Unhe Khinzir(Pig) Bana diya gaya, 330 Aadmi Is Azaab me Mubtala(Giraftaar) hue, Raat Unhone Thik-Thak Ahl Wa Eyaal(Family) me Guzaari, Lekin Subah Khinzir Bana diye gaye, Hazrat Isaa Alayhis Salaam ko deikh kar Route the, Aap Alayhis Salaam Jab Unke Naam le kar Unhe Bulaate to Woh Sar Hilaate Lekin Unhe Kalaam(Baat) karne ki Taaqat Na hoti, Isi Haal me Woh 3 Din Zinda rahe fir Mar gaye, Ye to Unko Duniyawi Azaab Diya gaya, Ukhrawi(Aakherat ka)Azaab bhi Unhe Shadeed Hoga,

Hazrat Ibne Umar RadiAllaho Ta’ala Anho Farmaate he
‘Beishak Qayaamat ke Din Shakht Azaab Maaidah(Dastarkhwaan) me Kheyaanat karne Waalo Aur Munaafiqeen Aur Firon Aur Uski Qoum ko hoga’.
(Tafseere Roohul Ma’ani, Jild-4, Safa-62)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-532, 533)

ALLAHU AKBER…

>➤ Yahoodiyo ki Shaazish :-
Quraane Majeed me he ki
“Aur Kaafiro ne Makr kiya Aur ALLAH ne Unke Halaak ki Khufiya Tadbir Farmaayi Aur ALLAH Sab se Behtar Chhupi Tadbir Wala he”
(Surah Aale Imraan, Aayat-54)

Hazrat Isaa Alayhis Salaam ko Halaak(Tabaah) karne ki Saazish Kaafirone kyu ki..??
Iski Chand Wajah he…

»» Jab ALLAH TA’ALA ne Aap Alayhis Salaam ko Rasool bana kar bheija, Aap Alayhis Salaam ne Unko ALLAH TA’ALA ke Deen ki Da’waat di to Woh Sarkash(Baagi) Aur Na-Farmaan ho gaye to Aap Alayhis Salaam ne Unse Makhaffi(Chhupe/Gupt) rehne ka Feishla Farmaya Taki Woh Koi Nuqshaan Na Pahoncha Sake, Hazrat Isaa Alayhis Salaam Apni Waalida ke Sath kahi Tashreef le gaye Taki Un Lougo se Kuchh deir ke liye Kenaara-kash(Door) ho jaaye to Aap Alayhis Salaam ne Ek Basti me ek Shaksh ke Paas Qayaam(Thaherna) kiya, Usne Bahot Achhi Tarah Mahemaan-Nawaazi(Mehmaan ki Khatirdari) ki,
Us Shahar ka Baadshah Bada Zaalim tha, Ek Din Woh Shaksh Jo Aapka Mahemaan Nawaaz tha, Gamgin tha, Aap Alayhis Salaam ne Us se Puchha Tum Itne Pareishan, Gamgin kyu ho..??
Usne kaha Us Shahar ka Baadshah Bada Zaalim he Aur Uski Aadat he ki Woh Hum me se Har Shaksh par Baari Baari Da’waat ko Laazim(Zaruri) kar deita he ki Uski Aur Uske Lashkar ki Da’waat kare, Unhe Khana Khilaaye Aur Sharaab Pilaaye, Aaj Meiri Baari he Aur Meire Paas Itna Maal Nahi ki Mei Uski Da’waat ka Intezaam kar saku,

Jab Hazrat Mariyam Alayhis Salaam ne Soona to Aap ne Hazrat Isaa Alayhis Salaam ko kaha Ay ALLAH TA’ALA ke Nabi Iske liye Duaa karo Taaki Iski Mushkil Hal ho jaaye, Aap Alayhis Salaam ne kaha Ay Meiri Ammi Agar Meine Iske liye Duaa kardi to Isme Fitna-Barpa(Bala Qayam) ho jayega, Lekin Hazrat Mariyam Alayhis Salaam ne kaha Is Shaksh ne Humaari Bahot Izzat ki, Ahesaan Wa Ikraam kiya, Is par bhi Ahesaan hone Chahiye,
Waalida Maajida ke Irshaad wa Israar(Zid) par Aap Alayhis Salaam ne Kaha Ki Jab Baadshah Aur Uska Lashkar ke Aane ka Waqt Qareeb Ho Jaye to Handiya(Mitti/Lohe ka Bada Bartan) Aur Matke Paani se Bhar leina Aur Mujhe Muttala(Khabar) karna, Jab Us Shaksh ne Aap Alayhis Salaam ke Irshaad par Amal kar liya to Aap Alayhis Salaam ne ALLAH TA’ALA se Duaa ki, Jitni Handiya Paani se Bhari thi Sab me Paka huwa Gosht ho gaya Aur Sab Pani se Bhare hue Matke Sharaab se Bhar gaye..

Jab Woh Baadshah Aur Uska Lashkar Aaya to Unhone Khana khaya Aur Sharaab Pee to Baadshah ne Us Sharaab ko Aam Sharaabo se Mukhtilaf(Alag) Lazzat(Lutf/Mazah) Wala Pa kar Sawaal kiya ki Sharaab Tum kaha se laaye..?? Pehle to Us Shaksh ne kaafi Taal-Matol(Bahaane) se Kaam liya lekin Baadshah ke Zyaada Majboor karne par Usne Bata diya, Baadshah ka Ek Beita Pehle Marr gaya tha, Usne Khyaal kiya ki Jis Shaksh ki Duaa se Paani Sharaab Ban gayi Uski Duaa se ALLAH TA’ALA Meire Beite ko bhi Zinda kar deiga, Usne Hazrat Isaa Alayhis Salaam ki Khidmat me Arz kiya ki Aap Duaa kare Taaki ALLAH TA’ALA Meire Beite ko Zinda karde, Hazrat Isaa Alayhis Salaam ne Farmaaya ki Aysa Nahi karte, kyuki Agar Woh Zinda ho gaya to Fitna-Barpa ho jayega, Us Baadshah ne kaha Jab Mujhe Meira Beita Nazar Aajayega to Mujhe kisi Chiz ki Parwaah Nahi hogi Aur Jab Tum Meire Beite ko Zinda kar doge to Mei Tumhe Har Qism ki Aazaadi de dunga, Tum Jo Chaaho Wahi Karo, Hazrat Isaa Alayhis Salaam ne ALLAH TA’ALA se Duaa ki to Uska Ladka Zinda ho gaya..(Subhan Allah…)
Jab Uski Baadshahi ke Lougo ko Pata Chala ki Uska Ladka Zinda ho gaya to woh Fouran Apne Apne Hathiyaar le kar Aagaye Aur Unhone Usko Qatl kar diya, Hazrat Isaa Alayhis Salaam ki Jab Zyada Shohrat(Charcha) hone lagi to Yahud ne Hasad(Jalan) karna Shuru kar diya, Aapke Nasab me Ta’ana-Zani(Ta’ana Deina) Shuru kardi Aur Aap Alayhis Salaam ko Qatl karne ki Saazishe(Fareib) karne lage,

»» Hazrat Isaa Alayhis Salaam ke Tashreef Aawri ki Bashaarat Touraat(Aasmaani Kitaab) me RABB TA’ALA ne de di thi Is liye Yahud ko Ma’lum tha ki Unhone Touraat ke Kayi Ahekaam Manshookh(Radd) kar diye he, Is liye Pehle Unhone Aap Alayhis Salaam ke Nasab(Silsile) par Ta’ana-Zani Shuru ki fir Aap Alayhis Salaam ke Qatl ke Manshube(Iraade) Banaane lage Ya’ani Aapne Jab Deene Haqq ki Da’waat deini Shuru ki to Yahud ka Gazab(Gussa) Badh gaya Aur Aap Alayhis Salaam Izaa(Taklif) Pahonchani Aur Waheshat(Darr) Feilani Shuru ki Aur Aap ko Qatl karne ki Koshish ki.
(Tafseere Kabeer, Jild-8, Safa-64,65)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-533, 534)

ALLAHU AKBER…

>➤ Hazrat Isaa Alayhis Salaam ka Imaan Walo se Imdaad Talab karna :-
Quraane Paak me he ki
Fir Jab Isaa ne Unse Kufr paya Bola Kon Meire Madadgaar hote he ALLAH ki Taraf, Hawaariyo ne kaha Hum KHUDA ke Din ke Madadgaar he Hum ALLAH Par Imaan laaye Aur Aap Gawaah ho Jaaye ki Hum Musalmaan he, Ay RABB Humaare Hum Uspar Imaan Laaye Jo Tune Utara Aur Rasool ke Taabe hue Tu Hume Haqq par Gawaahi deine Waalo me Likh le”
(Surah Aale Imraan, Aayat-52, 53)

Hazrat Isaa Alayhis Salaam ne Apna Hakeemana Kalaam(Khubi se Bhari Baat) Aur Apne Mo’jizaat Us Qoum ke Saamne Peish kiye to Unhone Bajaaye Ita’at(Farmaan-Bardaari) ke Unke Qatl karne ki Tadbir(Chaal/Plan) ki, Lihaza Hazrat Isaa Alayhis Salaam ne Unke Is Iraade Aur Pukhta Kufr ko Alaamat(Aaasaar) se Mehsus Farmaaya, Apne Peirokaaro se Khitaab kiya “في سبيل الله”(ALLAH TA’ALA ki Raah me) Meira Madadgaar kon he…??
Unke Khaas Dosto ne kaha Hum ALLAH TA’ALA ke Deen ke Madadgaar he, Ay Isaa Alayhis Salaam Hum Aapki Zarur Madad karenge, Is Madad par Na koi Dunyawi Ujrat(Badla) Maangte he Na Koi Aur Chiz, Khawaaish ye he ki Aap Qayaamat ke Din Humaari Ita’at Aur Farmaan-Bardaari Aur Musalmaan hone ki Gawaahi de,
Fir RABB TA’ALA ki Taraf Mata’wajje(Dhyaan) ho kar Arz karne lage AY MOULA Hum Teiri Tamaam Utaari hui Kitaabo Aur Ambiya Alayhis Salaam ko Ataa karda Mo’jizaat par Imaan laaye Aur Sacche Dil se Zaahir wa Baatin(Zabaan par Aur Dil) me Teire Is Rasool ke Peirokaar(Pairvi/Ita’at Karnewale) Bane.
(Tafseere Naeemi, Jild-3, Safa-466)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-536)

>➤ Hazrat Isaa Alayhis Salaam ko Shaheed karne ki Shaazish :-
Bani Israail ko Jab Hazrat Isaa Alayhis Salaam ne Tablig Farmaayi To Woh Aapse Muqaabla To Na kar Sake, Albatta Aap ki Shan me Gustaakhi Shuru kardi Aur Aap ki Waalida Mukkarama par Aiyb(Buraai) Lagaane Shuru kar diye Aur Aap ko Tarah Tarah ki Takaalif Deini Shuru kar di,
Ek Din Aap Alayhis Salaam Shahar me Gasht(Ghum/Fir) Farma rahe the Ki Shahar ke Lougo ne Aap Alayhis Salaam ko Bahot Pareishan kiya, Jab Aap Alayhis Salaam ne ALLAH TA’ALA se Duaa ki Ay MOULAAYE KAAYENAAT Mei Kaha Tak Sabr karu.. Ab Behtar yahi he ki Tu Inko Khinzir(Suwar/Pig) Bana de, Aap Alayhis Salaam ki Zubaane Mubaarak se ye Alfaaz Nikle hi the ki Woh Sab Khinzir Ban gaye,
Is Waaqiye se Lougo par Ek Khouf Taari ho gaya Kisi ne Us Waqt ke Yahudi Baadshah ko Khabar di ki Isaa Alayhis Salaam ki Duaa ALLAH TA’ALA Qabul Farmata he, Aap Alayhis Salaam ki Duaa se Itne Loug Khinzir Ban gaye he, Tum bhi Unke Mokhaalif(Dushman) ho Is liye Tum Apni Fikr rakho, Kahi ye Tumhaare Khilaaf bhi Duaa Na karde Aur Tumhaara bhi Aysa Haal Na ho Jaaye, Usne kaha kya ho Sakta he Ayse Maqbul Duaa ke Muqaable me Tu Koi Tadbir(Tarkib) bhi Kaam Nahi Aa Sakti, Albatta ye ho Sakta he ki Unhe Kisi Heelah(Fareib) se Shaheed kar diya jaaye To Unki Duaa ka Khouf Khatm ho jaayega ki Kahi Woh Mukhaalif Duaa na kare,

Usne Ek Shaksh “Tatyaanus” ko Is Kaam ke liye Muntakhab(Pasand) kar diya, (Ye) Ek Munaafiq Shaksh tha, Bazaahir Hazrat Isaa Alayhis Salaam se bhi Milta tha Lekin Darparda(Pith Pichhe/Khufiya se) Woh Yahudo se bhi Mila huwa tha, Jab Ye Waaqiya Dar-peish Aane wala hi tha To Hazrat Isaa Alayhis Salaam ne Apne Hawaariyo se Pehle hi Farma diya tha ki Aaj Subah se Pehle hi Mujhe Ek Shaksh Chand(Kuchh) Dirham(Chandi ka Sikka) ke Evaz(Badle) Farokht(Beich) kar deiga,
Hazrat Isaa Alayhis Salaam ko bhi Ma’alum tha Lekin Aap bhi RABB TA’ALA ki Mashiyat par Shakir(Shukr/Sabr karne wale) the, Use Kuchh Nahi kaha Aur Na hi Kisi Aur ko kaha ki Ise Qatl kar diya jaaye, Chunaanche ‘Tatyaanus’ ko Us Yahud Baadshah ne Jiska Naam bhi Yahud tha 30 Dirham deine ka Wa’ada kiya ki Woh Isaa Alayhis Salaam ko Khud Shaheed kar de ya kisi se kara de.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-536, 537)

ALLAHU AKBER…

>➤ Hazrat Isaa Alayhis Salaam ka Aasmaan Par Uthaya Jana :-
Quraane Azeem me he ki
“Aur Unke Is Kehne par ki Humne Maseeh Isaa Bin Mariyam ALLAH ke Rasool ko Shaheed kiya Aur yah ki Unhone Na Use Qatl kiya Aur Na Use Sooli Di Balki Unke liye Unki Shabih ka(Unse Milta-Julta) Ek Bana diya gaya Aur Woh Jo Uske Baare me Ikhtelaaf kar rahe he Zarur Uski Taraf se Shubah me Pade hue he Unhe Uski Kuchh bhi Khabar Nahi Magar Yah Gumaan ki Peirvi Aur Beishak Unhone Usko Qatl Nahi kiya”
(Surah Nissa, Aayat-157)

30 Dirham(Chandi ke Sikke) ke Laalach me Aakar ‘Tatyaanus’ ne Yahuda ke Chand Aadmiyo ko Sath liya Aur Aap ki Qeyaam-Gaah(Ghar) par Aa gaya, Un Lougo ko Baahar Khadaa kiya Aur Khud Andar gaya, Uske Saamne hi Hazrat Isaa Alayhis Salaam ko Khidki ke Zariye Aasmaano par Zinda Utha liya gaya, Wo ye Maajra deikh kar Bahot Mota’ajjib(Heiraan) huwa Aur Kaafi Deir tak Is Ta’ajub me Gum-Sum raha, Uske Sathiyone Samjha ki Shayad Tatyaanus Aur Isaa Alayhis Salaam ke Darmiyaan Ladaai ho rahi he, Woh Andar Jana hi Chahte the Lekin Unka Sathi Baahar Aa gaya, ALLAH TA’ALA ne Use(Tatyaanus ko) Isaa Alayhis Salaam ka Hum-Shakl(Dikhne me Isaa Alayhis Salaam Jeisa) Bana diya,

Ab Uske Baahar Nikalte hi Uske Sath Yahudiyo ne Yahi Samjha ki ye Isaa Alayhis Salaam he kyuki Ye Unka Hum-Shakl bhi tha, Is liye Unhone Use Pakad liya, Ye(Tatyaanus) Chilaa Chilaa kar Unhe Bata raha tha ki Mei Tumhaara Sathi hu, Hazrat Maseeh ko Qatl karne gaya tha.. Lekin Uski Baat ko Kisi Ek ne bhi Na Soona, Balki Woh kehne lage Ay Isaa Tumne Humaare Sathi ko Qatl kar diya he Ab Hume Dhoka deina Chahte ho, ye keh kar Use Sooli par Chadha diya,

Khyaal rahe ki Isaai(Christian) bhi Aaj Tak Isi Waham(Gumaan) me Mubtala(Giraftaar) he ki Isaa Alayhis Salaam ko Sooli par Chadha diya gaya tha, Albatta Fir Zinda karke Unhe Aaasmaano par Uthaya gaya he, Isi Wajah se Saare Isaai “Shaleeb'(Crucifix/Sooli ki Shakl me Bani hui Lakdi Wageira Jo Isaai(Christian) Apne Gale me dalte he) ko Pujte he Aur Us Sooli ko Apne Gunaaho ka Kaffara(Badla) Samajhte he, Magar Haqiqat ye he ki ‘Tatyaanus’ ko Qatl kiya gaya Na ki Hazrat Isaa Alayhis Salaam ko,

Yahud(Yahudiyo) ne ye Da’wa kiya ki Humne ALLAH TA’ALA ke Rasool Isaa Alayhis Salaam ko Qatl kar diya he,
Agar Yahud ki Guzishta(Guzri hui) Taarikh ko deikha Jaaye to ye Kuchh Baeed(Na-Mumkin) Nahi hota ki Aap ko Rasool Mante hue Unhone Aapko Qatl karne ki Thani ho, Hazrat Zakaria Aur Yahyaa Alayhis Salaam ko Nabi Maante the Lekin Jab Un Nabiyo ne Unhe Unki Bad-Akhlaaqi par Toqa to Unhe Apne Hatho se Shaheed kar diya, Baharhaal Inka Ye Da’wa karna ki Humne Maseeh(Hazrat Isaa Alayhis Salaam) ko Qatl kar diya he Quraane Paak me Isko Mukammal Aur Waazeh kar diya gaya he..

Ajeeb Baat ye he ki Hazrat Isaa Alayhis Salaam ke Dushman Yahud bhi Da’wa Karte he ki Humne Unko Qatl kar diya Aur Sooli par de diya Aur Aapko Maanne wale bhi Yahi Yaqeen rakhte he ki Yahud(Yahudiyo) ne Hazrat Maseeh ko Sooli de di, Jab Dushman Aur Dost Is Baat par Muttafiq(Ek Sath) ho Chuke the to Quraane Paak ne Aa kar Hazrat Isaa Alayhis Salaam ki Azmat Wa Jalaalate Shaan se Parda Uthaya Aur Saaf Alfaaz me Aylaan kiya ki Yahudi Apni Saazish me Kaamyaab Na ho Sake, ALLAH TA’ALA ne Unki Is Na-Paak Shaazish ko Na-kaam Bana diya Aur Apne Rasool ka Baal bhi Beika(Tedha) Na hone diya, Dono Chizo ki Nafi(Inkaar) kardi Yani Yahud(Yahudiyo) Na Aap ko Qatl kar Sake Aur Na Sooli par Chadha Sake.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-537, 538, 539)

Alhamdolillah…
Quraane Azeem se ALLAH SUBHANAHU WA TA’ALA ne Yahudiyo ke Jhuthe Da’we ka Parda Uthaya Aur Apne Bando Tak Haqq ko Waazeh kiya…

(Yahudiyo ki Peirvi me Aaj kal Mirjaayi/Qaadiyani bhi Isi Jahaalat me Giraftaar he…!!)

>➤ Hayaate Hazrat Isaa Alayhis Salaam :-
Hazrat Isaa Alayhis Salaam ke Muta’aliq Yahud(Yahudiyo) ka Aqeeda ye he ki Humne Unhe Sooli de di Aur Unki Jaan Nikal gayi Aur Fir Unko Dafn kiya Agarche Aaj Tak Woh Is Shuba(Shak) me Giraftaar he ki Humara Tatyaanus Kaha gaya…..??

Isaai ye Ayteqaad(Yaqeen) rakhte he ki Waaqei Isaa Alayhis Salaam ko Sooli par Chadhaya gaya Aur Aap ki Jaan bhi Nikal gayi Magar Fir RABB TA’ALA ne Aap ko Dobara Zindagi Bakhshi Aur Aasmaan par Utha liya, Isi liye Woh ‘Shaleeb'(Crucifix) ko Pujte he Aur Usi Sooli ko Saare Isaaiyo ke Gunaaho ka Kaffara Samajhte he, Kaffare ka Masla Sooli par hi Mabni(Qayam) he,

Musalmaano ka Aqeeda ye he ki Na Hazrat Isaa Alayhis Salaam ko Sooli di gayi Aur Na Aapki Wafaat Waaqei hui, Balki Aap Alayhis Salaam ko Isi Tarah Bama Jism Shareef(Jism Shareef ke Sath) Zinda Utha liya gaya Chunanche Hazrat Isaa Alayhis Salaam ko Zinda Utha liya jana Qatai(Kaamil) Yaqeeni Ijmaai Masla he, Is par Saari Ummate MUSTAFA ﷺ ka Ittefaaq he,

Quraane Kareem me he ki
“Aur Kaafiro ne Makr kiya Aur ALLAH ne Unke Halaak ki Khufiya Tadbir Farmaayi”
(Surah Aale Imraan, Aayat-54)

ALLAH TA’ALA ne Unse Khufiya Tadbir Farmaayi ki Jo Shaksh Isaa Alayhis Salaam ko Qatl karaane ka Irada rakhta tha, Use Isaa Alayhis Salaam ka Hum-Shakl kar diya to Unhone Use Hi Qatl kar diya Aur ALLAH TA’ALA ne Isaa Alayhis Salaam ko Aaasmano par Utha liya, Tamaam Mufassireen e Kiraam Ka Is Masle par Ittefaaq he ki Aap Alayhis Salaam ko Zinda Aasmaano par Utha liya gaya.
(Tafseere Jalaalein, Safa-52)

Quraane Paak me Ek Aur Jagah he ki
“Yaad karo Jab ALLAH ne Farmaaya Ay Isaa Mei Tujhe Puri Umr tak Pahonchaunga Aur Tujhe Apni Taraf Uthalunga Aur Tujhe Kaafiro se Paak Kar dunga Aur Teire Maan ne walo ko Qayaamat Tak Teire Munkiro par Galba(Fateh) Dunga Fir Tum Sab Meiri Taraf Palat kar Aaoge To Mei Tum me Feisla Farma dunga Jis Baat me Jhagadte ho”
(Surah Aale Imraan, Aayat-55)

ALLAH TA’ALA ne Hazrat Isaa Alayhis Salaam ko Aasmaano par Utha kar Kaafiro se Naja’at di, Kaafiro ki Saazish se Aap Alayhis Salaam ko Bacha liya, Kaafiro se Paak karne ka Yahi Matlab he, Aap Alayhis Salaam ki Ta’abedaari (Farmaan-Bardaari) karne wale Yani Musalmaan Aap par Sahih Aqeeda rakhne Waale Ta-Qayaamat Munkereen par Gaalib(Fateh) rahenge Aur Iska Mutlab ye bhi he ki Isaai Hukumat Wageira ke Lihaaz se Yahudiyo par Gaalib Rahenge,
Is Aayate Kareema me ALLAH TA’ALA ne Aap Alayhis Salaam ko Poori Umr tak Pahonchane Aur Aasmaano par Uthane Aur Kaafiro ki Shaazisho se Paak karne ka Zikr Waazeh Tour par Farmaya.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-542, 543, 544)

>➤ Hazrat Isaa Alayhis Salaam Shaleeb ko Todenge :-
Hazrat Abu Huraira RadiAllaho Ta’ala Anho se Riwaayat he ki HUZOOR TAAJDAAR E HARAM Sallallaho Alayhe Wasallam ne Farmaya Qasam he Us Zaat ki Jiske Qabza me Meiri Jaan he ki Hazrat Isaa Alayhis Salaam Tumme Haakim Aur Aadil Ban kar Utrenge, Shaleeb(Crucifix) ko Tod Daalenge, Juziya ka Hukm Khatm Kar deinge, Aap Alayhis Salaam Maal Lougo ko Ataa Karenge, Koi Qabool karne wala Nahi Hoga, Us Waqt Ka Ek Sajda Duniya Aur Duniya ki Maal Wa Doulat se Afzal hoga, Fir Hazrat Abu Huraira RadiAllaho Ta’ala Anho kehte he Agar Tum Chahte ho to ye Aayaat Padhlo “Ahle Kitaab me se Koi Bhi Nahi Rahega yaha tak ki Aap par Imaan le Aayega”.
(Bukhaari Shareef, Muslim Shareef)
(Mishkaat Shareef, Baab Nuzule Isaa Alayhis Salaam, Jild-2, Safa-479)

Hazrat Isaa Alayhis Salaam Haakim Aur Aadil(Inshaf Karnewala) Ban kar Aayenge Yani Nasraaniyat ko Baatil kar deinge Aur Deene Islaam ko Qabul karne ka Hukm deinge, Yahudiyo Aur Isaaiyo ke Baatil Gumaan ko Khatm karne ke liye Shaleeb(Crucifix) ko Tod deinge, Khinzir (Suwwar/Pig) ko Qatl karke ye Saabit karenge ki Mei HUZOOR MOHAMMAD Sallallaho Alayhe Wasallam ka Ummati hone ki Heishiyat se Aaya hu Chunki Aapki Shariyat me Khinzir Haraam he, Is liye Ay Isaaiyo Tumhaara Ise Paalna Aur Kharid wa Farokht(Beichna) karna Haraam he, Ahle Kitaab se Sirf Islaam Qabool karenge koi Jizya(Tax) Unse Nahi Leinge, Aapke Zamaane me Maal ki Kasrat(Zayada) hogi, Yaha tak ki Jis Tarah Waadiyo me Paani Chalta he Ayse hi Maal ki Farawaani(Zyadati) hogi, Us Waqt Sirf Ibaadat me Loug Itni Lazzat(Lutf/Mazaah) Mehsus Karenge ki Ek Sajda Aur Ek Namaaz Unhe Duniya-Bhar se Behtar Mehsus hogi, Us Waqt Tamaam Loug Deene Islaam ko Qabul kar leinge,
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-552, 553)

>➤ Hazrat Isaa Alayhis Salaam Shariyat E MOHAMMADIYA ﷺ ki Tablig karenge :-
Hazrat Abu Huraira RadiAllaho Ta’ala Anho se Riwaayat he ki HUZOOR SARKAARE DO AALAM Sallallaho Alayhe Wasallam ne Irshad Farmaya Qasam he ALLAH TA’ALA ki Ibne Mariyam Haakim wa Aadil Ban kar Zarur Bil Zarur Utrenge, Shaleeb ko Tod Deinge Aur Zarur Bil Zarur Khinzir ko Qatl kar deinge Aur Yaqini Tour par Jizya(Tax) ka Hukm Khatm kar deinge, Unto(Camel) ko Chhod deinge Unpar Koi Amal Nahi karenge, Adaawat(Dusmani), Bugz Aur Hasad ko Khatm kar deinge, Maal ki Taraf Lougo ko Bulaayenge, Koi Use Qabool Nahi karega, Jab Ibne Mariyam Tumme Utrenge Aur Tumhaare Imaam bhi Tum me Honge Us Waqt Tumhara kya Haal hoga.
(Bukhaari Shareef, Muslim Shareef)
(Mishkaat Shareef, Baab Nuzule Isaa Alayhis Salaam)

Hazrat Isaa Alayhis Salaam Kisi ko Unt(Camel) Batoure Zakaat Wasool karne ke liye Aamil Nahi Banayenge Kyuki Us Waqt Tamaam Loug Gani(Maaldaar/Daulatmand) honge, Koi Zakaat Wasool karne wala Nahi Milega,
Dusra Ma’ani ye he ki Unto ke Zariye Tejaarat(Kaarobar) Aur Zameen me Safar, Maal ke Talab(Maang/Zarurat) karne Aur Dusri Zaruriyaat ke Haasil karne ke liye Chhod deinge Kyuki Us Waqt Unki Zarurat Khatm ho jaayegi,
Hasad karna Yani Kisi ki Ne’amat ka Zawaal(Kami) karna Aur Usi Ne’amat ko Apne Liye Talab karna ye Hasad Bugz ka Sabab he, In Tamaam Buraaiyo ka Sabab Duniya ke Maal se Mohabbat rakhna he, Hazrat Isaa Alayhis Salaam Lougo ke Deelo se Duniya ki Mohabbat Zaaeel(Mita) kar deinge Jiski Wajah se Ye Buraaiya Khud Ba Khud Zaaeel ho jaayegi, Dusri Wajah ye bhi he ki Us Waqt Tamaam Duniya Chunki Ek hi Deen par Qaayam hogi Ya’ani Sab ka Deen Islaam hoga Bugz Aur Hasad Wageira Jeisi Buraaiya Mukhtilaf Deeno(Alag Alag Deen) Aur Mazhab ki Wajah se Peida hoti he,

Hazrat Isaa Alayhis Salaam ka Jab Nuzool hoga Us Waqt Musalmaano ke Imaam Mahdi RadiAllaho Ta’ala Anho honge Jo Quraish se Honge, Hazrat Isaa Alayhis Salaam Utar kar Pehle Namaaz Imaam Mahdi ki Iqteda me Adaa karenge Taki HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ke Deen ki Azmat Waazeh ho Jaye ki Aap Alayhis Salaam HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ki Shariyate Mutahhera ke Ahekam hi Lougo par Naafiz(Laagu/Jaari) karenge,
Jeise ki Hadees me Irshad he ki Hazrat Isaa Alayhis Salaam Jab Tum me Utrenge Aur Tumhaare Imaam Tum me se Moujud Honge Us Waqt Tumhara kya haal hoga Ya’ni Tumhe Apni Azmat wa Takrim(Respect) par Ta’ajub hona Chahiye ki Hazrat Isaa Alayhis Salaam Aate Waqt Pehle Namaaz Tumhaare Imaam ki Iqteda’a me Adaa karenge,

Hazrat Jabir RadiAllaho Ta’ala Anho se Marvi he ki HUZOOR REHMATE DO AALAM Sallallaho Alayhe Wasallam ne Farmaaya Hameisha Ek Giroh(Jama’at) Meiri Ummat me se Haqq par Jihaad karta rahega Aur Qayaamat Tak Unko Galba(Jeet/Fatah) Haasil rahega, Hazrat Isaa Ibne Mariyam Utrenge, Lougo ke Ameer Unhe Kahenge Aao Hume Namaaz Padhaao, Aap Alayhis Salaam Farmaayenge Nahi Beshak Tum me se Baaz Ameer he Baaz par, Aap Alayhis Salaam ka Ye Irshaad Takrim(Respect) ke Peishe Nazar hoga, Jo ALLAH TA’ALA ne Is Ummat ko Ataa kiya he,
(Muslim Shareef)
(Mishkaat Shareef, Baab Nuzule Isaa Alayhis Salaam, Jild-2, Safa-480)

Hazrat Isaa Alayhis Salaam ke Utarne par Imaam Mahdi RadiAllaho Ta’ala Anho Unhe Namaaz Padhaane ke Muta’aliq Kahenge Kyuki Imaamat ka Zyada Haqdaar wo Shaksh he jo Afzal ho, Chunki Aap Alayhis Salaam NABI Aur RASOOL he Aur Kaamil Darja Rakhne wale he, Yaha se ye bhi Waazeh huwa ki Hazrat Isaa Alayhis Salaam ka Makaame Nabuwwat Khatm Nahi hoga Sirf Aap Alayhis Salaam ki Shariyat ke Ahekaam Zari Nahi honge, Balki HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ki Shariyat ke Ahekaam ki Tablig Farmayenge, Hazrat Isaa Alayhis Salaam ke Nuzool hone par Pehle Namaaz Imaam Mahdi RadiAllaho Ta’ala Anho Padhayenge Taaki Is Ummat ki Fazilat Waazeh ho Jaaye, Uske Baad Hazrat Isaa Alayhis Salaam hi Namaaze Padhayenge.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-553, 554, 555)

>➤ Hazrat Isaa Alayhis Salaam Kaha Madfun honge…??
Hazrat Abdullah Umro RadiAllaho Ta’ala Anho se Marvi he ki HUZOOR IMAAMUL AMBIYA Sallallaho Alayhe Wasallam ne Irshad Farmaya Hazrat Isaa Bin Mariyam Zameen par Utrenge, Fir Shadi karenge Aur Aap ki Aulaad hogi Aur 45 Saal Thehrenge, Fir Aap Alayhis Salaam Fout(Wisaal) honge, Fir Meire Sath Meire Maqbare me Dafn honge, Mei Aur Isaa Alayhis Salaam Ek hi Maqbare se Uthenge, Yaha Tak ki Abu Bakr Aur Umar RadiAllaho Ta’ala Anho ke Darmiyaan Ho”
(Mishkaat Shareef, Baab Nuzule Isaa Alayhis Salaam, Jild-2, Safa-480)

Hadees Shareef me Jo Lafz “Qabr” Istemaal huwa he Uska Ma’ani “Maqbara” he Yani Meire Maqbare(Hujra Shareef) me Dafn honge, Hum Apni Apni Qabro se Is Tarah Uthenge Jeise Ek Qabr se Uth rahe ho, Hazrat Abu Bakr Aur Hazrat Umar RadiAllaho Ta’ala Anho Dono Nabiyo ke Daaye-Baaye ho Jaayenge Taaki ye Dono Hazraat Ek Sath ho, Daayi(Right) Jaanib Hazrat Abu Bakr RadiAllaho Ta’ala Anho Aur Dusri Jaanib Hazrat Umar RadiAllaho Ta’ala Anho honge,

Baaz Raaviyo se Marvi he ki Qabre Mubaarak ke Paas Jagah khaali he Hazrat Isaa Alayhis Salaam ke Waaste,

Mohaqqiq Ibne Jouzi Farmaate he ki Hazrat Isaa Alayhis Salaam Hazrate Umar RadiAllaho Ta’ala Anho ke Paas Madfun(Dafn) honge kyuki Hume Bahot se Lougo ne Khabar di he Jo Hujra Shareef ke Andar gaye he ki Hazrat Umar RadiAllaho Ta’ala Anho ke Pehlu me Jagah Khaali he,

Ek Riwaayat me he ki Hazrat Isaa Bin Mariyam Alayhis Salaam HUZOOR NABI E REHMAT Sallallaho Alayhe Wasallam Aur Sheikhein ke Paas Dafn kiye jaayenge Aur Unki Qabr 4thi hogi,
Ek Aur Riwaayat me he ki HUZOOR SARWARE QAAYENAAT Sallallaho Alayhe Wasallam ki Siffat(Khushushiyaat) Touraat me Moujud he Aur ye bhi Touraat me he ki Hazrat Isaa Bin Mariyam HUZOOR KHATIMIN NABIYEEN Sallallaho Alayhe Wasallam ke Sath Madfun honge,

Ummul Momeneen Hazrate Maa Aaisha RadiAllaho Ta’ala Anha ne Farmaya Meine HUZOOR REHMATE QOUNEN Sallallaho Alayhe Wasallam ki Khidmat me Arz ki ke Mujhe Ma’alum hota he ki Mei Aap ke Baad Zinda Rahungi, Agar Ijaazat ho to Mei Aap ke Paas Madfun hu..?, HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ne Irshad Farmaya Ki Meire Paas to Abu Bakr, Umar Aur Isaa Bin Mariyam Alayhis Salaam ki Qabr ke Siwa Aur Jagah Nahi.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-555, 556)

ALLAHU AKBER…

>➤ Hazrat Isaa Alayhis Salaam ke Muta’aliq Baatil Nazariyaat :-
Ek Firqe ne Aap Alayhis Salaam ko ALLAH TA’ALA ka Juz Mana, Unhone Daleel ye Peish ki ke RABB TA’ALA ne Farmaya
“ﻭَﻛَﻠِﻤَﺘُﻪُ ﺃَﻟْﻘَﺎﻫَﺎ ﺇِﻟَﻰٰ ﻣَﺮْﻳَﻢَ ﻭَﺭُﻭﺡٌ ﻣِﻨْﻪُ”
(Tarjuma : “Aur Uska Ek Kalmaa ki Maryam ki Taraf Bheja Aur Uske Yahaa ki Ek Rooh”)
(Surah An-Nisaa, Aayat-171)
“Hazrat Isaa Alayhis Salaam Uski Rooh he” Is se Pata Chala ki Aap Alayhis Salaam Us(ALLAH TA’ALA ka) Juz(Tukda) Aur Hissa he Kyuki ﻣِﻨْﻪُ ka Ma’ani hi ye he ki Uska Baaz(Kuchh) Hissa he,
Ye Nazariya Baatil he Aap Alayhis Salaam ko Rooh kehne ki Wajah ye he ki
Aap Alayhis Salaam ko Rooh Is liye kaha gaya he ki Hazrat Jibrail Alayhis Salaam ki Foonk se Aap Peida hue, Jo ALLAH TA’ALA ke Hukm se Hazrat Jibrail Alayhis Salaam ne Hazrat Mariyam Alayhis Salaam ke Girebaan me Foonka tha.
(Tafseere Roohul Ma’ani, Jild-4, Safa-25)

Chunki Arabi me Rooh Ba-Ma’ani Nafkh(Foonkna) ke bhi Aata he..

Haarun Raseed ke Zamaane me Tabeeb Nasraani Jo Apne Mazhab ka Bahot Bada Aalim tha, Us se Ali Bin Hussain Waaqidi Maruzi ka Munaazra huwa, Isaai ne kaha Tumhaari Kitaab(Quraane Paak) me Ayse Alfaaz Moujud he Jo Humaare Mazhab ki Taaeed(Himaayat/Madad) karte he ki Isaa Alayhis Salaam ALLAH TA’ALA ka Juz(Tukda) he, Usne Batoure Daleel ye Alfaaz Tilaawat kiye
“ﻭَﻛَﻠِﻤَﺘُﻪُ ﺃَﻟْﻘَﺎﻫَﺎ ﺇِﻟَﻰٰ ﻣَﺮْﻳَﻢَ ﻭَﺭُﻭﺡٌ ﻣِﻨْﻪُ”
(Tarjuma : “Aur Uska Ek Kalmaa ki Maryam ki Taraf Bheja Aur Uske Yahaa ki Ek Rooh”)
(Surah An-Nisaa, Aayat-171)
ki Yaha Lafz ﻣِﻨْﻪُ Istemaal he Jo Ba’ziyat par Dalaalat karta he,
Allama Waaqidi ne Jawaab diya ki Yaha ﻣِﻨْ Ibtedaayi Gaayat(Maqshad) ke liye Istemaal he Aur RABB TA’ALA ki Taraf Nisbat Tashreefi he, Warna ALLAH TA’ALA ke Is Irshaad Giraami
“وَسَخَّرَ لَكُمْ مَّا فِي السَّمٰوٰتِ وَمَا فِي الْاَرْضِ جَمِيْعًا مِّنْه”
(Tarjuma : “Aur Tumhaare liye Kaam me Lagaaye jo Kuchh Aasmaano me he Aur jo Kuchh Zamin me Uski Taraf se”)
(Surah Al Jaasiyah, Aayat-13)
me Tamaam Chizo ka ALLAH TA’ALA ka Juz(Tukda) Ban-na Lazim Aayega, Halaanki Iske Tum bhi Qaayal(Qabool karte) Nahi,
Aapke Is Jawaab par Nasraani La-Jawaab ho gaya Aur Usne Islaam Qabool kar liya, Haarun Raseed Bahot Khush huwa, Usne Allama Waaqidi ko Bahot Zyada Ina’am se Nawaaza.
(Tafseere Roohul Ma’ani, Jild-4, Safa-25)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-588,589)

>➤ Taslees ke Qaayeleen(3 Khuda ko Maanne wale) :-
Nasaari Taslees ke Qaayal he, ALLAH TA’ALA Irshaad Farmata he
“Ye Na kaho ki Tin Khuda he”
(Surah Nissa, Aayat-171)

Woh (Loug) 3 Uqnum Maante he..
1) Uqnum E Ab,
2) Uqnum E Ibne,
3) Uqnum E Roohul Quds,

Pehle Uqnum E ‘Ab’ se Muraad Zaat ya Wazud leite he, Dusre Uqnum E ‘Ibne’ se Muraad Ilm Ya’ani ‘Kalma’ Leite he Aur Tisre Uqnum E ‘Roohul Quds’ se Muraad Hayaat leite he,

Uqnum Kya he…??
Uqnum ka Ma’ani ‘Shaksh’ Aur ‘Asl’ he…

>➤ Ya’qubiya Firqa :-
Ya’qubiya Firqa se Kuchh Loug ye kehte he ki Uqnum Jise ‘Kalma’ Ya ‘Ibn’ kaha gaya he Usne Gosht Aur Khoon ki Shakl Ikhteyaar karli Aur Khuda Maseeh(Hazrat Isaa Alayhis Salaam) ki Shakl me Zaahir Huwa (MaazAllah), Unke Nazdik Allah Maseeh Ibne Mariyam he..(MaazAllah),

Ya’qubiya me Baaz ne kaha ki
Khuda Insaan Ban Sakta he Lekin Insaan Khuda Nahi Ban Sakta Jeise Coila Aaag me Daala jaaye to Woh Aaag Ban Jata he Lekin Aaag Coila Nahi Banti (Astagfirullah..),

Ya’qubiya se hi Baaz Iske Qaayal he ki Jis Tarah Farishta Insaani Shakl me Aata he Usi Tarah Khuda Maseeh(Hazrat Isaa Alayhis Salaam) ki Shakl me Numudaar(Zaahir) huwa..(MaazAllah),
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-590, 591, 592)

>➤ ALLAH TA’ALA ne Baatil Firqo ka Radd Farmaya :-
Quraane Majeed me he ki
“Aur Yahudi Bole Uzeir ALLAH ka Beita he Aur Nasraani(Isaai) Bole Maseeh ALLAH ka Beita he, Ye Baate Woh Apne Moonh se Bakte he Agle Kaafiro ki si Baat Banaate he ALLAH Unhe Maare, Kahaa Undhe Jate he”
(Surah Al Taouba, Aayat-30)

Is Aayate Kareema me ALLAH TA’ALA ne Hazrat Isaa Alayhis Salaam ko ALLAH TA’ALA ka Beita Kehne waalo ka Radd kiya Aur Farmaya ki Hazrat Uzair Alayhis Salaam ko ALLAH TA’ALA ka Beita Kehne waale Apne Moonh se Manghadat Baate Bana Bana kar Bakte he,

Manghadat Kahawate Banana Pehle Kaafiro ka Tour wa Tariqa Chala Aa raha he, ye bhi Unki Tarah hi he, KHUDA TA’ALA Unko Barbaad kare, Ye Kidhar Bhatke Ja rahe he, Inko Seedhi Raah Nazar Kyu Nahi Aati…??

Quraane Paak me Ek Aur Jagah ALLAH SUBHANAHU WA TA’ALA Irshad Farmata he
“Beishak Kaafir he Woh Jo Kehte he ki ALLAH Wahi Maseeh Mariyam ka Beita he Aur Maseeh Ne to ye kaha tha Ay Bani Israail ALLAH ki Bandagi karo Jo Meira RABB Aur Tumhaara RABB he Aur Tumhaara RABB Beishak jo ALLAH ka Shareek Thehraaye to ALLAH ne Us par Jannat Haraam kardi Aur Uska Thikana Dozakh he Aur Zaalimo ka koi Madadgaar Nahi,
(Surah Al Maaidah, Aayat-72)

Is Aayate Kareema me Wazeh Tour par RABB TA’ALA ne Farma diya ki Hazrat Isaa Alayhis Salaam ko ALLAH TA’ALA ka Beita kehne waale Kaafir he Aur ye Itne Be-Shamaj Loug he ki Unhe Ye Samaj Nahi Aa raha ki Hazrat Isaa Alayhis Salaam Khud Bani Israeel ki Tableeg Farma rahe he ki Tum ALLAH TA’ALA ki Ibaadat karo, Wahi Zaat Ek he, Uska Koi Shareek Nahi, Wahi Meira bhi RABB he Aur Wahi Tumhaara bhi Rabb he, Agar Tumne Mujhe ALLAH TA’ALA ka Shareek Mana to Yaad rakho ki Tum par ALLAH TA’ALA Jannat Haraam kar deiga Aur Tumhaara Thikana Jahannam hoga Aur Tum Is Shareek ki Wajah se Zaalim ho jaaoge Aur Ye Tumhara Apni Jaano par Zulm karna Tumhe RABB TA’ALA ki Madad se Door kar deiga kyuki Tamaam Mushriko ke liye RABB TA’ALA ka Yahi Wa’ada he,

Quraane Azeem me Ek Aur Jagah RABB TA’ALA Irshaad Farmata he
“Beishak Kaafir he Woh Jo Kehte he ALLAH Tin Khudaao me ka Tisra he Aur Khuda to Nahi Magar Ek Khuda Aur Agar Apni Baat se Baaz Na Aaye To Jo Unme Kaafir Marenge Unko Zarur Dard-Naak Azaab Pahonchega”
(Surah Al Maaidah, Aayat-73)

Is Aayate Kareema me 3 Khuda Maanne Waalo ko RABB TA’ALA ne Kaafir Qaraar diya Aur ye Farmaya ki Khuda to Ek he, Ye 3 Keise Maan rahe he…?? Agar Ye 3 Khudaao ki Ratt lagaate hi rahe Aur Baaz Na Aaye to Unke Shareeh(Khula/Waazeh) Kufr ki Wajah se Dard-Naak Azaab diya Jaayega,

Quraane Kareem me Ek Aur Jagah ALLAH AZZAWAZAL Irshaad Farmata he
“Ay Kitaab walo Apne Deen me Zayadati Na karo Aur ALLAH par Na Kaho Magar Sach, Maseeh Isaa Mariyam ka Beita ALLAH ka Rasool hi he Aur Uska Ek Kalema ki Mariyam ki Taraf Bheija Aur Uske Yaha ki Ek Rooh To ALLAH Aur Uske Rasoolo par Imaan Laao Aur Tin Na Kaho Baaz Raho Apne Bhale ko ALLAH to Ek hi KHUDA he, Paaki Use Is se ki Uske koi Bachcha ho Usi ka Maal he jo Kuchh Aasmaano me he Aur Jo Kuchh Zameen me he Aur ALLAH Kaafi Kaarsaaz he”
(Surah Nissa, Aayat-171)

Is Aayate Kareema me Ahle Kitaab ke Aqeede ko Gulu(Hadd se Aage Badhne wala) kaha gaya he Aur Unhe Mutanabo(Khabardaar) kaha gaya he ki ALLAH TA’ALA ki Taraf Haqq ke Bageir koi Chiz Mansub na karo, Beishak Maseeh Isaa Bin Mariyam ALLAH TA’ALA ke Rasool he Aur Uska Kalema he Jo Hazrat Mariyam Alayhis Salaam ki Taraf Usne Ilqa kiya he Aur Uski Taraf se Ek Rooh he, ALLAH TA’ALA ki Wahdaaniyat ko Tasleem karo, Uska Koi Shareek Nahi Aur Uske Rasoolo par Imaan laao Yani Unhe ALLAH TA’ALA ki Makhluq Samjho, Unko Khuda Na Maan Bheitho,
Tin Khudaao ke Qaayel Na Bano, Tin Khuda Maanne ke Aqeede se Baaz Aaa jaao, Apni Bhalaai ko Chaho, Woh Bhalaai Isi me he ki Hazrat Isaa Alayhis Salaam ko ALLAH TA’ALA ka Banda Aur Uska Rasool kaho, Khuda Na kaho, Aur Khuda ka Beita bhi Tasleem Na karo Aur Khuda Ka Shareek bhi Na Thehraao, Ma’abud Sirf ALLAH TA’ALA ki Zaate Paak hi he Aur Koi Ma’abud Nahi, Uski Aulaad Na Maano, Woh To Aulaad se Paak he, Zameen Wa Aasmaan ki Tamaam Chize Uski Milkiyat he Aur Ye Imaan rakho ki ALLAH TA’ALA hi Behtar Kaarsaaz (Haajate Poora karne wala/Kaam Banaane Wala) he.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-592, 593, 594)

Aur bhi Aayate Kareema he Jisme ALLAH SUBHANAHU WA TA’ALA ne In Baatil Firqo ka Radd Farmaya he, Filhaal Itni Aayate Kareema Kaafi he..

>➤ ALLAH TA’ALA ke Istifsaar (Sawaal) par Hazrat Isaa Alayhis Salaam ka Jawaab :-
Quraan E Kareem me he ki
“Aur Jab ALLAH Farmaayega Ay Mariyam ke Beite Isaa Kya Tu ne Lougo se Keh Diya tha ki Mujhe Aur Meiri Maa ko Do Khuda Banaalo ALLAH ke Siwa, Arz Karega Paaki he Tujhe Mujhe Rawa Nahi ki Woh Baat kahu jo Mujhe Nahi Pahonchti Agar Meine Aysa Kaha ho to Zarur Tujhe Ma’alum hoga Tu Jaanta he Jo Meire Jee me he Aur Mei Nahi Jaanta Jo Teire Ilm me he Beishak Tu hi he Sab Geibo ka Jaanne Wala, Meine to Unse Na Kaha Magar Wahi Jo Tu ne Mujhe Hukm diya tha ki ALLAH ko Poojo Jo Meira bhi RABB Aur Tumhara bhi RABB Aur Mei Unpar Muttala(Ba-khabar) tha Jab Tak Mei Unme Raha Fir Jab Tune Mujhe Utha liya Tu hi Unpar Nigaah rakhta tha Aur Har Chiz Teire Saamne Haazir he, Agar Tu Unhe Azaab kare to Woh Teire Bande he Aur Agar Tu Unhe Bakhsh de To Beishak Tu hi he Gaalib Hikmat Wala”
(Surah Al Maaidah, Aayat-116, 117, 118)

Qayaamat ke Din ALLAH TA’ALA Hazrat Isaa Alayhis Salaam se ye Sawaal Farmaayega Aur Aap Alayhis Salaam ye Jawaab deinge, Is Sawaal wa Jawaab ka Maqshad Kuffar ko Khaamosh karana, Unko Tavbeekh(Daant) karna hoga ki Tum Hazrat Isaa Alayhis Salaam ko Keise Khuda Maante rahe, Jab ye Khud Apne Abd(Banda) hone ka Iqraar karte rahe Aur Tumhe ye Hukm deite rahe ki ALLAH TA’ALA Ek he Uska koi Shareek Nahi Sirf Uski Ibaadat karo.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-603, 604)

>➤ Hazrat Isaa Alayhis Salaam ke Muta’aliq Sahih Aqeeda :-
Hazrat Isaa Alayhis Salaam ka Maqaam kya he…??
Aap Alayhis Salaam ko kya Tasleem kiya jaaye..??
Iska Jawaab Waazeh Tour par Hazrat Isaa Alayhis Salaam ne Khud hi Yahud(Yahudiyo) ko diya tha, Jab Unhone Aap ki Waalida par MaazAllah Badkaar hone ki Tohmat lagaayi thi, Aap Alayhis Salaam ne Sheer-khwaargi(Doodh Peene ki Umr) me Irshaad Farmaaya tha..

Quraane Paak me he ki
“Bacche ne Farmaya Mei hu ALLAH ka Banda Usne Mujhe Kitaab di Aur Mujhe Geib ki Khabre Bataane wala(Nabi) kiya, Aur Usne Mujhe Mubaarak Kiya Mei Kahi hu Aur Mujhe Namaaz wa Zakaat ki Taakid Farmaayi Jab tak Jiyu, Aur Apni Maa se Achha Sulook karne wala Aur Mujhe Zabardast Bad-Bakht Na kiya, Aur Wahi Salaamati Mujh par Jis Din Mei Peida huwa Aur Jis Din Maru Aur Jis Din Zinda Uthaya Jaau”
(Surah Mariyam, Aayat-30,31,32,33)

Haasile Kalaam ye he ki Hazrat Isaa Alayhis Salaam ALLAH TA’ALA ke Bande he, KHUDA Nahi, KHUDA ke Shareek Nahi, KHUDA ka Beita Nahi, Aap Alayhis Salaam ALLAH TA’ALA ke Jaleelul Qadr Nabi he Aam Insaan Nahi, Aap ko ALLAH TA’ALA ne Kitaab Injeel Ataa Farmaayi, Aapko Barkat Wala Banaya, Ye Barkat Aapko RABB TA’ALA ki Taraf se Haasil hui he, Aapko Waalida ka Farmaan-Bardaar Banaya, Jo Shaksh Peida ho Woh Khuda Nahi Ho Sakta, Aapko Roohul Quddus ki Taaeed(Madad) Haasil he, Aapka Laqab ‘Roohulallah’ Aur ‘Kalimatullah’ he,

Aap Alayhis Salaam ko Zinda Aasmaano par Utha liya gaya he, Qurbe Qayaamat me Aap Alayhis Salaam Duniya me Tashreef laayenge, Shadi karenge, Aap Alayhis Salaam ki Aulaad hogi, HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ki Shariyat par Amal Karaayenge, Aap Alayhis Salaam Dajjal ko Qatl kar deinge, Aap Alayhis Salaam ka Nuzool Imaam Mehndi RadiAllaho Ta’ala Anho ke Zamaane me hoga, Fir Aap Alayhis Salaam ki Wafaat hogi, HUZOOR REHMATE DO AALAM Sallallaho Alayhe Wasallam ke Sath Roza E Munawarra me Dafn hone ka Sharf Haasil hoga, (Iske Ba-Wajud koi Keise keh Sakta he ki Aap Alayhis Salaam Khuda he…)
ALLAH TA’ALA (Un) Lougo ko Hidaayat Ataa Farmaaye.. Aur Isi Aqeeda E Haqq par Qaayam rakhe.. (Aameen YA RABBUL AALAMIN…)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-606, 607)

Yaha par Hazrat Isaa Alayhis Salaam ke Waaqiyaat Khatm hote he…
In sha Allah Aage Nooraani Safar ke Post ka Silsila Zaari he…
Abhi Tak ke Nooraani Safar ke Post Likhne me Kisi Kism ki Lagjis, Galti, Kutaahi Ya Be-Adabi hui ho to ALLAH RABBUL IJJAT Muaaf Farmaaye Aur Is Kaam ko Apni Baargaah me Qabool Farmaaye…
Aameen…

>➤ Khushushi Duaa ke Talabgaar :-
» Sheikhul Hadees Allama Abdur Razzaq Bhatralvi Madazillahul Aali…
(Kitaab ke Musannif(Writer))
» Faqeer Mohammad Abrar Hanfi Qadri,



#Seerat #Sirat #Nooranisafar #Noranisafar #Waqiya #Wakiya #Noorulislam #islam #Ambiya #Hazratisaa #Isha #Isa #mariyam #zakariya #jakariya #yahya #hawareen #hawarin #shaleeb #salib #saleeb #shalib #yahudi

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *