Hazrat Daawud Alayhis Salaam

daawud

Hazrat Daawud Alayhis Salaam ne 100 Saal Umar Paayi, Aap Musaa Alayhis Salaam se 599 Saal Baad Tashreef laaye(Iske Digar Aqwaal bhi Manqol he)
Hazrat Sulemaan Alayhis Salaam Hazrat Daawud Alayhis Salaam ke Beite he, Aapne 59 Saal Umar Paayi, Ye HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam se 1700 Saal Pehle Tashreef Laaye.
(Haashiya Jalaalein, Safa-275)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-282)

>➤ Hazrat Daawud Alayhis Salaam ki Ibaadat :-
Quraan Shareef me RABB TA’ALA Irshaad Farmata he
“Hamaare Bande Daawud(Alayhis Salaam) Ne’amato waale ko Yaad karo Beshak wah Badaa Ruju karnewala he”
(Surah Saad, Aayat-17)

Hazrat Daawud Alayhis Salaam Ek Din Roza rakhte Aur ek Din Iftaar karte, Ye Dar-Asal Hazrat Daawud Alayhis Salaam ka Nafs ke Khilaaf Jihaad tha Kyunki Insaan ka ‘Nafs’ Bacche ki Tarah hota he Bacche ko Ek Din Dhudh Pilaaya jaaye Aur Dusre Din na Pilaaya jaaye Ye Bahot Mushkil he, Ishi Tarah Daawud Alayhis Salaam Ne Apne Nafs se Aysha Jihaad kiya jo Aam Aadmi ke liye Bahot Mushkil tha, kyunki Ek Din Nafs ko Khwaahishaat se Rokna Aur Dusre Din Khawaahishaat ki Ijaajat deina Azeem kaam tha,
Hazrat Daawud Alayhis Salaam Aadhi Raat ALLAH TA’ALA ki Baargaah me Nawaafil Adaa karte, Fir Raat ka Tihaai(3) Hissa Sote, Fir Raat ka Chotha(4) Hissa Jaag kar Ibaadat me Mashgul Rehte.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-282)

Subhan Allah…

>➤ Hazrat Daawud Alayhis Salaam Aur Sulemaan Alayhis Salaam ki Nabuwwat :-
Quraan e Majeed Me RABB TA’ALA Irshaad Farmata he
“Aur Beshak Hamne Daawud(Alayhis Salaam) Aur Sulemaan(Alayhis Salaam) ko Bada Ilm Ataa Farmaaya Aur Dono ne kaha Sab Khubiya ALLAH ko Jisne Hame Apne Bahot se Imaan waale Bando par Buzurgi Bakhshi”
(Surah An Naml, Aayat-15)

Yaha Ilm se Muraad Lougo ke Darmiyaan Feishle ka Ilm, Parindo ki Boliya Jaanne ka Ilm Wageira he,
Hame Buzurgi Bakhsi se Muraad Nabuwwat Aur Jinn wa Sheitaano ko Aapke Taabe’a Banaana he,

Ilm se Insaan ko Fazilat Hasil hui, Insaan ko Chahiye ki Ne’amato ke Haasil hone par Un ka Sukriya Adaa kare, Kishi Ne’amat ka Izhaar Batoure Takabbur Na-Jaiz he,
Batoure Shukr Zikr karna Mustahab he, Aur Sunnate Ambiya kiraam Alayhis Salaam he.
(Roohul Bayaan, Jild-6, Safa-619)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-283)

>➤ Hazrat Daawud Alayhis Salaam ki Baadshaahat :-
Quraane Kareem me RABBE QADEER irshaad Farmata he
“Ay Daawud(Alayhis Salaam) Beshak Hamne Tujhe Zamin me Naayab Kiya, to Lougo me Saccha Hukm kar Aur Khwaahis ke Pichhe na Jana ki Tujhe ALLAH ki Raah se Bahka degi Beshak wo Jo ALLAH ki Raah me Bahkate he Unke liye Shakht Azaab he Is par ki wo Hisaab ke Din ko Bhul beithe”
(Surah Saad, Aayat-26)

Hazrat Daawud Alayhis Salaam ko Nabuwwat Aur Baadshahat Dono Hasil thi, Hazrat Daawud Alayhis Salaam ko RABB TA’ALA ne Jo Farmaya “Khawaahisaat ke Pichhe Na Jana”
Iska Matlab ye he ki Aapko Khawaahisaat ke Pichhe Chalne se Ummat ki Ta’alim ke liye Roka gaya he ki wo Gouro Fikr kare, Aur Hazrat Daawud Alayhis Salaam ko jo Hukm diye gaye he wo Unki Taabedaari kare, Jab ye Hukm Ma’asum ko ho sakta he To Dusro ko to Yaqinan ye Hukm hona hi he.
(Hashiya Jalaalein, Safa-382)

Agar Baadshaah Sharai Ahkaam ke Mutaabiq Feishle kare to Nizaam Aalam Durust ho jata he, Bhalaai ke Darwaaje Achhi Tariqe se Khul jaate he, in Maqsad ke Peishe Nazar Qoum ki Ta’alim Wa Tarbiyat ke liye Hazrat Daawud Alayhis Salaam ko ye Hukm diya gaya.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-283, 284)

>➤ Hazrat Daawud Alayhis Salaam ki Baadshaahat ka Dab-dabaa :-
Quraane Paak me ALLAH RABBUL IJJAT Irshaad Farmata he
“Beshak Hamne Uske Saath Pahaad Musakhkhar Farma diye ki Tasbih karte Shaamko Aur Suraj Chamakte, Aur Parinde Jamaa kiye hue Sab Uske Farmaabardaar the”
(Surah Saad, Aayat-18,19)

ALLAH TA’ALA ne Pahaado ko Hazrat Daawud Alayhis Salaam ke Saath Musakhkhar kar diya Yaani Pahaad Aap ke Taabe’a (Peirokaar) the,
Hazrat Daawud Alayhis Salaam Jahaa Chalte Pahaad Aapke Saath Chalte Yaa Aap Jis Jagah Pahaado ke liye Jaane ka Iraada Farmate Pahaad Waha Chalte Jaate,
(Subhan Allah…)

Hazrat Daawud Alayhis Salaam ki Aawaz Bahot Haseen thi, Aawaz me Roab Aur Dab-dabaa bhi tha, Jab Hazrat Daawud Alayhis Salaam Haseen Aawaz se “Zabur Shareef” Padha karte to Pahaado se bhi Tasbihaat ki Haseen wa Jameel Gun-Gunaahat Sunaai deiti,

Hazrat Daawud Alayhis Salaam ki Haseen Aawaz se Zabur Shareef Padhte Aur Tasbihaat Padhne ke Saath Saath Parinde bhi Tasbihaat Padhte the, (Parinde) Hazrat Daawud Alayhis Salaam ke Qareeb Aakar Kaan Lagaa kar Sunte the, Itne Qareeb ho Jaate the ki Aap Parindo ko Gardan se Pakad kar Unse Pyaar Karte, Balki Baaz Hazraat ne Bayaan kiya he ki Hazrat Daawud Alayhis Salaam ki Aawaz me RABB TA’ALA ne Eysha Azeeb Ashar rakha tha ki Aap Jab Zabur Shareef Padhte to Chalta Paani Ruk Jaata, Darakhto par ye Asar hota ki Goyaa wo bhi Zabaane Haal se Aapke Saath Tasbihaat Padh rahe he, Aur Unke Patte Jhadh ne Shuru ho jate.
(Tafseere Kabeer, Jild-9, Safa-171)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-284, 285)

Subhan Allah…
ALLAHU AKBER..

Isme ALLAH TA’ALA ki Qudrat ke Kayi Kaarnaame Moujud he..
Pahaado ke Jism me Zindagi Peida Farmaana, Fir Unhe Saoor Ataa farmaana, Fir Unhe Qudrat se Nawaazna Fir Bolne ki Taaqat deina ki wo ALLAH TA’ALA ki Tasbihaat Padhte….

Subhan Allah..
Beshaq Ye ALLAH RABBUL IJJAT ki Azeem Qudrat he…

>➤ Hazrat Daawud Alayhis Salaam ki Baadshaahat ka Dab-dabaa :-
Quraan Shareef me ALLAH TA’ALA Irshaad Farmaata he
“Aur Hamne Uski Saltanat ko Mazbut kiya Aur Ushe Hikmat Aur Qoule Feishal diya”
(Surah Saad, Aayat-20)

36 Hazaar(36,000) Aadmi Raat ko Hazrat Daawud Alayhis Salaam ki Khidmat karne waale hote, Subah hoti to Aap Unko Farmaate ki Tum Lout Jaao To Tum par ALLAH ka Nabi Raazi he, Baaz Riwaayat me ye Zikr he ki Hazrat Daawud Alayhis Salaam ko Hifaazat karne waale 40 Hazaar(40,000) ki Ta’adaad me hote the.

Itni Ta’adaad me loug Apne Shoq wa Mohabbat ki Wajah se Aapki Hifaazat ke liye Aate the, Is me Apni Sa’aadat Samajte Aur Baaise Barkat Samajte,
(ALLAH TA’ALA ke Nabi Hazrat Daawud Alayhis Salaam ko Itni Ta’adaat ki Zarurat nahi thi lekin Aapke Gulaamo ko Aapki Khidmat ki Zarurat thi..)

ALLAH TA’ALA ne Aapko Ayshi Khitaabe Feishal se Nawaaza Jiski Wajahse Aap Lougo ko Kaamil Tour par ALLAH TA’ALA ke Ahekaam Pahonchane ki Qudrat rakhte the,

Hazrat Daawud Alayhis Salaam ko ALLAH TA’ALA ne Ilm wa Amale Saaleh, Ayteqaate Saaleh Ataa karke Jis Tarah Quwatte Baataniya ko Kamaal Bakhsha Ushi Tarah Khitaabe Feishal Ataa karke Aapki Bolne ki Quwwat ko Kamaal aata kiya.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-287, 288)

>➤ Lohe ka Hazrat Daawud Alayhis Salaam ke Haath Mubaarak me Narm ho Jana :-
Quraane Majeed me ALLAH SUBHANA WA TA’ALA Irsaad Farmata he
“Aur Beshak Hamne Daawud(Alayhis Salaam) ko Apna Badaa Fazl diya Ay Pahaado Uske Saath ALLAH ki Taraf Ruzu karo Aur Ay Parindo, Aur Hamne Uske liye Lohaa Narm kiya”
(Surah Sabaa, Aayat-10)

Hazrat Daawud Alayhis Salaam Jab se Bani Israail ke Baadshah Bane To Aapne ye Amal Shuru kiya ki Raat ko Aaam Aaadmi ki Heyshiyat se Baahar Tashreef le jaate, Jo Shaksh Milta Us se Puchhte Daawud Baadshah keisha he…??

Ek Martaba Hazrat Daawud Alayhis Salaam ki Mulaaqaat Ek Fariste se hui Jo Insaani Shakl me tha, Jab Aapne Usse Sawaal kiya to Usne Kaha Aadmi to Bahot Achha he Sirf Ek Baat Usme Na Paayi Jaaye to wo Bahot hi Kaamil Insaan he, Hazrat Daawud Alayhis Salaam ne Puchha Wo Kya baat he…?
Usne kaha ki Wo Beitul Maal se Rizq khaate he, Apne Haath ki Kamaai se Khaaye to Unke Fazaail me Takmeel(Izaafa) paaya jaaye,

Hazrat Daawud Alayhis Salaam ne ALLAH TA’ALA se Duaa ki
“Ay ALLAH Mujhe Zarah(Kawach /Armor) Banaane ka Ilm Ataa farma de Aur Mujh par Zarah Banaani Aasaan Farma de,
ALLAH TA’ALA ne Aapko Zarah (Kawach) Banaane ka Ilm Ataa Farma diya Aur Lohe ko Aapke Haath me Narm Farma diya, Aap Uski Aaamdani (Income) ka Tihaai Hissa Musalmano ki Maslehat me kharch Farmaate, Ek Zarah (Kawach) Roz Taiyyar Farmate the, 1000, 4000 Aur 6000 Dirham tak Aapki Banaai hui Zarahe(Kawache) Bikti, Uski Aamdani me se Aap Apni Zaat par Kharch karte Aur Apne Ahal Wa Ayaal ka Kharch Ushi se Pura Farmaate, Zarurat-mand Aur Garibo ko bhi Us Maal se deite, 360 Zarahe Aapne Taiyyar farmaayi thi, Unko Beich kar Aapne Itne Dirham Haasil kar liye the ki Aap Beitul Maal ke Mohtaaj na rahe, Balki Usse Kasheer(Jyada) Raqam Garibo ko bhi deite.
(Roohul Maani, Jild-12, Hissa-1, Safa-115, 116)

Hazrat Daawud Alayhis Salaam ke Haath me Lohaa Moum Aur Gunde hue Aante ki tarah Narm ho jata tha, Aaag me Narm Karne Aur Hathode se Kutne ki Zarurat Peish nahi Aati thi,
Hazrat Daawud Alayhis Salaam Jeisha Chaahte Us Tarah Lohe ko Haath se Idhar-Udhar Feir kar Zarah(Kawach) Bana Leite the, ALLAH TA’ALA ke Hukm ke Mutaabik Aap Bahot Khubsurat Zarah Banaate, Na Bahot Badi Na Bahot Chhoti, Isme Keel bhi ek Khaash Miqdaar ki Lagaate, Baaz Mufassiren Kiraam ne Kaha ki Hazrat Daawud Alayhis Salaam ko keel Lagaane ki Zarurat Hi Darpeish nahi aati thi, Lohaa Narm ho jata jeishe Chahte Usko Ushi Tarah Feir leite.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-288, 289)

Subhan Allah…
Ye Hazrat Daawud Alayhis Salaam ka Mo’ajiza he..
Jis Lohe ko Narm Karne ke liye Aaag Aur Hathode se Pitne ki Jarurat Padhti he, Aur Daawud Alayhis Salaam Aaag wa Hathode ke Bageir Apne Haath Mubaarak se Lohe ko Narm kar deite he…
Aur Ye RABB TA’ALA ki Azeem Qudrat he ki Apne Pyare Nabi ke Liye Lohe ko bhi Narm kar diya..

>➤ Hazrat Daawud Alayhis Salaam ki Khilaafat Aur Adal wa Inshaaf ka Hukm :-
Quraane Paak me ALLAH AZZAWAZAL Irshaad Farmaata he
“Ay Daawud (Alayhis Salaam) Beshak Hamne Tuzhe Zamin me Naayab Kiya to Lougo me Saccha Hukm kar Aur Khwaahis ke Pichhe Na jaana ki Tuzhe ALLAH ki Raah Se Behka degi Beshak wo Jo ALLAH ki Raah se Behakte he Unke liye Shakht Azaab he Is par ki wo Hisaab ke Din ko Bhul Beithe, Aur Hamne Aasmaan Aur Zamin Aur jo Kuchh Unke Bich he Bekaar na banaaye Ye Kaafiro ka Gumaan he to Kaafiro ki Khraabi he Aaag se, Kya Ham Unhe jo Imaan laaye Aur Achhe Kaam kiye Un Jeisha karde jo Zamin me Fasaad Feilaate he yaa Ham Parhezgaaro ko Sharir Behukmo(Badkaaro) ke Baraabar Thehraaye, Yah ek Kitaab he ki Hamne Tumhaari Taraf Utaari Barkatwaali Taaki Iski Aayato ko Soche Aur Aqalmand Nashihat maane”
(Surah Saad, Aayat-26, 27, 28, 29)

Hazrat Daawud Alayhis Salaam ko Bataya ja raha he ki Aap Kishi Shaahi Khaandaan ke Fard(Insaan) nahi ho ki Tumhe ye Hukumat Aur Takht Waarsha me mila ho, Tum Ek Geir-Ma’aruf Charwaahe the, Hamne Apne Fazl wa Karam se Aapke liye ye Raah Hamwaar ki Aur Apni Maherbaani se Bani Israail ka Taajdaar Banaya, Aur Badi Saltanat Farmaadi, Aur Musnad wa Khilaafat se Nawaaza, Is Ahesaan ka Shukr Adaa karne ka ye Tariqa he ki Har Feisla Adal wa Inshaaf ke Mutaabik Karo, Aur Apni Pasand wa Naapasand ko Kishi tarah Ashar Andaaz na hone do, Agar Tumne Apni Khwaahish par Inshaaf ko Qurbaan kiya to Yaad Rakhna ALLAH TA’ALA ki Raah se Behak jaaoge, Uski Toufiq ka Daaman Tumhaare Haath se Chhut jaayega, Aur Jo Shaksh Raahe Haqq se Behak jaata he wo ALLAH TA’ALA ke Shakht Azaab me Mubtila kar diya jaata he.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-297)

(Hazrat Daawud Alayhis Salaam ka ‘Jaalut’ ko Qatl Karne ka Waqiyaa, Hazrat Taaloot ke Waaqiyaat me In sha Allah Zikr kiya Jayega..)

Yaha par Hazrat Daawud Alayhis Salaam ke Waqiyaat khatm hote he…



#Seerat #Sirat #Nooranisafar #Noranisafar #Waqiya #Wakiya #Noorulislam #islam #HazratDawood #Dawud #Davud #Ambiya

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *