Istikhara

➤ Istikhara ki Fazilat :-

HUZOOR SARWARE QAAYENAAT Sallallaho Alayhe Wasallam ne Lougo ko Faal ki jagah Istikhara ki Ta’alim di he Chunanche Hazrate Saiyyadna Jaabir Bin Abdullah RadiAllaho Ta’ala Anho se Riwaayat he ki HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam Hum ko Tamaam Umur(Kaam) me Ishtkhara Ta’alim Farmaate Jeise Quraan ki Surat Ta’alim Farmaate the.
(Bukhaari Shareef, Jild-1, Safa-393)

Muffassire Shahir Hakimul Ummat Hazrat Mufti Ahmad Yaar Khan Alayhe Rehma Is Hadeese Paak ke Tehat Likhte he
Istikhara ke Ma’ana(Meaning) he Kheir Maangna Ya Kisi se Bhalaai ka Mashwara Karna, Chunki Is Duaa wa Namaaz me Banda ALLAH TA’ALA se Goya Mashwara Karta he Fula Kaam Karu Ya Na Karu Isi liye Ise Istikhara kehte he.
(Mira’atul Manaajih, Jild-2, Safa-301)

>> HUZOORE PAAK Sallallaho Alayhe Wasallam ne Irshaad Farmaaya Jo Istikhara kare Woh Nuksaan me Na Rahega, Jo Mushawarat(Aapas me Mashwara) se Kaam kare Woh Pashemaan(Sharminda) Na Hoga Aur Jisne Meyaanaravi(Darmiyaan ka Rasta) Ikhteyaar ki Woh Mohtaaz Na hoga.
(Majmaul Zawaaid, Jild-2, Safa-566)

>> Istikhara Chhod ne ka Nukshan :-
HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ne Irshaad Farmaya Bande ki Bad-Bakhti me se he ki Woh ALLAH TA’ALA se Istikhara Karna Chhod de.
(Tirmizi Shareef, Jild-4, Safa-60)
(Bad-Shuguni, Safa-44,45)

➤ Istikhara Kin Kaamo ke Baare me hoga :-

Sirf Un kamo ke Baare me Istikhara ho Sakta he Jo Har Musalmaan ki Raay par Chhode gaye he Masalan Tijaarat (Business) Ya Mulaazamat(Job) me se Kis ka Intikhab(Select) kiya Jaaye…??
Safar ke Liye Kon sa Din Ya Kon sa Zariya Munaasib rahega..??
Makaan wa Dukaan ki Kharidaari Mufid (Fayde-Mand) hogi ya Nahi…?
Kon se Ilaaqe me Rahaaish(Rahan-Sahan) Munaasib hogi..??
Shadi kaha ki Jaaye…?? Wageira Wageira..

Jin Kaam ke Baare me Shariyat ne Waazeh Ahkam Bayaan kar diye he Inme Istikhara Nahi Hota Jeise Panj(5) Waqta Farz Namaaze, Maaldaar hone ki Surat me Zakaat ki Adaaygi, Ramzaan ul Mubaarak ke Roze Wageira ke Bare me Istikhara Nahi kiya Jaayega Ki Mai Namaaz Padhu Ya Na Padhu..??
Zakaat Adaa Karu Ya Na Karu…?
Isi Tarah Jhut Bolna Ya Kisi ki Haqq-Talafi karna Wageira Jin Kaamo se Shariyat ne Mana kiya he Woh Karu Ya Na Karu..??
Balki In Tamaam Kaamo me Shariyat ki Hidaayat par Amal karna Zaruri he Niz Istikhara ke liye yeh bhi Shart he ki Woh Kaam Jaiz Ho, Na-Jaiz Kaarobar Wageira ke liye Istikhara Nahi kiya Jaayega..

Haakimul Ummat Mufti Ahmad Yaar Khan Naeemi Alayhe Rehma Istikhara se Muta’aliq Hadeese Paak ki Sharah Bayaan karte hue Irshaad Farmaate he
Basharte ki Woh Kaam Na Haraam Ho, Na Farz Wa Waajib Aur Na Roz Marra ka Aadi Kaam, Lehaaza Namaaz Padhne, Hajj karne Ya Khana Khane, Paani Peene par Istikhara Nahi.
(Mira’atul Manaajih, Jild-2, Safa-301)
(Bad-Shuguni, Safa-45,46)

➤ Istikhara ke Mukhtelaf Tariqe :-

Istikhara Chunki RABB TA’ALA se Kheir Maangne Ya Kisi se Bhalaai ka Mashwara karne ko kehte he, Is liye Mukhtelaf(Alag Alag) Duaao ke Zariye RABB TA’ALA se Istikhara Kiya Jata he, Jis me se Ek Duaa Namaaz ke Baad Mangi Jati he Isi Wajah se Is Namaaz ko Namaaze Istikhara kaha jata he,

>> Jab koi Kisi Amr(Kaam) ka Qasd (Iraada) kare to 2 Raka’at Nafl Padhe Fir Kahe
“ﺍَﻟﻠّٰﻬُﻢَّ ﺍِﻧِّﻲ ﺍَﺳْﺘَﺨِﻴْﺮُﻙَ ﺑِﻌِﻠْﻤِﻚَ ﻭَﺍَﺳْﺘَﻘْﺪِﺭُﻙَ ﺑِﻘُﺪْﺭَﺗِﻚَ ﻭَﺍَﺳْﺄَﻟُﻚَ ﻣِﻦْ ﻓَﻀْﻠِﻚَ ﺍﻟْﻌَﻈِﻴْﻢِ ﻓَﺎِﻧَّﻚَ ﺗَﻘْﺪِﺭُ ﻭَﻟَﺎ ﺍَﻗْﺪِﺭُ ﻭَﺗَﻌْﻠَﻢُ ﻭَﻟَﺎ ﺍَﻋْﻠَﻢُ ﻭَﺍَﻧْﺖَ ﻋَﻠَّﺎﻡُ ﺍﻟْﻐُﻴُﻮْﺏِ ﺍَﻟﻠّٰﻬُﻢَّ ﺍِﻥْ ﻛُﻨْﺖَ ﺗَﻌْﻠَﻢُ ﺍَﻥَّ ﻫٰﺬَﺍ ﺍﻟْﺎَﻣْﺮَ ﺧَﻴْﺮٌ ﻟِّﯽْ ﻓِﻲْ ﺩِﻳْﻨِﻲْ ﻭَﻣَﻌَﺎﺷِﻲْ ﻭَﻋَﺎﻗِﺒَﺔِ ﺍَﻣْﺮِﻱْ ﺍَﻭْ ﻗَﺎﻝَ ﻋَﺎﺟِﻞِ ﺍَﻣْﺮِﻱ ﻭَﺍٰﺟِﻠِﻪٖ ﻓَﺎﻗْﺪِﺭْﻩُ ﻟِﻲْ ﻭَﻳَﺴِّﺮْﻩُ ﻟِﻲْ ﺛُﻢَّ ﺑَﺎﺭِﻙْ ﻟِﻲْ ﻓِﻴْﻪِ ﻭَﺍِﻥْ ﻛُﻨْﺖَ ﺗَﻌْﻠَﻢُ ﺍَﻥَّ ﻫٰﺬَﺍ ﺍﻟْﺎَﻣْﺮَ ﺷَﺮٌّ ﻟِﻲْ ﻓِﻲْ ﺩِﻳْﻨِﻲْ ﻭَﻣَﻌَﺎﺷِﻲْ ﻭَﻋَﺎﻗِﺒَﺔِ ﺍَﻣْﺮِﻱْ ﺍَﻭْ ﻗَﺎﻝَ ﻓِﻲ ﻋَﺎﺟِﻞِ ﺍَﻣْﺮِﻱْ ﻭَﺍٰﺟِﻠِﻪٖ ﻓَﺎﺻْﺮِﻓْﻪُ ﻋَﻨِّﻲْ ﻭَﺍﺻْﺮِﻓْﻨِﻲْ ﻋَﻨْﻪُ ﻭَﺍﻗْﺪِﺭْ ﻟِﻲَ ﺍﻟْﺨَﻴْﺮَ ﺣَﻴْﺚُ ﻛَﺎﻥَ ﺛُﻢَّ ﺭَﺿِّﻨِﯽْ ﺑِﮧ”
“(Ay ALLAH Mai Teire Ilm ke Sath Tujh se Kheir Talab karta(/Karti) hu Aur Teiri Qudrat ke Zariye se Talabe Qudrat Karta hu Aur Tujh se Teira Fazle Azeem Maangta hu Kyuki Tu Qudrat Rakhta he Aur Mai Qudrat Nahi Rakhta Tu Sab Kuchh Jaanta he Aur Mai Nahi Jaanta Aur Tu Tamaam Poshida Baato ko Khub Jaanta he Ay ALLAH Agar Teire Ilm me Ye Amr(Jiska Mai Iraada Rakhta hu) Meire Deeno Imaan Aur Meiri Zindagi Aur Meire Anjaame Kaar(Aakhir) me Duniya wa Aakhirat me Meire liye Behtar he Tu Isko Meire liye Muqaddar karde Aur Meire liye Aasan karde Fir Isme Meire Waaste Barkat karde, Ay ALLAH Agar Teire Ilm me yeh Kaam Meire liye Bura he Meire Deeno Imaan Meiri Zindagi Aur Meire Anjaame Kaar Duniya wa Aakhirat me Tu Isko Mujh se Aur Mujh ko Is se Feir de Aur Jaha Kahi Behtari ho Meire liye Muqaddar kar Fir Is se Mujhe Raazi kar de.)”
(Bukhaari Shareef, Jild-1, Safa-393)
(Raddul Muhtaar, Jild-2, Safa-569)

Allama Ibne Aabedin Shami Alayhe Rehma Farmaate he
Hadees me Waarid Is Duaa me ’’ ﮬٰﺬَﺍ ﺍﻟْﺎَﻣْﺮَ‘‘ Ki Jagah Chahe To Haajat(Zarurat) ka Naam le Ya Uske Baad.
(Raddul Muhtaar, Jild-2, Safa-570)

Ya’ani Agar Arabi Jaanta he To Is Jagah Apni Haajat ka Tazkira kare Ya’ani ’’ ﮬٰﺬَﺍ ﺍﻟْﺎَﻣْﺮَ‘‘ ki Jagah Apne Kaam ka Naam le, Masalan ﮬٰﺬَﺍ ﺍﻟﺴَّﻔْﺮ, ﮬٰﺬَﺍ ﺍﻟﻨِّﮑَﺎﺡ, ﮨٰﺬِﮦِ ﺍﻟﺘِّﺠَﺎﺭَۃَ, ﮨٰﺬَﺍ ﺍﻟْﺒَﯿْﻊَ kahe Aur Agar Arabi Nahi Jaanta To ’’ ﮬٰﺬَﺍ ﺍﻟْﺎَﻣْﺮَ‘‘ hi kah kar Dil me Apne Us Kaam ke Baare me Soche Aur Dhyaan de Jiske Liye Istikhara kar raha he.

>> Namaaze Istikhara me Kon si Surat Padhe..??
Mustahab ye he ki Is Duaa ke Awwal Aakhir “ﺍَﻟْﺤَﻤْﺪُﻟﻠﮧ” Aur Durood Shareef padhe Aur Pehli Raka’at me “ﻗُﻞْ ﯾٰۤﺎَﯾُّﮩَﺎ ﺍﻟْﮑٰﻔِﺮُﻭۡﻥ”(Surah Kaafiroon) Aur Dusri me “ﻗُﻞْ ﮨُﻮَ ﺍﻟﻠﮧُ ﺍَﺣَﺪ”(Surah Ikhlaas) Padhe Aur Baaz Mashaaikh Farmaate he ki Pehli me
” ﻭَ ﺭَﺑُّﮏَ ﯾَﺨْﻠُﻖُ ﻣَﺎ ﯾَﺸَﺎٓﺀُ ﻭَ ﯾَﺨْﺘَﺎﺭُ ؕ ﻣَﺎ ﮐَﺎﻥَ ﻟَﮩُﻢُ ﺍﻟْﺨِﯿَﺮَۃُ ؕ ﺳُﺒْﺤٰﻦَ ﺍﻟﻠﮧِ ﻭَﺗَﻌٰﻠٰﯽ ﻋَﻤَّﺎ ﯾُﺸْﺮِﮐُﻮۡﻥَ ﴿۶۸﴾ﻭَﺭَﺑُّﮏَ ﯾَﻌْﻠَﻢُ ﻣَﺎ ﺗُﮑِﻦُّ ﺻُﺪُﻭۡﺭُﮨُﻢْ ﻭَﻣَﺎ ﯾُﻌْﻠِﻨُﻮۡﻥَ”
(Surah Al Qasass, Aayat-68,69)
Aur Dusri me
“وَ مَا کَانَ لِمُؤۡمِنٍ وَّ لَا مُؤۡمِنَۃٍ اِذَا قَضَی اللّٰہُ وَ رَسُوۡلُہٗۤ اَمۡرًا اَنۡ یَّکُوۡنَ لَہُمُ الۡخِیَرَۃُ مِنۡ اَمۡرِہِمۡ ؕ وَ مَنۡ یَّعۡصِ اللّٰہَ وَ رَسُوۡلَہٗ فَقَدۡ ضَلَّ ضَلٰلًا مُّبِیۡنًا”
(Surah Ahzaab, Aayat-36) Padhe.
(Raddul Muhtaar, Jild-2, Safa-570)
(Bad-Shuguni, Safa-47-49)

➤ Istikhara ka Ishaara Keise Milega :-

Baaz Mashaaikhe Kiraam se Manqul he ki Duaa e Mazkur(Peish ki Gayi Duaae) Padh kar Ya Tahaarat(Ba Wuzu) Qibla Ru(Qibla ki Taraf) So rahe Agar Khwaab me Safedi Ya Sabji(Haryaali) Deikhe to Woh Kaam Behtar he Aur Siyaahi(Black) Ya Surkhi(Laal Rangat) deikhe to Bura he Is se Bache.
(Raddul Muhtaar, Jild-2, Safa-570)

Haakimul Ummat Hazrate Mufti Ahmad Yaar Khan Alayhe Rehma ne bhi Is Masle ki Tafseel me Irshaad Farmaayi he
Baaz Sufiya Farmaate he ki Agar Sote Waqt 2 Raka’at Padh kar Ye Duaa Padhe Fir Wuzu Qibla Ru ho Jaaye Agar Khwaab me Sabji Ya Safeid Jaari Paani Ya Roshni deikhe To Kaamyaabi ki Alaamat(Nishani) he Aur Agar Siyaahi Ya Gadla-Pani(Kichad) Ya Andhera deikhe To Nakaami Aur Namuraadi ki Alaamat he, 7 Roz(Din) ye Amal kare In sha Allah Is Douraan Khwaab me Ishaara ho Jaayega.
(Mira’atul Manaajih, Jild-2, Safa-302)

>> 7 Martaba Istikhara karna Behtar he :-
Behtar he ki 7 Baar Istikhara Kare ki Ek Hadees me he
Ay Anas Jab Tu Kisi Kaam ka Qasd(Iraada) kare to Apne RABB TA’ALA se Usme 7 Baar Istikhara kar Fir Nazar kar Teire Dil me Kya Guzra ki Beishak Usi me Kheir he.
(Raddul Muhtaar, Jild-2, Safa-550)
(Bad-Shuguni, Safa-49, 50)

➤ Khwaab me Agar Ishara Na ho to :-

Istikhara karne ke Baad Agar Khwaab me koi Ishaara Na ho to Apne Dil ki Taraf Dhyaan karna Chaahiye, Agar Dil me Koi Pukhta Iraada Jam Jaaye Ya Kisi Kaam ke Karne ya Na karne ke Bare me Az Khud Rujhaan(Jhukao) Badal Jaaye Isi ko Istikhara ka Natija Samajhna Chahiye Aur Tabiyat ke Gaalib Rujhaan par Amal Karna Chaahiye,

>> Sirf Duaa ke Zariye Bhi Istikhara kiya Ja Sakta he :-
Allama Ibne Aabedin Shami Alayhe Rehma Fatawa Shami me Likhte he
“Aur Agar Kisi Par Namaaze Istikhara Padhna Dushwaar(Mushkil) ho jaaye to Woh Duaa ke Zariye Istikhara kare.
(Raddul Muhtaar, Jild-2, Safa-570)

>>> Istikhara ki Mukhtasar Duaae :-
Allama Mulla Ali Qari Rahmatullahe Alay likhte he
“Jise Kaam me Jaldi ho to Woh Ye Keh le
“ﺍَﻟﻠّٰﻬُﻢَّ ﺧِﺮْ ﻟِﻲْ ﻭَﺍﺧْﺘِﺮْﻟِﯽْ ﻭَﺍﺟْﻌَﻞْ ﻟِﯽَ ﺍﻟْﺨِﯿَﺮَۃ”
(Ay ALLAH TA’ALA Meira Kaam Behtar karde Aur Meire Liye (Do Kaamo me se Behtar ko) Ikhteyaar Farma kar (Isme) Meire liye Behtari Rakhde) Ya ye Kahe
“ﺍَﻟﻠّٰﻬُﻢَّ ﺧِﺮْ ﻟِﻲْ ﻭَﺍﺧْﺘِﺮْﻟِﯽْ ﻭَﻟَﺎ ﺗَﮑِﻠْﻨِﯽْ ﺍِﻟٰﯽ ﺍِﺧْﺘِﯿَﺎﺭِﯼ”
(Ay ALLAH TA’ALA Meira Kaam Behtar karde Aur Meire Liye (2 Kamo me se Behtar ko) Ikhteyaar Farma Aur Mujhe Meiri Pasand ke Hawaale Na Farma)
(Mirqaat ul Mafaatih, Jild-3, Safa-406)

Buzurgaane Deen Se Istikhara karne ke Aur bhi Kayi Tariqe Aur Wazaaif Manqul he Masalan Tasbeeh ke Zariye Istikhara Karna Jo Qaleel Waqt me Mukkammal ho Jata he.
(Bad-Shuguni, Safa-51)

3 Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *