Nazre Bad

➤ Kya Kisi ko Nazar Lag Sakti he….??

Hazrat Saiyyadna Ya’aqub Alayhis Salaam ke 10 Beite Bahot Khubsurat Aur Bahot Ba-Kamaal the, Misr ke 4 Darwaaje the, Jab 10 Beite Misr Rawana hone lage to Aap Alayhis Salaam ko Ye Khadsha(Fikr) huwa ki Agar 10 ke 10 Ek Darwaaje se Daakhil huwe to In par Deikhne Waalo ki Nazar Lag Jaayegi Is liye Irshaad Farmaaya
“Ay Meire Beito Ek Darwaaje se Na Daakhil hona Aur Juda Juda Darwaajo se Jana”
(Surah Yusuf, Aayat-67)

Haakimul Ummat Hazrat Mufti Ahmad Yaar Khan Rahmatullahe Alay Is Aayat ke Tehat Likhte he
Is se Ma’alum huwa ki Nazar Haqq he Aur Is me Asar he, Ye bhi Ma’alum huwa ki Nazre Bad se Bachne ki Tadbir (Tariqe) Karna Sunnate Paigambar he.
(Nurool Irfaan, Safa-387)

Sadrul Afaazil Hazrate Allama Saiyyad Mohammad Naeemuddin Muradabadi Rahmatullahe Alay Is Aayat ke Tahat likhte he
Taaki Nazre Bad se Mehfuz raho, Bukhaari wa Muslim ki Hadees me he ki Nazar Haqq he, Pahli Martaba Hazrate Ya’aqub Alayhis Salaam ne ye Nahi Farmaaya tha Is liye ki Us Waqt Tak Koi Ye Na Janta tha ki Ye Sab Bhai Aur Ek Baap Ki Awlaad he lekin Ab Chunki Jaan Chuke the Is liye Nazar ho Jaane ka Ahtemaal (Mumkin) tha, Is Waaste Aapne Alaaiheda Alaaiheda (Alag Alag) ho kar Daakhil hone ka Hukm diya, Is se Ma’alum huwa ki Aafato Aur Musibato se Dafa(Door karne) ki Tadbir (Tariqe) Aur Munaasib Ehtiyaate Ambiya Alayhis Salaam ka Tarika he Aur Iske Sath hi Aap Ne Amr(Muaamla) ALLAH ko Tafwiz (Hawaale) Kar diya ki Ba-Wajud Ehtiyaato ke Tawakkul wa Aytemaad (Yaqeen) ALLAH par he Apni Tadbir(Tariqe) par Bharosha Nahi.
(Khazaainul Irfaan, Safa-654)
(Bad-Shuguni, Safa-87,88)

Insaani Jism Aur Digar Ishya’a(Chizo) ko Nazar Lagna, Is se Bachne ki Tadaabir (Tariqe) Karna, Iska Ilaaj karna Shar’an Saabit he Lekin Yaad rahe kisi ki Nazar Lagna Aur Chiz he Aur Kisi ko Manhus Samajhna Aur Chiz,

➤ HUZOOR REHMATE DO AALAM Sallallaho Alayhe Wasallam ko Nazar Lagaane ki Koshish Nakaam Rahi :-

Quraane Paak me he ki
“Aur Zarur Kaafir to Ayse Ma’alum hote he ki Goya Apni Bad-Nazar Laga kar Tumhe Gira deinge Jab Quraan Soonte he Aur Kahte he ye Zarur Aql se Door he”
(Surah Qalam, Aayat-51)

Sadrul Afaazil Hazrate Allama Saiyyad Mohammad Naeemuddin Muradabadi Rahmatullahe Alay Is Aayat ke Tehat Likhte he
Manqul he ki Arab me Baaz Loug Nazar Lagaane me Shohraaye Aafaaq (Mashoor) the Aur Unki Ye Haalat thi ki Da’waa karke Nazar lagaate the Aur Jis Chiz ko Unhone Guzand(Nuksaan) Pahonchane ke Iraade se deikha, Deikhte hi Halaak(Barbaad) ho gayi, Ayse Bahot Waaqiyaat Unke Tajreba (Experience) me Aa Chuke the, Kuffar ne Unse kaha ki RASOOL KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ko Nazar Lagaaye To Un Lougo ne HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ko Badi Teiz Nigaaho se deikha Aur Kaha Ki Hum ne Ab tak Na Aysa Aadmi deikha Na Aysi Daleele deikhi Aur Unka kisi Chiz ka deikh kar Heirat karna hi Sitam(Zulm) hota tha Lekin Unki Ye Tamaam Jiddo-Jehad (Mahenat Wa Mashaqqat) bhi Misl Unke Aur Makaaid (Buri Chaalo) ke jo Raat Din Woh karte rehte the Bekaar gayi Aur ALLAH TA’ALA ne Apne NABI Sallallaho Alayhe Wasallam Ko Unke Shar se Mehfuz Rakha Aur ye Aayat Naazil Hui,
Hazrate Hasan RadiAllaho Ta’ala Anho ne Farmaaya Jisko Nazar Lage Us par ye Aayat Padh kar Dam kardi jaaye.
(Khazaainul Irfaan, Safa-1048)

Haakimul Ummat Hazrat Ahmad Yaar Khan Rahmatullah Alay Farmaate he
Arab me Baaz Loug Nazre-Bad lagaane me Mashoor the Agar Woh Bhuke ho kar kisi ko Tez Nigaaho se deikh kar kehte ki “Aysa Humne Aaj tak Na deikha, Kya hi Accha he..” To Woh Aadmi Ya Jaanwar Fouran Halaak(Barbaad/Mout) ho jata, Kuffare Makka Bahot Laalach de kar Inhe Laaye, Ye Hasbe Aadat (Aadat ke Muta’abiq) 3 Din Bhuke rahe Fir HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ki Khidmat me Haazir huwe Jab ki HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam Tilaawate Quraan Farma rahe the Unhone Baar Baar yehi Kaha Magar ALLAH TA’ALA Ne HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ko Unki Nazre Bad se Mehfuz rakha, Is par Aayat Aayi,
Ma’alum huwa ki Bad-Niyyati se HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam Ka Chehra e Anwar deikhna Kufr he, Ayteqaad(Yaqeen) se Rukhe Anwar(Chehra E Anwar) ki Ziyaarat Sahaabi Bana deiti he, Yahi Haal Quraan Shareef ka he, Bad–Niyyati se Iska Padhna Kufr he, Neik Niyyat se Padhna Ibaadat,
Is se 2 Masle Ma’alum huwe Ek Ye ki Nazre-Bad Haqq he, Dusre Ye ki RASOOLALLAH Sallallaho Alayhe Wasallam RABB TA’ALA ke Ayse Mahboob he ki RABB TA’ALA Inhe Nazre-Bad se Bachata he Kyuki Kuffar ne Un Lougo se Nazre-Bad Lagaane ko kaha tha Jin ki Buri Nazar Lougo ko Halaak kar deiti thi, ALLAH TA’ALA ne Apne HABEEB Sallallaho Alayhe Wasallam ko Unke Shar se Mehfuz Rakha, Ye Aayat Nazre-Bad se Bachne ke liye Aksir(Mufid/Fayde-Mand) he.
(Noorul Irfaan, Safa-971)
(Bad-Shuguni, Safa-89-91)

Lehaaza Jo Musalmaan Bhai Nazre-Bad ka Shikaar huwe ho Wo Is Aayate Kareema ka Damm kare In sha Allah Jald Shifaa Milegi..

➤ Nazar Haqq he :-

HUZOOR NABI KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ne Irshaad Farmaaya Nazar Haqq he, Agar Koi Chiz Taqdeer se Badh Sakti to Is par Nazar Badh Jaati Aur Jab Tum Dhulwaaye Jaao to Dho do,
(Muslim Shareef, Kitaabul Salaam, Safa-1202)

Haakimul Ummat Hazrat Ahmad Yaar Khan Rahmatullahe Alay Is Hadeese Paak ke Tehat Wazaahat Farmaate huwe likhte he
»» Nazre Bad ka Asar Bar-Haqq he Is se Manzur (Jise Nazar Lagi Us) ko Nuksaan Pahonch Jata he,
»» Nazar ka Asar Is Qadar Shakht he ki Agar Koi Chiz Taqdeer ka Mukaabla kar Sakti to Nazre-Bad kar leiti ki Taqdeer me Aaraam Likha ho Magar ye Taklif Pahoncha Deiti Magar Chunki Koi Chiz Taqdeer ka Mukaabla Nahi kar Sakti Is liye ye Nazre-Bad bhi Taqdeer Nahi Palat Sakti,
»» Agar Kisi Nazre huwe (Jisko Nazar lagi ho Us) ko Tum par Shubah(Shak) ho ki Tumhaari Nazar Use Lagi he Aur Woh Dafa e Nazar(Nazar Utaarne) ke liye Tumhaare Haath-Peir Dhulwa kar Apne par Chhinta Maarna Chaahe to Tum Bura Na Maano Balki Fouran Apne Ye Aa’za(Hissa) Dho kar Use de do, Nazar Lag Jana Ayb Nahi “Nazar to Maa ki bhi Lag Jati he”..,
»» Is Hadees se Ma’alum huwa ki Awaam me Mashoor Tutke(Bimaari ya Buri Baato ko Door karne ke Tariqe) Agar Khilaafe Sharah Na ho To Inka Bandh karna Zaruri Nahi, Deikho Nazar Waale ke Haath-Peir Dho kar Manzur(Jisko Nazar Lagi ho) ko Chhinta Maarna Arab me Murawwaj (Rewaaj) tha, HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ne Isko Baaki rakha,
»» Humaare Haa Thodi si Aante ki Bhusi Aur 3 Shurkh(Laal) Mirche Manzur(Jisko Nazar Lagi ho) par 7 Baar Ghuma kar (Sar se Peir Tak) Fir Aaag me Daal deite he Agar Nazar Hoti he to Bhus Nahi Uthti Aur RABB TA’ALA Shifaa Deita he,
»» Jeise Dawaao me Naql ki Zarurat Nahi Tajreba Kaafi he Ayse hi Duaao Aur Ayse Tutko me Nakl Zaruri Nahi Khilaafe Sharah Na ho to Durusht (Sahih) he Agarche Maasur Duaae Afzal he,
»» Hazrate Usmaane Gani RadiAllaho Ta’ala Anho ne Ek Khubsurat Tandurast Bacha deikha to Farmaaya Iski Thhodi me Siyaahi(Kaala Tika) Laga do Taaki Nazar Na lage,
»» Hazrate Hishshaam Ibne Urwa RadiAllaho Ta’ala Anho Jab Koi Pasandida Chiz deikhte to Farmaate “ﻣﺎﺷﺎﺀَﺍﻟﻠﮧُ ﻟَﺎﻗُﻮَّۃَ ﺍِﻟَّﺎ ﺑِﺎﻟﻠﮧ…..”
»» Ulma Farmaate he ki Baaz Nazro me Jehrila-Pan hota he Jo Asar karta he.
(Mira’atul Manaajih, Jild-6, Safa-223)
(Bad-Shuguni, Safa-91,92)

Pata Chala ki Nazar Lag Jana Haqq he, Is se Nazar lagne waale ko Nuksaan Pahonchta he, Nazar Utaare ne ke liye Kayi Tariqe Istemaal kiye jaate he, Agar Wo Tariqe Shariyat ke Khilaaf Na ho to Use Istemaal kiya ja Sakta he..

➤ Nazar Jald Lag Jaati he :-

Hazrate Asma Binte Umeis RadiAllaho Ta’ala Anha ne Baargaahe Risaalat me Arz ki YA RASOOLALLAL Sallallaho Alayhe Wasallam Awlaade Ja’afar ko Jald Nazar lag jaya Karti he, Kya Mei Unhe Jhad-Foonk Karaau..??
Farmaaya Haa… Kyuki Agar Koi Chiz Taqdeer se Sabqat(Badh Sakti) le jane wali hoti to Nazre-Bad Sabqat le Jaati.
(Tirmizi Shareef, Kitaabul Tib, Jild-4, Safa-13)

Haakimul Ummat Hazrat Ahmad Yaar Khan Rahmatullahe Alay Is Hadeese Paak ke Tehat Wazaahat Farmaate he ki
»» kyuki Ye Bacche Zaahiri Baatini Khubiyo Wale he Is liye Loug Inhe Ta’ajub ki Nazar se deikhte he Aur Ye Bacche Nazar ki Wajah se Beemaar ho jate he, Nazar ka Asar Zahar se Zyada Teiz Aur Shakht Hota he Is liye Tusreeh (Jaldi) Farmana Bilqul Durusht (Sahih) he,
»» Gaaliban Inhone(Hazrate Asma Binte Umeis RadiAllaho Ta’ala Anha ne) HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam se hi Nazar ka Dum Sikha hoga, Iski Ijaazat Chah rahi he jo Ataa ho gayi,
»» Nazre-Bad Badi Mu’assar(Asar karne wali) hoti he Agar Kisi Chiz se Taqdeer Palat Jaati to Nazar se Palat Jaati, Khyaal Rahe ki Gusse ki Nazar Manzur(Nazar Lagne Waale) me Darr Peida kar deiti he, Mohabbat ki Nazar Khushi, Isi Tarah Ta’ajub ki Nazar Beemaari Peida kar Sakti he,
»» RABB TA’ALA Jis Chiz me Chaahe Taasir Khaas Peida Farma de Woh Qaadire Muta’laq he,
»» Fir Jeise Buri Nazar Bura Asar Peida karti he Yu hi Saaliheen Maqbuleen ki Rahamat ki Nazar Manzur (Nazar Lagne Waale) me Inqelaab(Tabdili) Peida kar deiti he, Nazre-Bad Beemaariya Peida karti he to Nazre-Khub(Neik Nazar) Beemaariya Door karti he, Sheitaan ne Baargaahe ILAAHI me Arz kiya ‘Mujhe Mohallat de’, Agar Kehta ‘Mujhe Nazre Rahamat se deikh le’ to Uska Beida Paar ho Jata,
Al Garaz Nazar Badi Chiz he, Koi Nazar Khana Khraab kar deiti he koi Nazar Khraab ko Aabaad kar deiti he.
(Mira’atul Manaajih, Jild-2, Safa-241)
(Bad-Shuguni, Safa-94,95)

“Nazar ki Joulaaniya Na Puchho, Nazar Haqiqat me Woh Nazar he,”
“Uthe to Bijli Panaah Maange, Gire to Khana Khraab karde..”

➤ Dhoodh ko bhi Nazar Lag sakti he :-

Hazrate Saiyyadna Abu Humeid RadiAllaho Ta’ala Anho Naqi’a(Ek Makaam ka Naam) se Dhoodh Bhara Bartan SARKAARE DO AALAM Sallallaho Alayhe Wasallam ki Khidmat me laaye,
HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ne Irshaad Farmaya Tumne Ise Dhank kyu Nahi liya Agarche Is par Lakdi Khadi Kar deite.
(Bukhari Shareef, Jild-3, Safa-586)

Haakimul Ummat Hazrat Ahmad Yaar Khan Rahmatullahe Alay Is Hadeese Paak ke Tehat likhte he
Woh Hazrat Khule Bartan me Dhoodh laaye the Is par HUZOOORE ANWAR Sallallaho Alayhe Wasallam ne ye Farmaya Ya’ani Dhoodh Dhak kar lana Chahiye tha, Agar Dhakna Na tha To Iske Upar Lakdi hi Khadi kar leite, Humaare Haa Awaam me Mashoor he ki Dhoodh Aur Dahi ko Nazre-Bad Bahot Jald Lagti he, Is par Lakdi Khadi kar leini Chaahiye, Iski Asl ye Hadees ho Sakti he, Khyaal rahe Dukaano par Dhoodh-Dahi Khula Rakha rehta he Woh Is Hukm me daakhil Nahi, Kahi Lekar Jaao to Dhak lo.
(Mira’atul Manaajih, Jild-6, Safa-88)
(Bad-Shuguni, Safa-97,98)

➤ Kheito Wageira ko Nazar Lagne se Bachaane Ka Nuskha :-

Allama Ibne Aabidin Shami Rahmatullah Alay Likhte he
Is Baat me koi Harj Nahi he ki Kheiti Ya Kharbuza Aur Tarbuz ke Kheit me Nazre-Bad se Bachaav ke liye Haddiya Latkaayi Jaaye Kyuki Nazre-Bad Maal, Aadmi Aur Jaanwar Sabko Lag Jati he Aur Iska Asar Alaamaat(Aasaar/Nishaani) se Zaahir ho jata he to Deikhne Wala Jab Kheiti ki Jaanib(Taraf) Deikhega to Uski Nigaah Pehle Haddiyo par padegi Kyuki Woh Kheit se Buland(Unchi) hoti he Is ke Baad Kheiti par padegi To Yu Uski Nazar Ka Zahar Wahi Zaaye’a(Barbaad) ho Jaayega Aur Kheit ko Nuksaan Nahi Pahonchega,
Hadeese Paak me he ki Ek Sahaabiyya RadiAllaho Ta’ala Anha HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam Ki Baargaah me Haazir ho kar Arz Guzaar hui ki Hum Kisaan Loug he Aur Hume Apne Kheito par Nazre Bad ka Andesha rehta he,
AAQA E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ne Kheiti me Haddiya Rakhne ka Hukm Irshaad Farmaya.
(Sunaanul Kubra Al Beihaqi, Jild-6, Safa-228)
(Raddul Muhtaar, Jild-9, Safa-601)
(Bad-Shuguni, Safa-92,93)

➤ Mue Mubaarak ki Barkat se Nazar Waale ko Shifa mil Jaati :-

Hazrate Saiyyadna Usmaan Bin Abdullah Bin Mouhab Rahmatullahe Alay se Riwaayat he ki Meire Ghar Waalo ne Mujhe Pyala de kar Ummul Momeeneen Hazrate Saiyyadatuna Umme Salma RadiAllaho Ta’ala Anha ke Paas Bheija Kyuki Jab kisi Aadmi ko Nazar ya Koi Shai(Chiz) Lag jati to Inke Paas Lagan Bheijte the, Hazrate Saiyyadatuna Umme Salma RadiAllaho Ta’ala Anha ne HUZOOR E AKRAM Sallallaho Alayhe Wasallam ka Mue Mubaarak(Baal Mubaarak) Chandi ki Kuppi(Dabbi) me rakha huwa tha, Meine Kuppi me Jhanka to Chand Surkh(Laal/Red) Baal deikhe.
(Bukhaari Shareef, Kitaabul Lebaas, Jild-4, Safa-86)

Haakimul Ummat Hazrat Ahmad Yaar Khan Rahmatullahe Alay Is Hadees Paak ke Tehat Wazaahat Farmaate he
»» Ya’ani Ahle Madeena ko Jab Koi Beemaari Ya Nazre-Bad ya Koi Aur Taklif hoti to Woh Kisi Ayse Bartan me Jisme Kapde Dhoye jate the Paani Bheij deite,
»» Gaaliban Aap(Umme Salma) RadiAllaho Ta’ala Anha Woh Baal Shareef M’a(Sath) Us Kuppi ke Paani me Dhol deiti thi, Loug Woh Paani Peete Aur Shifaa Paate,
»» Baal Ki Yah Surkhi(Laal Rangat) Khizaab(Mehndi) ki Na thi Balki Woh Baal Khushbuo me rakhe gaye the Ye Rang Usi Khusbu ka tha,
»» Is Hadees se Chand Faayde Haasil huwe
Ek ye ki Hazraate Sahaaba e Kiraam RadiAllaho Ta’ala Anhuma HUZOOR E AKRAM Sallallaho Alayhe Wasallam ke Baal Shareef Barkat ke liye Apne Gharo me rakhte the,
Dusra ye ki Is Baal Shareef ka Bahot hi Adabo Ehtiraam karte the ki Iske liye Khaas Kuppi(Dabbi) ya Pungi Banaate Aur Isme Khushbu Basaate the Kyuki Ye Rangat Khushbu ki Thi Na ki Khizaab (Mehndi) ki,
Tisra ye ki Sahaaba e Kiraam HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ke Baal Shareef ko Daafe ul Bala(Bala ko Door karne), Baaise Shifa Samajhte the ki Inhe Paani me Gusl de kar Shifa ke liye Peete the, Kyu Na ho Ki Jab Hazrat Yusuf Alayhis Salaam ki Kamis Daafe ul Bala ho Sakti he Jeisa (ki) Quraane kareem Farma raha he
“Meira Ye Kurta le Jaao Ise Meire Baap ke Moonh par Daalo Unki Aankhe Khul Jaayegi”
(Surah Yusuf, Aayat-93)
To HUZOOR E ANWAR Sallallaho Alayhe Wasallam ke Baal Shareef Badarja e Aula Daafe ul Bala ho Sakte he,
Chotha(4) ye ki Sahaaba e Kiraam HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ke Baal Shareef ki Ziyaarat karne jate the Jeisa ki Riwaayat se Ma’alum huwa.
(Mira’atul Manaajih, Jild-6, Safa-247)
(Bad-Shuguni, Safa-97)

Subhan Allah…

➤ Nazre-Bad ka Ilaaj :-

Hazrate Saiyyadna Jaabir RadiAllaho Ta’ala Anho se Riwaayat he ki HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ne Irshaad Farmaaya Beishak Nazar Mard ko Qabr me Aur Unt(Camel) ko Deig me Daakhil kar deiti he.
(Jam ul Jawaame, Jild-5, Safa-204)

Nazre-Bad se Bachne ke liye Kuchh Tariqe he Jiska Istemaal karne se Nazre-Bad se Bacha ja Sakta he…

1) Ye Tasbeeh “لَااِلٰہَ اِلَّا اللہُ”
60 Baar Padh kar Dam kijiye In sha Allah Nazre-Bad ka Asar Jata Rahega,

2) Har Chiz Khaane-Peene se Qabl(Pehle) “بِسْمِ اللہِ الرَّحْمٰنِ الرَّ حِیْم” Padh leine ka Aadi(Aadat Rakhne Wala) In sha Allah Nazre Bad se Mehfuz Rahega,

3) Ye Tasbeeh “یَا حَيُّ يَا قَيُّوْمُ”
786 Baar Kaagaz Par Likh(Ya Likha) kar Ta’awiz ki Tarah Lapeit kar Plastic ko Tang karke Regzin ya Kapde Wageira me See kar Baazu me Bandhe Ya Gale me Pahen lijiye, In sha Allah Nazar-Bad ka Asar Khatm ho Jayega, Jiske Haath-Peir me Dard ho Uske liye bhi ye Ta’awiz Mufid (Fayde-Mand) he.

4) Ba-Wazu Har Baar “بِسْمِ اللہِ الرَّحْمٰنِ الرَّ حِیْم” ke Sath Tin Tin (3-3) Baar Baar ‘Surah Naas'(Awwal Aakhir Baar Durood Shareef) Padh kar Baccho par Dam kijiye, In sha Allah Bacche Nazar Lagne Wageira se Mehfuz Rahenge, (Ye Amal Rozana Subah wa Sham Ya’ani Din me 2 Baar Karna he),
(Beemaar Aabid, Safa-34,35)

>> Mira’atul Manaajih me Haakimul Ummat Hazrat Ahmad Yaar Khan Rahmatullahe Alay Nazre-Bad ko Door karne ke liye Kuchh Tutke(Bimaari ya Buri Baato ko Door karne ke Tariqe) Likhte he ki

»» Agar Kisi Nazre huwe (Jisko Nazar lagi ho Us) ko Tum par Shubah(Shak) ho ki Tumhaari Nazar Use Lagi he Aur Woh Dafa e Nazar(Nazar Utaarne) ke liye Tumhaare Haath-Peir Dhulwa kar Apne par Chhinta Maarna Chaahe to Tum Bura Na Maano Balki Fouran Apne Ye Aa’za(Hissa) Dho kar Use de do,

»» Humaare Haa Thodi si Aante ki Bhusi Aur 3 Shurkh(Laal) Mirche Manzur(Jisko Nazar Lagi ho) par 7 Baar Ghuma kar (Sar se Peir Tak) Fir Aaag me Daal deite he Agar Nazar Hoti he to Bhus Nahi Uthti Aur RABB TA’ALA Shifaa Deita he,

»» Hazrate Usmaane Gani RadiAllaho Ta’ala Anho ne Ek Khubsurat Tandurast Bacha deikha to Farmaaya Iski Thhodi me Siyaahi(Kaala Tika) Laga do Taaki Nazar Na lage,
(Mira’atul Manaajih, Jild-6, Safa-223)

»» Aur Buzurgaane Deen Farmaate he ki Nazar-Bad Utaar ne ke liye 3 Baar Surah Kausar Padh kar Manzur(Nazar Lagne Waale) par Dam ki jaaye to In sha Allah Nazre-Bad Utar Jaayegi..

»» Ulma e Kiraam Ek Aur Tarika Bayaan Farmaate he ki 7 Laal Mirchi Le kar Manzur(Nazar Lagne Waale) par 7 Baar Ghuma kar Un Mirchi par EK Baar Surah Ikhlaas Dam karke Chule me Zala de, Agar Nazar Lagi hogi to Mirchi ki Dhaans(Mirchi ke Zal ne par jo Ek Dhunwa/Smell Udti he Jisse Khanshi ya Aankh me Pani Aa jata he Wo) Nahi Uthegi Aur Agar Dhansh Udti he to Samajhe ki Nazar Nahi he..

Nazar Lag Jana Haqq he, Is se Nazar lagne waale ko Nuksaan Pahonchta he, Nazar Utaare ne ke liye Kayi Tariqe Istemaal kiye jaate he, Agar Wo Tariqe Shariyat ke Khilaaf Na ho to Use Istemaal kiya ja Sakta he…


Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *