Hazrat Ayyub Alayhis Salaam

446556565

Hazrat Ayyub Alayhis Salaam ke Waalid ka Naam ‘Anush’ he, Aap Hazrat Ishaaq Alayhis Salaam ke Beite ‘Aysh” ki Aulaad se he, Hazrat Ayyub Alayhis Salaam ki Walida Hazrat Loot Alayhis Salaam ki Aulaad se he, Aapki Zovja(Biwi) ka Naam ‘Rahmataa’ he jo Hazrat Yusuf Alayhis Salaam ke Beite ‘Ifraahim’ ki Beiti thi,

>➤ Hulyaa Mubarak :
Hazrat Aiyyub Alayhis Salaam ke Baal Mubarak Ghunghariyaale, Aankhe Moti, Khubsurat Sakl wa Surat, Bahot Khubsurat Gardan Chhoti, Sinaa Chouda, Pindaliya Aur Kalaaiya Moti thi Aur Aapka Qad Lamba tha.
(Roohul Maani, Jild-9, Hissa-2, Safa-80)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-263)

>➤ Awsaaf :
Hazrat Aiyyub Alayhis Salaam Miskeeno par Raham karte the, Yateemo ki Kefaalat Farmate, Beywa Aurato ki Madad karte, Mehmaano ke Saath Ijjat wa Takreem se Peish Aate,
(Tafseere Kabeer, Jild-22, Safa-203)

ALLAH TA’ALA ne Aazmais se Pehle Aapko Kaseer Maal wa Dowlat de rakha tha, Kheti-Baari, Baag, Garz ye ki Har Qism ke Maal wa Dowlat se Nawaza, Har Qism ke Jaanwar Yaani Bheid, Bakariya, Gaay, Bheinsh, Unt Wageira ki Kasrat(Zyaadati) thi, 500 Jodiya Beylo ke Hal Chalaane wali thi, 500 Gulaam Khidmat Guzaari ke liye, Fir Har Gulaam ki Zovja(Biwi) Aur Aulaad bhi Batoure Khuddam Aapke Paas rehte the,

Hazrat Ayyub Alayhis Salaam ke 7 Beite Aur 7 Beitiya thi.
(Roohul Maani, Jild-9, Hissa-2, Safa-80)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-263, 264)

>➤ Faristo me Hazrat Ayyub Alayhis Salaam ki Bulandi ka Charcha :-
Hazrat Jibrail Alayhis Salaam ko ALLAH TA’ALA se Jo Qurb Haasil he wo Dusre Faristo ko Haasil nahi, ALLAH TA’ALA Apne Bando me se jab Kishi ko Pasand Farmata he to Uska Zikr Jibrail e Ameen Alayhis Salaam se Karta he, wo Mikaail Alayhis Salaam se Zikr karte he, Wo Dusre Muqarrab Faristo se Zikr karte he, Jab Un Muqarrab Faristo me ALLAH TA’ALA ke Us Khaas Bande ke Zikr ka Charcha ho jata he to Tamaam Fariste Us Par Rehmate Nichhawar karte he, Fir Aasmano ke Tamaam Fariste Rehmate Bheijte he, Fir Zameeno ke Fariste Us Bande par Rehmate Bheijte he,
Hazrat Ayyub Alayhis Salaam ka bhi Is Tarah Tamaam Faristo me Zikr e Kheir ka Charcha hota rehta tha.
(Tafseere Kabeer, Jild-22, Safa-204)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-265)


>➤ Aazmaish ki Ghadiya :-
ALLAH TA’ALA kabhi Apne Muqarrab Bando ko Sadeed Muskilaat me Mubtila Karke Aazmaata he ki wo Meira Banda Kitna Sabr karta he, Masaaib wa Aaalam me koi Sikwaa Zabaan par Nahi Laata Aur Kabhi ALLAH TA’ALA Bahot Maal Wa Dowlat Ataa karke Aazmaata he ki Meira Banda Kitna Sukriya Adaa karta he..?

Hazrat Ayyub Alayhis Salaam ko Pehle Aaram wa Sehat, Maal wa Dowlat, Aulaad Aur Har Tarah ki Khushiya Ataa karke Aazmaya, Isme bhi Aapne Azeem kaamyabi Haasil ki, Hazrat Ayyub Alayhis Salaam ne Sukriya Adaa karke Be-Misaal Namoona Peish kiya,
Iske Baad Aazmaish ka Dusra Dour Suru huwa ki Zameen ke Niche se Qudrati Aaag ne Aapke Baagaat, Khetiya, Unt, Bakariya, Charwahe Jala kar Raakh kar diye, Jab Aap ko Pata Chala to Aapne kaha
“Ye Sab Maal Wa Dowlat ALLAH ne hi Ataa kiya tha wahi Uska Maalike Haqiqi he Jab Wahi Uska Haqdaar he to Ushe Haqq Pahonchta he Jab Chaahe le le Muje Isme Kuchh Kehne ki koi Majaal nahi”
(SubhanAllah..)

Hazrat Ayyub Alayhis Salaam ki Aulaad Ek Makaan me thi, Wahaa Zalzalaa Aaya Makaan gir gaya, Aapki Aulaad Fout ho gayi, Makaan ki Chhatt Aur Diwaare Gir ne se Aapke Baccho par kya Haal Guzra hoga..? Jism Chikna Chur hue honge, Haddiya Tooti hogi, Sar Fate honge, Khun ke Fawware Chale honge, Lekin ye Haal Soon kar Bhi ALLAH ke NABI ne Sabr ka Kamaal Muzaahira(Zahir) kiya, Wahi Alfaaz Zabaan par Laaye..
“Sab Kuch RABB TA’ALA ka he jo Chaahe kare”

Aapke Jism me Sadeed Haraarat(Garmi) se Aysha Asar huwa, Yu Mehsus hota ki Aapke Jism me Aaag ke So’ale Bhadak Utthe he, Sar se Lekar Qadam tak Aable(Fulliya) Padh gaye, Sadeed Khujli hone lagi, Naakhuno se Jism ko Khujlaate rahe, Yaha tak ki Naakhun Gir gaye, Fir Thikariyo ya Pattharo se Apne Jism ko Khujlaate, Jism Sadeed Zakhmi ho gaya, Zakhmo me Bu Aane lagi, Unme Kide Pad gaye, Saare Jism me Sirf Aankhe, Dil Aur Zabaan Mahfuz rahe the,
(ALLAHU AKBER…)

Ek Riwaayat me Bayan kiya gaya ki
Hazrat Ayyub Alayhis Salaam ke Jism se Agar koi Kidaa Niche Gir jaata to Aap Fir ushe Apni Jagah Louta deite Aur Kehte ALLAH TA’ALA ne Jo Rizq Tumhe diya he wo Khaaye.
(Roohul Maani, Jild-9, Hissa-2, Safa-80)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-264, 265)

ALLAHU AKBER..

Kya Shaan e Mubaarak he Ambiya Alayhis Salaam ki..
Itni Sadeed Aazmaish me bhi Hazrat Ayyub Alayhis Salaam ne Sabr kiya…
ALLAHU AKBER…

>➤ Muskil Waqt me Saathi :-
Hazrat Ayyub Alayhis Salaam ki Bimaari ne Jab Siddat Ikhtyaar karli to Tamaam Iqraba’a (Relatives) ne Aap ko Chhod diya, Sahar se Baahar Aapko ek Jhupdi bana kar de di gayi ki ye Marz(Bimaari) kahi Dusro Tak bhi na Pahonch jaaye, Jab wo Saare Saath Chhod gaye to Us Waqt Aapki Zovja(Biwi) Jiska Naam ‘Rahmataa’ tha wo Aapke Saath rahi, Aapki Khidmat Guzaari me Rahi, Hazrat Ayyub Alayhis Salaam ki Deikh-bhaal karti, Aapko Khaana Faraahim karti, Aapki Zaruriyaat ka Har tarah Khyaal karti.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-265)

SubhanAllah…

Hazrat Ayyub Alayhis Salaam ki Biwi Neik Aur Sabir thi Aur ALLAH TA’ALA ke Nabi Hazrat Yusuf Alayhis Salaam ki Pouti thi.

>➤  Hazrat Ayyub Alayhis Salaamka Be-Misaal Sabr :-
Ek Din Aapki Khidmat-Guzaar, Wafaadaar, Neik Zovja(Biwi) ne Arz ki
“Kaas Tum ALLAH TA’ALA se Duaa karte, ALLAH TA’ALA Tumhaari Taklif Door farma deita”,

Ye Soon kar Hazrat Ayyub Alayhis Salaam ne Farmaya
“Aysh wa Eisrat, Raahat wa Sukun, Maal wa Dowlat ki Faraawaani me Kitna Waqt Guzra…??
Aapki Zovja(Biwi) ne Arz ki Bahot Waqt Guzraa..(Ek Riwaayat me he ki Aapki Zovja(Biwi) ne Kaha 80 Saal Guzre he.)

To Hazrat Ayyub Alayhis Salaam ne Irshaad Farmaya
“Muje ALLAH TA’ALA se Sarm Aati he ki Me Us se Duaa karu Jabki Meiri Aazmaish ka Waqt Itna Bhi Nahi huwa Jitna Meri Aaasaish ka Waqt tha”
(Roohul Ma’ani, Jild-9, Hissa-2, Safa-80)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-265, 266)

SubhanAllah…

>➤ Zovja(Biwi) ki Galti par Naaraazgi ka Izhaar :-
Quraane Kareem me he ki
“Muze Shaitaan ne Takleef Aur Izaa Laga di”
(Surah Saad, Aayat-41)

Ek Martaba Hazrat Ayyub Alayhis Salaam ne Zovja(Biwi) ko Talab kiya to Deir se Hazir hone par Aap Naaraaz ho gaye,
(Mumkin he Bimaari ki Wajah se Tabiyat me Shakht Mizaaji Aagayi ho, Zyadaa Munasib ye Baat Ma’alum hoti he ki Itni Badi Naaraazgi ki Wajah bhi Yaqinan koi Badi hogi,)

Muffassirin ne ek Wajah Bayaan ki he ki Shaitaan Aapki Zovja(Biwi) ke Paas Tabeeb(Doctor) ki Surat me Aaya Aur Kehne laga ki Tumhare Sohar Bahot Badi Takleef me Mubtila he, Agar Tum Chahti ho to Mei Unhe Dawaa deita hu Jis se wo Thik ho Jaayenge, Jab wo Sehat-Mand ho jaaye to wo Iske Badle me Meira Sukriya Sirf in Alfaaz me Adaa kare
“Tune Muje Shifaa di he”

Aapki Zovja(Biwi) ne ye Baat Ma’amuli Samji Aur Unka Khyaal ban gaya ki Is Par Amal karna to Aashaan he,

Jab Hazrat Ayyub Alayhis Salaam ke Saamne Aakar Pura Maajra Bayaan kiya to Hazrat Ayyub Alayhis Salaam ne Samaj liya ki Shaitaan Meire Imtehaan me Mujhe Naakaam karna Chahta he, Hazrat Ayyub Alayhis Salaam Apni Zovja se Naaraaz ho gaye Aur Farmaya Agar Mei Thik ho gaya to Tumhe 100 Kode Maarunga, Abhi Tumhaare Haatho se koi Chiz nahi Khaaunga,

Ishi Wajah se Hazrat Ayyub Alayhis Salaam ne RABB TA’ALA ki Baargaah me Arz ki
“Mujhe Shaitaan ne Takleef Aur Izaa Laga di”
(Surah Saad, Aayat-41)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-266)

>➤ Aazmaish ka Waqt Khatm hona :-
Quraane Kareem me ALLAH RABBUL IJJAT Irshaad Farmaata he
“Aur Aiyyub(Alayhis Salaam) ko (Yaad karo) Jab Usne Apne RABB ko Pukara ke Mujhe Taklif Pahuchi Aur Tu Sab Maherwalo (Raham Karne waalo) se Badh kar Maherwala (Raham karne waala) he, to HAMNE Uski Dua Soon li to HAMNE Door kar di Jo Taklif Ushe thi Aur HAMNE Ushe Uske Gharwale Aur Unke Saat Itne hi Aur Ataa kiye Apne Paas se Rahmat Farma kar Aur Bandagiwaalo ke liye Nasihat”
(Surah Ambiya, Aayat-83, 84)

Hazrat Ayyub Alayhis Salaam ne Bahot hi Pyaari Lateef Andaaz me Apni Pareshaan-haali, Taklif ka Tazkira(Zikr) kiya, RABB TA’ALA ki Be-Hisaab Rehmat ka Zikr kiya gaya,
Lekin ye Arz Nahi kiya ki Ay PARWARDIGAARE AALAM Meri Taklif ko Door farma.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-266, 267)

Subhan Allah..
Keisha Sabr he…
Aur RABB TA’ALA ki Baargaah me Ilteja karne ka Keisha Haseen Andaaz he..

>➤ Chasma e Shifa :-
Quraane Paak me ALLAH TA’ALA Irshaad Farmaata he ki
“Zamin par Apna Paanv(Peir) Maar ye hei Thanda Chasmaa Nahaane Aur Pine ko Aur HAMNE Ushe Uske Gharwale Aur Unke Baraabar Aur Ataa Farma diye Apni Rahmat karne Aur Aqalmand ki Nasihat ko”
(Surah Saad, Aayat-42, 43)

Hazrat Ayyub Alayhis Salaam ko Hukm huwa ki Aap Apna Peir Zameen par Maaro, to Is se Chasma(Fawwaara) Jaari hoga, Us se Paani Piwo Aur Nahaav, Tumhe Shifaa Hasil hogi,
Hazrat Ayyub Alayhis Salaam ko Nahaane se Zaahiri Jism ki Tamaam Bimaariyo se Shifaa Hasil ho gayi, Aur Paani Pine se Andh-runi(Jism ke Andar) Tamaam Bimaariyo se Shifaa Mil gayi, ALLAH TA’ALA ne Aapko Jannati Libaas Ataa farmaya, Hazrat Ayyub Alayhis Salaam Libaas Zeib-tan(Pehan) kar ke ek Taraf ho kar Beith gaye, Aapki Zovja(Biwi) Aayi to Usne Aapko Na Pehchana, wo Aap hi se Puchhne lagi Ay ALLAH ke Bande Yahaa ek Bimaar Shaksh tha wo kaha gaya…??
Pareshaan ho kar Puchha Kahi Bhediye to Nahi le gaye, Baar Baar Pareshaani se Jab Puchh rahi thi to Hazrat Ayyub Alayhis Salaam ne Farmaya ALLAH TA’ALA Tum par Raham kare Mei hi Ayyub(Alayhis Salaam) hu, ALLAH TA’ALA ne Muje Shifaa Ataa kardi he, Maal wa Aulaad Waapis mil gaye,

Aage Mukhtelaf Qowl he..
1) ALLAH TA’ALA ne Aapki Tamaam Fowt Aulaad ko Zinda kar diya Aur Marizo ko Aafiyat(Kheriyat) de di Aur Tamaam Bikhre huwo ko Jama’a kar diya,
(Roohul Maani, Jild-9, Hissa-2, Safa-80)

2) Aapko Dubaara Sabaab (Jawaani) Ataa Farmaayi Aur phir Pehli Aulaad ki Tarah Aur Aulaad Ataa farma di, Ishi Tarah Aapko Kaseer Maal wa Dowlat Ataa farmayi,

3) Ek Riwaayat me ye bhi he ki Aap par ALLAH TA’ALA ne Sone(Gold) ki Makadiya(Spiders) ki Baarish ki, Hazrat Ayyub Alayhis Salaam Pakad Pakad kar ek Kapde me Daalte rahe, Yahaa tak ki Aapne ek Chaadar Bichha kar Usme Jamaa karna Shuru kiya to ALLAH TA’ALA ne Aapki Taraf wahi ki ke
Ay Ayyub Tum Seir(Itmenaan) nahi hote..?”
Aapne Arz kiya Ay PARWARDIGAARE AALAM Tere Fazl se Koun Seir(itmenaan) ho sakta he..?
Hazrat Ayyub Alayhis Salaam ne 18 Saal Bimaari Aur Takleef me Guzaare the.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-267, 278)

Subhan Allah..
Beshaq,
Ambiya Alayhis Salaam par Bahot Shakht Aazmaaish Hui he..
Aur Ye RABB TA’ALA ki Qudrat he ki Usne Ek Chasme se Hazrat Ayyub Alayhis Salaam ki Saari Bimaari Door Kardi..

>➤ Hazrat Ayyub Alayhis Salaam ki Zovja ki Muskil RABB TA’ALA ne Aashan kardi :
Hazrat Ayyub Alayhis Salaam ne Sarai Azr Aur ALLAH TA’ALA ki Raza Mandi ki Khaatir Apni Zovja(Biwi) se Naaraz ho kar Qasam Uthaa di thi ki Mei Durust ho kar Tumhe 100 Kode Maarunga, Ab Tandurast hone par Qasam ko Pura karna Laazim tha, ALLAH TA’ALA ne Apni Rehmat se Hazrat Ayyub Alayhis Salaam ki Zovja ko Kodiya se Bacha liya,
Kyunki ALLAH TA’ALA ke Nabi Hazrat Ayyub Alayhis Salaam ne bhi Uski Raza ke liye Qasam Uthaayi thi, Lekin Unki Zovja ne bhi RABB ki Raza ke Khaatir hi Apne Shohar ki Us Waqt Khidmat ki Jab Sab loug Chhod Chuke the, Is tarah RABB TA’ALA ne Dono ki Adaa ko Pasand kiya, Na Nabi ko Manaa kiya Aur na unki Zovja ko Kode lagne diye,

ALLAH TA’ALA ne Irshaad Farmaya
“ke Apne Haath me Ek Jhaadu (Sweep) lekar Us se Maar de Aur Kasam na tod Beshak Hamne Ushe Saabir Paaya kya Accha Banda Beshak woh Bahot Ruju’a Karnewala he”
(Surah Saad, Aayat-44)

Hazrat Ayyub Alayhis Salaam ko ALLAH TA’ALA ne Hukm diya ki Aap Sutaliyo wala ek Jhaadu(Sweep) le kar Apni Zovja ko Maar de, Is tarah Aapki Qasam Puri ho jaayegi,

Ye ALLAH TA’ALA ki Shaan-e-Karimi he ki Usne Khud Apne Fazl wa Karam se Hazrat Ayyub Alayhis Salaam ko ye Ijaajat di, warna Koi Aur Insaan Ayshi Qasam Uthaaye to Is Tarah Jhaadu Marne se (Qasam) Puri Nahi hogi Balki Uske liye ye Laazim hoga ki wo Qasam ko Tode Aur Kaffara Adaa kare.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-268)

Yaha Hazrat Ayyub Alayhis Salaam ke Waqiyaat Khatm Hote he…



#Seerat #Sirat #Nooranisafar #Noranisafar #Waqiya #Wakiya #Noorulislam #islam #Hazratayyub #Ayub #Ayyub #Aazmais



Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *