Ahle Arab ke Haalaat

ahle arab

>➤ Arab ke Mazaahib :-
Arab me Islam se pehle Mukhtelaf (Alag Alag) Mazaahib the, Baaz ka Khyaal tha ki Jo Kuchh he Zamana ya Fitrat (Qaanune Qudrat) he, KHUDA koi Chiz Nahi,
Inhi Lougo ki Nisbat Quraane Majeed me he
“Aur ye Loug kehte he ki jo Kuchh he Humaari Duniya ki Zindagi se Hum Marte Aur Jeete he Aur Hum ko Maarta he to Zamana Maarta he”
(Surahtul Jasiya, Aayat-24)

>> Baaz KHUDA ke Qaayal the Lekin Qayaamat Aur Jaza Aur Saza ke Munkir the, Unke Muqaable me Quraane Majeed ne Qayaamat ke Saboot par Is Tarah Istedlaal kiya he
“Kehdo ki Wahi Dobara Zinda karega Jisne Pehli Dafa Peida kiya tha”
(Surah Yaasin, Aayat-79)

>> Unka Khyaal tha ki Agar Koi Paigambar ho Sakta he To Usko Farishta hona Chahiye Jo Haajat e Insaani(Insaani Zaruriyaat) se Munazza(Paak) ho,
“Kehte he ki Kya KHUDA ne Aadmi ko Paigambar Bana kar Bheija he”
(Surah Bani Israail, Aayat-94)

>> Umuman(Aksar) Loug But-Parast the Wo Buto ko KHUDA nahi Samajhte the Balki Kehte the ki But(Murti) KHUDA Tak Pahonch ne ka Zariya he
“Hum Un Buto ko Sirf Is liye Pujte he ki Humko KHUDA se Qareeb karde”
(Surahtul Zumur, Aayat-3)

>> Qabila e Hameer Jo Yaman me Rehta tha Aaftaab-Parast (Suraj ki Puja karta) tha, Kenaana Chaand(Moon) ko Pujte the, Qabile e Bani Tameem Ubraan Ki Ibaadat karta tha, Isi Tarah Qais Setaara E Sheeri ki, Qabila e Asad Otaarid(Mercury) ki Aur Lakhum wa Juzaam Mushtari (Suraj ke Baad Sabse Bada Setaare) ki Parastish(Puja) karte the.
(Seerate Mustafa Jane Rehmat ﷺ, Jild-1, Safa-132,133)

>➤ Arab me But-Parasti ka Rivaaj Aam hona :-
Sabse Bada But(Murti) Habal tha, Jo Ka’ba ki Chhat par Mansub(Rakha) tha, Quraish Ladaaiyo me Usko Pukaarte the, Arab me But-Parasti ka Baani(Shuru Karnewala) Ek Shaksh Amr Bin Lahi tha, Uska Asli Naam Rabiaa Bin Haarsa tha, Arab ka Mashoor Qabila Khiza Usi ki Nasl se he, Amr se Pehle Jarhum Ka’aba ka Mutavalli(Trustee) the, Amr ne Lad kar Jarhum ko Makka se Nikaal diya Aur Khud Haram ka Mutavalli ho gaya, Woh Ek Dafa Sham(Mulke Sham) ke kisi Shahar me gaya, Waha ke Lougo ko But Poojte deikha To Puchha ki Inko Kyu Pujte ho..? Unhone kaha Ye Haajat-rawa (Zarurat Puri Karnewala) he, Ladaaiyo me Fatah(Kaamyaabi) dilata he, Qahat(Sukha) Padhta he to Paani Barsaate he, Amr ne Chand(Kuchh) But Unse le Liye Aur la kar Ka’aba ke Aas-Paas Qaayam kiye, Ka’aba Chunki Arab ka Markaz tha Is liye Tamaam Qabaail(Qabilo) me But-Parasti ka Rivaaj ho gaya, Unme Sabse Qadeem(Purana) But “Manaat” tha, Ye Samandar ke Kinaare Qadir ke Qarib Nasb(Rakha) tha, Madeena Ke Loug Isi par Qurbaani Chadhate the Aur Jab Ka’aba ka Hajj karke Aate the to Ahraam Yahi Utaarte the,

Yaaqut Humvi ne Zikre Makka me likha he ki Arab me But-Parasti ki Aaam Isha’at(Tablig) ki Wajah ye hui ki Qabaail e Arab(Arab ke Qabile) Jo Tamaam Atraaf(Simto/Taraf) se Hajj ko Aate the, Waapas Jate hue Haram ke Pathharo ko Utha leite the Aur Unko Asnaame Ka’aba(Ka’aba ka But/Murti) ki Surat par Taraash(Bana) kar Unki Ibaadat karte the.
(Seerate Mustafa Jane Rehmat ﷺ, Jild-1, Safa-133, 134)

>➤ Aqeeda E Touhid Aur Arab :-
Arab-go(Arab ke Loug) Qariban Sabke Sab But-Parast the Lekin Uske Sath ye Ayteqaad (Yaqeen) Unke Dil se kabhi Nahi gaya ki Asali KHUDA E BARTAR Aur Chiz he Aur Wahi Tamaam Aalam ka Khaaliq he, Is Khaliqe Akbar ko Woh ALLAH kehte the Quraane Majeed me he
“Aur Agar Tum Unse Puchho kisne Banaaye Aasmaan Aur Zameen Aur Kaam me Lagaaye Suraj Aur Chand to Zarur Kahenge ALLAH ne To Kaha Undhe Jate he”
(Surahtul Ankaboot, Aayat-61)

“Fir Jab Kashti me Sawaar hote he ALLAH ko Pukaarte he Ek Usi par Aqeeda la kar Fir Jab Wo Unhe Khushki ki Taraf Bacha lata he Jabhi Shirk karne lagte he”
(Surahtul Ankaboot, Aayat-65)

Quraane Kareem ne 1400 Pehle Jis Haqiqat ka Izhaar kiya he Aaj Tehqeeqaat Aasaare Qadeema bhi Uski Tasdeeq Karti he.
(Seerate Mustafa Jane Rehmat ﷺ, Jild-1, Safa-134,135)

>➤ Arab me Nasraaniyat,Yahudiyat Aur Majusiyat :-
Ye 3no Mazhab Ek Muddat se Arab me Raaij(Jaari) ho Chuke the,

Allama Ibne Qutaiba ne Ma’arif me likha he ki Qabaaile Rabi’aa wa Gesaan Nasraani the, Qaza’a(Qabila e Qaza’a) me bhi Is Mazhab ka Asar Paya jata tha, Nasraaniyat ko Is Qadr Taraqqi (Haasil) ho chuki thi ki Khud Makka e Moazzama me Ayse Loug Moujud the (Masalan Warqa Bin Noufeil) Jo Ibraani Zabaan me Injeel ko Padh Sakte the, Muta’adid (Kayi) Ayse Loug the Jinhone Sham(Mulke Sham) me Ja kar Ta’alim Payi thi,

Madeena E Munawwara me Yahud ne Pura Galba(Qaabu) Pa liya tha Aur Touraat ki Ta’alim ke liye Muta’adid (Kayi) Darsgaahe Qaayam thi Jinko Beitul Madaaris kehte the, Qilla e Kheibar ki Tamaam Aabadi Yahud thi,

Ahle Kitaab ki Riwaayate Makka me Is Qadr Rivaaj pa Chuki thi ki HUZOOR SARWARE QOUNEN Sallallaho Alayhe Wasallam par Jab Quraan Naazil huwa tha Aur Isme Bani Israail ke Waaqiyaat Mazkur(Bayaan) hote the to Kuffar Bad-Gumaani karte the ki koi Yahudi Ya Isaayi Aapko Sikhata he..,

Quraane Kareem me he
“Aur Beishak Hum Jaante he ki Woh kehte he ye to Koi Aadmi Sikhata he”
(Surah Nahal, Aayat-103)

Quraane Kareem me Is Khyaal ka Ibtaal(Radd) kar diya gaya he,

Aur Qabila e Banu Tameem Majusi tha,
(Seerate Mustafa Jane Rehmat ﷺ, Jild-1, Safa-135,136)

>➤ Ahle Arab Aur Mazhabe Haneefi :-
Deene Ibhraahim ki Ummul Usool Touhid Khalis thi, Zamana ke Imtedaad (Khinchaao) Aur Jahaalat ke Andhero se ye Usool Agarche Shirk-Aalud(Shirk me Mubtala) ho gaya tha, Yaha Tak ki Khud Khana e Ka’aba me Buto ki Parastish (Ibaadat) hoti thi, Taaham(Fir bhi Touhid ka Usul) Bilkul Fana Nahi ho Sakta tha, Jo Loug Saahibe Basirat the Unko ye Nazariya Nafrat-Angez(Nafrat ke Qaabil) Ma’alum hota tha ki Insaan Aaqil, Jamad(Bejaan Chizo) ke Saamne Sar Jhukaaye, is Bina par But-Parasti ki Buraai ka Khyaal Bahot ke Dil me Aaya, Lekin Iska Taarikhi Zamana HUZOOR SARWARE KOUNEIN Sallallaho Alayhe Wasallam ki Bee’sat(Risaalat ka Zamaane) se Kuchh hi Pehle Shuru hota he,

Ibne Ishaaq ne likha he ki Ek Dafa kisi But ke Salana Meila me Warqa Bin Noufeil, Abdullah Bin Hajash, Usmaan Bin Huris Aur Zaid Bin Amr Bin Noufeil Shareek the, In Lougo ke Dil me Daf’atan(Achaanak) ye Khyaal Aaya ki Ye Kya Beihuda-Pan he ki Hum ek Patther ke Saamne Sar Jhukate he Jo Na Sunta, Na Deikhta he, Na kisi ko Nukshan kar Sakta he Aur Na kisi ko Faayda Pahoncha Sakta he, Ye 4ro Quraish ke Khandaan se the,

Zaid Deene Ibhraahimi ki Talaash me Sham(Mulke Sham) gaye, Waha Yahud Aur Isaayi Paadariyo se Mile, Lekin Kisi se Tasalli Nahi hui Isliye Is Ijmaali Ayteqaad(Achhe Yaqeen) par Iktefa Kiya ki “Mai Ibhraahim ka Mazhab Qabool karta hu”

Ahle Arab Ladkiyo ko Zinda Dafn kar deite the, Zaid hi Pehle Shaksh he Jinhone Is Rasm ki Mumaanat(Rok-Tok) ki, Jab Koi Shaksh Aysa Iraada karta To woh Ja kar Us Ladki ko Maang leite Aur Khud Uski Parwarish karte,

Usi Zamaane ke Qareeb Umayya Bin Abi Salt ne jo Taaif ka Raees Aur Mashoor Shayar tha, But-Parasti ki Mukhaalifat ki, Umayya ne Zamaana e Jaahiliyat me Aasmaani Kitaabe Padhi thi Aur But-Parasti Chhod kar Deene Ibhraahimi Ikhteyaar kar liya tha,

Ye Amr(Kaam) Aksar Riwaayato se Saabit he ki Arab Aur Khususan Makka Aur Madeena me Muta’adid (Kayi) Loug But-Parasti ke Munkir ho gaye the Aur Millate Ibhraahimi (Deene Ibhraahimi) ki Justaju(Talaash) me the, Ye Is liye ki Mujaddid E Millate Ibhraahimi(Ya’ani HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam) ke Zahoor ka Waqt Qareeb Aa gaya tha.
(Seerate Mustafa Jane Rehmat ﷺ, Jild-1, Safa-136-138)

>➤ Arab Mazaahib me Be-Ahtedaliya :-
Jeisa ki (Aage) Bayan huwa Arab me Tamaam Mashoor Mazaahib the, Yahudiyat bhi, Nasraaniyat bhi, Majusiyat bhi, Haneefiyat bhi Aur ilhaad(Kufr) bhi,

Buto par Aadmiyo ki Qurbaani Chadhayi Jati thi, Baap ki Mankuha (Zouja/Bivi) Beite ko Wiraasat me milti thi, Haqeeqi Behno se Ek Sath Shadi Jaiz thi, Azwaaj (Biviyo) ki koi Hadd Na thi, Qemaar-Baazi(Juwa), Sharab-Khori, Zina-kari ka Rivaaj Aam tha, Be-Hayaai ki ye Haalat ki Sabse Bada Namur Shayar Umro Qais jo Shahzada bhi tha, Qasida me Apni Fufizad Bahen ke Sath Apni Badkaari ka Qissa Maze le le kar Bayan karta he Aur Ye Qasida Ka’aba par Aaaviza(Latka) Kiya jata he,

Ladaaiyo me Lougo ko Zinda Jala deina, Musturaat(Aurato) ka Peit Chak(Chir) kar Daalna Aur Be-kashur Baccho ko Maarna Umuman Jaiz Samjha jata tha,

Ye Haalat Sirf Arab ke Sath Makhsus (Khas) Na thi, Balki Puri Duniya me Yahi Taarikhi(Andhera) Chhayi hui thi,
(Seerate Mustafa Jane Rehmat ﷺ, Jild-1, Safa-138,139)

Kya Is Zulmat ko Mitaane ke liye Ek Aaftaab ki Zarurat Na thi..??
Bus Usi Aaftaab ko HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam Kaha jata he..

>➤ Ahle Arab ki Quwwate Haafeza
(Yaad-Daasht/Yaad Rakhne ki Taaqat) :-
Fahm wa Farasat ki Ne’amat ke Alawa ALLAH TA’ALA ne Ahle Arab ko Be-Panah Quwwate Haafeza Arzani Farmayi thi, Agarche wo Likhne Aur Padhne se Aadi the, Lekin Apni Yad-dash ke Bal Bute par Unhone Apni Jango Aur Digar Aham Waaqiyaat ki Tafsilaat(Waazeh Bayan) ko Mahfuz Rakha,

Woh Sirf Apne Silsila e Nasab (Khandaani Silsila) se hi Puri Tarah Ba-Khabar Na the, Balki Apne Ghoudo(Horse) ke Naam Aur Unke Nasab Naamo ko Puri Tarah Jante the, Jo Ghoda Maidaane Jang me Geir-Ma’muli, Suja’at (Bahaduri) Aur Kaar-kardgi(Kaam ki Khubi) ka Muzaahira(Izhaar) karta Uske Nasab se Wo Puri Tarah Waaqif rehte the,

Unke Tehwaro me jo Adabi Mehfile Muna’aqid hoti thi Jinme Door-Daraaz se Aaye hue Fush’haa wa Balga’a Apne Qaseede Sunaate Ya Apne Khitaab se Lougo ke Dilo ko Mouh leite, Soonne Wale Ek Baar Soonne se Woh Pura Qaseeda Aur Pura Khutba Azbar(Hifz/Yaad) kar leite, Fir Woh Is se Aage Riwaayat karte rehte,

Har Shayar ka Ek Ravayya huwa karta Jis ka Kaam ye tha ki Shayar ki Zubaan se Nikalne wala Har Sheir Woh Yaad kar leita,

Unke Ha Shahad(Honey) ke 80 Naam he, Saanp ke 200, Sheir ke 500, Unt ke 1000, Talvaar ke bhi 1000 Aur Aalam wa Masaaib(Bahot Zyada Musibate Aur Pareshaniyo) ki Ta’abir ke liye 4000 Alfaaz he,

In Tamaam Asma’a(Naam) ko Yaad kar leina Qawi Haafza (Mazbut Yaad-Daasht) ke Bageir Mumkin Nahi, Ahle Arab ko Qudrat ne jo Zehaanat(Samajhdaari) Aur Quwwate Haafza Ataa Farmaayi thi Iska Inkaar Mumkin Nahi.
(Seerate Mustafa Jane Rehmat ﷺ, Jild-1, Safa-142,143)

Subhan Allah…

>➤ Arab me Shadi Biya ke Tariqe :-
Shareef Qabaail(Qabeelo) me to Shaadi-Biyaah ka Yahi Tareeqa tha Jisko Islaam ne bhi Jaiz Qarar diya ki Ladke ke Varsa Ladki ke Paas Jate Aur Unse Rishte ki Darkhwaast karte Aur Agar Woh Unki Is Darkhwaast ko Qabool karte to Ladke ke Rishtedaar Azhad Mamnun (Behad Ahesaan-Mand) Wa Shukr Guzaar hote, Ladki ka Mahar Muqarrar kiya Jata Majlis Nikaah Munaqqid hoti Aur Ladki ke Waalidein (Maa-Baap) Neik Tamannao ke Sath Apni Ladki ko Rukhsat karte,
Lekin Is Nikaah ke Alaawa Rishta e Zoujiyat(Nikaah) ke Ineqaad ke Aur bhi Muta’adid (Kayi) Tareeqe Raaij the, Iski Mukhtelaf Surate thi..

1) Mankuha Aurat(Bivi) Jab Ayyame Haiz(Haiz ke Dino) se Faarig hoti to Uska Khaawand (Shohar) Kisi Shuja’a(Bahadur) Ya Shakhi Aadmi ki Taraf Usko Bheijta Aur Usko Ijaazat deita ki Uske Sath Hum-Bistari kare Aur Us se Uska Maqshad ye hota ki Ek Naamur Aadmi ke Nutfe se Uski Bivi ke Shikam se jo Baccha Peida hoga woh bhi Naamur(Brilliant) hoga Aur Usko Ek Naamur Beite ka Baap Banne ka Ayzaaz Haasil ho Jayega, Ye Surate Haal Dar-Haqiqat Nikaah ki Nahi, Lekin Ahle Arab Isko Nikaah se Ta’abir karte the,

2) Dusra Tareeqa ye tha ki 8-9 Aadmi Ek Aurat ke Paas Ekhatthe hote Aur Uski Raza se Uske Sath Moqaarebat(Milan) karte, Agar Is Moqaarebat se Hamal Thehar jata To Jab Baccha Peida hota to Chand Roz(Din) Baad Un 8-9 Aadmiyo ko Aurat Bula Bheijti thi, Unme se kisi ki Majaal na hoti ki woh Aane se Inkaar kare, Jab woh Uske Paas Ekatthe ho jate to Woh Kehti ki Jo Kuchh Tumne kiya Use Tum Jante hi ho, Us Fe’al(kaam) se Meire Ha Baccha Peida huwa he, Fir Unme se Jiska Naam Chahti (Naam) le kar kehti ki ye Teira Baccha he, Us Aadmi ki Majaal Na hoti ki Woh Inkaar kare, Us Bacche ko Us Aadmi ki Nasl se Mulhaq(Jod) kar diya jata, Ye Us Waqt hota Jab Paida hone Wala Beita hota Aur Agar Beiti Peida hoti to Fir Woh Na Unko Bulaati Na kisi ki Nisbat karti, Kyuki Use Ilm hota ki Ahle Arab Bacchiyo ko Azhad(Behad) Na Pasand karte he Aur Baaz Apni Jaiz Bacchiyo ko Zinda Dargour karne se Baaz Nahi Aate, Ayse Mu’aashre (Insaani Maahol) me Ek Na-Jaiz Bacchi ka Boujh Uthane ke liye kon Taiyyar hoga, Is liye Woh Khamosh Rehti,

3) Ek Tareeqa ye bhi Tha ki Badkaar Aurate Apne Makaano ke Upar Jhande Lehrati, Har Shaksh ke liye Roz wa Shab(Raat Aur Din) Unke Darwaaze khule rehte Aur Badkaari ka Karobaar Jari rehta, Agar Koi Baccha Peida hota to Fir Qeyafa Shanaas(Shaklo-Surat ki Pehchaan rakhne Wale) ko Bulaya jata Aur Jiski Taraf Woh Uske Nasab ki Nisbat kar deita Uska Woh Farzand(Beita) Qarar Pata,

4) Poshida Nikaah :- Aysi Badkaari jo Lougo ki Aankho se Ujhal(Chhipi) ho Woh Buri Nahi Samajhi Jati thi, Lekin Aysi Badkaari ziska Aam Charcha huwa Aur Khulam-Khula huwa Usko Aiyb Aur Kamingi Samjha jata tha,

5) Nikaahe Muta’a :- Iska bhi Aam Rivaaj tha, Isme Gawaavo ke Bageir Aurat Aur Mard Muqarrar Waqt ke liye Muayyana(Taiy kiye gaye) Maal ke Evaz(Badle) Biyaah kar leite the Aur Miya-Bivi ki Heishiyat se Zindagi Basar karte the,

6) Nikaahe Badal :- Unke Ha Ye Tareeqa bhi tha ki 2 Mard Aapas me Ye Taiy kar leite, Ek Dusre ko kehta ki Tu Apni Aurat ko Meire Paas Bheij de Mai Apni Bivi ko Tumhaare Paas Bheij Dunga,

7) Nikaahe Shegaar :- Ek Aadmi Apni Ladki ka Biyaah kisi Mard ke Sath kar deita, Is Shart par ki Woh Mard Apni Beiti Ya Bahan Uske Nikaah me de deiga Aur Dono Apni Biviyo ko Maher Wageira Ada Nahi karenge,

Ye Chand Tareeqe the Jo Unme Muravvaj(Ja’ari) the Aur Jis par Kisi ko koi bhi Mihtam(Pareishan) Nahi Karta tha.
(Seerate Mustafa Jane Rehmat ﷺ, Jild-1, Safa-155-157)

>➤ Bacchiyo ko Zinda Dafna deina :-
Ek Intehaai Zaalimana Aur Sang-Dilana(Be-Raham) Rasm Arabo me Raaij thi Aur Jisko Baaise Izz wa Sharf (Izzat wa Buzurgi) Samjha jata tha, Woh “Wa’adul Banaat” ki Rasm thi Ya’ani Jab kisi ke Ha Bacchi Peida hoti to Unke Ha Saffe Maatam (Maatam ki Line) Bichh Jati Aur Jab Woh Chand Saal ki ho Jati To Baap Usko Behtareen Kapde Pehnata, Muziyyan wa Aaarasta(Taiyyar-Sajha) karke Jangal me le jata, Apne Haatho se Ek Gehra Gad-dha Khoudta fir Usme Dhakka de kar Us Bacchi ko Feink deita Aur Us par Mitti Daal kar Us Gad-dhe ko Bhar deita, Woh Bechari Chinkhti-Chillati, Ruhjati, Lekin Us Sang-Dil(Patther Dil) Wa Saffak(Be-Raham) Baap par Zara Asar Na Hota,

Beitiyo ko Zinda Dargour(Dafn) karne ki ye Qabeeh(Buri) Rasm Taqriban Arab ke Tamaam Qabaail (Qabeelo) me Kam wa Beish(Thodi Bahot) Raaij thi, Lekin Banu Tameem me Iska Revaaj Bahot Zyada tha,

Islaam ne Is Zaalimana Rasme-Bad ki Mukhaalifat ki Aur Baccho ki Peidaish wa Parwarish par Sawaab wa Jannat ka Mus-da diya Aur Loug Ju Ju Islaam Aur NABI E REHMAT Sallallaho Alayhe Wasallam ke Qareeb Aate gaye, Maraasim Jaahiliyat(Jahaalat se Bhari Rasmo) se Beizaari Badhti gayi Aur Islaam ke Daamane Rehmat me Loug Aafiyat (Salaamati) Mehsus karne lage, Jo Loug Islaam se Pehle Mujassam Khudaao ke Saamne Sar Teka karte the Woh KHUDA e WAAHID ke Parastaar Ban gaye.
(Seerate Mustafa Jane Rehmat ﷺ, Jild-1, Safa-158-160)

ALLAHU AKBER..

>➤ Arab me Aulaade Hazrate Ismaail Alayhis Salaam :-
Hazrate Ismaail Alayhis Salaam ke 12 Beite hue Aur Inki Aulaad me KHUDA WANDE QUDDUS ne Is Qadar Barkat Ataa Farmaayi ki Woh Bahot Jald Tamaam Arab me Feil gaye Yaha Tak ki Magrib(West/Pachhim) me Misr ke Qareeb Tak Inki Aabaadiya Ja Pahonchi Aur Junub(South) ki Taraf Inke Kheime Yaman Tak Pahonch gaye Aur Shomaal(North/Uttar) ki Taraf Inki Bastiya Mulke Shaam me Ja Mili, Hazrate Ismaail Alayhis Salaam ke Ek Farzand Jinka Naam “Qeidaar” tha Bahot hi Naamwar hue Aur Inki Aulaad Khaas Makka me Aabad rahi Aur Yeh Loug Apne Baap ki Tarah Hameisha Ka’ba e Muazzamma ki Khidmat karte rahe Jisko Duniya me Touhid ki Sab se Pehli Darshgaah hone ka Sharf Haasil he,

Inhi Qeidaar ki Aulaad me “Adnaan” Naami Nihaayat Ulul Azm Shaksh Peida hue Aur Adnaan ki Aulaad me Chand Pushto ke Baad “Qasi” Bahot hi Jaaho Jalaal Wale Shaksh Peida hue Jinhone Makka e Mukarrama me Mushtarika Hukumat ki Buniyaad Par San 440 Isvi-san me Ek Saltanat Qaayam ki Aur Ek Qoumi Majlis(Parliament) Banaai Jo “Daarunnadwa” ke Naam se Mashoor he Aur Apna Ek Qoumi Jhanda Banaya Jisko “Livaa” kehte the Aur Mandarja-Zeil 4 Ohde Qaayam kiye, Jinki Zimmedaari 4 Qabilo ko Sonp di,
1) Rifaadah, 2) Saqaayah, 3) Hijaabah, 4) Qiyaadah,

“Qasi” ke Baad Inke Farzand “Abde Manaaf” Apne Baap ke Janashin hue Fir Inke Farzand “Haashim” Fir Inke Farzand “Abdul Muttalib” Yake Baad Digare(Ek ke Baad) Ek Dusre ke Janashin hote rahe, Inhi Abdul Muttalib ke Farzand Hazrate Abdullah he, Jinke Farzande Arjumand Humaare HUZOOR RAHMATULLIL AALAMIN Sallallaho Ta’ala Alayhe Wasallam he, Jinki Muqaddas Seerate Paak Likhne ka KHUDA WANDE AALAM ne Apne Fazl se Hum ko Sharf Ataa Farmaaya he.
(Seerate MUSTAFA ﷺ, (Hazrat Abdul Mustafa Aazmi Rahmatullahe Alay), Safa-44,45)

>➤ Zamzam ka Suraakh :-
Banu Jarhum Ko Banu Khaza’a ne Jab Makka se Jalawatan(Watan se Nikala) Kiya to Unhone Beitullah Shareef ke Andar Sone(Gold) ke Jo 2 Hiran Aaaviza(Latkaye) the Aur Talwaare, Zar(Gold) Aur Digar Qeemti Saamaan Woh Sab Zamzam ke Kunwe(Well) me Feinka Fir Usko Mitti se Bhar diya, Taaki Banu Khaza’a Wageira Unse Faayda Na Utha Sake, Chunanche Senkado Saal Zamzam Bandh Padha raha Hatta ki Lougo ke Zeheno se Uski Yaad Aur Uski Ahemiyat Mahv(Mit) ho gayi, Loug Makka ke Dusre Kunwe se Apni Zaruriyaat Puri Karne Lage,

Imaam Abul Qaasim Sahili “الروض الانف” me likhte he ki
Banu Jarhum ki Badkaariyo ke Natije me Zamzam ka Paani Khushk (Sukh) ho gaya tha Aur Is Ne’amat se ALLAH TA’ALA ne Unhe Mehrum kar diya tha,
Ek Rouz Abdul Muttalib Hateem me So rahe the, Kisi ne Khwaab me Aaakar Kaha “احفر طيبه”… Taiba ko Khoudo, Unhone Puchha ‘طيبه’ Kya he…?? To Kehne Wala Gaayab ho gaya, Dusri Raat Fir Jab Woh Apne Bistar par Aakar Leite, Aankh lagi to Us Shaksh ne fir Kaha “احفر بره”.. Barrah ko Khoudo, Aapne Puchha ‘بره’ kya he…?? To Fir Woh Gaayab ho gaya, Tisri Raat fir Khwaab me Aaawaz Aayi “احفر مضنونه”.. Maznunah ko Khoudo, Aapne Puchha ‘مضمونه’ Kya he…?? Woh Fir Gaayab ho gaya, Jab Chothi Raat Aayi Aur Woh Apni Khwaab-Gaah me Aaram karne ke liye Leite, To Aankh Lagte hi Aawaaz Aayi “احفر زمزم”… Zamzam Khoudo, Aapne Puchha ‘زمزم’ kya he…?? Aaj Us Shaksh ne Tafseelaat Bataate hue Kaha
Zamzam Teire Pedar Naamur (Baap) ki Meeraas(Jaagir,Warsa) he, Ye Chashma Na Uska Paani Khatm hota he Aur Na Uski Marammat ki Jati he Us se Hajjaj Kiraam ko Seiraab Kiya Jata he, Ye Goubar Aur Khun ke Darmiyaan me he, Jaha Kala Kawwa Chonche Maar raha he, Chintiyo ki Basti ke Bilqul Qareeb,
Jab Tafseelaat ka Ilm ho gaya To Dusre Roz(Din) Aap Apne Beite Haaris(Us Waqt Unka Yahi Ek Beita Tha) ke Hamraah Kodaal(Zameen Khoudne ka Auzaar) le kar Aagaye, Asaaf Aur Naamela ke Darmiyaan Jaha Mushrikeen Buto ke liye Qurbaani ke Jaanwar Zabah kiya karte the, Waha Pahonche, Deikha Waha Ek Siyaah (Kala) Rang ka Kawwa Chonche Maar raha he, Khudaai Shuru kardi, Yaha Tak ki Woh Ek Aysi Teh Tak Pahonch gaye Jis se Kaamyaabi ke Imkaanaat(Mumkin hone ki Suratehaal) Roushan ho gaye, Aapne Farte Musarrat (Zyada Khushi) se ALLAHU AKBER ka Na’ara Buland kiya.
(Seerate Mustafa Jane Rehmat ﷺ, Jild-1, Safa-188-189)

Subhan Allah..

>➤ Zamzam ke Kunwe ko Khoudne me Zhagda Aur Hazrat Abdul Muttalib ki Karaamat :-
Quraish ne Ibtedaa me to Is Kaavish(Khouj) ko Saee La Haasil(Na Hasil hoga) Samajhte hue Koi Parwaah Na ki, Lekin Jab Kaamyaabiyo ke Aaasar Numaya hone Lage To Unhone Muta’alba Shuru kar diya ki Chah Zamzam Hum Sab ke Baap ka Kunwa he Is liye Hume bhi Iske Khoud ne me Shareek karo, Aapne(Hazrat Abdul Muttalib ne) Saaf Inkaar kar diya Aur Farmaya Ye Ina’am ALLAH TA’ALA ne Sirf Mujh par kiya he, Isme Kisi ki Shirkat (Hissedaari) Mai Manzur Nahi Karunga, Unhone Kaha Hum Aap ko Iske Khoud ne ki Ijaazat Nahi deinge, Jab Jhagda Zyada Badha to Ye Tai Paya ki Dono Fareeq (Giroh) kisi ko Apna Saalis(Feishla Karne wala) Muqarrar karle Jo Feisla Woh de Us par Sab Amal karenge, Jang Aur Khun-Rezi se Bachne ki Yahi Ek Surat thi,

Chunanche Bani Sa’ad Bin Hazeem ki Kaahin ko Hukm Muqarrar kiya gaya, Fareeqein Apne Apne Humraahiyo ke Sath Uski Taraf Rawana Hue, Bani Sa’ad ka Qabeela Sham ki Sarhad ke Qareeb Rahaaish-Pazeed(Thehra Huwa) tha, Raaste me Chatiyal Meidaan(Jaha Pani wa Saya Na ho) Aur Be-Aaab wa Giyaah(Bina Pani wa Sabze) Sahraav(Registaan) se Guzarna Padhta tha, Asnaae Safar(Safar ke Darmiyaan) Hazrat Abdul Muttalib ke Paani ka Zakhira(Jama Pani) Khatm ho gaya, Unhone Dusre Fareeq se Paani Talab kiya, Unhone Saaf Inkaar kar diya Aur Ye Loug Shiddat e Pyaas se Nidhal(Kamzor) hote ja rahe the, Mout Saamne Nazar Aane lagi thi, Hazrat Abdul Muttalib ne Saathiyo se Mashwara karke Ye Taiy kiya ki Sab Loug Apni Apni Qabr ka Ghadha Khoude, Jab Koi Dum Tod de to Use Uske Ghadhe me Dafan kar diya jaaye Aakhir me Jo Aadmi Rah Jaayega Agar Usko Kisine Dafan Na kiya to Koi Harj Nahi, Bajaaye Iske ki Sabki Laashe Be Gour(Qabr) wa Kafan Padhi rahe Is se Behtar ye he ki Aakhri Aadmi Tajhiz(Taiyyari) wa Takfeen(Kafan se Dafn) se Mehrum rah jaaye, Chunanche Har Ek ne Apni Apni Qabr ka Ghadha Taiyyar kar liya Aur Mout ka Intezaar karne lage, Hazrat Abdul Muttalib ne Fir kaha Yu Hath par Hath Dhare Beithe rehna Aur Mout ka Intezaar karna koi Jawa-Mardi Nahi, Utho Jab Tak Jism me Jaan he, Qadam Aage Badhate he, Mumkin he ALLAH TA’ALA Humaare Bachne ka Koi Saamaan Muhayya(Taiyyar) Farma de, Chunanche Sabne Apne Unto (Camel) par kajaave kase Aur Un par Sawaar ho gaye, Jab Hazrat Abdul Muttalib ne Apna Unt Uthaya to Uske Paaun(Peir) ke Niche se Chasma Ubal Padha, Paani Thanda bhi Tha Aur Meetha bhi, Sabne Khub Seir ho kar Peeya Aur Apne Mashkize bhi Bhar liye, Aapne Apne Saathiyo ko Farmaya ki Dusre Fareeq ko bhi Kaho, Woh bhi Is Chasme se Ji Bhar kar Paani Pee le Aur Apne Bartan bhar le, Baaz Dosto ne Is par Apni Na-Gawaari ka Izhaar kiya ki Jab Hum ne Unse Paani Manga to Unhone Inkaar kar diya, Ab Hum Unhe Apne Paani se Peene ki Ijaazat kyu de…, Hazrat Abdul Muttalib ne Farmaya Agar Hum bhi Aysa hi Kare to Fir Hum me Aur Unme Kya Farq Baaqi rah jaayega, Aapne Apne Made Muqaabil Fareeq ko Da’waat di ke Woh Aaye Aur Is Chasme se Apni Pyaas Bhujaaye,
Jab Fareeqe Saani(Dusre Giroh) ne Aap ki ye Karaamat deikhi To Kaha Abdul Muttalib Ab Aage Jane ki Zarurat Nahi, ALLAH TA’ALA ne Feisla Farma diya, Jab Usne Is Laq wa Daq Shahra(Registaan) me Tumhaare Unt ke Paaun(Peir) ki Thokar se Chasma Jari kar diya he to Zamzam bhi Sirf Tumhaara he, Hum Isme Hissa-Dari ka Da’waa Waapas leite he, Chunanche (Dono) Giroh Waapas Aagaye,
(Seerate Mustafa Jane Rehmat ﷺ, Jild-1, Safa-189-190)

Subhan Allah…

>➤ Hazrat Abdul Muttalib ki Shan wa Shokat :-
Hazrat Abdul Muttalib ne Khudaai Mukammal ki, Sone(Gold) ke 2 Hiran, Qeemti Talwaare Aur Zar(Gold), bhi Baraamad ho gaye, Qoum ne Un Chizo se Hisse ka Muta’alba Shuru kar diya, Jhagde ne Fir Sangeen Surat Ikhteyaar karli, Aapne Kaha Aao Ba-Zariya e Faal Iska Feisla Kare, Faal ki Ye Surat Tajwiz hui ki 2 Hisse Ka’aba ke, 2 Hisse Abdul Muttalib ke Aur 2 Hisse Baaqi Qoum ke, Qur’aa-Andaazi(Teer Feinkna) ki gayi To Ka’aba ke Hiss ke 2 Teer Do Do Hirno par, Hazrat Abdul Muttalib ke 2 Teer Talwaaro Aur Zarho par Padhe Aur Qoum ke 2 Teer Khali Nikle, Aapne Sone(Gold) ke Hirano ko Gala kar Sone ke Patar Banwaaye Aur Ka’aba Shareef ke Darwaaze par Mundh(Laga) diye, Baaz Riwaayaat me he ki Woh 2 Mindhe rakh diye gaye Jo Baad me Chori ho gaye,

Abdul Muttalib Apne Azeemus-Shan Kaarnamo, Apne Be-Misl Jud(Shakhawat) wa Ataa, Apni Buland Himmat Aur Khsaaile Hameeda(Neik Aadato) ke Baais Saari Qoum ki Aankho ke Taare, Saare Arab ke liye Wajahe Naazish(Naaz) the, Ek Jaleelul Qadr Baap ke Beite the, Tarikhe Aalam ka Rukh Feir deine ki Salaahiyato se Maala-Maal Das(10) Beito ke Baap the, Ek Roz(Din) Aap Hateem me Tashreef Farma the Aapke Das(10) Beite Sheiro ki Tarah Aapke Gird(Aage-Pichhe) Halqa(Gheraao) Banaaye Beithe the ki Ek A’arabi Waha Se Guzra, Ye Manzar deikh kar Be-Shakhta Uski Zabaan se Nikla
“اذا احب الله انشاء دولة خلق له امثال ھو لاء”
ALLAH TA’ALA Jab Koi Mamlokat (Saltanat) Banana Pasand Karta he To Uske Qeyaam(Qayam karne) ke liye Is Qism ke Jawaan Mard Peida Farma diya karta he.
(Seerate Mustafa Jane Rehmat ﷺ, Jild-1, Safa-191)

#Seerat #Sirat #Nooranisafar #Noranisafar #Waqiya #Wakiya #Noorulislam #islam #ahle_arab #zinda_dafnana #zamzam #wellofzamzam #abdulmuttalib #ashabefeel #abhraha #ababil #abaabil #quraish #kuresh #hasim #hashim

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *