HUZOOR ﷺ Hazrat Abdul Muttalib ki Kefaalat me

>➤ HUZOOR ﷺ Hazrat Abdul Muttalib RadiAllaho Ta’ala Anho ki Kefaalat me :-
>> Saiyyada Aaamena RadiAllaho Ta’ala Anha ke Wisaal ke Baad Umme Ayman RadiAllaho Ta’ala Anha HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ko le kar Unhi 2 Unto par Makka Shareef Aa gayi Jin par Woh Madeena Shareef gayi thi Aur Woh HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ki Parwarish Wa Deikh-bhal karne lagi,
(Dalaailun Nabuwwat (Abu Noyam, Urdu), Safa-146)

>> HUZOOR NABI E KAREEM ﷺ ki Waalida Maajida ke Inteqaal ke Baad Umme Ayman RadiAllaho Ta’ala Anha ne HUZOOR ﷺ ki Parwarish ki, (Is liye) HUZOOR NABI E KAREEM ﷺ Umme Ayman se Farmaate the
‘Meiri (Sagi) Maa ke Baad Tum Meiri Maa ho’.
(Al Mawaahibul Laduniya (Urdu), Jild-1, Safa-118)

>> Jab Umme Ayman RadiAllaho Ta’ala Anha Makka e Muazzama Aayi to Ye Haalat deikh kar Hazrat Abdul Muttalib RadiAllaho Ta’ala Anho ka Dil Bhar Aaya, Kisi Bacche ki Haalat par Unka Dil Yu Ghum se Kabhi Na bhara tha, Chunanche Unhone HUZOOR ﷺ ko Seene se lagaya Fir Hameisha HUZOOR ﷺ ko Apne Qareeb rakhte Aur Aankho se Door Na hone deite.
(Dalaailun Nabuwwat (Abu Noyam, Urdu), Safa-146)

Hazrat Abdul Muttalib RadiAllaho Ta’ala Anho ka Dil Kyu Na Bhar Aata, Tasawwur kare ki Ek Maasum Baccha Uski Wilaadat se Pehle hi Us ke Waalid Ka Wisaal ho Chuka he, Fir 6 Saal ki Umr me Us Bacche ki Waalida ka Safar ke Dauraan Wisaal ho gaya, Jab Woh Baccha Akela Ghar Pahoncha to Uske Dada ka Dil kyu Na bhar aata..
KHUDA ki Be-Niyaazo par Qurbaan, Jis ko Saari Nasle Insaaniyat ki Rehnumaai ke liye Bheija gaya Aur Jis ke Noor e Nabuwwat se Sari Duniya Roushan hui Us Azeem Hasti ko Bachapan hi se Keise Keise Imtehaanaat se Do-Char kiya gaya.
Sallallaho Alayhe Wasallam..

>➤ Nigaahe Abdul Muttalib me Maqaame Muhammadi (ﷺ) :-
Jab Hazrat Abdul Mutallib RadiAllaho Ta’ala Anho so jate to Unki Taazim me Unhe Koi Bedaar Nahi Karta tha Jab Woh Tanhaai me hote tab bhi yahi Haalat hoti, Unke liye Beithne ki Ek Makhsus jagah thi Jaha Aur Koi Nahi Beithta tha, Kaaba ke Zeire Saya Unke liye Ek Chataai Bichaayi Jati, Hazrat Abdul Muttalib RadiAllaho Ta’ala Anho ki Aulaad Aakar Chataai ke Aaspaas Beith jati Aur Unse Baat karti (Kisi ko Chataai par Chadh ne ki Jurrat Na hoti) Magar HUZOOR NABI E AKRAM Sallallaho Alayhe Wasallam Chataai par Chadh kar Beith jate, HUZOOR ﷺ ke Chacha kehte Ay Muhammad (ﷺ) Apne Dada ki Masnad se Utar Jaao, Lekin Abdul Muttalib kehte
‘Meire Is Bacche ko Kuchh Na kaho Ye Mujhe Baadshah Mehsus hota he Aur Ye Khud bhi Apne Muta’aliq Aysi Baate Batlata he,’

Ek Din HUZOOR E AKRAM Sallallaho Alayhe Wasallam Baccho ke Sath Makka Shareef se Baahar tak Chale gaye, Waha Bani Mudlij ke Kuchh Lougo ne HUZOOR ﷺ ko Deikh kar Apni Taraf Bulaya Aur HUZOOR ﷺ ke Qadm Mubaarak Aur Unke Nishaanaat ko Gehri Nazar se deikha, Fir HUZOOR ﷺ ke Pichhe Pichhe Hazrat Abdul Muttalib tak Chale Aaye, Hazrat Abdul Muttalib RadiAllaho Ta’ala Anho ne HUZOOR ﷺ ko Utha kar gale se Laga liya, Woh Hazrat Abdul Muttalib se kehne lage, Ye Bachha Aap ka Kya Lagta he..? Kaha Meira Beita, Kehne lage Iski Hifaazat rakha karo KHUDA ki Qasam Humne Is se Badh kar Kisi ka Qadam Maqaame Ibhraahim se Hum-Shakl Nahi Paya, Hazrat Abdul Muttalib RadiAllaho Ta’ala Anho ne Abu Taalib se kaha Soono Ye Kya kehte he.., Chunanche Uske Baad Abu Taalib HUZOOR ﷺ ki Khub Hifaazat karne lage.
(Dalaailun Nabuwwat (Abu Noyam, Urdu), Safa-146-147)
(Al Khasaisul Kubra (Urdu), Jild-1, Safa-165,166)

>➤ Najraan ke Padri ki Gawaahi :-
Ek Din Hazrat Abdul Muttalib RadiAllaho Ta’ala Anho Haram Shareef me beithe the, Aapke Paas Najraan ka Ek Padri bhi Beitha tha Jo Aapka Gehra Dost tha, Woh keh raha tha
Hum Apni Kitaabo me Is Shahar me Aulaade Ismaail Alayhis Salaam me se Ek Nabi ki Wilaadat ka Zikr pate he Jiski Ye Shakl wa Surat hogi, Abhi ye Baat Mukammal Nahi hui thi ki HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam (Waha) Aagaye, Paadri ne HUZOOR ﷺ ke Chehra e Anwar, Aankho, Pusht(Pith) Aur Qadam Mubaarak ki Taraf deikha to Pukaar Utha Woh Nabi to Yahi he,
(Padri ne Hazrat Abdul Muttalib se Puchha) Ye Tumhara Kya Lagta he..?, Aap ne kaha Meira Beita, Paadri ne kaha Hum to Uske Baap ko Kitaabo ki Roshani me Is Waqt Zinda Nahi Paate..?, Hazrat Abdul Muttalib ne kaha Dar-Asal Ye Meira Pouta he, Iska Baap to Us Waqt hi Fout ho gaya tha Jab ye Raheme Maadar(Bachha Dani) me tha, Paadri ne kaha Tumne Sachh kaha,
Uske Baad Hazrat Abdul Muttalib ne Apni Aulaad se kaha Apne Bhatije ki Hifazat kiya karo, Soonte Nahi ho Iske Baare me Kya Kuchh Kaha ja raha he..
(Dalaailun Nabuwwat (Abu Noyam, Urdu), Jild-1, Safa-147)
(Al Khasaisul Kubra (Urdu), Jild-1, Safa-166)

>➤ Hazrat Abdul Muttalib ka Sultaan Saif Bin Zi ke Paas Jana :-
Jab Sultaan ‘Saif Bin Zi Yazan’ ka Yaman par Qabza huwa to Usne Waha se Ahle Habsa ko Maar Bhagaya Ye Waaqiyaa HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ki Wilaadat se 2 Saal Baad ka he, To Ahle Arab ke Sardaaraan Wa Sho’ara(Shayri karne wale Loug) Wafd Dar Wafd(Jamaat/Delegation) Use Mubaarak deine Pahonche, Quraish ka Wafd bhi gaya, Jin me Hazrat Abdul Muttalib RadiAllaho Ta’ala Anho Aur Kuchh Quraish ke Sardar bhi the, Hazrat Abdul Muttalib RadiAllaho Ta’ala Anho ne Baat karne ki Ijaazat Chahi, Sultaan Saif ne kaha Agar Tum Shahenshao ke Darbaaro me Baat karne ka Saliqa rakhte ho to Tumhe Ijaazat di jati he, Hazrat Abdul Muttalib ne Baat Shuru ki Aur fir kaha
Ay Shahe Yaman, Hum Ahle Harame ILAAHI he, Khuddame Haram he, Hume Ek Musarrat(Khushi) yaha le Aayi he, Kyuki Aap ne Humaari Ek Mustaqil Pareshani Khatm kar di he,(Habsi Iqtedaar ka Khatma Kar diya he) Hum Mubaarak Baadi deine wala Wafd he, Kuchh Maangne wala Nahi..
Saif Sultaan ne Kaha Ay Mutakallim(Baat karne wale) Ahle Haram me se Tum Kon ho..? Aapne Kaha Mai Abdul Muttalib Bin Haashim Bin Abde Manaaf hu, Woh Kehne Laga Humaari Bahen ka Beita..?(Yaani Sultan ki Maa Banu Najjar ke Imaandaaro me se thi), Hazrat Abdul Muttalib ne kaha Haa..,

Chunanche Sultaan ne Aapko Qareeb kar liya Aur Wafd ki Taraf Mutawajjo ho kar Bola Bahot Bahot Khush-Aamadid, Hum Aap Lougo ki Behtar se Behtar Meizbaani karenge Aur Achha Nawaazeinge, Shahe Yaman ne Tumhaari Guftagu Soon li he, Tumse Rishtadaari Jaan li he, Tumhaara Aana Pasand kiya he, Aap Humaare Din-Raat ke Maalik he, Jab tak Aap Thehrenge Izzat Afzaai hogi Aur Waapasi par Humaari Neik Tamannaye Aap Lougo ke Sath hogi, Ab Aap Loug Daarul Ziyaafat(Sarkaari Guest house) me Tashreef le Chale, Ye Loug Waha Ek Mahina thehre,
(Dalaailun Nabuwwat (Abu Noyam, Urdu), Jild-1, Safa-95,96)

>➤ Sultaan Saif Bin Zi ka Awsaafe NABI ﷺ Batana :-
Ek Mahina Baad Sultaan Saif ne Quraish ke Wafd(Jamaat/Delegation) ko Bulaya Aur Hazrat Abdul Muttalib ko Apne Qareeb kar liya Aur Khush-Aamadid kaha, Fir Kaha Ay Abdul Muttalib Mai Tumhe Ek Raaz Bataane laga hu, Koi Aur hota to Use Ye Na Batata, Magar Maine Tumhe Iska Ameen Paya he, To Ye Raaz Tumhare Paas Mehfuz rahena Chahiye,

Maine Khufiya Kitaab Aur Makhzune Ilm(Jama kiye gaye Ilm) me Padha he Jo Sirf Humaare Khandaan ke liye he koi Aur Use Nahi Paa Sakta, Ek Azeem Bhalaai Zaahir hone wali he, Jo Baaz Lougo ke liye Bada Khatra bhi hogi, Usme Hayaate Insaani ke liye Sharaafat wa Fazilat ka Khazana hoga, Tumhaare Wafd ke liye Umuman Aur Tumhaare liye Khususan..
Hazrat Abdul Muttalib ne kaha Woh Bhalaai Kya he..? Sultaan Saif ne kaha Jab Makka me Woh Baccha Paida hoga Jiske Dono Kandho ke Darmiyaan Alaamat(Mohare Nabuwwat) hogi, Uske liye Amaanat hogi Aur Uski Barkat se Tumhaari Karaamat Ta-Qayaamat hogi,
Hazrat Abdul Muttalib kehne lage ki Iski Aur Wazaahat Chahunga Taki Meiri Musarrat(Khushi) me Mazeed Izafa ho,
Sultaan ne kaha Woh Baccha Paida hone wala he ya Ho Chuka he, ‘Muhammad (ﷺ)’ Uska Naam he, Uske Kandho ke Darmiyaan Ek Alaamat(Nishani) he, Uske Waalidein Fout ho Jayenge, Dada Aur Chacha Uski Parwarish karenge, Humne Ye Peishan-Gohi Baar Baar Padhi he, ALLAH Use Roze Roushan ki Tarah Zahir kare Aur Hume Uska Khaadim wa Naasir kare, ALLAH TA’ALA Uske Zariye Apne Auliya ko Muazziz Aur Dushmano ko Zaleel karega, Dushman Apni Izzat Kho Beithenge Aur Unki Aali Nasab Aurate Mubbah Kar li Jayegi, RAHMAAN ki Ibaadat hogi, Shaitaan Zaleel hoga, Aaag Bujh Jaayegi, Butt Toot Jayenge, Uska Feishla Taqdeer e ILAAHI Aur Uska Hukm Sarapa Adl hoga, Neiki ka Hukm deiga Aur Use Khud karega, Buraai se Rokega Aur Us se Khud Baaz rahega,

Hazrat Abdul Muttalib ne kaha Kya Baadshah Mazeed Wazaahat kar Sakta he..?
Sultaan Saif ne kaha Gilaaf wale Kaba ki Qasam Jiski Shohrat Door Door tak he, Ay Abdul Muttalib Us Bacche ke Dada to Tum ho.., Isme Koi Jhut Nahi.. Hazrat Abdul Muttalib Ye Soon kar Sajde me gir gaye, Sultaan ne kaha Sarr Uthaaye Tumhara Seena Thanda he, Kya Meiri Zikr karda Alaamat(Nishani) Tum me Moujud he..??
Hazrat Abdul Muttalib kehne lage Haa Ay Baadshah.. Meira Ek Beita tha Jiske Sath Mujhe Behad Pyaar tha, Maine Use Apni Qoum ki Ek Aali Nasab Aurat Aaamena Binte Wahab se Nikaah kar diya, Us se Ladka Peida huwa, Maine Uska Naam Muhammad (ﷺ) rakha, Uske Maa-Baap Wisaal kar gaye, Maine Aur Uske Chacha ne Uski Parwarish ki, Uske Kandho ke Darmiyaan Ek Nishani he Aur Usme Aapki Zikr karda Saari Alaamat Payi Jati he, Sultaan Saif ne Kaha Apne Beite ki Hifazat karo, Use Yahud se Bachao, Agarche ALLAH TA’ALA Yahud ko Us Tak Nahi Pahonchne deiga, Meira Ye Raaz Apne Sathi Wafd Sameit kisi par Zahir Na karna, Mumkin he Unke Dilo me Hasad Aaye ki Ye Riyaasat Tumhe Haasil hone Wali he, Fir Ye Loug Uske liye Masaaib(Taklife) Khade karenge Uske Khilaf Sazishe karenge, Agar Mout Mujhe Halaak Karne wali Na hoti to Mai Apne Piyaade Aur Sawaar le kar Chalta Aur Yasrab(Madina Shareef ka Purana Naam) ko Paayae Takht Bana leita, Kyuki Maine Us Bolti Kitaab me Padha he ki Us Nabi ka Qaraar bhi Yasrab me hoga Aur Mazaar bhi Yasrab me, Agar Meira Maqshad Ye Na hota ki Use Aafate Zamaana se Mehfuz rakha jaye To Mai Arab ke Chappe Chappe par Uska Charcha kar deita Aur Nav-Umri(Bachpan) me hi Uska Zikr Buland ho Jata, Magar Mai Ye Kaam Tumhare Supurd(Hawaale) karta hu,
Uske Baad Shaahe Yaman ne Wafd ke Har Fard ko 100 Unt, 10 Gulaam, 10 Londiya, 10 Retal Chaandi, 5 Retal Sona Aur Anbar se Bhara huwa Ek Ek Bartan diya, Jab ki Hazrat Abdul Muttalib ke liye Is se 10 Gunah Zyada Hadiya Jari kiya Aur Sultaan Saif Chalte huwe Hazrat Abdul Muttalib se kehne laga Ye Saal Khatm hone par Mujhe Us Bacche ki Khabar la kar deina, Magar Saal Khatm hone se Qabl hi Sultaan Saif ka Wisaal ho gaya, Hazrat Abdul Muttalib RadiAllaho Ta’ala Anho Apni Qoum se kaha karte the, Ay Quraish Tum me se koi Shakhs Mujh par Is liye Rashk(Hasad) Na kare ki Shaahe Yaman ne Mujhe Bahot Nawaza tha, Ye Maal to Khatm hone wali chiz he, Balki Mujhe Us Sharaafat ki Mubaarak Baad Do Jo Hameisha Baaqi rahegi Aur Jab Puchha Jata ki Woh Sharaafat kya he to Aap Jawaab deite ki Woh Zarur Zahir ho kar rahegi, Khawaah Use Kuchh Waqt lage.
(Dalaailun Nabuwwat (Abu Noyam, Urdu), Jild-1, Safa-96-98)
(Al Khasaisul Kubra (Urdu), Jild-1, Safa-166,167)

>➤ HUZOOR ﷺ Apne Dada ki Madad karte :-
Hazrat Binhar Bin Hakim RadiAllaho Ta’ala Anho se Riwaayat he ki (Meire Jadde Amjad) Hida ne Zamaanae Jaahiliyat me Umra kiya, Unhone Ek Budhe Shaksh ko Tawaaf ke Douraan Ye Duaa Karte Soona
‘Ay Meire RABB Mujh par Sawaar karne Wale Muhammad (ﷺ) ko Mujhe Louta de, Ay Meire RABB Use Palta de Aur Meire Hath Mazbut Karde’
Maine Daryaaft kiya Ye Kon Shaksh he..?
Lougo ne Bataya Ye Sardaare Quraish Hazrat Abdul Muttalib he, Inke Bahot se Unt(Camel) he, Jab Unme se Koi Gum ho jata he To Apne Beite Ko Baazyabi(Unt Paane) ke liye bheijte he Aur Jab Beite Talaas me Na-Kaam ho jate he to fir Apne Poute ko Rawana karte he, Is Waqt Unhone Apne Poute ko Rawana kiya huwa he, Kyuki Unke Beite Unt ki Talaash me Na-Kaam ho chuke the, Is Guftagu ko Kuchh Zyada Waqt Na Guzra tha ki HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam Unt ko le kar Aa gaye.
(Al Khasaisul Kubra (Urdu), Jild-1, Safa-165)

>➤ Hazrat Abdul Muttalib RadiAllaho Ta’ala Anho ka Wisaal :-
Jab HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ke Jadde Amjad(Dada) ka Wisaal huwa Us Waqt HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ki Umre Mubaarak 8 Saal thi, Seerat Nigaro ne HUZOOR ﷺ ki Umre Mubaarak Is se Kamo Beish(Kam-Zyada) bhi likhi he, Hazrat Abdul Muttalib RadiAllaho Ta’ala Anho ki Wisaal ke Waqt Umar 140 Saal Ya 110 Saal Ya Is se Kam Bataai Jati he, Unhe ‘Hujun'(Makka e Mukarrama ki Ek Pahaadi ka Naam he) me Unke Jadde Amjad ‘Qasi’ ki Qabr ke Paas Dafn kiya gaya, Jab Unke Wisaal ka Waqt Aaya to Unhone HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ke Sage Chacha ‘Abu Taalib’ ko Wasiyat ki,
(Al Seeratun Nabawiya (Urdu), Jild-1, Safa-106)

Jab Hazrat Abdul Muttalib RadiAllaho Ta’ala Anho ka Wisaal huwa to Lougo ne Unki Wafaat par Bahot Zyada Aaah wa Bukaa(Rona-Pitna) ki, HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam Unki Chaarpayi ke Pichhe Pichhe Bhaag rahe the, Chashmaane Muqaddas(Aankh Mubaarak) se Aansu ke Moti gir rahe the,
Hazrat Abdul Muttalib RadiAllaho Ta’ala Anho ke Inteqaal ki Wajah se Makka e Mukarrama ka Baazaar kayi Din Band raha,
Unki Lakhte-Jigar(Beiti) ‘Umeima’ Apne Waalid Giraami ka Marsiya(Izhaare Gum) likhte huwe kehti he

Ay Meiri Aankho.. PaakBaaz Aur Peikar Judosakha par Motiyo Jeise Aansuo ki Sakhawat karo,
Ay Meiri Aankho.. Is Shaksh par Girya Zari karo Jo Saahibe Fazilat, Lougo ki Haajato ko Pura Karne wala Haseen wa Jameel Aur Bade Rutbe wala he,
Us Shaiba Par Fazilato wala, Izzato wala, Ba-Azmat Aur Qaabile Fakhr he,
Woh jo Masaaib me Bardbaar Aur Fazl wa karam karne wala he, Jo Umda Akhlaaq Wala Aur Judosakha karne wala he.
(Al Seeratun Nabawiya (Urdu), Jild-1, Safa-107)

>➤ Yateemi me Hikmat :-
Hazrat Imaam Jaafar Saadiq RadiAllaho Ta’ala Anho se Kisi ne Puchha Isme Kya Hikmat thi ki HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam ki Wilaadat se Pehle Hazrat Abdullah RadiAllaho Ta’ala Anho Fout ho gaye the Aur 6 Saal ki Umr Shareef me Waalida Maajida Hazrate Aaamena RadiAllaho Ta’ala Anha ka Wisaal ho gaya tha Aur Jab 8 Baras ke huwe to Janaab Abdul Muttalib RadiAllaho Ta’ala Anho bhi 140 Baras ki Umr paa kar Fout ho gaye the..?
To Imaam Jaafar Saadiq RadiAllaho Ta’ala Anho ne Farmaaya ‘Taaki Un par Makhluq ka Koi Haqq wa Ahesaan Na ho (Ahesaan ho to Sirf ALLAH ka ho).
(Naseemur Riyaaz, Jild-1, Safa-335)
(Seeratun Khaatimin Nabiyyin, Safa-43)




Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *