>➤ Hazrat Daaneyaal Alayhis Salaam :-
Hazrat Daaneyaal Alayhis Salaam ki Wilaadat ‘Bukhte Nasr’ ki Baadshaahi ke Zamaane me hui, ‘Bukhte Nasr’ Jab Baadshah Bana to Ushe Kaahno(Paadriyo/Pujaariyo) ne Khabar di ki Teri Baadshahi Me ek Baccha Peida hoga Jo Teri Baadshahi me Kami ka Sabab banega to Usne Peida hone Waale Baccho ko Qatl Karna Shuru kar diya, Jab Baccha Peida hota Ushe Qatl Kar diya jata, Jab Hazrat Daaneyaal Aalyhis Salaam ki Peidaaish hui to Unke Maa-Baap ne Unhe Jangal me Chhod diya ki ho Sakta he ki Baccha Qatl Hone se Bach jaaye, To ALLAH TA’ALA ne EK Sher Aur Unko Dhoodh Pilaane ke liye ek Sherni ko Muqarrar kar diya, Wo Dono Unko Ushi tarah Chaat-te the jeishe Jaanwar Apne Bacho ko Chaat-te he.
(Tafseere Roohul Bayaan)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-353)
>➤ Hazrat Daaneyaal Alayhis Salaam Ki Duaa :-
HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ne Irshaad Farmaya ki Daaneyaal Alayhis Salaam ne Apne RABB se ye Duaa ki thi ki Unhe MOHAMMAD Sallallaho Alayhe Wasallam ki Ummat me Dafn kare, Jab Abu Musaa Ash’ari RadiAllaho Ta’ala Anho ne Qilaa Tustar Fateh kiya to Unhe Unke Taabut me Isi Haal me paya ki Unke Tamaam Jism Aur Gardan ki Sab Rage Baraaabar Chal rahi thi.
(Al Bidaya Wan Nihaya, Jild-2, Safa-41)
Hazrat Abul Aaliya RadiAllaho Ta’ala Anho se Marvi he ki Jab Hamne Qilla Tustar Fateh kiya To Haramzaan ke ghar ke Maal wa Doulat me ek Takht paya jis par ek Aadmi ki Mayyat rakhi hui thi Aur Uske Sar ke Qareeb ek Musahab(Khat) Tha, Hamne wo Musahab(Khat) utha kar Umar Bin Khattab RadiAllaho Ta’ala Anho ki Taraf Bheij diya, Hazrat Umar RadiAllaho Ta’ala Anho ne Hazrat Ka’ab RadiAllaho Ta’ala Anho ko Bulaya, Unhone Usko Arabi me likh diya, Arab me Mei Pehla Aadmi hu Jisne Usko Padha, Meine Quraane Paak ki Tarah Padha,
Abu Khaalid Bin Dinaar RadiAllaho Ta’ala Anho kehte he ki Meine Abul Aaliya RadiAllaho Ta’ala Anho se kaha Usme Kya tha…? Unhone kaha Tumhaare Ahwaal wa Amur(Ma’amlaat) Aur Tumhaare kalaam ke Lahze Aur Aainda Hone waale Waaqiyaat, Meine kaha Tumne Us Aadmi ka kya kiya…? Unhone Jawaab diyaa Hamne Din ke Waqt Mutaffaraq(Alag Alag) Tour par 13 Qabre khodi, Jab Raat hui to Hamne Unhe Dafn kar diya Aur Tamaam Qabro ko Baraabar kar diya Taaki Lougo se Chhupi rahe Aur koi Qabr se Nikaal na paaye, Meine Unhe Kaha Unse Lougo ki Kya Ummide Waabasta(Judi) thi…? Unhone kaha Jab Baarish Ruk Jaati thi To Loug Unke Takht ko Baahar le Aate the to Baarish Ho Jaati thi, Meine kaha Us Mard ke Muta’alaq kya Gumaan rakhte the ki wo kon he…? Unhone kaha Ki Unhe Daaneyaal kaha jata tha.
(Al Bidaya Wan Nihaya)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-354, 355)
Subhan Allah…
Hazrat Daaneyaal Alayhis Salaam ka Jisme Mubaarak Kayi Saal Guzar Jaane ke Baad bhi Sahi Salaamat raha Aur to Aur Unke Jisme Mubaarak ki Rage bhi chal rahi thi… Beshak ye ALLAH TA’ALA ki Azeem Qudrat he Aur jo Loug Neik Bando ke Zinda Hone ke Munkir he Unhe Is Waaqiye se Nasihat Haasil karke Apni Islaah karni Chaahiye..