Hazrat Ibhrahim Alayhis Salaam

IBHRHIM

>➤ Hazrat Ibhrahim Alayhis Salaam :-
Aap Tarikh Ibne Nakhud ke Farzand(Beite) he, Aapka Naam Ibhrahim Aur Aapka Laqab Abu Al Zayfan(Bahot Bade Mehman Nawaz) he,

>> Nasab (Pedhi) :-
“ابراھيم ابن تارخ ابن ناخود ابن ساروء ابن رعو ابن تاتع ابن عابر ابن شالح ابن ارفحشذ ابن سام بن نوح”
(Tafseere Haqqani)

Hazrat Ibhrahim Alayhis Salaam ki Peidaish Tufaan ke 1709 Saal Baad Aur Isaa Alayhis Salaam se Takriban 2300 Saal pehle Saher ‘Baabil’ ke Qarib Kasba ‘kuni’ me hui.
(Tafseere Azizi, Safa-543)

Aur Ek Qoul ke Mutabik Aap ki Peidaish ‘Amwaj’ ke Ilake ‘Sous’ ke Makam par hui,
(Tafseere Naeemi, Jild-1, Safa-630)

>➤ Hazrat Ibhrahim Alayhis Salaam ko Zamin wa Aasman ki Milkiyat Dikhayi gayi :-
ALLAH TA’ALA ne Quraane Paak me Farmaya
“Aur is tarah Ham Ibhrahim (Alayhis Salaam) ko Aasman Aur Zamin ki Badshahat dikhane lage(Taaki wo Samjhe) Aur Is liye ki wo use deikh kar (Kamil) yaqin Karnewalo me se ho jaye”
(Surah An’aam, Aayat-75)

Hazrat Ibhrahim Alayhis Salaam ko Zamin va Aasman ki Tamam Chize dikhai gayi, Yaha tak ki Chand, Suraj, Pahad, Darkht, Aur Darya Tamam Chizo ki Haqiqat ko Aapne Deikha Aur Tamam Roohe Zamin Aur Aasman ko deikha,

Allama Aalushi Rahmatullah Alay Farmate he
Hazrat Ibhrahim Alayhis Salaam ko Tamam Nishaniya Aur Tamam Ijaaebaat dikhayi gayi, Beshaq Aap par 7 Aasman Zaaher kar diye gaye to Ibhrahim Alayhis Salaam ne Aasmano aur Zamin ki Chizo ko deikha yaha tak ki Aap ki Nazar Arshe ILAAHI tak Pahonchi, is tarah Aap par 7 Zamine Zaaher kar di gayi to Aapne Zamino ki Har Chiz ko Deikha.
(Roohul Maani, Jild-4, Hissa-2, Safa-197)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-110)

>➤ Hazrat Ibhrahim Alayhis Salaam ko 3 Tarah ke Insaano ki Pehchan batayi gayi :-
Ibne Marduvya Rahmatullah Alay ne Hazrat Ali RadiAllaho Ta’ala Anho se Riwaayat baya ki ke HUZOOR NABI E AKRAM Sallallaho Alayhe Wasallam ne Farmaya
Jab Hazrat Ibhrahim Alayhis Salaam ne Zamin va Aasman ki Baadshahat ko deikh li to Aap ne ek Shaksh ko Gunaah karte hue deikha Yaani jo kahi Door daraj chip kar Gunah me Mubtila tha lekin Aapne use deikh liya to Aapne uske Khilaaf Dua Farmaayi, RABB TA’ALA ne use Halak kar diya, Fir Aap Dusre Aadmi ke Gunah par Muttela hue to Uske Khilaaf bhi Dua ki, ALLAH TA’ALA ne Ushe bhi Halak kar diya, Fir Aap ek Aur Shaksh ke Gunaah par Muttela hue to Aapne Uske khilaaf Dua karne ka irada kiya hi tha ki ALLAH TA’ALA ne Aapko Mana Farma diya ki Ay Ibhrahim Aap Mustajabul Davat he Mere Bando ki Halakat ki Dua na kare kyunki Mere Bandey 3 kism ke he
Yaato Gunehgaar honge lekin Touba kar lenge Aur me Unki Touba Qabool karunga,
Ya wo Khud to Gunehgaar hi rahenge lekin unki Aulaad me ayse Neik Log honge jo Zamin ko Zikr se bhar denge Yaani ALLAH TA’ALA ki Hamd va Sana Tasbih va Tahlil itni Zyada Karenge ki Unke Feizan se Aur Log bhi ALLAH ke Zikr me Masgul ho jayenge,
Ya wo log Gunaaho ke Haal me hi Mar jayenge Aur Meri Kabza e Qudrat me honge, uske Baad Meri Marzi ki baat he ki me Unko Maaf kardu Ya Saja du.
(Roohul Maani, Jild-4, Hissa-2, Safa-197)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-110, 111)

>➤ Hazrat Ibhrahim Alayhis Salaam ne But-Parasto ka Radd Farmaya, :-
Quraan Shareef me he ki
“(Ay NABI, Yaad kijiye) Jab Ibhrahim (Alayhis Salaam) ne Apne (Arafi) Baap(chcha) Aazr se kaha ki Kya Tum Buto ko khuda banate ho Beshaq me Tumhe Aur Tumhari Qoum ko kheli hui Gumrahi me Pata hu”
(Surah An’aam, Aayat-74)

“(Ibhrahim Alayhis Salaam) ne Apne Aarafi Baap(chcha) se kaha Ay Mere Baap Ayshi Chizo ki kyu Ibaadat karte ho jo Na Sun Sakte he Aur na deikh sakte he Aur na Kuch Aapke Kaam Aa sakta he Ay Mere Baap Mere Paas wo Ilm Aaya jo Aapke Paas nahi Aaya to Aap Mere Piche Chale Aaye(Mere Kehne par chale) Me Aap ko Shidha Rasta Dikhaunga, Ay Mere Baap Shaitaan ki Puja na kijiye, Beshaq Shaitaan to Rehmaan ka Nafarman he”
(Surah Maryam, Aayat-42,43,44)

in Tamam Aayat me Baap se Muraad Aapka Chcha ‘Aazr’ hi he, Aap ne Ushe Nasihat karte hue kaha ki Jin Buto ki Tu Puja kar raha he wo Teri Ibadat ko nahi deikh sakte Teri Sana ko nahi sun sakte Aur bhi kishi Chiz ko Deikhna Aur kishi Qism ka Kalam Sunna unki Takat Me nahi Aur Tumhari Ya kishi Aur ki Imdaad karna Aur kishi Kism ki Musibat se Nazaat deina Aur Tumhe Be Parwa karna Jab unhe Hasil nahi to Wo Ibaadat ke layak kabhi nahi ho sakte Balqi unki Ibaadat Karna Haqiqat Shaitaan ki Ibaadat he kyunki Usse Wo Khus hota he Aur Buto ki Ibaadat Karna ushi ke Dhoke Aur Fareib ka Natija he is liye Tum Shaitaan ki Ibaadat chhoud do, kyuki Shaitaan ALLAH TA’ALA ka Nafarmaan he wo khud to Mardud ho chuka he Aur Dusro ko bhi Behkaane me Har wakt Koshis me laga rehta he, wo to Chahta he ki Koi Na koi Mere Daame Fareib me Fash kar RABB TA’ALA se Door ho jaaye Aur uske Azaab ka Mustahak ban sake.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-111,112)

>> Quraane Paak me he
“Jab ki Unhone (Hazrat Ibhrahim Alayhis Salaam) ne Apne Aarafi Baap (Chcha Aazr) Aur Apni Qoum se kaha Tum kis ko Pujte ho unhone Kaha Ham Buto ko Pujte he pas Unke gard Aasan Mare beithe rehte he Ibhrahim (Alayhis Salaam) ne Farmaya kya Jab Tum unhe Pukarte ho to kya wo Tumhari (Pukaar) Sunte he Ya Tum Kuch Fayda ya Nukshan pahoncha sakte he unhone kaha Balqi Hamne Apna Baap Dada ko eshe hi karte paya he Ibhrahim (Alayhis Salaam) ne Farmaya kya Tum deikhte ho ye jinhe Tum Aur Tumhare Agle Baap Dada Puj rahe the to Beshaq wo Sab mere Dusman he Siwaye PARWARDIGAAR Aalam ke jisne Muje Peida Kiya wahi Muje Raah deita he Aur Wahi Muje khilata he Aur Pilata he Aur jab Me Bimaar hota hu to Muje Shifa deita he wo jo Muje Mout deiga fir muje Jinda Farmaayega”
(Surah Su’ara, Aayat – 70, 71, 72, 73, 74, 75, 76, 77, 78, 79, 80, 81)

in Aayate Kareem me Hazrat Ibhrahim Alayhis Salaam ka Zikr kheir kiya ja raha he, kyunki Aap Kureish ke Jadda-e-Aala Aur Kaba ke Baani the, Kureish ko unki Nasal hone par Bada Naaz tha, is liye Unke Saamne Aapke Aqaaid Baya Farmaaye ja rahe he Taaki Hazrat Ibhrahim Alayhis Salaam ko Jadda-e-Aala Karnewale Aur us Nisbat par Fakhr karnewale Hazrat Ibhrahim Alayhis Salaam ke RABBE AKBAR par Bhi Imaan laye Jis tarah Aapka Daaman Kufr va Shirk ke Aalaisho se Bilkul Paak tha ushi tarah ye bhi Apne Daago ko Door karke Touhid khalis ikhtyaar kare,

Allama Kazi Sanaullah Paanipati Rahmatullah Alay Tafseere Mazhari me Farmate he
“le’abihe”se Muraad Aazr he jo Aap ka Chacha tha kyunki Usne Aapki Parvarish ki thi is liye Baap kaha gaya.
(Tafseere Mazhari, Jild-7, Safa-70)

Fir Hazrat Ibhrahim Alayhis Salaam ne Farmaya un Andhe Behre Buto ke Muta’alak Tum jo Chaho kehte raho, me unhe Apna Dusman Aur Badkhwa Samaj raha hu, Meri Bandagi ka Ta’aluk Sirf us Ma’abud bar-Haqq ke Sath he jo Qaayenaat ki har chiz ko uske Martaba kamaal tak pahonchata he.
(Tafseere Ziyaul Quraan, Jild-3, Safa-398)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-113)

>➤ Qoum ki Eid Aur Mela :-
Us Qoum ka Salana ek Mela Lagta tha, Jangal me jate the Aur Saam tak Waha Lahu-va-la’ab me Masgul rehte the, Wapishi ke Wakt But-khana me Aate the Aur Buto ki Puja karte the iske Baad Apne Makano ko Wapish jate the,
Jab Hazrat Ibhrahim Alayhis Salaam ne un Buto ki Mazammat Baya ki to Unhone Kaha Kal Hamari Eid he,
Jangal me Mela Lagega, Ham Nafish Khane paka kar Buto ke paas rakh jayenge Aur Mele se Wapis ho kar Khayenge, Aap bhi Hamare Sath chaliye deikhiye ki Hamare Deen Aur Tarike me kya Bahaar he Aur keishe Lutf uthate he,

jab wo Mele ka Deen Aaya to Aapko Chalne ke liye kaha gaya to Aap ke Jawab ko Quraane Paak me Farmaya gaya
“Aapne Ek Nigaah Setaaro ko deikha fir Farmaya ki Beshaq me to Bimaar hu”(Me Tumhare Sath nahi Chal sakta)
(Surah As Safaat, Aayat-88, 89)

Aapne Setaaro ko Ayshe deikha jeishe Setaaro ka Hisaab laganewale deikhte he, Qoum Chunki Setaaro ke Hisaab ko bahot Manti thi, unhone ye Samjha ki Shaayad Aapne Setaaro se Hisaab laga kar ye Samjha ki Aap Bimaar hone wale he, is tarah Qoum Aap ko Chhoud kar Apne Mele par chali gayi.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-113, 114)

>➤ Hazrat Ibhrahim Alayhis Salaam ka Buto ko Todna :-
Hazrat Ibhrahim Alayhis Salaam ne kai logo ke Saamne ye Wajeh Tour par keh diya tha
“Aur (Muje) ALLAH TA’ALA ki Kasam Me Tumhare Pith feir kar Chale jane ke Baad Jarur Tumhare Buto ki Poshida Tarbir karunga”
(Surah Ambiya, Aayat-57)

Jab Qoum Apne Mele par chali gayi to Aapne Mouke ko Ganimat Samja ki Ab Apne irade ko Amali Jaam Pehchane ka Sunheri Waqt aa gaya he, Aapne But-khana ka Rukh kiya, waha jakar deikha ki Qoum But ke paas tarah tarah ke Khane Rakh kar Gayi he ki Wapis Aakar Khayenge Aur Buto ki Puja karenge, to Aapne Buto ke qarib ja kar kaha
Tum khate kyu nahi…?

Hazrat Ibhrahim Alayhis Salaam ke is irshaad par jab Buto ki taraf se koi Jawab na Aaya to fir Aapne unhe kaha
Tumhe kya huwa Tum Bolte kyu nahi…??

wo bejaan Patther ki Murtiya thi unki taraf se kya Jawab aana tha, Jab Aapne deikha ki ye But khaane ke kabil nahi, Bolne ki unme Takaat nahi, Apne hi Hatho se Tarase Hue Patthero se Bejaan But he, to Aapne Unko Maarna Suru kar diya,
“Ibhrahim (Alayhis Salaam) ne Siwaaye Unke Bade But ke Sab Buto ko Tukde Tukde (chura chura) kar diya Sayad wo us Bade But se kuch Puche”
(Surah Ambiya, Aayat-58)

Qoum ko waha hi pata chal gaya ki Hamare Buto ko Toud diya gaya he to wo Jaldi se uski Taraf Mutawajjo hue,
Chunanche wo Aaye Aur Apne Buto ka ye Haal deikh kar kaha
“Jisne Hamare khudao ke Sath ye Harkat ki he beshaq wo bada Zaalim he fir (Aapasme) kehne lage ki Hamne Ek Jawan ko jisko Ibhrahim (Alayhis Salaam) kaha jata he, in Buto ko Bura kehte Suna he (Fir Aapas me) kehne lage ki Us Jawan ko logo ke Saamne Laav Sayad wo log Gawahi de (Chunanche Hazrat ibhrahim Alayhis Salaam ko laya gaya Aur Unhone Aapse) kaha ki Ay Ibhrahim kya Tum ne Hamare Buto ke Sath ye Harkat ki he ?
Aapne Farmaya Balqi in ke us Bade ne kiya hoga to Agar ye Bolte ho to unse Puch deikho fir wo Apne logo ki taraf Loute Aur Baaham(Ek Dusre se) kehne lage ki Beshaq Tum hi Zalim Aur Na inshaf ho, fir Sarmindagi se unke Sar Jukaaye gaye(Aur kehne lage Ay Ibhrahim) beshaq Tum jante ho ki ye Bol nahi sakte he Ibhrahim(Alayhis Salaam) ne Farmaya ki Tum ALLAH TA’ALA ke Siwa Ayshi chiz ko Pujte ho ki jo na Tumhe kuchh Nafa de sakte he Aur Na Kuchh Nukshan Taf he Tum par Aur Tumhare Un Ma’abudo par Jinko Tum ALLAH TA’ALA ke Siwa Pujte ho kya Tum me kuch bhi Aqal nahi
(Surah Ambiya, Aayat- 59, 60, 61, 62 ,63 ,64, 65, 66, 67)

Hazrat Ibhrahim Alayhis Salaam ne Tamam Buto ko Todfod kar Chukna Chur kar diya Siwaye Bade But ke, Aap ne Basola Uske Kandhe par rakh diya jab Qoum ke Log Wapish aaye to kehne lage Hamare Khudao ko Kisne Tod diya he,

Keise Be-Aqal log the jinko Abhi Tak Samaj nahi aa raha tha ki jo But Apne Aapko nahi Bacha sake wo Kya Imdaad karenge..

Unke us Sawal par ki Hamare Khudao se ye Suluk kisne kiya, un logo ne bataya jinke Samne Ibhrahim Alayhis Salaam ne kaha tha ki me Tumhare Khudao se kuch Na Kuch Bada Suluk jarur karunga, ki ye kaam Ibhrahim Alayhis Salaam ne hi kiya hoga, kyunki wo Hamare Khudao ki Buraiya baya karta tha, Ab wo kehne lage ki Ibhrahim ko Saamne laav Taaki us par Gavahiya Kayam karke Mukadma Kayam kiya ja sake,
Hazrat Ibhrahim Alayhis Salaam ko Laya gaya, Aapse Pucha gaya ki ye Kaam Tum ne kiya he..?
Aapne Farmaya ki Basola Tumhare Bade But ke Kandhe par he usne ye kiya hoga, Apne Un Khudao se hi Puchhlo Agar Bolte he to Batayenge,

Aapke is Hakimana Jawab par kuchh Deir ke liye to wo Sochne lage ki Ibharhim Alayhis Salaam Haqq par he Aur Ham hi Bewkuf he ki Ayshe Khudao ki Puja kar rahe he jo Apne Aapko bhi nahi bacha sake, ye Haqiqat he ki Ham us Maamle me Apne Aap par Zulm kar rahe he, lekin kuch deir baad un par Fir Badbakhti Sawar ho gayi, kehne lage Ham inse Keishe Puche ye to Bolte hi nahi is tarah wo Apni Gumrahi par Kayam rahe.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-115, 116)

>➤ Buto ko Todne par Ibhrahim Alayhis Salaam ko Saza :-
Hazrat Ibhrahim Alayhis Salaam Jab Kuffar ke Banawati Khudao ko Tabah kar diya to Aur Dalail me bhi un par Galb Hasil kar liya to Unhone Aapse Badla lene ka Feishla kar liya Aur Sab Sazaao se Sakht Tajvij ki Yani ye ki Aapko Aag me Jala diya jaaye Halanki Aaag ka Azaab Sirf ALLAH TA’ALA de Sakta he Bande ke liye Jaiz nahi ki kishi ko Aag ka Azab de lekin Namrud Aur uski Qoum ne Aap ko Jalane ki Saza di,

Quraane Paak me he ki
“But parasto ne (Maswara karke) kaha ki Inke liye ek Imaarat banawo (usme Aag jalawo) fir unko us Badhakti Hui Aag me feink do”
(Surah As Saffat, Aayat-88, 89)
Yaani Ird-gird Bahot Badi Dewaar bana kar uske Darmiyaan Aaag jala kar Ibhrahim Alayhis Salaam ko usme Daal do,

“(Kafir) kehne lage ki Agar Tum Kuch Karna Chahte ho to Ibhrahim Alayhis Salaam ko Jalado Aur Apne Ma’abudo ki Madad karo”
(Surah Ambiya, Aayat-68)
kitne Bewkuf log the ki ye bhi Nahi Samaj rahe the ki jin Buto ki Imdad kar rahe he wo Khud Apni liye Kuchh Na kar sake, wo Khuda banne ke Kabil keishe..

>➤ Hazrat Ibhrahim Alayhis Salaam ko Aaag me Jalane ke liye jo Char Diwaare banayi gayi uski Mikdaar :- 
Hazrat Ibne Abbas RadiAllaho Ta’ala Anho ne Farmaya ki Uski Bulandi 30 Zarah(45 Fit) Aur Chodhai 20 Zarah(30 Fit) Aur Tal 30 Zarah(45 Fit) thi.
(Tafseere Kabeer, Jild-26, Safa-150)

>➤ Hazrat Ibhrahim Alayhis Salaam ko Aaag me Daalne ka Maswara dene wala :-
Hazrat Muzahid kehte he ki Hazrat Abdullah Bin Umar RadiAllaho Ta’ala Anho ne Farmaya
Ay Muzahid kya Tumhe Malum he ki Ibharahim Alayhis Salaam ko Jalane ka Sabse Pehle Maswara dene wala koun tha…??
Mene kaha Muze to Ilm nahi,
Hazrat Abdullah Bin Umar RadiAllaho Ta’ala Anho ne Farmaya wo Faras ke Gaav me Rehnewala Shaksh tha, jis ka Naam ‘Ikraad’ tha,

Baaz jagah uska Naam ‘Ikraad bin Atit’ he,
us Naam ke Mutabik 2 Qoul Aur bhi he
Ek Qoul ke Mutabik Naam ‘Hayun’ he Aur
Dusre Qoul ke Mutabik ‘Hadir’ he,

Us Shaksh ko ALLAH TA’ALA ne Zamin me Dhansha diya he Aur Qayamat tak Dhansta chla jayega,

Hazrat Ibhrahim Alayhis Salaam ko Jalaane se Pehle Keid kar diya gaya,
Unhone(Qoum) ne fir Aag jalane ke liye 4 Diwaar Baadh ki tarah Banani suru kardi, Jab Baadh Taiyaar ho gaya to Fir Lakadiya jama karna Suru kar diya, Har Qism ki Lakadiya 40 Din tak wo Sab Loug Jama karte rahe,
Yaha Tak ki Agar koi Budhi Aurat Bimaar ho jati to wo bhi kehti Agar Muje is Bimaari se Shifa Hasil ho gayi to me Ibhrahim (Alayhis Salaam) ko Jalane ke liye Lakadiya Laungi.

>➤ Aaag keishi thi :-
Jab Tamam logo ne mil kar 40 din tak Mehnat karke Kasir Mikdaar me lakadiya jama karli to Aaag jala di gayi Aaag ke Soule Aasmano se Baate Karne lage, itni Azeem Aur Sadid Aaag thi ke Uske Upar Fiza me bhi koi Parinda nahi ud Sakta tha.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-121,122)

http://www.noorulislam.co.in/wp-content/uploads/2018/12/6.jpg

>➤ Aaag me Daalne ke liye Shaitaan ki Madad :-
Jab Aaag Bahot Jyada Soulajan ho gayi us ki Garmi itni door door tak feil gayi ki Aaag ke Karib jana kishi insaan ki takat me na raha, to wo Kuffar Heiraan Pareshan ho gaye ki Sab Mehnat Zaya jati he kyunki unhe Samaj nahi aa raha tha ki Ibhrahim Alayhis Salaam ko Aaag me keishe Dala jaaye..
Tab Shaitaan ne Aakar unki Madad ki ke Munjanik Taiyaar ki jaye Aur Ibhrahim Alayhis Salaam ko Rassiyo se Jakad kar Munjanik me rakh kar Aag me feink diya jaaye,
khyaal rahe Sabse pehle Duniya me yahi Munjanik Taiyaar hui Baad me isko Jango me istemaal kiya jata raha Aur Munjanik ke jariye Patthero ko golo ki tarah feinka jata tha.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-122)

>➤ Zameen wa Aasman ki Makhluq ki Fariyaad :-
Hazrat Ibhrahim Alayhis Salaam ko jab Rassiyo se Baandh kar Munjanik me rakha gaya to Siwaye Jino Aur Inshano ke ALLAH TA’ALA ke Zamin va Aasman ki Sari Makhluk Chilla uthi Aur ALLAH TA’ALA ki Baargaah me Fariyaad karne lage,
Ay PARWARDIGAARE AALAM Zamin me Siwaye Ibhrahim Alayhis Salaam ke koi Aur Nahi jo Teri Ibadat kare, Ay ALLAH Aaj wo Teira Naam lene ki wajah se Jalaya ja raha he,
Zamin va Aasman ke Fariste, Jaanwar, Sabhi ye Maanzra deikh kar Heiraan va Pareshan he,
RABB TA’ALA ki Hikmat se bekhbar the, Soch rahe the Ab kya hoga…?? ALLAH TA’ALA ka Naam lene wala to Aaj jal jaayega, Ab Jamin me ALLAH TA’ALA ki Ibaadat karnewala koun hoga…??

>➤ Faristo ne Aap ki Imdad karne ki ALLAH TA’ALA se ijaajat talab ki :-
Zamin wa Aasman ke Faristo ne ALLAH TA’ALA ke Huzre Arz ki Ay ALLAH Hame Ijajat Farma ki Ham Ibhrahim Alayhis Salaam ki imdad kare,
ALLAH TA’ALA ne Unhe Ijajat Aata Farmadi ki Agar wo Tum se Imdad Hasil karna Chahte he to Tum unki Imdad karo Aur Agar wo Mere Bageir kishi Aur se imdad nahi Hasil karte to Me unhe Jyada Janta hu Me hi Unka Wali hu, Unka Maamla Muz par hi Chhod do, Beshaq wo Mere KHLEEL he, is Waqt Tamam Roohe Zamin par unke Bageir Aur Mera Koi KHLEEL nahi Aur me hi Unka Ma’abud hu Mere Bageir unka koi Ma’abud nahi,

Hazrat Ibhrahim Alayhis Salaam ke Paas Hawaao par Mukararr Farista Aaya Aur wo Farista bhi Hazir huwa jo Paaniyo par Mukararr tha, un dono ne Arz kiya Aap Hame Ijajat Farmaaye ki Ham Aaag ko Khtm karde,
Ibhrahim Alayhis Salaam ne Farmaya Muje Tumhari Imdad ki koi Zarurat nahi, Mera ALLAH muje Kaafi Aur Wahi Behtarkar Saaj he,
Hazrat Ibhrahim Alayhis Salaam ke Paas Zibrail Alayhis Salaam aaye Aur Arz kiya ki Aapko Mere Imdad ki zarurat ho to me Aap ki imdad karu,
Ibhrahim Alayhis Salaam ne Farmaya Muje Tumhari Imdad ki koi jarurat nahi, Zibrail Alayhis Salaam ne kaha Acha to Fir Apne RABB TA’ALA se hi Sawal karlo to Aapne Farmaya wo Mere Haal ko Janta he Sawal ke Bageir hi Muje Kaafi he.

Subhan Allah,

kuchh logo ka kehna hota he ki ALLAH TA’ALA ke NABI Aur Waliyo se imdad karna jaiz nahi, Agar Jaiz hota to ibhrahim Alayhis Salaam Faristo se Imdad talab karte,
Kaash un logo ko ye Samaj Aajaye ki AMBIYA E KIRAAM ka Makam Malaika(Faristo) se Buland he, unhe kiya Zarurat he ki wo Apne se kam Martabe waalo se Imdad talab kare,
fir Ibhrahim Alayhis Salaam ki Tarah Aam Inshan Tawakkal keishe kar sakta he..? wo to ALLAH TA’ALA se bhi Sawal nahi karte ki wo Khud hi Janta he Muje Sawal karne ki kya Zarurat he.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-122, 123)

>➤ Chhipkali ka Aaag ko Funk deina :-
Bukhari Shareef ki Riwaayat me Aaya huwa he ki Chhipkali Aaag me Funke deiti thi,
Muslim Shareef me Hazrat Said RadiAllaho Ta’ala Anho se Marvi he,
Beshaq HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ne Chhipkali ko Qatl karne ka Hukm diya Aur usko Badi Chiz ke Naam se Taabir Farmaya,
Ek Aur Riwaayat me he ki Chhipkali ko pehle hi waar se Qatl karne me Zyada Sawab he, Aur Dusre waar se Qatl karne me Us se Kam Sawab he Aur Tisre waar se Qatl karne ka Usse kam Sawab he.
(Sarah Sahih Muslim, Jild-2, Safa-244)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-123)

>➤ Hazrat Ibhrahim Alayhis Salaam ko Aaag me Dala gaya :-
Ibhrahim Alayhis Salaam ne Faristo se Imdad lene se inkaar kar diya, ALLAH TA’ALA se bhi Sawal na kiya ki Aaag me Jaane se Pehle hi Muze Bachalega, Bas Sirf Ek Baat Nazar thi ki RABB TA’ALA jis par Raaji he me bhi us par Raaji hu,

Kafirone Jab Hazat Ibhrahim Alayhis Salaam ko Rassiyo se Bandh kar Munjanik me rakh kar Aaag me Dalna Chaha to Aapne Ye Alfaaz Mubarak Padhe
“Tere Bageir koi Ma’abud nahi Teri Zaat Paak he, Sab Taarife Tere liye hi he, Sab Chize Tere hi Mulk me he Tera koi Sareek nahi”

Kafiro ne Aapko Aaag me Feink diya, ALLAH TA’ALA ne Aaag ko Farmaya
“Ay Aaag Ibhrahim(Alayhis Salaam) par Thandi ho ja Aur Salamati ke Sath Raho(ki Unko koi Taklif na pahonche)”
(Surah Ambiya, Aayat-69)

ALLAH TA’ALA ne Aaag ko Thandi ho jane ke Sath Sath Salamati ka Huqm bhi diya Taaki Ibhrahim Alayhis Salaam ko kishi kism ka bhi Nukshan na ho,
Munsad Ahmad me Hazat Ali RadiAllaho Ta’ala Anho ka Irshaad Mazkur he ki
Agar ALLAH TA’ALA ne Aaag ko Salamati ka Huqm na deita to Aaag itni Thandi ho jati ki Aapka Sardi se Wisaal ho jata,
Ek Riwaayat me Aata he ki Jab Ibhrahim Alayhis Salaam ko Aaag me Dala gaya to Aaag Bahar Bahar Zalti rahi Lekin Uski Hararat(Garmi) Ibhrahim Alayhis Salaam tak na Pahonch Saki, Balqi Aaag ke Andar Ek Baag Bana diya gaya,
Yaani Jab Aap ko Aaag me Dala gaya to Faristo ne Aapko Pehluo se Pakad kar ek jagah Zamin me Bitha diya jaha ek Mithe Paani ka Chsma tha Aur Ird-gird Gulaab, Nargis Aur Chambali ke Poudhe Aur Fool Apna Haseen va Jameel Manzar Peish kar rahe the, Aaag ne Sirf un Rassiyo ko Jalaya Jinse Aapko Bandha gaya Aur unke Jalne se bhi Aap ko kishi Qism ka koi Dard nahi Huwa,
Khyaal Rahe ki Jab Hazrat Ibhrahim Alayhis Salaam ki Aaag ko Thandi Hone ka Huqm diya gaya, us Waqt Duniya me koi Ayshi Aaag nahi thi jo Buz na gayi ho,
Yaani Duniya ki Tamam Aaage ek Martaba Buz gayi thi.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-124)

>➤ Hazrat Ibhrahim Alayhis Salaam Aaag me Kitne Deen rahe :-
Munhaal Bin Umro Rahmatullah Alay se Marvi he wo kehte he
Muje ye Khbar di gayi ki Hazrat Ibhrahim Alayhis Salaam Aaag me 40 ya 50 deen rahe,

Hazrat Ibhrahim Alayhis Salaam Farmate he
Aaag me Rehne ke Deeno me jitna Khush raha, itni khushi Puri Zindagi me Mujhe haasil na ho saki,
ALLAH TA’ALA ne Saya par Mukararr Fariste ko Ibhrahim Alayhis Salaam ki hi Sakl me un par bheja ki wo Aap ke Paas Beithe taaki wo us se ins Hasil kare Akele hone ki wajah se Aap ko Koi pareshani na ho,

Hazrat Ibhrahim Alayhis Salaam ke Paas Zibrail Alayhis Salaam Jannat me se ek Resmi Kamis laaye Aur Kaha Ay Ibhrahim Alayhis Salaam Beshaq Aap ko RABB ka Farmaan he ki
“Kya Aap ko Malum nahi ki Mere MEHBOOBO ko Aaag Nukshan nahi pahoncha sakti”
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-124)

Subhan Allah..

>➤ Namrud ka Ibhrahim Alayhis Salaam ko Baag me deikhna :-
Namrud ne Apne Mehal ki Bulandi se deikha to ibhrahim Alayhis Salaam ko ek Baag me Beithe hue paya Aur ek Shaksh(Farista) ko bhi Aap ke paas Beithe hue Deikha Aur Aap ke Ird-gird Lakadiyo ko Jalte hue Aaag ke Soule Bhadakte hue deikh kar Aap ko Pukarne laga,
Ay Ibhrahim (Alayhis Salaam) kya Tum us Aaag se Nikal sakte ho..??
Hazrat Ibhrahim Alayhis Salaam ne Farmaya Ha Nikal Sakta hu,
usne kaha Utho Aur Nikal Aao (Mumkin he us ne ye samja ho ki Jab Niklenge to Bahar Jalti hui Aaag se Gujrenge to Jal Jaayenge)
Hazrat Ibhrahim Alayhis Salaam uthe Aur Chalte Chalte Aaag se Nikal aaye,
Hazrat Ibhrhim Alayhis Salaam se Namrud ne pucha ki Tumhare paas Tumhari hi Sakl ka Dusra Aadmi kon tha..?
Ibhrahim Alayhis Salaam ne farmaya ki wo Saya par Mukararr Farista tha jise ALLAH TA’ALA ne Mere Paas is liye Bheja tha ki Muje Akele Hone se kishi Qism ki Koi Ghabhrahat na ho Balqi me us se Ins Hasil kar Saku.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-125 )

>➤ Namrud RABB ki Qudrat ka ikrar karne ke Bawajud Gumrah raha :-
Namrud ne kaha Jab mene Tumhare RABB ki Ijjat va Qudrat ko deikha to mene Nazar maani ki me Tumhare RABB ka Qurb Hasil karne ke liye Qurbaani Karunga, is liye me Tumhare RABB ke Hujra 4 Hajar(4000) Gaay ki Qurbaani Peish kar raha hu,
Ibhrahim Alayhis Salaam ne Farmaya jab tak Tum Apne Din par Qayam ho us Wakt tak ALLAH TA’ALA Tumhari Qurbaani ko Qabool nahi karega,
us ne kaha Me Apni Baadshahi ko to Nahi Choud Sakta Albatta Qurbaani Zarur karunga, us ne Apni Nazar ke Mutabik 4 Hajar(4000) Gaaye Zabah kardi Aur Aainda Hazrat Ibhrahim Alayhis Salaam ko Saza na deine ka irada kar liya Albatta Wo Apne Kufr par hi Qayam raha Imaan us ko Nasib na ho saka,
Baaz Riwaayat me he ki Jab Kuffar ne deikha ki Ibhrahim Alayhis Salaam ko Aaag ne nahi Jalaya to unhone kaha ki Ibhrahim Alayhis Salaam ne Aaag par Jaadu kar diya he unhone Tajurba karne ke liye ek Boreh ko Aaag me Dala to Aaag ne use Jala diya.
(Tafseere Kabeer, Jild-26, Safa-150)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-125)

>➤ Hazrat Ibhrahim Alayhis Salaam ne Tamam Batil Ma’abudo ka Radd kiya :-
Hazrat Ibhrahim Alayhis Salaam jis Qoum me Tasrif laaye us me kuch log But-Parast the, kuch Sitara-Parast, kuch Chand-parast, Aur kuch Suraj-Parast Balqi Namrud ki Parasti bhi hoti thi,
Hazrat Ibhrahim Alayhis Salaam ne Buto ke Ma’abud hone ko Dalail se Batil kiya, Qoum ne jab Dalail se koi Fayda na Hasil kiya to Aap ne Buto ko Tod kar Apni Pareshani ko Door karke Apne Dil ko Tasalli di,
Sitara Parast Aap ko bhi Sitaro ki Puja ki Daawat deine lage, Aapne unka bhi Radd Farmaya ki Sitare Ma’abud Banne ke Kabil nahi,

“Fir Jab ki Ibhrahim(Alayhis Salaam) par Andheri Raat aayi to Unhone ek Tara deikha kehne lage kya ishe Tum Mera RABB Tehrate ho Fir Jab wo Doob gaya to unhone kaha ki Muje to Chip janewale Pasand nahi”
(Surah Anaam, Aayat-76)
Yaani ye to Khud kishi Nijaame Qudrat ke Paband he un me Ma’abud banne ki Salahiyat nahi Meri Tawajjo Aur Mohabbat ka Markaz to Sirf Malikul Mulk Khalike Qaayenaat Wahdahu Lasarik he, Me to un Sitaro se na hi Mohabbat Karta Aur na hi unko kishi Ma’amle me Movsar Haqiqi Manta hu Jab unse Mohabbat hi nahi to un ki Ibadat ko keishe Achha Samaj Sakta hu.

Chand Parasto ne Aap ko Chand ki Ibadat ki Daawat di Aapne unka bhi Radd kar diya ki Tum to Gumraah ho Haqq to ye he ki Tum Khud Sidhi Raah par Aajao kiya Tum muje Raah Rasta se Bhatkana chahte ho ye Na-Mumkin he.

“Aur Fir Chand Chamakta deikha to Farmaya ki Tum ishe Mera RABB Banate ho Fir jab Wo Bhi Doob gaya to unhone kaha ki Agar Mera RABB Muje Hidayat na karta to me bhi (unhi) Gumraah logo me se ho jata”
(Surah Anaam, Aayat-77)
Yaani ye Chand bhi Kishi ke Huqm ka Taabie he, us ki chamak Damak bhi Kabhi Ek Elaka par Kabhi Dusre par Yaani ek Wakt me ek Elaka ko chamka raha he to Dusre us ki Roshni se Mehrum he to Eyshi Chiz jo Khud hi ek Haal par Na Rah sake wo keishe Ma’abud Ban Sakte he, ye to Mujh par ALLAH ka Feizaan he jisne Muje Sidhi Raah par chla kar us par Kayam rehne ki Tofik aata farmadi Warna Jis Qoum me Har Taraf Batil Raah par Chalne wale hi Nazar aate ho waha ek Fard ka Haqq par Qayam rehna keishe Mumkin tha..?

Suraj Parasto ne Aapko Suraj ki Ibadat ki Dawat di ki ye to Bahot Roshan he, ye to Yakinan Bada Khuda Banne ke Qabil he Aap ne Unka Bhi Radd kar diya ki Me Shirk par Qayam rehne ki kishi ko Jab Ijajat nahi deita to Mujse Shirk ki Ummid rakhna Tumhari Himakat he,

“Fir Jab ki Suraj ko Chamakte deikha to kaha ki Tum ishe Mera RABB kehte ho ye to(un) sabse Bada he fir wo bhi Doob gaya to Aapne Kaha ki Ay Meri Qoum Me to (Tumhare un sab Ma’abudo se) Bejaar hu Jinhe tum (Khuda ke) Sareek thehrate ho”
(Surah Anaam, Aayat-78)
Aapne Jab Suraj ko Jagmagate hue deikha to Qoum ko kaha ishe RABB kehte ho Sab se Bada samaj kar ise Bada Khuda Mante ho, ye bhi to Kabhi ek Elaka ko Jagmaga raha he Aur Dusre ko Andhere me rakhta he, Jab Dusre elaka ko Roshan karta he to pehle elake ko Tariki me duba deita he, bhla vo chiz jo Khud Apne mahud me Gumne ke liye kishi ke Huqm ki Paband ho wo Khuda Ban Sakta he..?
Nahi nahi ye Khuda kabhi bhi nahi Ban Sakte, Ay Meri Qoum ALLAH TA’ALA se sarik tehrana chhod do, me to pehle hi Bejaar hu Mujse Tumhari ye ummid ki Me Tumhare Sath Ma’abudaane Batila ko Manne me Sarik ho jaunga bekaar he,
Meri Tawajjo ka Markaz to Sirf Zameen va Aasman ka Khalik he me us ke Sath Aur koi Sarik Tehrau ye keishe ho sakta he..?
me koi Musrik to nahi,
Qoum ne Aap ko Batil Ma’abudo ki Mukhalifat se Darane ki koshis ki ke ye Tumhe Nukshan pahonchaye ki un ki Mukhalifat se Baaj Aajao,
Aap ne Saaf Alfaz me Jawab diya

“Jin ko Tum (ALLAH ke Sath) Sareek tehrate ho, Muje unse Koi Dar nahi”
(Surah Anaam)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-126,127)

>➤ Namrood :-
Quraane Paak me he ki
“Ay Mehboob kya tum ne na deikha tha ushe jo ibhrahim (Alayhis Salaam) se Jhaghda uske Rabb ke Bare me us par ki ALLAH ne use Baadshahi di”
(Surah Baqra)
Is se Muraad Us Waqt ka Baadshah he jis ka Naam Namrood ibne Kanaan Ibne Sanjaarib he, Yahi Pehla Baadshah he jis ne Taaj pehna Aur Qoum par Zulm va Sitam kiya,
Khudai ka Dawa kiya Saare jahan ke Baadshahat is ko Mili, uski Kul Umar 800 Baras thi, 400 Saal Apni Baadshahi ke Roub va Dabdabe me gujaare Aur 400 Saal Macchar ne ushe Kata jo Naak ke Raste us ke Dimaag me Gus gaya tha wo Apne Sar par Jute Lagwata raha, usne ALLAH TA’ALA ko Mukabla karne ke liye Buland Kila Banwaya tha uska Daarul Khlafa Babil me tha.
(Roohul Bayan, Jild-1, Safa-503)

>➤ Tamam Roohe Zameen ke 4 Baadshah :-
jinko kul Duniya ki Baadshahat Hasil rahi ho wo Sirf 4 Shaksh he
2 Musalman Aur 2 Kafir,
1) Hazrat Sulemaan Alayhis Salaam,
2) Hazrat Sikandar Zulkarnein Alayhis Salaam,
3) Namrud,
4) Saddad Bin Aaad, jiska Naam Bakht Nasr tha,

Saddad ne hi RABB TA’ALA ke Mukabil Apni Khudai ka Dawa karte hue Adn ke Janglaat me Apni Jannat Banwayi thi, Jannat jab Taiyaar hui to deikhne ke liye gaya, Abhi uske Ghode ne Apne Dono Peir ko us ki Masnue Jannat me rakha hi tha ki Izraail Alayhis Salaam ko Huqm huwa ki us ki Rooh Kabz karlo.
(Roohul Bayan, Jild-1, Safa-503)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-127,128)

>➤ Hazrat Ibhrahim Alayhis Salaam ka Namrood se Munazra :-

>> Munazra kab Huwa :
Tafseere Kabeer Aur Roohul Maani me 2 Qoul Nakal kiye gaye he,
Ek ye ki Buto ko Todne ke baad Aur Aaag me Daalne se pehle Aur
Dusra Qoul ye he ki Hazrat Ibhrahim Alayhis Salaam Jab Aaag se Bahaar Tasreef laaye to us Waqt ye Munazra huwa,
Munazra karne ki Wajah ye thi ki Namrood ne Ibhrahim Alayhis Salaam se puchha tha ki Tumhara RABB konsha he jis ki me Ibadat karu..??

>➤ Hazrat Ibhrahim Alayhis Salaam ki RABB ke Muta’alak Dalil :-
“Jab ki Ibhrahim (Alayhis Salaam) ne kaha ki Mera RABB wo he jo Jilata(Zinda karta) he Aur Marta he”
(Surah Baqrah, Aayat-258)
Yaani isyaa(chizo) me Mout va Hayat ko Peida karta he, Ek KHUDA ko Na Pahenchane wale ke liye ye Behtareen Hidayat thi Aur us me Bataya gaya tha ki Khud Teri Zindagi RABB ke Wazood ki Sahadat de rahi he ki Tu ek Bejaan Nutfa tha jisne us Nutfa ko Insaani Surat di Aur Hayat aata farmaayi wo RABB he Aur Zindagi ke Baad fir chizo ko jo Mout deita he wo PARWARDIGAAR he uski Qudrat ki Sahadat Khud Teri Apni Mout va Hayaat me Moujud he is ke Wazood se Bekhabar rehna Kamaal, Jahalat va Safahat Aur intehaai Badnaseebi he,
ye Dalil eshi Jabardast thi ki iska Jawab Namrood se Na Ban Saka, Aur us khyaal se ki Majmaa ke Saamne us ko La-Jawab Aur Sarminda hona Padh raha tha to usne kuch Bahsi(tedi Behas) ikhteyar ki.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-128)

>➤ Namrood ki Bevakoofi :-
Jab Hazrat Ibhrahim Alayhis Salaam ne RABB ke Muta’alak Dalil di to Namrood La-Jawab ho gaya, Sarminda ho gaya Aur Tedi Behas ikhteyaar ki, Aur kaha..

“usne kaha ki me Bhi Jilata(Zinda karta) hu Aur Marta hu”
(Surah Baqrah, Aayat-258)
Namrood ne do Shaksho ko Bulaya, unme se ek ko Qatl kiya Aur ek ko Chhod diya Aur kehne laga ki me bhi Zinda Karta Aur Maarta hu, Yaani kishi ko Giraftaar karke Chhod deita hu ushe Zinda karta hu Aur kishi ko Qatl karke Maar deita hu,
ye uski Nihayat Ahmakana Baat thi,
Kaha Qatl karna Aur Chhodna..?? Aur kaha Mout va Hayat peida Karna..?
Qatl kiye hue Shaksh ko Zinda karne se Aajiz rehna Aur Bajaaye uske Zinda ke Chhod ne ko ye kehna ki me Zinda karta hu us ki Zillat ke liye Kaafi tha,
Akalmando par to Zahir ho gaya tha ki Hazrat Ibhrahim Alayhis Salaam ki Dalil ka Jawab Mumkin nahi,

Namrood ne jab Dalil Kayam ki thi usme Dawa bhi paya gaya tha to Ibhrahim Alayhis Salaam ne us par Munajra Na Giraft Farmaai ki Ay Juthe Madeel Wahiyat Mout va Hayat peida karna Teri Qudrat me kaha Balqi tu us ka Tasawwur bhi Nahi Kar Sakta, Us se Aashan Kaam kar ke dikha..

“Ibhrahim (Alayhis Salaam) ne Farmaya To ALLAH Suraj ko Purab se lata he to tu us ko Paschim se le aa to us Kafir ke Hous ud gaye Aur ALLAH TA’ALA Zaalimo ko Raah nahi dikhata”
(Surah Baqrah, Aayat-258)
Wo Heiraan ho gaya, Aur Zalil huwa jab us se Koi Jawab na Ban Saka to kehne laga Mere Paas Tumhare liye koi Gila nahi tum Apne Rabb se Mango wahi Tumhe Gila de jis ki Tum Ibadat Karte ho.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-129)

>➤ Namrood Ek Martaba Fir Imaan Laane se Mehroom :-
ALLAH TA’ALA ne Zalim Namrood ke Paas Insaani Shakl me ek Farista Bheja jis ne Aakar Kaha Teira RABB kehta he tu Muz par Imaan la, Ham teri Saltanat Bar-karaar rakhenge, wo bola RABB to me hi hu Mera RABB kon he..?
3 Dafa ye Waaqiya Darpeish aaya lekin wo Imaan laane se Mehroom raha.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-130)

>➤ Reiyt Gila Ban gayi :-
Hazrat Ibhrahim Alayhis Salaam Wapis lout te hue Raste me Reit ke teyle par Gujre, waha se Ek Theyle me Reit bhar kar Makaan par Pahonche, Thayla rakh kar so gaye, Aapki Zouja Hazrat Sara RadiAllaho Ta’ala Anha ne use khowla to usme Nihayat Nafish(Ache) Gandum(Genhu) the, Aapne ishe Pish kar Rotiya taiyaar ki,
Jab Hazrat Ibhrahim Alayhis Salaam Bedaar hue to Aapki Khidmat me Khana peish kiya gaya, Aapne puchha Ye Gandum kaha se Aayi he..?
Aap ki Zouja ne Arz ki Wahi jo Aap Theyla bharkar laaye he,
Hazrat Ibhrahim Alayhis Salaam Samaj gaye ki RABB TA’ALA ne Muje Rizk diya he.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-130)

>➤ Namrood Aur uski Qoum ka Anjaam :-
Namrood ki Qoum par Macchharo ka Azaab bheja gaya, Macchharo ki Ziyadati ka ye Haal tha ki unse Suraj Chhip gaya tha, Zameen par Dhoop Na Aati thi, Macchharo ne unke Khoon Choos liye, Ghost Chaat liye, Siwaaye Namrood ke Baaki Sab ki Haddiya hi Baaki rah gayi,
Namrood deikhta tha Magar kuchh na Kar Sakta tha, Fir ek Macchhar uski Naak ke Zariye Dimaag me Ghus gaya Aur 400 Saal tak Magaz kaat-ta raha, Jab Upar se Dhmak Pahonchti to Kaatna Chhod deita, warna Kaat-ta, Chunanche Deen Raat uske Sar par Jute Aur Thappad padhte rehte the, Ab us ke Darbaar ka Adab ye tha ki Jo Aaye uske Sar par Juta Rasid kare,
is se Pehle 400 Saal Bahot Aaram se Saltanat ki Aur 400 Saal Pit ta raha, Fir Bejaar Zillat Mara, uski Umar 800 se Kuch Zyada hui.
(Tafseer Naeemi, Jild-3, Safa-63)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-130)

>➤ Hazrat Ibhrahim Alayhis Salaam ne Murdo ko Zinda hote deikhna Chaha :-
“Aur Jab Ibhrahim (Alayhis Salaam) ne Arz ki Ay RABB Mujhe dikha de tu kis tarah Murde jilaye(Zinda kare) ga (ALLAH TA’ALA ne) Farmaya kya tujhe Yakin nahi Aapne Arz ki Yakin kyu nahi lekin me ye Chahta hu ki mere Dil ko Mazid Itmenaan(va Karar) Aajaaye”
(Surah Baqrah, Aayat-260)

Hazrat Ibhrahim Alayhis Salaam Murdo ko Zinda karne ki Kefiyat ka Musaheda karna chahte the,

>➤ Hazrat Ibhrahim Alayhis Salaam ko Murde ko Zinda hote hue dikhaya gaya :-
“Farmaya to Char(4) Parindey le kar Apne Saath bulale fir unka ek ek Tukda(Sameit ke) har Pahad par rakh de fir Unhe Bula wo tere Paas (Zinda ho kar) Doude chale aayenge Aur Jaan lo ki Beshaq ALLAH TA’ALA Zabardast Hikmat wala he”
(Surah Baqrah, Aayat-260)

Hazrat Ibhrahim Alayhis Salaam ne 4 Parinde Yaani Mour, Gadha(Ek Riwaayat me Gadhe ki jagah Kabutar ka Zikr he) kawwa Aur Murgi Apne Saath pehle Manus kiye fir ALLAH TA’ALA ke Huqm ke Mutabik unke Tukde kiye Aur unke Gost Aur Haddiya wageira ko Mila-jula karke Char(4) Pahado par unko rakh diya,
Fir Aapne Unhe Pukara
“Ay Juda Juda Haddiyo, Ay Mukhtelaf Gost ke Tukdo, Ay Kaate hui Rago, ek Dusre se Mil Jaav Taaki ALLAH TA’ALA Tumhari Rooho ko tum me Louta de”
ye Soon kar Haddiya Apni Dusri Haddiyo ki Taraf Chali, Yaani Har Parinde ki Apni Apni Haddiya ek Dusre se Mil gayi, Par Dusre Paro se jaa mile, Gost ke Tukde Dusre Gost ke Tukdo se Milne lage,
Yaha tak ki Khoon Khoon se mil gaya, is tarah Aap deikh rahe the ki Aapke Saamne Murdo ko Zinda karke Aapko Eynul Yaqeen ka Martaba aata kar diya gaya, Fir ALLAH TA’ALA ne Aap ki Taraf Wahi ki ke
Ay Ibhrahim(Alayhis Salaam) Tumne Mujhse Sawal kiya tha ki Tu Murdo ko keishe Zinda karta he, Beshaq Mene Zameen ko Peida kiya he usme 4 Kism ki Hawae Qaayam ki he,
1) Samaali(Uttar) Janib se Chalne wali Hawa,
2) Janubi(Dakshin) janib se Chalne wali Hawa,
3) Baadesaba,
4) Baadedabur,
Yaha tak ki Jab Qayamat ka Din hoga Tamam Murde Soor Fukne par Jama ho jayenge, jeishe un 4 Parindo ko Tumhare Saamne Pahado se Jama kar diya gaya he, Mere Saamne Tamam ka Peida karna Aur fir Mout ke baad Zinda karna Ayse hi he jis tarah kishi ek Shaksh ko Peida karna ya Zinda karna he.
(Roohul Maani, Jild-2, Safa-29)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-132, 133)

>➤ Hazrat Ibhrahim Alayhis Salaam ka Hijrat karna :
“Aur Unhone kaha me (Daarul Kufr se Hijrat karke) Apne RABB ki Taraf Janewala hu to wahi muje Rasta Batadega”
(Surah As Saffat, Aayat-99)

Yaani jaha mere RABB ne Huqm diya he me waha Ja Raha hu ki me waha Apni Ibaadat ko behtar Tarike se Adaa kar sakunga.
(Ruhool Maani, Jild-12, Safa-126)

kyunki jo Qoum Meri Nishaaniya deikh kar bhi Imaan nahi laai waha Theharna Ab Be-Maqshad he Aur Jab ALLAH TA’ALA ne bhi Huqm de diya he to yaha se Hijrat karna jaruri ho chuka he,

Ibtedaai Tour par Aap Namrood Qoum se Hijrat karke Apne Chacha ‘Haaraan’ ke paas Haraan me aagaye, ‘Haaraan’ ne Ibhrahim Alayhis Salaam ki Neik Bakhti deikh kar Apni Beiti Sara ka Nikaah Aap se kar diya, Hazrat Sara RadiAllaho Ta’ala Anha Bahot hi Khoobsurat Aurat thi,
Hazrat Ibhrahim Alayhis Salaam ne Waha bhi Apna Din Feilana Jari rakha, isliye Aap ke Chcha Haaraan ne bhi Aapko Ghar se Jaane ko keh diya,
Douraane Hijrat me Misr ke Zaalim Badshah ka Wakiya peish aaya.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-135,136)

>➤ Douraane Hijrat me Zaalim Baadshah ka Anjaam :-
Hazrat Abu Hureira RadiAllaho Ta’ala Anho se Marvi he ki HUZOOR NABI E AKRAM Sallallaho Alayhe Wasallam ne Farmaya ki
Hazrat Ibhrahim Alayhis Salaam Ek deen (Hijrat ke Douraan) Aap Aur Aap ki Zovja ka Ayshi Jagah se Gujar huwa jaha ek Jabir Zaalim Shaksh Musallat tha us ko Logo ne bataya,
yaha ek Shaksh Aaya huwa he jis ke Saath ek Aurat he jo Tamam logo se Jyada Haseen he, us Zalim ne Hazrat Ibhrahim Alayhis Salaam ki Taraf Apna Kasida bheja ki wo un se puchhe ye Tumhare Saath Aurat kon he..?
us ke Sawal par Aap ne Farmaya ye Meri Behan he Fir Aap Hazrat Sara RadiAllaho Ta’ala Anha ke Paas Aaye unko kaha, Agar is Zalim ko Pata Chal gaya ki tum Meri Zovja ho to vo Jabran Tumhe Mujse Chhin lenge, Agar wo Tum se Sawal kare tum us ko Khber deina ki Tum Meri Bahen ho is liye ki Islam me tum Meri Behan ho kyunki Roohe Zameen par Mere Aur Tumhare bageir koi Momeen nahi, us Zaalim ne Hazrat Sara RadiAllaho Ta’ala Anha ke Paas Kasida Bhej kar unko Apne Paas bula liya,
Hazrat Ibhrahim Alayhis Salaam ne Khade ho kar Namaz Aada karni Suru farmaadi, Hazrat Sara RadiAllaho Ta’ala Anha Jab us Zalim ke Paas Pahonchi us ne Aap ki Taraf Apna Haath Badhana chaha, Lekin wo ALLAH AZZAWAZAL ki Giraft me Aa gaya, Paagalo ki Tarah ho gaya, us ka gala ghoot gaya, Mooh se jhaag behne lagi, Aydiya ragadne laga, Us ne Hazrat Sara RadiAllaho Ta’ala Anha ko kaha Tum mere liye Duaa karo me Tumhe Taklif nahi Pahonchaunga, Hazrat Sara RadiAllaho Ta’ala Anha ne ALLAH TA’ALA se Dua ki wo Thik ho gaya, usne Dobara Haath Badhane ki koshis ki lekin pehle ki Tarah RABB TA’ALA ki Giraft me Aagaya Balki usse bhi Jyada, usne Fir Hazrat Sara RadiAllaho Ta’ala Anha se Duaa karne ki Darkhwast ki, Aapne Fir Duaa ki Jab wo Thik ho gaya fir usne Apne Darbaan ko Bulaya Aur kaha
Tum Mere Paas kishi Insaan ko nahi laaye Balqi kishi Jin ko le aaye ho,
us Zaalim ne Aap ko Hazrat Hajra RadiAllaho Ta’ala Anha Batour Khadima de kar wapis Louta diya.
(Miskaat Shareef, Baab – Badul Khalk wa Zikrul Ambiya, Safa-506)

Hazrat Hajra RadiAllaho Ta’ala Anha Room ke Baadshah ki beiti thi, unse Bhi us Zalim ka Anjaam Aysha hi huwa tha,
usne kaha in dono ko yaha se Nikaal do ye dono insaan nahi balqi Jin he.
(Tafseere Naeemi)

Hazrat Sara RadiAllaho Ta’ala Anha Jab Hazrat Ibhrahim Alayhis Salaam ke Paas Wapis aayi Aap Ibaadat farma rahe the, Aapne Apne Haath Mubaarak ke Isara se Puchha keisha Haal he..?
Hazrat Sara RadiAllaho Ta’ala Anha ne kaha, ALLAH ne Kaafiro ke makr ko ushi ke Sina par louta ya,
Yaani wo Zalil huwa usne muje Hajra Batour Khadima di,

Hazrat Abu Hureira RadiAllaho Ta’ala Anho ne kaha Ay Ahle Arab ye(Hajra RadiAllaho Ta’ala Anha) Tumhari ‘Maa’ he.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-116,117)

Subhan Allah,

>> Note :-
Shayad kishi ke Jehan me ye Sawal Aaye ki Hazrat Ibhrahim Alayhis Salaam ne Apni Biwi ko Bahen kaha, to Ibhrahim Alayhis Salaam ne Juth kaha..??

Agar Aysha Sawal Aaye to Fouran ishe Jehan se Nikaal de, kyunki Ambiya Alayhis Salaam Juth Bolne se Paak hote he Aur
Hazrat Sara RadiAllaho Ta’ala Anha ke Mutaalak Aapne Farmaya ye Meri Behan he, is ki wajah Hadees Shareef me Khood hi Waajeh he ki Aap ne ye Muraad nahi liya ki ye Meri Nasbi behan he balki Aapne Hazrat Sara RadiAllaho Ta’ala Anha ko kaha Tum Islaam me Meri Behan ho is liye ki Akhwatul Islaami ke lehaaj par Baap Beita bhi Bhai Bhai he, Maa, Beita, Bhai, Bahen he, ishi Tarah khawand Biwi ek Dusre ki Bhai behan he.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-120)

>➤ Hijrat karnewala Kafila :-
Hijrat Karnewala Kafila Jab Haraan se chla tha Sirf 3 Aadmiyo par Mustamal tha, Hazrat Ibhrahim Alayhis Salaam Hazrat Sara RadiAllaho Ta’ala Anha Aur Hazrat Loot Alayhis Salaam(In sha Allah inka Zikr aage Aayega) is Kafile ke Afraad ALLAH TA’ALA ki Wahdaaniyat ko Manne wale us Wqkt Sirf yahi the, Aur Hijrat ke Douraan Hajra RadiAllaho Ta’ala Anha mil gayi to Ab Kafila ke 4 Afraad ho gaye, jo Tamam hi ALLAH SUBHANA WA TA’ALA ko Maanne Wale the.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-136)

>➤ Falasteen me Khusaali :-
Misr se Jab ye 4 Afraad Rawana ho kar Falasteen Pahonche to waha ke logo ne un ki Qadr va ijjat ko Samja Aur unke Aane ko Ba’ase Barkat Samja Aur Bahot si Zameen Aapki Khidmat me Batoure Nazar peish ki, us Zameen me Kheti-Badi se ALLAH TA’ALA ne Bahot Barkat Aata Farmaayi Aapke Paas Gila(Anaaj) Aur Janwar kafi Miqdaar me ho gaye, Aapne Musafiro Aur Garibo ko rehne Aur khane ki Sahuliyaat Ata ki, is tarah Mehmaan Nawazi me Aap ko ek Munfarad Makam Hasil ho gaya.
(Tafseere Naeemi, Jild-1, Safa-642)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-136)

>➤ Hazrat Sara RadiAllaho Ta’ala Anha ke Masware se Hazrat Hajra RadiAllaho Ta’ala Anha se Nikaah :-
Ek Deen Hazrat Sara RadiAllaho Ta’ala Anha ne Arz kiya ki Hamare Paas ALLAH TA’ALA ke Fazl va Karam se Zaruriyaat Duniya me Yaani Khane Pine ki Isyaa(Chize) Aur Rehne ke Makaanaat ki to koi Kami nahi, Al-batta Aulaad ki kami he, Is liye Aap Hajra RadiAllaho Ta’ala Anha se Nikaah karle, ho sakta he ALLAH TA’ALA Hame Aulaad se Nawaz de,
Yaani Hajra RadiAllaho Ta’ala Anha ke Batan se Peida Hone wala Baccha Hamare liye Taskin va Rahat ka Sabab Ban jaaye is tarah Hazrat Sara RadiAllaho Ta’ala Anha ke kehne par Hazrat Hajra RadiAllaho Ta’ala Anha se Nikaah ho gaya.
(Tafseere Naeemi, Jild-1, Safa-642)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-136)

>➤ Hazrat Ibhrahim Alayhis Salaam ki Aulaad ke liye Duaa :-
“Ay Mere RABB Muje Neik Aur Laaik Aulaad Ata farma”
(Surah As Saffat, Aayat-100)

ALLAH TA’ALA ne Aapki is Duaa ko Sarfe Qabooliyat Bakhshte hue irshaad farmaya
“To Hamne Unko ek Baradbaar Aqalmand Ladke ki Khus-khbri Sunaai”
(Surah As Saffat, Safa-101)
Is Basarat se Muraad Hazrat Ismaail Alayhis Salaam ki Wilaadat ki Basarat he,
Allama Aalushi Rehmatullah Alay Tafseer me Farmate he
Yaani Aapko Basarat di gayi ki Aap ko ek Beita Ata kiya jayega jo Haleem Hoga, is se Badh kar Haleem ki Aur kya Misaal Milegi, jab Aap Balug(Baalig) ke Karib the, Aapke Walid ne Aapko kaha Ki me Tumhe khwaab me Zabah karte hue Apne Aap ko deikh raha hu is me Tumhari kya Raay he? To Aapne Arz kiya ki Aap muje In sha Allah Sabiro se Payenge, ye Haleem to Baalig hone se pehle ka he Baalig hone ke baad Aap ke Haleem ka kya Makam hoga..?
(Roohul Maani, Jild-12, Safa-126)

Is se Wazeh ho gaya ki ye Hazrat Ismail Alayhis Salaam ki Basarat he.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-137)

> Hazrat Ismail Alayhis Salaam ke Baad Hazrat Ishaak Alayhis Salaam ki Basarat :-
“Hamne Un ki Biwi ko Ishaak (Alayhis Salaam) ki Aur Ishaak(Alayhis Salaam) ke Baad Yakub (Alayhis Salaam ki Peida hone) ki Khus-Khbri di”
(Surah Hood, Aayat-71)
Hazrat Sara RadiAllaho Ta’ala Anha ko Basarat deine ki Wajah ye thi ki Aulaad ki Khushi Aurato ko Banisbat Mardo ke Jyada hoti he, Dusri wajah ye thi ki Hazrat Sara RadiAllaho Ta’ala Anha ki Aulaad nahi thi is liye Zyada Khushi unko hi Hasil honi thi kyunki Hazrat Ibhrahim Alayhis Salaam ke Beite Ismail Alayhis Salaam pehle Peida ho chuke the,
Hazrat Yakub Alayhis Salaam ki Basarat deine se is taraf isara tha ki Hazrat Sara RadiAllaho Ta’ala Anha ki Umar itni Badi ho gayi ki ye Apne Ishaak ke Beite Yakub ko bhi deikhenge.
(Tafseere Khzainul Irfaan)

Hazrat Sara RadiAllaho Ta’ala Anha ki Umar is Waqt 90 Saal thi, Tafseere Jalalein me 99 Saal Majkur he Aur Hazrat Ibhrahim Alayhis Salaam ki Umar 120 Saal thi, is liye Hazrat Sara RadiAllaho Ta’ala Anha ne Ta’ajub karte hue kaha tha
“Ajeeb Baat he ki Mera Baccha Peida hoga Jabki Me Budhi hu Aur Mere Sohar Budhe he, Beshaq ye to Bahot hi Ta’ajub Naak he”
(Tafseere Jalalein, Safa-185)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-137)

> Hazrat Ishaak Alayhis Salaam Chote Aur Hazrat Ismail Alayhis Salaam Bade :-
Hazrat Ishaak Alayhis Salaam ki Basarat deine ke ek Saal baad ALLAH TA’ALA ne Unhe Peida Farma diya Aur Hazrat Ismail Alayhis Salaam ki Peidaish ke 14 Saal baad Ishaak Alayhis Salaam ki Peidaish hui Yaani unki Peidaish ke 13 Saal Baad Ishaak Alayhis Salaam ki Basarat di gayi.
(Tafseere Jamal Aliul Jalalein, Safa-185)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-138)

> Hazrat Ismail, Ishaak, Yakub Alayhis Salaam NABI hue :-
“Hamne unko ishaak (Alayhis Salaam) Aur Yakub (Alayhis Salaam) Bakhse Aur Har ek ko Geib ki Khbar deine wala Banaya”
(Surah Maryam, Aayat-49)

“Aur Hamne unko Apni Rehmat Ata Farmayi Aur unke liye Sacchi Buland Naamuri rakhi”
(Surah Maryam, Aayat-50)
isme Ishara he ki Hazrat Ibhrahim Alayhis Salaam ki Umar Shareef itni Lambi hui ki Aapne Apne Poute Hazrat Yakub Alayhis Salaam ko deikha Aur is Aayat se ye bhi Samaja jata he ki ALLAH TA’ALA ke liye Hijrat karne Aur Apne Gharbaar ko Chhoudne ki ye Jaza mili ki ALLAH TA’ALA ne Aap ko Beite, Poute Aur Maal va Doulat se Nawaza,

“Aur Kitaab me Ismail (Alayhis Salaam) ka Zikr kijiye Beshaq wo Waade ke Bade Sacche the Aur RASOOL the Geib ki Khbare Batate the Aur wo Apne Ghar walo ko Namaz Aur Zakaat ka Huqm deite the Aur wo Apne RABB ko Bahot Pasand the”
(Surah Maryam, Aayat-54, 55)

Hazrat Ismail Alayhis Salaam ne jo Waada bhi kiya ushe Zarur pura farmaya, ek Martaba Aap Aur Aap ka ek Saathi kahi ja rahe the to Saher ke Qarib Pahonch kar Aapke Sathi ne kaha Yaha me Beithta hu Aur Tum Saher ja kar khana khrid laavo ya tum Beitho Aur me Khana Kharid kar lata hu, Aapne Farmaya Me Tumhara Yaha intezaar karunga Aur Tum hi chale jaav, khana Kharid laav, wo Bhool gaya 3 dino ke Baad ushe Yaad Aaya, Ya Baaz Riwaayat me he ki ek Saal ke Baad Waha louta to Hazrat Ismail Alayhis Salaam waha hi Moujud the, isne Ta’ajub se puchha Tum Abhi Yaha hi ho..??
Aapne Farmaya Haa Waada ke Mutaabik Muntazir to rehna hi tha.
(Hasiaa Jalalein, Safa-257)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-138)

>➤ Hazrat Hajra Aur Ismail Alayhis Salaam ko Haram ki Sarzameen me Chhod aana :-
Hazrat Ibhrahim Alayhis Salaam ka ALLAH TA’ALA ne Imtehaan liya ki Aap ko Huqm diya ki Aap Apni Zovja Hajra RadiAllaho Ta’ala Anha Aur Apne Beite Ismaail ko Haram ki Sarjameen me Chhod aao, us Waqt Waha koi Sahar Aur Aabadi Nahi thi Balki Bayabaan Jangal tha,

Jaha Aaj Zamzam he Waha ek Darakht tha us waqt Na Makka Tha Aur Na hi koi kishi Insaan ka Waha Baseira tha Aur Waha Paani bhi Nahi tha, Hazrat Ibhrahim Alayhis Salaam ne ek thele me Kuchh Khjoore Aur ek Maskija(Botal) me kuch Paani Maa-Beite ke Hawale karte hue Aur unko Zamzam ki Jagah ek Darakht ke Niche Chhoudte hue Wapis loute, to Hazrat Hajra RadiAllaho Ta’ala Anha ne Aapka Pichha karte hue puchha Ay Ibhrahim Aap Hame yaha chhod kar kaha ja rahe he..? yaha koi Hamare Gamkhwar nahi Aur Nahi yaha koi Aabadi he ki Khane pine ki Chiz mil jaaye, Kai Martaba Hajra RadiAllaho Ta’ala Anha ke Puchhne par Aap ne koi Jawab na diya to fir Hazrat Hajra RadiAllaho Ta’ala Anha ne Puchha
kya ALLAH TA’ALA ne Aapko ye Huqm diya he..?
Aapne Farmaya Ha,
to Hazrat Hajra RadiAllaho Ta’ala Anha ne kaha
Achha Hame ALLAH TA’ALA Zaya nahi karega, ye kehte hue Wapis Apni Jagah par Lout aayi,

Hazrat Ibhrahim Alayhis Salaam ek Ghati ke paas Pahonche jaha se Aap ko Apni Zovja Aur Beita Nazar Nahi Aa rahe the Aapne Beitullah Shareef ki Taraf Towajjo ki is waqt Sirf Beitullah ki Buniyaade ek Teila ki Manind Nazar aati thi Aur Dua ki

“Ay Mere RABB Mene Apni kuchh Aulad ek Nale(Meidaan) me Basai jisme Kheti(wageira) nahi hoti mere Hurmat wale Ghar ke Paas Ay Hamare RABB (ye is liye) ki wo Namaz Qayam rakhe to tu kuchh logo ke Dil unki Taraf Jhuka de(ki wo Aakar Yaha Aabad ho jaaye) Aur unhe kuchh Fal Khane ke liye Aata Farma Taaki wo (Tere) Shukr Gujaar rahe”
(Surah Ibhrahim, Aayat-37)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-139)

>➤ Aabe Zamzam Aur Safa va Marva ke 7 Chakkar :-
Hazrat Hajra RadiAllaho Ta’ala Anha Apne Bacche Hazrat Ismail Alayhis Salaam ko Dhoodh pilati rahi Yaha tak ki Maskija(Botal) me jo Paani Tha wo Khtm ho gaya Aur Khjoore bhi Khtam ho gayi, Hazrat Hajra RadiAllaho Ta’ala Anha bhi Bhuki Pyashi ho gayi, Dhoodh ka Ban-na bhi Khtam ho gaya, Baccha bhi Bhook Pyaas se Pareshan Haal tha, Apne Hontho par Zabaan ferne laga, Bacche ka ye haal Maa se Bardast na ho saka,
Aap Qareeb ek Pahadi ‘Safa’ par Chadti he ki kahi se Paani ka Ata-pata chal jaaye ya koi Insaan Nazar aa Aajaye, fir ushi Khyaal se ‘Marva'(Pahadi) par Aati he Darmiyaan me Nichi Jagah jab Pahonchti he, Jaha se Baccha Nazar nahi Aata waha doudti he, Jab Nichi Jagah ko Paar kar leti he Aur Ayshi jagah Pahonchti he Jaha se Baccha Nazar aane lagta he to waha Aaista ho jati he, ‘Marva’ par Pahonch kar bhi Paani ya koi Insaan Nazar nahi aata, Aap Be-karaari ke Aalam me Fir Safa par Fir Marva par Saat(7) Chakkar Ayshe hi laga deiti he, Aakhri Martaba Marva Par Aapne ek Aawaj suni, Apne Aap ko kehne lagi Khaamosh ! khyaal kiya Shayad Mere Aur se khata ho gayi, yaha kon he..? Ya Muje veyshe hi Aawaz Aa rahi he, fir Dubara Aawaz sunne par kaha ki Agar Yaha koi Fariyaad ko Soon kar Pahonchne wala ho sakta he to Farista hi ho sakta he,
Deikha to Bacche ke Qarib ek Farista khada he, Hazrat Ismail Alayhis Salaam ki Aydi ke Paas usne Apni Aydiya par Mara, Aur Hazrat Ismail Alayhis Salaam ki Aydi Ragadne se Paani Ka ek chasma Jari ho gaya, Hazrat Hajra RadiAllaho Ta’ala Anha ne Paani ke ird-gird Bandh Baandh kar ek Houz ki shakl de di, wo Paani Jous maar raha tha, Aapne Khud bhi Piya Aur Bacche ko bhi pilaya Aur Paani ko kaha “Zamzam” (Rookja Rookja),

Hamaare Pyaare AAQA HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ne Farmaya
“ALLAH TA’ALA Ismail Alayhis Salaam ki Walida par Rahem kare Agar Aap ‘Zamzam’ ka Lafz Tark kar deiti Ya
Aap ne Farmaya Agar Aap Us se Jaldi se Chullu na bharti to ‘Zamzam’ jaari Chasma hota”

Is Tarah Hajra RadiAllaho Ta’ala Anha ne Jab Chasma se Paani piya to Aap ka Dhoodh bhi Jaari ho gaya jo Bacche ko Pilaya,
Fariste ne Aap ko kaha
“Tum koi Khouf na karo ki Tum Zaya ho jaogi Beshaq Yaha Beitullah he uski Ta’amir ye Aur uska Baap karenge Beshaq ALLAH TA’ALA Apne Mukarabeen ke Azr ko Zaya nahi karta”

Kuchh deir ke Baad Waha se ‘Jarham’ Kabila ka Gujar huwa, jinhone deikha ki Parinde Ud rahe he, Unhone khyaal kiya ki Parinde waha hi hote he jaha Paani ho, Yakinan Yaha kahi Paani hoga, Unhone Apne ek Shaksh ko Bheja jisne deikha ki ek Paani ka Chasma he Aur uske Qareeb ek Aurat bhethi hui he, unhone kaha ki Tum Hame Paani me Sarik karo to Ham Tumhe Apne Janwaro ke Dhoodh me Shareek karenge, Hazrat Hajra RadiAllaho Ta’ala Anha ne unse Sart par M’aahida(Karar) kar liya, ishi Jarham Kabile ne ek Ladki ka Nikaah Ismail Alayhis Salaam se kar diya.
(Roohul Maani, Jild-7, Hissa- Dowam, Safa-236, 237)

>> Faida :- 
Hazrat Hajra RadiAllaho Ta’ala Anha to Bacche ki Pyaash ko deikh kar Be-karar ho kar
“Safa va Marva” ke Chakkar laga rahi he lekin ALLAH TA’ALA ko Apne Khaleel ki Zovja Aur Ismail Alayhis Salaam ki Walida ki Adaa Ayshi Pasand Aayi ki Qayamat Tak Haaji is Yaad ko Taaza karne ke liye Waha Chakkar lagate rahenge.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-140, 141)

>➤ Hazrat Ibhrahim Alayhis Salaam ki Qurbaani :-
Quraan Shareef me he ki
“Fir Jab wo Ladka Aapke Samne (Chalne Firne Aur) Kaam Karne ke Kabil ho gaya to Aap ne kaha Ay Mere Pyare Beite mene Khwab me deikha ki Me tuje Zabah karta hu Ab tu Gour karke Bata ki teri kya Raay he..? beite ne kaha Ay Mere Baap Jo Kuch huqm Aapko huwa he usko Baja laaye In sha Allah Ta’ala Aap Muj ko Sabr karne wala hi Payenge”
(Surah As Saffat, Aayat – 102)

>➤ Qurbani ke Wakt Ismail Alayhis Salaam ki Umar :-
Baaz Ahle Ilm ka Koul ye he ki Zabah ka Wakiya Darpeish aane ke waqt Hazrat Ismail Alayhis Salaam ki Umar 13 Saal thi,
(Tafseere Kabeer, Jild-26, Safa-12)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-142)

>➤ 3 Din Ibhrahim Alayhis Salaam ka Khwaab deikhna :-
Zil Hajj ke 7 din Gujar jane par Raat ko Khwaab deikha ki koi kehne wala keh raha he
“Beshaq ALLAH TA’ALA Tumhe Beita Zabah karne ka Huqm deita he”
Aapne Subah is par Tafakkur(Socha) kiya Aur kuch Tardid me rahe ki kya ye ALLAH TA’ALA ka hi Huqm he ya Khwaab Sirf khyaal to nahi, is wajah se 8 Zil Hajj ka Naam “Youme Taroya” rakha gaya(Soch-Bichar ka Din),
8 Tarikh ka din gujar jane par Raat Fir khwaab deikha, Subah Yakeen Kar liya ki ye ALLAH TA’ALA ki Taraf se hi Huqm he is liye 9 Zil Hajj ko “Youme Arfa” (Pehchan ne ka Din) kaha jata he, is ke Baad Aane wali Raat ko Fir khwaab deikhne par Subah is par Amal karne ka Musammam irada kar leine par hi 10 Zil Hajj ko “Youme Nahar” (Zabah ka Din) kaha jata he.
(Tafseere Kabeer, Jild-26, Safa-12)

>> Sirf Khwaab deikhne se Zabah par Amal kyu…?

“Bashaq ALLAH TA’ALA ne AMBIYA E KIRAAM ke Khwaabo ko Haqq Banaya”
Yaani unke Khwabaat Sacche hote he unko Apne Khwabo par Amal karna Lazim he.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-142)

➤ Hazrat Ibhrahim Alayhis Salaam se Shaitaan ki Nakami :-
Hazrat Katada RadiAllaho Ta’ala Anho se Marvi he ki Shaitaan ne Hazrat Ibhrahim Alayhis Salaam Aur Aap ke Beite par (Qurbaani na karne par) Kamyaab hone ka irada kiya to ek Dost ki Shakl me Aap ko rokne ke liye Aaya lekin Aap par Kamyaab na ho saka, Fir Aap ke Beite Hazrat Ismail Alayhis Salaam ko is Raah se hata ne ki koshis ki lekin un par bhi iska Daav na Chal saka to usne Bahot Bada Mouta Taaza Ban kar Wadi(Ghati) ko Bhar diya taaki Aap isse Aage na ja Sake, Hazrat Ibhrahim Alayhis Salaam ke Sath ek Farista tha jisne Aap ko kaha ise Maare
Aapne ishe 7 Kankariya Maari to wo Raste se Hatt gaya, Dobara fir Aage Aane ki ye koshis ki Aapne fir Kankariya Maar kar Rasta se Hata diya, Tisri Baar fir is tarah Aage Aakar Rasta Bandh kar diya to Aapne Fir is Tarah 7 Kankariya Maar kar Rasta se Hata diya.
(Roohul Maani, Jild-12, Safa-128)

Aaj Hajiyo par is Sunnate Ibhrahim Alayhis Salaam par Amal karna Wajib kar diya gaya,

Subhan Allah,

Apne Mehboobo ki Adaae RABB TA’ALA ko Ayshi Pasand aayi ki unko Azeem Ibaadat ka Hissa bana diya gaya.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-144)

>➤ Hazrat Ibhrahim Alayhis Salaam ki Qurbaani :-

Ismail  Alayhis Salaam ne Apne Baap se kaha Ay Mere Abbajaan Zabah se pehle Muje Bandh deina taaki me Tadpu nahi, Apne Kapdo ko Mujse Bacha kar rakhna ki Aap ke Kapde mere Khoon se Aaluwa ho jaye Aur Meri Walida unhe deikh kar Pareshan na ho, Mere Halak par Chhuri Jaldi Jaldi chalana taki Muj par Mout Aashani se Vaake ho jaye, Jab Meri Walida ke Paas Jana to Mera Salaam unko deina,
in Bato ke Baad Baap Beite ne ek Dusre ko deikha, Baap ne Beite ka Bousha liya Mohabbat ke Aanshu Chhalak Padhe lekin ALLAH TA’ALA ke Huqm ke Baja Aawri me koi Kotaai Nahi ki.

Quraan Shareef me ALLAH RABBUL IZZAT Irshaad Farmata he
“To Jab un dono ne Hamare Huqm par Gardan rakhi Baap Beite ko Mathe ke Bal litaya us waqt ka Haal na puchh”
(Surah As Saffat, Aayat-103)

Mathe ke bal Litane me bhi Ismail  Alayhis Salaam ka Maswara hi tha ki kahi Aap Mohabbat ki Wajah se Chhuri chlane me Maamuli shi Kutahi na karde.

Quraan Shareef me ALLAH RABBUL IZZAT Irshaad Farmata he
“Aur Hamne Ushe Nida Farmayi ki Ay Ibhrahim ( Alayhis Salaam) Beshaq Tune Khwaab Sach kar dikhaya Ham Aysha hi Sila deite he Neiko ko Beshaq ye Roshan Jaanch thi Aur Hamne ek Bada Zabiha uske Fidyeme de kar ushe Bacha liya Aur Hamne (Is Qurbaani ke Zariye) Pichhlo me uski Taarif baaki rakhi”
(Surah As Saffat, Aayat – 104,105,106,107,108)

Chhuri Chlane se pehle hi Aap ko keh diya gaya ki Aapne Apne Khwaab ko Sach kar dikhaya ki Aap ne Chhuri chala di thi to Jibrail  Alayhis Salaam ne Aakar us ka Rukh Badal diya tha, ALLAH TA’ALA ki Taraf se ek Mouta Taza Singo wala Safeid Syaahi Maail Dumba Hazrat Ismail  Alayhis Salaam ka Fidya de diya gaya Aur Aap ko Zabah se Bacha kar bhi Zabah ho jane ka Azro Sawab aata kiya Aur Ta-Qayamat Aap ko “Zabihullah”(ALLAH ki Raza ke liye Zabah hone wala) ke Lakab se Mutassif kar diya gaya.
(Roohul Maani, Jild-12, Safa-131)

Subhan Allah..

Jibrail  Alayhis Salaam Jab Fidya le kar Aaye to Khyaal kiya ki Ibhrahim  Alayhis Salaam kahi Jaldi na karde to Aap ne padha
“Allahu Akber Allahu Akber”,
Hazrat Ibhrahim  Alayhis Salaam ne jab Aasman ki Taraf Sar uthaya to deikha ki Jibrail  Alayhis Salaam Fidya la rahe he to Padha
“Lailaha Ilallaho Wallahu Akber”
Jab Hazrat Ismail Zabihullah  Alayhis Salaam ne Suna to Aapne Padha
“Allahu Akber Walillahil Hamd”
in tino Hazrat ke Mazmua Kalam ko
“Takbirate Tasreek” ki Surat me Ta-Qayamat Namaaziyo par Zil Hajj ki 9 Tarikh ko Namaze Fazr se Lekar 13 Tarikh ki Namaze Asar tak Wajib kar diya gaya taki ye Yaadgaar kayam rahe.
(Jawaherul Sanaya Hasya Hidaya, Jild-1, Safa-245)

Subhan Allah..

Ek Qoul ke Mutabik Dusra Kalaam Hazrat Ismail  Alayhis Salaam Aur Tisra Kalaam Hazrat Ibhrahim  Alayhis Salaam ka Mazkur he.
(Tazkiratul Ambiya  Alayhis Salaam, Safa-145)

Hazrat Ibhrahim  Alayhis Salaam ke Wakiyaat Yaha par Khatm hote he….


#Seerat #Sirat #Nooranisafar #Noranisafar #Waqiya #Wakiya #Noorulislam #islam #Ibhrahim #Ibrahim #ismail #ishak #qurbani #kurbani #zumzum #zamzam #jamjam #namrood #namrud

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *