Bad-Shuguni ke Nukshaanaat

»»» Woh Hum me se Nahi :-
HUZOOR REHMATE DO AALAM Sallallaho Alayhe Wasallam ne Badfaali Leine Waalo se Apni Beizaari(Naarazgi) ka Izhaar In Alfaaz se Farmaya
Jisne Bad-Shuguni li Aur Jiske liye Bad-Shuguni li gayi Woh Hum me se Nahi he(Ya’ani Humaare Tariqe par Nahi he.)
(Al Ma’jmaul Kabeer, Jild-18, Safa-162)
(Faizul Qadeer, Jild-3, Safa-288)

»»» Buland Darjo Tak Nahi Pahonch Sakta :-
HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam Irshaad Farmaate he
Tin(3) Chize Jis Shaksh me ho Woh Buland Darjaat Tak Nahi Pahonch Sakta
Jo Apni Atkal(Andaza) se Geib ki Khabar de(Aainda ki Baat Bataaye), Ya Faal ke Teero se Apni Qismat Ma’alum kare, Ya Bad-Shuguni ke Sabab Apne Safar se Rook Jaaye.
(Taarikhe Ibne Asaakir, Jild-18, Safa-98)

»»» Shirk me Aaluda(Giraftaar) ho gaya :-
HUZOOR SARKAARE MADEENA Sallallaho Alayhe Wasallam ne Irshaad Farmaaya
Jo Shaksh Bad-Shuguni ki Wajah se Kisi Chiz se Rook Jaaye Woh Shirk me Aaluda(Giraftaar) ho gaya.
(Majmaul Zawaaid, Jild-5, Safa-180)

»» HUZOOR NABI E AKRAM Sallallaho Alayhe Wasallam ne Irshaad Farmaaya
Bad-Fa’ali leina Shirk he, Bad-Fa’ali leina Shirk he, Yeh 3 Martaba Farmaya (Fir Irshaad Farmaaya) Hum me se Har Shaksh ko Aysa Khyaal Aa jata he Magar ALLAH TA’ALA Tawaqqul ke Zariye Ise Door Farma deita he.
(Sunaane Abu Daawud, Jild-4, Safa-23)

Hazrat Saiyyadna Mulla Ali Qaari Rahmatullahe Alay Is Hadees ki Tashreeh me likhte he
Bad-Shuguni leine ko Shirk Qaraar diya gaya he Kyuki Jamaana e Jaahiliyat me Lougo ka Ayteqaad(Yaqeen) tha ki Bad-Shuguni ke Taqaaze par Amal karne se Unko Nafa’a Haasil hota he Ya Unse Zararr(Nukshaan) Aur Pareshani Door hoti he Aur Jab Inhone Iske Taqaaze par Amal kiya to Goya Unhone ALLAH TA’ALA Ke Sath Shirk kiya Aur Ise Shirke Khafi kaha jata he(Jo ki Gunaah he) Aur Agar Kisi Shaksh ne ye Aqeeda rakha ki Faaida Dilaane Aur Musibat me Mubtala karne wali ALLAH TA’ALA ke Siwa Aur Koi Zaat he jo Ek Mustaqil Taaqat he to Usne Shirke Jali ka Irteqaab(Amal) kiya he.
(Mirqaatul Mafaatih, Jild-08, Safa-349)

Bad-Shuguni Insaan ke liye Deeni Wa Duniyawi Dono Aytebaar se Bahut Zyada Khatarnaak he, Ye Insaan ko Wasvaso ki Daldal me Utaar deiti he Chunanche Woh Har Choti Badi Chiz se Darne lagta he Yaha Tak ki Woh Apni Parchaayi(Shaaye) se bhi Khouf khata he, Woh Is Waham me Mubtala ho jata he Ki Duniya ki Saari Bad-Bakhti wa Bad-Naseebi Isi ke Gird Jama ho Chuki he Aur Dusre Loug Pur-Sukun Jindagi Guzaar rahe he, Aysa Shaksh Apne Pyaaro ko bhi Wahami Nigaah se deikhta he Jis se Deelo me Qadurat(Dushmani) Peida hoti he, Bad-Shuguni ki Baatini Beemari me Mubtala Insaan Zehni Wa Qalbi Tour par Mafluz(Nakara) ho kar rah jata he Aur Koi Kaam Dhang se Nahi kar Sakta,
Imaam Abul Hasan Ali Bin Mohammad Maawardi Rahmatullahe Alay likhte he
Jaan lo Bad-Shuguni se Zyada Fikr ko Nukshaan Pahonchane Wali Aur Tadbir ko Bigaadne Waali Koi Shaiy(Chiz) Nahi he.
(Adabul Duniya Waalidein, Safa-274)
(Bad-Shuguni, Safa-14-15, 18-20)

ALLAHU AKBER….

➤ Buraai ki Nisbat Apni Taraf Karni Chaahiye :-

Quraane Paak me he ki
“Ay Soonne Waale Tujhe Jo Bhalaai Pahonche Woh ALLAH ki Taraf se Haasil Aur Jo Buraai Pahonche Woh Teiri Apni Taraf se he”
(Surah Nisaa, Aayat-79)

Sadrul Afaazil Hazrate Allama Moulana Saiyyad Mohammad Naeemuddin Muradabadi Rahmatullahe Alay Is Aayat ke Tehat likhte he
ki Tune Ayse Gunaaho ka Irteqaab kiya ki Tu Iska Mustahik huwa,

>> Masla : Yaha Buraai ki Nisbat Bande ki Taraf Majaaz he Aur Uper Jo Mazkur huwa Woh Haqiqat thi, Baaz Mufassireen ne Farmaya ki Badi(बदी) ki Nisbat Bande ki Taraf Bar Sabile Adab he, Khulasa ye he ki Banda Jab Faazile Haqiqi ki Taraf Nazar Kare to Har Chiz ko Usi ki Taraf se Jaane Aur Jab Asbaab Par Nazar kare to Buraaiyo ko Apni Shamate Nafs ke Sabab se Samjhe.
(Khazaainul Irfaan, Safa-177)
(Bad-Shuguni, Safa-32)


➤ Manhus ki Haqiqat :-

>> Manhus Koun…??

Ek Baadshah Apne Wazeero Aur Mushiro (Salaah Deine Waalo) ke Sath Darbaar me Moujud tha ki Kaale Rang ke Ek Aankh Waale Aadmi ko Baadshah ke Saamne Peish kiya gaya, Lougo ko Shikaayat thi ki Yeh Aysa Manhus hei ki Jo Subah Saweire Iski Shakl deikh leita he Use Zarur koi Na koi Nukshaan Uthana Padta he Lihaza Ise Mulk se Nikaal diya Jaaye, Thodi Deir Sochne ke Baad Baadshah ne kaha Koi Feishla Karne se Pehle Mei Khud Tajriba(Aazmaish) Karunga Aur Kal Subah Sabse Pehle Iski Surat Deikhunga fir koi Dusra Kaam Karunga, Agle Din jab Baadshah Beidaar huwa to Wohi Ek Aankh Wala Aadmi Saamne khada tha, Baadshah Usko Deikh kar Waapas Palat Aaya Aur Darbaar me Jane ke liye Taiyyar hone laga, Libaas Tabdil karne ke Baad Juhi Baadshah ne Jute me Apna Peir Dala to Usme Moujud Zahrile Bichhu ne Dank Maar diya, Baadshah ki Chinkhe Buland hui to Khidmat-Gaar Bhagam-Bhag Iske Paas Pahonche, Zahar ke Asar se Baadshah ka Shurkh(Laal) Wa Safeid Chehra Neela Pad Chuka tha, Mahal me Shour Mach gaya ki ‘Baadshah Salaamat ko Bichhu ne Kaat liya he’, Chand Lamho me Wazeere khaas bhi Pahoncha, Hatho Hath Shaahi Tabeeb ko Talab lar liya gaya Jisne Badi Mahaarat se Baadshah ka Ilaaj Shuru kar diya, Jeise Teise Karke Baadshah Ki Jaan to Bach Gayi Lekin Ise Kayi Roz Bistare Alaalat (Bimaari) par Guzaarna Padhe, Jab Tabiyat Zara Sambhali Aur Baadshah Darbaar me Beitha to Ek Aankh Waale Aadmi ko Dobara Peish kiya gaya Taaki Use Saza Sunaai Jaaye kyuki Shikaayat Karne waalo ka Kehna tha ki Ab Uske ‘Manhus’ Hone ka Tajriba khud Baadshah Salaamat kar chuke he, Woh Shaksh Ro Ro kar Rahem ki Fariyaad Karne laga ki Mujhe Meire Watan se Na Nikala Jaaye, Yeh Deikh kar Ek Wazeer ko Us par Rahem Aa gaya, Usne Baadshah se Bolne ki Ijaazat li Aur Kehne Laga Baadshah Salaamat… Aap ne Subah Subah Iski Surat deikhi to Aapko Bichhu ne Kaat liya Is liye yeh Manhus Thehra Lekin Muaaf kijiyega ki ‘Isne bhi Subah Saweire Aaphi ka Chehra deikha tha’.. Jiske Baad se yeh Ab Tak Qeid me tha Aur Ab Shayad Ise Mulke Badri(Mulk Chhodne) ki Saza Soona di Jaaye to Zara Thande Deel se Gour kijiye ki Manhus Kon…?? Ye Shaksh Ya Aap…?? Yeh Soon kar Baadshah La-Jawaab ho gaya Aur Ek Aankh Waale Kaale Aadmi ko Na Sirf Aazaad kar diya Balki Aylaan karwa diya ki Aainda kisi ne bhi Isko Manhus kaha to Use Shakht Saza di Jaayegi.

>> Kya koi Shaksh Manhus ho Sakta he….??

Kisi Shaksh, Jagah, Chiz ya Waqt ko Manhus Janne ka Islaam me Koi Tasawwur Hi Nahi, Ye to Mahaz(Sirf) Wahemi Khyaalaat hote he,
Aala Hazrat Imaame Ahle Sunnat Asshah Imaam Ahmad Raza Khan Rahmatullahe Alay se Isi Naw-iyat(Qism) ka Sawaal kiya gaya ki Ek Shaksh ke Muta’aliq Mashoor hei ki Agar Subah ko Uski Manhus Soorat deikh li jaaye Ya Kahi Kaam ko Jaate hue Yeh Saamne Aa jaaye to Zarur Kuchh Na Kuchh Diqqat(Musibat) Aur Pareshani Uthani Padhegi Aur Chaahe Keisa hi Yaqeeni Tour par Kaam ho jaane ka Vusuq (Bharosa) ho lekin Unka Khyaal hei ki Kuchh Na Kuchh Zarur Rukaawat Aur Pareshani hogi Chunanche Un Lougo ko Unke Khyaal ke Munaasib Har Baar Tajriba(Aazmaaish) hota rehta he Aur Woh Loug Baraabar Is Amr(Baat) ka Khyaal rakhte he ki Agar Kahi Jaate hue Us se Saamna ho jaye to Apne Makaan par Waapas Aa jate he, Aur Thodi deir Baad ye Ma’alum karte ki Woh Manhus Saamne to Nahi he, Apne Kaam ke liye jate he,
Ab Sawaal ye he ki Un Lougo ka Ye Aqeeda Aur Tarje Amal(Amal ka Tareeqa) keisa he…?? Koi Kabaahate Sharaiyya(Shariyat ki Rukaawat) to Nahi he.. ??

Imaam Aala Hazrat Rahmatullahe Alay ne Jawaab diya ki
Sharaye Mutahhar me Iski Kuch Asl Nahi, Lougo Ka Waham Saamne Aata he, Shariyat me Hukm he ki ‘Jab Koi Shugune Bad Gumaan me Aaye to Us par Amal Na Karo, Woh Tariqa Mahaz Hindwana hei Musalmaano ko Aysi Jagah Chaahiye ki
“ﺍﻟﻠَّﻬُﻢَّ ﻟَﺎ ﻃَﻴْﺮَ ﺇِﻟَّﺎ ﻃَﻴْﺮُﻙَ، ﻭَﻟَﺎ ﺧَﻴْﺮَ ﺇِﻟَّﺎ ﺧَﻴْﺮُﻙَ، ﻭَﻟَﺎ ﺇِﻟَﻪَ ﻏَﻴْﺮُﻙ”
(Musannafe Ibne Abi Shaiyba, Kitaabul Duaa, Jild-7, Safa-142)
(Ay ALLAH Nahi he koi Buraai Magar Teiri Taraf se Aur Nahi hei koi Bhalaai Magar Teiri Taraf se Aur Teire Siwa koi Ma’abud Nahi) Padhle Aur Apne RABB TA’ALA par Bharosha karke Apne Kaam ko Chala Jaye, Hargiz Na Rooke, Na Wapas Aaye.
(Fatawa Razwiya, Jild-29, Safa-611)
(Bad-Shuguni, Safa-6-9)

Aaj ke Dour me Kayi Musalmaan Kisi Na Kisi Shaksh ko ‘Manhus’ Jaan ne me Mubtala he, Halaanki Iski Koi Asl Nahi ye Geir-Musalmaano ka Nazariya he…
ALLAH TA’ALA Tamaam Musalmaano ko Aysi Bad-Shuguni se Bachne ki Toufiq Ataa Farmaaye…
Aameen…

➤ Parindo se Bad-Shuguni Leina :-

Zamaane e Jaahiliyat me Mushrikeen Parindo par Aytemaad(Yaqeen) karte the, Jab Inme se Koi Shaksh Kisi Kaam ke liye Nikalta to Woh Parinde ki Taraf Deikhta Agar Woh Parinda Daayi(Right) Taraf Udta to Woh Is se Neik Shugun leita Aur Apne Kaam par Rawana ho jata Aur Agar Woh Parinda Baayi(Left) Jaanib Udta to Woh Is se Bad-Shuguni leita Aur Lout Aata, Baaz Awqaat(Waqt) Woh Kisi Muhim(Zaruri Kaam) par Rawana Hone se Pehle Khud Parinde ko Udaate the, Fir Jis Jaanib Woh Udta tha Us par Aytemaad karke Uske Muta’abiq Muhim par Rawana hote ya Rook Jaate, Jab Shariyat Aa Gayi To Unko Is Tarike se Rok Diya.
(Fath ul Baari, Jild-11, Safa-180)

>> Yeh Tumhaare Zehan ka Waham he..:-
Hazrate Saiyyadna Muaawiya Bin Hakam RadiAllaho Ta’ala Anho Bayaan karte he ki Meine Baargaahe Risaalat me Arz ki YA RASOOLALLAH Sallallaho Alayhe Wasallam Hum Jamaana e Jaahiliyat me Kuchh Kaam karte the (Aap Hume Inka Hukm Bataaiye..)
Hum Kaahino(Faal Nikaalne Waalo) ke Paas Jaya karte the, HUZOOR REHMATE QOUNEIN Sallallaho Alayhe Wasallam ne Irshaad Farmaaya Kaahino ke Paas Mat Jaao..
Meine Puchha Hum(Parindo Wageira se) Shugun bhi leite the,
Irshaad Farmaaya Yeh Ek Chiz(Khyaal) he Jise Tum me se koi Apne Dil me Pata he Lekin Yeh Tumhe (Tumhaari Haajat Wageira se) Na Rok de.
(Mirqaatul Mafaatih, Kitaabul Tib, Jild-8, Safa-358)

>> Parinde Taqdeer ke Muta’abiq hi Udte he :-
Hazrate Saiyyadna Abu Burda RadiAllaho Ta’ala Anho Bayaan karte he Mei Hazrate Saiyyadna Aaisha Siddiqa RadiAllaho Ta’ala Anha ki Khidmat me Haazir huwa Aur Arz ki Mujhe Koi Aysi Hadees Bayaan kijiye jo Aapne HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam se Khud Sooni ho…??
Ummul Momeneen RadiAllaho Ta’ala Anha Ne Jawaab diya HUZOOR NABI E AKRAM Sallallaho Alayhe Wasallam ne Irshaad Farmaaya Parinde Taqdeer ke Muta’abiq Udte he Aur HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam Achhi Faal ko Pasand Farmaate the.
(Musnade Imaam Ahmad, Jild-9, Safa-450)
(Bad-Shuguni, Safa-32-34)

➤ Udva, Haammah, Aur Majzum se Bad-Shuguni Leina :-

Hazrate Saiyyadna Abu Huraira RadiAllaho Ta’ala Anha se Marvi he ki HUZOOR AAQA E DO JAHA Sallallaho Alayhe Wasallam ne Irshaad Farmaaya Udva(Ek Jism se Dusre Jism ko Beemari Lagna) Nahi he Aur Na Bad-Fa’ali he Aur Na Haammah he, Na Safar Aur Majzum(Kodh ke Mareez) se Bhago jeise Sheir se Bhaagte ho.
(Bukhari Shareef, Jild-4, Safa-24)

Is Hadees Shareef ki Sharah me Mufti Muhammad Shariful Haqq Amjadi Rahmatullahe Alay likhte he
»» Ahle Jaahiliyat Ka Ayteqaad (Yaqeen) tha ki Baaz Beemaariya Aysi he Jo Dusre ko Lag Jaati he Jeise Juzaam(Kodh), Khaarish(Ek Tarah ki Khujli) Taaun Wageira Iski HUZOOR E AQDAS Sallallaho Alayhe Wasallam ne Nafi(Radd) Farmaayi,
Ek Aa’rabi Haazir hue Unhone Arz ki Ke Humaare Unt(Camel) Saaf Suthre Achhe hote he Isme Ek Khaarish-Zada(Khujli ki Beemaari me Mubtala) Unt Aata he Aur Sabko Khaarish-Zada bana deita he, HUZOOR AAQA E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ne Farmaya Kisne Pehle ko Khaarish-Zada Banaya..?? Unhone Arz ki ALLAH ne, Farmaya Isi Tarah Sabko ALLAH ne Khaarish-Zada Banaya,
»» Arab ki Aadat thi ki Jab Safar ke liye Nikalte to Agar Koi Parinda Daahine(Right) Taraf se Udta to Isko Mubaarak Jaante Aur Agar Baayi(Left) Taraf Udta to Isko Bura Shugun Jaante, Is Qism ke Aur bhi Tawahhumaat(Waham) Feile huwe the Aur Aaj Humaare bhi Mu’aashre me Feile hue he, HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ne In Tamaam Tawahhumaat ko Daf’a(Door) Farmaya,
»» ‘Haammah’ Ek Chidya ka Naam he, Ek Qoul he ki Yeh Ullu(Owl) he, Ahle Jaahiliyat Ka Ayteqaad tha ki ye Chidya Jab Kisi Ghar par Beithti hei to Us Ghar me Koi Musibat Naazil hoti he Aaj bhi Jaahilo me ye Mashoor hei ki Ullu Jis Ghar me bole Ya Jis Ghar ki Chhat par Bole Us Ghar me Koi Musibat Naazil hogi, Ek Qoul ye he ki Ahle Jaahiliyat ka Ayteqaad tha ki Murde ki Haddiya ‘Haammah’ ho kar Urti he, Ek Qoul yeh he ki Unka Ayteqaad yeh tha ki Jis Maqtul(Qatl kiya gaya) ka Qesaas(Badla) Na liya Jaaye Woh ‘Haammah’ ho jata he, Aur Woh Kahta rehta he Mujhe Pilaao Mujhe Pilaao, Jab Iska Qesaas le liya Jata he to Woh Ud Jata he, In Sab Tawahhumaat (Waham) ka HUZOOR E AQDAS Sallallaho Alayhe Wasallam ne Radd Farmaaya ki Yeh Sab Kuchh Nahi he.
(Nuzhatul Qaari, Jild-5, Safa-502)
(Bad-shuguni, Safa-34, 35, 36)

Humaare Mu’aashre(Insaani Maahol) me Aaj bhi Kayi Loug Aysa Yaqeen rakhte he, Lehaza Unko Aysi Bad-Shuguni se Bachna Chaahiye…

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *