Hazrat Hizqeel Alayhis Salaam ki Kunniyat ‘Ibne Ajuz’ thi, ‘Ajuz’ Budhi Aurat ko kahaa jata he, Aapki Kunniyat ki wajah ye thi ki Aap ki Waalida Budhape ki Umar me thi to ALLAH TA’ALA se Unhone Awlaad ka Sawaal kiya Haalaanki Budhaape ki Umar thi Lekin ALLAH TA’ALA ne Unki Duaa ko Qabul Farmaya Aur Unko Beita ‘Hazrat Hizqeel Alayhis Salaam’ Ataa kar diya, Isi wajah se Unki Kunniyat ‘Ibne Ajuz'(Budhiyaa ka Beita) ho gayi,
>➤ Hazrat Hizqeel Alayhis Salaam ka Laqab :-
Aap ka Laqab ‘Zul-Kifl’ tha,
Unko Zul-Kifl Is wajah se kaha jata tha ki Unhone 70 Nabiyo ki Kefaalat ki Aur Unko Qatal se Bachaya.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-339)
>> Note : Zul-Kifl ye Hazrat Hizqeel Alayhis Salaam ka Laqab he.. Hazrat Zul-kifl Alayhis Salaam Jinka Zikr Aage Aa Chuka he.. Wo Nabi Alag he..
>➤ Hazrat Hizqeel Alayhis Salaam ka Moajiza :-
Quraane Kareem ALLAH TA’ALA Irshaad Farmata he
“Ay MEHBUB Kya Tumne Na deikha tha Unhe Jo Apne Gharo se Nikle Aur wo Hazaaro the Mout ke Darse to ALLAH TA’ALA ne Unse Farmaya Marjaao Fir Unhe Zinda Farma diya, Beshak ALLAH TA’ALA Lougo par Fazl Karne wala he Magar Aksar Loug Na-Shukre he”
(Surah Al Baqrah, Aayat-243)
Hazrat Ibne Abbas RadiAllaho Ta’ala Anho se Marwi he Bani Israail ke Baadshaho me se ek Baadshah ne Apni Qoum ko Jihaad karne ke liye kaha to Gharo se Baahar Nikal kar wo kehne lage Ham to Us Zameen me Nahi Jayenge jaha tum Hame le Jana Chahte ho kyunki waha Wabaa’a(Bimaari) Feili hui he, Jab Wabaa’a(Bimaari) Waha se Door ho Jaayegi to Fir ham Jaayenge, ALLAH TA’ALA ne Un Tamaam par Jo Hazaaro ki Taadaad me the, Apne Ilaaqa me hi Shahar se Baahar Mout ko Musallat kar diya, wo 8 Din tak Isi Haal me rahe, yahaa tak ki Unke Jism Ful gaye, Dusre Ilaaqe ke Bani Israail ko jab Unki Mout ka Ilm huwa to wo Unko Dafn karne ke liye Aaye Lekin Unki Badbu ki Wajah se wo unhe Dafn karne se Aajiz(Naa-kaam) rahe, Is liye Unhone Unke Ird-Gird ek Diwaar Banaadi,
Ek Aur Riwaayat me ishi tarah Zikr he ki Hazrat Hizqeel Alayhis Salaam ne Apni Qoum ko Da’awate Jihaad di lekin Unhone(Qoumne) Buzdili ka Izhaar kiya Aur Jihaad me Shirkat ko Na-Pasand Samjha to ALLAH TA’ALA ne Un par Mout ko Musallat kar diya Jab Unme se Kasrat se Moute Zaahir hone lagi to Unhone Apne Shaharo se Mout ke Dar ki wajah se Bhaagna Shuru kar diya Jab Hazaaro ki Taadaad me Shaharo se Baahar Nikle hi the to Hazrat Hizqeel Alayhis Salaam ne Duaa ki
“Ay ALLAH Ay Yaaqub Alayhis Salaam ke KHUDAA Aur Ay Musaa Alayhis Salaam ke KHUDAA Tu Apne Bando ki Na-farmaani deikh raha he Tu Unhe Apni koi Nishaani dikha Jisse Unhe Teri Qudrat ka Pata Chal jaaye ki wo Teri Qabzaa e Qudrat se Nahi nikal sakte”,
To Aapki Is Duaa ke Baad ALLAH TA’ALA ne Aap ki Qoum par Mout Musallat kardi, Wo Hazaaro ki Taadaad me Shahar se Nikle hi the ki Mar gaye,
(ALLAHU AKBER…)
Hazrat Hizqeel Alayhis Salaam ne Jab Hazaaro ki Taadaad me Lougo ko Maraa huwa deikha to Aap ko Pareishani Taari hui, Khyaal huwa ki ye Dubara Zinda ho jayenge to ALLAH TA’ALA ne Aap ki Taraf wahi ki ke Ay Hizqeel Tum Haddiyo ko Kaho
‘Ay Haddiyo Tumhe ALLAH TA’ALA Hukm deita he ki Tum Jamaa ho jaao, Aapke Hukm par wo Tamaam Haddiya Ek-Dusre se Mil kar Jismo ke Dhaanche Mukammal ho gaye Lekin Abhi tak Unme Gosht Aur Khun Nahi tha, Fir ALLAH TA’ALA ne Aapki Taraf Wahi ki ke Ab Tum ye Kaho
‘Ay Jismo ALLAH TA’ALA Tumhe Hukm deita he ki Tum Ab Khade ho, Is Tarah ALLAH TA’ALA ne Un Lougo ko Fir se Zinda Kar diya,
(Subhan Allah….)
Zinda hone ke Baad bhi Unpar Mout ke Ashraat Baaqi rahe, Yaha tak ki Jis Tarah Mout ke Waqt Unka Rang Zard(Yellow) huwa tha Ishi Tarah Zard(Yellow) raha,
Aur Unke Marne ki Wajah se Jo Unke Jismo me Badbu peida hui thi Wo Unke Peida hone ke Baad bhi Baaqi rahi Balki Aaj Tak Unki Aulaad me bhi Bu Paai Jaati he,
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-340, 341) ALLAH TA’ALA ki Ye Azeem Qudrat he ki Us Qoum ke Lougo par Mout ko Zaahir karke Unhe Waapis Zinda kiya…Aqal Waalo ko Is Waaqiye se Nasihat Haasil Karni Chahiye ki Beshaq Hamaara RABB TA’ALA Har Chaahe par Qaadir he…
ALLAH TA’ALA ki Ye Azeem Qudrat he ki Us Qoum ke Lougo par Mout ko Zaahir karke Unhe Waapis Zinda kiya…Aqal Waalo ko Is Waaqiye se Nasihat Haasil Karni Chahiye ki Beshaq Hamaara RABB TA’ALA Har Chaahe par Qaadir he…
#Seerat #Sirat #Nooranisafar #Noranisafar #Waqiya #Wakiya #Noorulislam #islam #Ambiya #Hazrathizqeel #hizkil #Hijkil